Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday 26 February 2015

JANNAT KI KHAWATEEN

JANNAT KI KHAWATEEN 



Bismillahirrahmanirraheem
JANNATI KHAWATEEN TAMAAM ZAHIRI AALAISHO (MASALAN HAIZ, NIFAAS WAGARIAH) AUR BAATINI AALAISHO (MASALAN GUSSA, HASAD WAGAIRAH) SE PAAK SAAF HONGI
"Aur unke liye waha pakeezah beewiya hongi jaha wo hamesha hamesha rahengey". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 25)
JANNAT MEIN DAKHIL HONE WALI KHAWATEEN KO ALLAH TA'ALA NAYE SIREY SE PAIDA FARMAYENGEY AUR WO KUWARI HALAT MEIN JANNAT MEIN DAKHIL HONGI
JANNATI KHAWATEEN APNE SHOHARO SE MULAQAAT K BAAD BHI HAMESHA KUWARI HALAT MEIN RAHENGEI
JANNATI KHAWATEEN APNE SHOHARO KI HUM UMAR HONGI
JANNATI KHAWATEEN APNE SHOHARO SE TOOT KAR PIYAAR KARNE WALI HONGI
"Ahle jannat ki beewiyo ko hum naye sirey se paida karengey aur unhe ba-kurah bana dengey apne shoharo se muhabbat karne waliyo aur (unki) hum umar, ye sab kuch daahine haath walo k liye hoga". (Surah Waqia Surah no. 56 Ayat no. 35-38)
JANNATI KHAWATEEN HUSN WA JAMAAL AUR HUSN SEERAT DONO AETABAAR SE BE-MISAAL HONGI
"Jannat mein (ahle jannat k liye) khoob seerat aur khoob surat beewiya hongi pas ae jinn wa ins tum apne rabb ki kin kin naimato ko jhutlaogey?". (Surah Rahman Surah no. 55 Auat no. 70-71)
JANNAT KI KHUSHYO KI TAKMEEL KHAWATEEN KI RIFAQAT MEIN HI HONGI
"Dakhil ho jao jannat mein tum aur tumhari beewiya (jannat mein) tumhey khoosh kardiya jayega". (Surah Zukhruf Surah no. 43 Ayat no. 70)
EMAAN AUR AMAL E SAALEH KI BUNYAAD PAR JANNAT MEIN DAKHIL HONE WALI KHAWATEEN MUQAAM AUR MARTABA K AETABAAR SE JANNAT KI HOORO SE AFZAL HONGI
"Hazrat Ummey Salma Razi Allahu Anha se riwayat hai k mene arz kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ye farmaiye k dunya ki khatoon afzal hai ya jannat ki hoor? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Dunya ki khatoon ko jannat ki hoor par wahi fazilat hasil hogi jo abre (bahar wala kapda) ko astar (andar wala kapda) par hasil hoti hai" mene arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! uski kya wajah hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Unki namazey, roozey aur doosri ibadatey jo unhone Allah azz wa jall k liye ki". (Tabraani, Majmua uz Zawaid, juzz e aashir, safa no. 417-418)
KHATOON E JANNAT AGAR DUNYA MEIN EK DAFA JHAANK LE TO MASHRIQ SE LE KAR MAGRIB TAK SAARI JAGAH ROSHAN HO JAYE AUR KHUSHBU SE BHAR JAYE
KHATOON E JANNAT K SAR KA DUPATTA AUR USKI SAARI NAIMATO SE QEEMATI HAI
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah ki raah mein nikalna pehle pehar ya pichle pehar dunya aur dunya mein jo kuch hai us sab se behtar hai aur agar jannat ki aurato mein se ek aurat dunya mein (lamha bhar k liye) jhaank le to mashriq wa magrib k darmiyaan har cheez ko roshan karde aur fiza ko khushbu se bhar de, jannati aurat k sar ka dupaata dunya aur jo kuch dunya mein hai us sab se behtar hai". (Mishkatul Masaabeeh baab Sifatul jannah wa ahliha, fasal awwal)
JANNAT MEIN HAR JANNATI KA NIKAH DO AURATO SE HOGA JO BINTE AADAM SE HOGI
KHATOON E JANNAT BAIK WAQT 70 JOODEY PEHNE HONGI JO IS QADR UMDAH AUR NAFEES HONGE K UNKE ANDAR SE AURAT KA JISM NAZAR AA RAHA HOGA
AURAT BAZAAT KHUD IS QADR HASEEN WA JAMEEL HOGI K USKE JISM SE HADDIYO KA GOOSHT NAZAR AYEGA
Hazrat Abu Saeed Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Qayamat k rooz (mardo aur aurato ka) sabse pehla garooh jo jannat mein jayega unke chehre choodvi raat k chand ki tarah chamak rahe honge doosre garooh k chehre aasmaan mein chamakte khoobsurat sitaaro ki tarah chamak rahe honge dono garooho k mardo ko do do biweeya ata ki jayegi har aurat sattar joodey pehle hogi jinme se uski pindali ka goosht nazar aa raha hoga". (Sunan Tirmizi Abwabul Jannah)
JANNAT MEIN DAKHIL HONE WALI KHAWATEEN APNE MARZI AUR PASAND K MUTABIQ APNE DUNYAVI SHOHARO KI BEEWIYA BANEGI (BA-SHART K WO SHOHAR BHI JANNATI HO) WARNA ALLAH TA'ALA UNHE KISI DOOSRE JANNATI SE BIYAAH DENGEY
JIN KHAWATEEN K DUNYA MEIN (FAUT HONE KI SOORAT MEIN) DO YA TEEN YA US SE ZAAYED SHOHAR RAHE HO UN KHAWATEEN KO APNI MARZI AUR PASAND K MUTABIQ KISI EK K SAATH BEEWI BAN KAR REHNE KA IKHTIYAAR DIYA JAYEGA JISE WO KHUD PASAND KAREGI USI K SAATH RAHEGI
Hazrat Ummey Salma Razi Allahu Anha kehti hai mene arz kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alahi Wa Sallam! hum mein se baaz auratey (dunya mein) do, teen ya chaar shoharo se (yake baad daigar) nikah karti hai aur marne k baad jannat mein dakhil ho jati hai wo saare mard bhi jannat mein chale jate hai to phir un mein se konsa mard uska shohar banega? Aap Sallallahu Alahi Wa Sallam ne irshad farmaya "Ae Ummey Salma Razi Allahu Anha! wo aurat un mardo mein se kisi ek ka intakhaab karegi aur wo (yaqeenan) acchey akhlaaq wale ko pasand karegi, aurat Allah ta'ala se guzarish karegi ae mere rabb! ye mard dunya mein mere saath sabse ziyaadah akhlaaq se paish aaya lihaza ise mere saath biyaah de, ae Ummey Salma Razi Allahu Anha! accha akhlaaq dunya aur aakhirat ki saari bhalaiyo par sabqat le jayega". (Nihaya li bin Kaseer, fi fitan wal malahim, juz e saani safa no. 387)
Hazrat Muhammad Sallallahu Alahi Wa Sallam se riwayat hai k loogo ne aapas mein fakhr kiya ya zikr kiya k jannat mein mard ziyaadah hongey ya auratey? Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehne lage kya Abu Qaasim Razi Allahu Anhu ne nahi farmaya "Jannat mein dakhil hone wale pehle garooh k chehrey choodvi raat k chand ki tarah chamkengey aur doosre garooh k chehrey aasmaan par chamakdaar sitaare k manind chamak rahe hongey aur dono garoho mein se har mard k liye do do beewiya hongi jinki pindliyo ka gooda goosht k andar se nazar aa raha hoga aur jannat mein koi aadmi bin biyaaha nahi hoga". (Sahih Muslim Kitabul Jannah Was Sifatun Naeemah)
Ibne Aadam farmate hai mazkoorah hadees mein do beewiyo se muraad binte aadam aur hoorey unke alawah hongi jitni Allah chahega. Wallalhu Aalam Bissawaab (An Nihaaya li bin Kaseer, fi fitan wal malahim, juzz e saani safa no. 379)

Friday 20 February 2015

AHLE JANNAT K KHADIM

AHLE JANNAT K KHADIM

Bismillahirrahmanirraheem

AHLE JANNAT K KHADIM HAMESHA LADAKPAN KI UMAR MEIN HI RAHENGEY
AHLE JANNAT K KHUDDAM MOOTIYO KI TARAH KHOOBSURAT AUR DILKASH NAZAR AYENGEY
AHLE JANNAT K KHUDDAM IS QADR CHAAK WA CHOOND HONGEY K CHALTE PHIRTE HUE NAZAR AYENGEY JESE SIMAT'TE BIKHARTE AUR BIKHARTE SIMAT'TE MOOTI HAI

"Ahle jannat ki khidmat k liye aese ladke doodte phir rahe hongey jo hamesha ladakpan ki umar mein hi rahengey tum unhey dekhoge to samjho k mooti hai jo bikhair diye gaye hai". (Surah Dahar Surah no. 86 Ayat no. 19)


AHLE JANNAT K KHADIM GARD O GUBBAR SE MEHFOOZ KIYE HUE MOOTIYO KI TARAH SAAF SUTHREY AUR HASEEN WA JAMEEL HONGEY

"Ahle jannat ki khidmat k liye wo ladkey doodte phir rahe hongey jo unhi (ki khidmat) k liye makhsoos hongey aese khoobsurat jese chipa kar rakkhey hue mooti". (Surah Toor Surah no. 52 Ayat no. 24)


MUSHRIKEEN K FAUT HONE WALE BAAZ NABAALIG BACCHEY AHLE JANNAT K KHADIM HONGEY

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se mushrikeen ki aulaad k baare mein sawaal kiya k unke to koi gunah nahi hongey jinki unhey saza di jaye to kya wo jahannam mein dakhil kiye jayengey na hi unki naikiya hongi k jinke badle mein wo jannat k badshah ban jaye (phir wo kaha jayengey?) Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "wo ahle jannat k khadim hongey". (Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 1468)

AHLE JANNAT KI MAJALEES AUR MUSNADEY

AHLE JANNAT KI MAJALEES AUR MUSNADEY

Bismillahirrahmanirraheem

AHLE JANANAT NADIR AUR NAFEES RAISHAM K BISTARO PAR TAKIYA LAGA KAR APNE APNE MAHLAAT AUR BAGAAT MEIN JALWA AFROOZ HONGEY

"Jannati loog apne bistaro par takiya laga kar baithengey jinke astar moote raisham k hongey aur baagho (k darakhato)  ki daaliya jhuki padti hogi (ae jinn wa ins!) tum apne rabb ki kin kin naimato ko jhutlaagey?". (Surah Rahman Surah no. 55 Ayat no. 54-55)


JANNATI LOOG QATAAR DAR QATAAR AAMANEY SAAMNEY RAKKHEY HUE KHOOBSURAT TAKHTO PAR RONAK AFROOZ HONGEY

"Jannati loog aamney saamney bichey hue takhto par takiye lagaye baithey hongey aur hum khoobsurat aankho wali hoorey unse biyaah dengey". (Surah Toor Surah no. 52 Ayat no. 20)


AHLE JANNAT AAMNEY SAAMNEY RAKKHEY HUE TAKHTO PAR MUSNAD NASHEEN HO KAR LAZZAT BHAREY MAKULAAT WA MASHRUBAAT SE LUTF ANDOOZ HONGEY

"Ahle jannat k liye jana pehchana rizq hoga har taraf ki lazeez cheezey aur naimatey bhare baagaat jinme wo izzat k saath rakkhey jayengey takhto par aamney saamney baithengey, sharaab k chashmo se saagir bhar bhar kar unke darmiyaan phiraaye jayengey aesi chamakti hui sharaab jo peene walo k liye lazzat bhari hogi na unke jism ko us se koi zarar pahunchega na us se unki aqal kharaab hogi". (Surah Saaffaat Surah no. 37 Ayat no. 41-47)


MUSNADO SE AARAASTA SOONEY CHANDI AUR JAWAHARAAT SE MARCI TAKHTO PAR AHLE JANNAT EK DOOSRE K AAMNEY SAAMNEY BAITH KAR SAAGIR KA SHOONK FARMAYENGEY

"Maqroob loog naimato bhari jannat mein hongey pehlo mein se bahut aur pichlo mein se kam honge marci takhto par takiye lagaye aamney saamney baithengey unki majaliso mein abdi ladke (jinki umar hamesha ek hi halat mein rahegi) saaf suthri sharaab k saagir liye doodate phir rahe hongey jise pee kar na to unka sar chakrayega na unki aqal mein fatoor ayega". (Surah Waqiah Surah no. 56 Ayat no. 10-19)


JANNATIYO K TAKHAT SABZ RANG K NADIR AUR QEEMATI QALEENO SE AARAASTA HONGEY

"Jannati loog sabz qaleeno nadir aur nafees farsho par takiye laga kar baithengey (ae jinn wa ins!) tum apne rabb ki kin kin inamaat ko jhutlaogey?". (Surah Rahman Surah no. 55 Ayat no. 54-55)


BAAZ TAKHAT BULANDIYO PAR HONGEY JIN PAR JA-BAJA MAKHMALI MUSNADE NARAM WA NAZUK QALEEN KHOOBSURAT GADDEY AUR QEEMATI TAKIYE SAJEY HONGEY JANNATI JAHA CHAHENGE MAJALEES QAYAM KARENGEY

"Jannat mein buland wa bala takhat hongey (jaha peene k liye) saagir rakkhey hongey takiyo ki qataarey hongi, musnadey aur qaleen ja-baja bichey hongey". (Surah Gashiya Surah no. 88 Ayat no. 13-16)


JANNATI LOOG GHANEY SAAYO MEIN TAKHTO K UPER APNI BAIGAMAAT K SAATH MAZEY KARENGEY

"Aaj jannati loog mazey karne mein mashgool hai wo aur unki beewiya ghane saayo mein musnado par takiye laga kar baithe hai". (Surah Yaseen Surah no. 36 Ayat no. 55-56)

Monday 16 February 2015

AHLE JANNAT K LIBAAS AUR ZAIVRAAT

AHLE JANNAT K LIBAAS AUR ZAIVRAAT

Bismillahirrahmanirraheem

AHLE JANNAT BAREEK RAISHAM AUR ITLAS WA DAIBA KA SABZ LIBAAS PEHNENGEY
AHLE JANNAT HAATHO MEIN SOONEY K KANGAN ISTEMAAL KARENGEY

"Beshak wo loog jo emaan laye aur naik amal kiye aese naik loogo k aamaal hum zaaya nahi karengey unke liye (aakhirat mein) sada-bahaar jannatey hai jinke nichey nehre beh rahi hongi waha unhey sooney k kangan pehnaye jayenge bareek raishak aur itlas wa daiba k sabz kapde pehnenge aur unchi musnado par takiya laga kar baithengey bahut hi accha sawab aur bahut hi acchi qayaam ki jagah". (Surah Kahaf Surah no. 18 Ayat no. 30-31)

Wazahat: Itlas aur daiba dono aala qism ki raisham ka kapda hai jinme sooney aur chandi ki taare bani hooti hai.


KHALIS RAISHAMI KAPDO KA LIBAAS KHALIS SOONEY K ZAIVRAAT KHALIS MOTIYO K ZAIVRAAT AUR MOOTI JADEY SOONEY K ZAIVRAAT BHI AHLE JANNAT ISTEMAAL KARENGEY

"Beshak jo loog emaan laye aur naik amal kiye unko Allah ta'ala aesi jannato mein dakhil farmayega jinke niche nehre beh rahi hongi waha wo sooney k kangano aur mootiyo se aaraasta kiye jayenge aur unke libaas raisham k hongey". (Surah Hajj Surah no. 22 Ayat no. 23)

"Sada-bahaar jannatey hai jinme ye loog dakhil hongey waha unhey sooney k kangano aur mootiyo se aaraasta kiya jayega waha unka libaas raisham ka hoga". (Surah Fatir Surah no. 35 Ayat no. 33)


ITLAS AUR DAIBA K ALAWA SUNDAS AUR ISTABRAK KA LIBAAS BHI AHLE JANNAT PEHNENGEY

"Beshak muttaqi loog aman ki jagah mein hongey baagho aur chashmo mein sundas wa istabrak k libaas pehne aamne saamne baithey hongey ye hogi unki shaan aur hum goori goori aaho chashm aurate unse biyaah denge waha wo itminaan se har tarah ki lazeez chezey talab karengey ahle jannat maut ka maza kabhi nahi chakhenge bas dunya mein jo maut aa chuki so aa chuki aur Allah ta'ala unko apne fazal se jahannam k azaab se bacha dega yahi badi kaamyabi hai". (Surah Dukhan Surah no. 44 Ayat no. 51-57)


AHLE JANNAT CHANDI K ZAIVRAAT BHI ISTEMAAL KARENGEY

"Ahle jannat ki khidmat k liye aese ladke dodey phir rahe hongey jo hamesha ladke hi rahengey tum unhe dekho to samjho k mooti hai jo bikhair diye gaye hai waha jidhar bhi tum nigaah dodaoge ek badi saltanat ka sar o samaan tumhey nazar ayega unke uper bareek raisham k sabz libaas uar itlas wa daiba k kapde hongey aur unhe chandi k kangan pehnaye jayenge aur unka rabb unhey nihayat pakeezah sahraab pilayega". (Surah Dahar Surah no. 76 Ayat no. 19-21)


AHLE JANNAT KA LIBAAS KABHI PURAAN NAHI HOGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks jannat mein dakhil hoga wo hamesha khush wa khurram rahega kabhi ranjeedah nahi hoga uske kapde purane nahi honge na hi jawaani fana hogi". (Sahih Muslim Kitabul Jannah wa Sifatun Naeemah)


JANNATI KHAWATEEN BAIK WAQT SATTAR SATTAR JOODE ZAIB TAN KARENGI JO IS QADR UMDAH AUR AALA HONGEY K UNKE ANDAR SE UNKI PINDALI KA GOOSHT NAZAR AYEGA

Hazrat Abu Saeed Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Qayamat k rooz (mardo aur aurato ka) sabse pehla garooh jo jannat mein jayega unke chehre choodvi raat k chandi ki tarah chamak rahe honge doosre garooh k chehre aasmaan mein chamakte khoobsurat sitaaro ki tarah chamak rahe honge dono garooho k mardo ko do do biweeya ata ki jayegi har aurat sattar joodey pehle hogi jinme se uski pindali ka goosht nazar aa raha hoga". (Sunan Tirmizi Abwabul Jannah)


JANNATI KHAWATEEN KA DUPATTA QADAR WA QEEMAT MEIN DUNYA JAHA KI SAARI DOLAT SE ZIYAADAH QEEMTI HOGA

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah ki raah mein nikalna pehle pehar ya pichle pehar dunya aur dunya mein jo kuch hai us sab se behtar hai aur agar jannat ki aurato mein se ek aurat dunya mein (lamha bhar k liye) jhaank le to mashriq wa magrib k darmiyaan har cheez ko roshan karde aur fiza ko khushbu se bhar de, jannati aurat k sar ka dupaata dunya aur jo kuch dunya mein hai us sab se behtar hai". (Mishkatul Masaabeeh baab Sifatul jannah wa ahliha, fasal awwal)


KHAJOOR KI TEHNI K RAISHO SE AHLE JANANT KA LIBAAS TAYYYAR KIYA JAYEGA JO K SURKH SOONEY KI HOGI

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu farmate hai jannat k khajoor ka tana sabz zamrad ka hoga uski tehni se ahle jannat ki poshaak tayyar ki jayegi unke libaas aur jubbey bhi usi se banaaye jayenge, khajoor ka phal matkey ya dool k barabar hoga jo doodh se ziyaada safaid aur shehad se ziyaada meetha hoga, makkhan se ziyaada naram hoga usme sakhti bilkul nahi hogi. (Sharah Sunnah baab Sifatul Jannah wa ahliha)


AHLE JANNAT BEHTAREEN RAISHAM K RUMAAL ISTEMAAL KARENGEY

Hazrat Bara bin Aajib Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein ek raishmi kapda laya gaya loogo ne uski nafasat aur narmi par tajjub ka izhaar kiya to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannat mein Saad bin Muaaz k rumaal is se afzal hai". (Sahih Bukhari Kitabul Bad ul Khalk)


JAHA JAHA TAK WUZU KA PAANI PAHUNCHTA HAI US JAGAH TAK JANNATIYO KO ZAIVAR PEHNAYE JAYENGEY

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai mene apne doost Sallallahu Alaihi Wa Sallam se suna hai (jannat mein) momin ko waha tak zaivar pehnaye jayenge jaha tak uska wuzu pahunchta hai. (Sahih Muslim Kitabut Taharah)


JANNATIYO KO PEHNAYE GAYE KANGAN KI CHAMAK K SAAMNE SURAJ KI ROOSHNI MAAND PAD JAYEGI

Hazrat Saad bin Abi Waqaas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannat ki cheezo mein se ek nakhun k barabar koi cheez zahir ho jaye to zameen wa aasmaan k kinaaro k darmiyaan jo kuch hai use chamka de agar ek jannati mard apne kangan samait (dunya mein) jhaankey to suraj ki rooshni ko is tarah khatam karde jis tarah suraj ki rooshni taaro ki rooshni ko khatam kar deti hai". (Sunan Tirmizi)


JANNATIYO K ZIVRAAT MEIN ISTEMAAL HONE WALA EK MOOTI DUNYA KI SAARI DOLAT SE ZIYAADAH QEEMTI HAI

Hazrat Miqdaam bin Maadi Karb Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Shohda ki Allah k han 6 fazilate hai:
1. Shaheed hote hi uske saare gunah maaf kar diye jaate hai aur jannat mein use (shahadat k waqt hi) uska muqaam dikha diya jata hai
2. Azaab e qarb se use mehfooz rakkha jata hai
3. (Qayamat k rooz) badi ghabrahat se use mehfoor rakkha jayega
4. Uske sar par izzat ka aesa taaj rakkha jayega jisme laga hua ek yaqoot dunya aur usme mojood har cheez se ziyaadah qeemati hoga
5. (Jannat mein) uska nikah mooti aankho wali 72 hooro se kiya jayega
6. Wo apne sattar aazaa wa aqarib ki sifarish kar sakega". (Sahih Jamey Tirmizi Hadees no. 1358)

Friday 13 February 2015

AHLE JANNAT KA KHAANA PEENA

AHLE JANNAT KA KHAANA PEENA 



Bismillahirrahmanirraheem

JANNATIYO KI JANNAT MEIN SABSE PEHLI MEHMAANI MACHLI SE KI JAYEGI AUR DOOSRA KHANA JANNATI KO BAIL K GOOSHT SE KHILAYA JAYEGA
JANNATIYO KO SABSE PEHLA MASHROOB "SALSABEEL" NAAMI CHASHMA SE PILAYA JAYEGA

Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k azaad kardah gulaam Hazrat Sobaan Razi Allahu Anhu kehte hai mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas khada tha itne mein yahoodiyo k ulama mein se ek aalim aya aur puchne laga "Jis rooz zameen o aasmaan adal badal kiye jayengey us waqt loog kaha hongey?" Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Pul-Siraat k qareeb andherey mein khade hongey" phir yahoodi aalim ne pucha "Pul-Siraat ko sabse pehle kaun loog aboor karenge?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "tangdast muhajireen (makka se madeena hijrat karne wale)" yahoodi aalim ne pucha "Jannati loog jannat mein dakhil hongey to sabse pehle unki khidmat mein konsa tohfa paish kiya jayega?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "machli k jigar ka goosht" yahoodi ne phir pucha "uske baad unka khana kesa hoga?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Jannatiyo k liye jannat mein charne wala bail zibah kiya jayega (jiska goosht unhey khilaya jayega)" yahoodi ne pucha "khane k baad peene k liye jannatiyo ko kya diya jayega?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Salsabeel chashmey ka paani" yahoodi aalim ne kaha "Aapne sach farmaya". (Sahih Muslim Kitabul Haiz)


HAMARI MOJOODAH ZAMEEN, AHLE JANNAT KI ROTI HOGI

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmyaa "Qayamat k rooz ye zameen ek roti ki shakal mein hogi Allah ta'ala use apne haath se usi tarah ulat palat farmayega jis tarah tum mein se koi shaks safar mein apni roti ko (haato se) ulat palat karta hai aur wo roti ahle jannat ki maizabaani hogi". (Muttafiqun Alaih, Mishkatul Masaabeeh Kitabul Faan, baab hashr, fasal awwal)


JANNAT KA AALA TAREEN MASHROOB "TASNEEM" SIRF ALLAH K MUQARRAB BANDO KI KHIDMAT MEIN PAISH KIYA JAYEGA
JANNAT KI KHALIS AUR SAAF WA SHAFFAAF SHARAAB "RAHEEQ" SE TAMAAM JANNATI LUTF ANDOOZ HONGEY
AHLE JANNAT KI KHIDMAT MEIN "RAHEEQ" K SARBAND SAAGIR PAISH KIYE JAYENGEY
"RAHEEQ" PEENE K BAAD JANNATI, MUH MEIN MUSHK KA ZAIQA MEHSOOS KARENGEY

"Beshak naik loog bade mazey mein hongey unchi musnado par baithey nazaare kar rahe hongey tum unke chehro par se naimato ki ronaq aur tar o taazgi mehsoos karoge unko nafees bartan sarband sharaab pilaayi jayegi jis par mushk ki muhar lagi hogi jo loog doosro par baazi le jana chahte hai wo us (sharaab) ko hasil karne mein baazi le jaane ki koshish karenge is nafees aur umdah sharaab mein tasneem k paani ki aamezish hogi tasneem ek chashma hai jis (ka khalis pani) muqarrab loog piyengey". (Surah Mutaffafeen Surah no. 83 Ayat no. 22-28)


AHLE JANNAT "AAB E KAUSAR" SE BHI NAWAAZEY JAYENGEY

Hazrat Sobaan Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Hooz e kausar k kinaarey par mein ahle emaan ki khatir doosre loogo ko apni chadi (lathi) se hataunga yaha tak k hooz ka paani ahle emaan ki taraf beh niklega (aur wo khoob sair ho kar piyengey) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se arz kiya gaya "Hooz ka arz kitna hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Madeena se le kar ammaan tak" phir hooz k paani k baare mein sawal kiya gaya "wo kesa hoga?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Doodh se ziyaadah safaid aur shehad se ziyaadah meetha" phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mere hooz mein jannat k do parnaalo se paani aayega unme se ek parnaala sooney ka hoga aur doosra chandi ka". (Sahih Muslim Kitabul Faza'il)


JANNAT MEIN SAFAID CHAMAKDAAR SHARAAB BHI AHLE JANNAT KI TOZEE'I  K LIYE MOJOOD HOGI
JANNAT KI SHARAAB PEENE K BAAD HOOSH WA HAWAAS AUR AQAL WA KHARD MEIN KISI QISM KA BIGAAD PAIDA NAHI HOGA

"Sharab k chashmo se saagir bhar kar unke darmiyaan phiraaye jayengey chamakti hui sharaab jo peene walo k liye lazzat bhari hogi us se na jism ko koi nuqsaan pahunchega na aqal kharab hogi". (Surah Safaat Surah no. 37 Ayat no. 45-47)

"Ahle jannat k saamne chandi k baratan aur sheeshe k saagir gardish karaaye jayengey sheesha bhi wo hoga jo chandi ki tarah (safaid aur chamakdaar) hoga khuddaam ne unhey theek andaazey k mutabiq bhara hoga". (Surah Dahar Surah no. 76 Ayat no. 15-16)


AHLE JANNAT KI KHIDMAT MEIN "SHARAAB E TAHOOR" K JAAM PAISH KIYE JAYENGY

"Ahle jannat ki khidmat k liye aese ladkey doodey phir rahe hongey jo hamesha ladkey hi rahengey tum tunhey dekho to samajhoge k mooti hai jo bikhair diye gaye hai waha jidhar bhi tum nigaah daloge ek badi saltanat ka sar o samaan tumhey nazar ayega unke uper bareek raisham k sabz libaas aur aur itlas wa daiba k kapde hongey aur unhey chandi k kangan pehnaaye jayengey aur unka rabb unhey nihayat pakeezah sharaab pilayega". (Surah Dahar Surah no. 76 Ayat no. 19-21)


AHLE JANNAT KO AESI SHARAAB PILAYI JAYEGI JISME SOONTH KI AAMAIZISH HOGI

"Ahle jannat k aagey chandi k bartan aur sheeshey k piyaaley gardish karaaye ja rahe hongey shishey bhi chandi ki tarah (chamakdaar) hongey, un piyaalo ko (khuddaam) theek andaazey k mutabiq bharengey ahle jannat ko waha aesi sharaab k jaam pilaaye jayenge jisme soonth ki aamezish hogi, ye (sharaab jannat k) ek chashmey se (baramad) hogi jiska naam "Salsabeel" hai". (Surah Dahar Surah no. 76 Ayat no. 15-18)


AHLE JANNAT KI KHIDMAT MEIN AESI SHARAAB K SAAGIR BHI PAISH KIYE JAYENGEY JISME KAFOOR KI AAMAIZISH HOGI

"Naik loog (jannat mein) sharaab k aese saagir piyengey jinme kafoor ki aamaizish hogi, kafoor (jannat mein) ek chashma hai jis se Allah k bandey piyengey aur us chashmey ki nadya jidhar chahengey (sirf khawahish karne se hi) baha le jayengey". (Surah Dahar Surah no. 76 Ayat no. 5-6)


AHLE JANNAT K PEENE K LIYE MEEHEY PAANI, KHUSH ZAIQA DOODH LAZEEZ SHARAAB AUR SAAF WA SHAFFAAF SHEHAD KI NEHREY BHI JANNAT MEIN MOJOOD HONGI

"Muttaqeen loogo se jis jannat ka wada kiya gaya hai uski shaan to ye hai k us mein meethey paani ki nehrey beh rahi hai, aese doodh ki nehrey jiske zaiqey mein zarra farq na aaya ho, aesi sharaab ki nehrey jo peene walo k liye lazeez ho aur saaf shaffaaf shehad ki nehrey beh rahi hai". (Surah Muhammad Surah no. 47 Ayat no. 15)


RAWA RAWA CHASHMO K PAANIYO SE BHI AHLE JANNAT LUTF ANDOOZ HONGEY

"Jannat mein rawa rawa chashmey behte hongey". (Surah Gashiyay Surah no. 88 Ayat no. 12)


JANNAT KI SHARAAB PEENE SE JANNATIYO KA SAR CHAKRAAYEGA NA AQAL MEIN FATOOR AYEGA
AHLE JANNAT K PASANDEEDAH PHAL HASB KHAWAHISH BAKASRAT UNKI KHIDMAT MEIN PAISH KIYE JAYENGEY
MAN-PASAND PARINDO KA BHUNA HUA GOOSHT BHI LAZZAT DAHAN K LIYE MOJOOD HOGA

"Ahle jannat ki khidmat k liye abdi ladkey (ek hi umar mein rehne wale) saaf suthri sharaab se labraiz saagir liye phir rahe hongey jise pee kar na unka sar chakrayega na unki aqal mein fatoor ayega aur wo unke saamne tarah tarah k lazeez phal paish karengey jise chahey chun le aur parindo k goosht paish karengey k jis parindey ka goosht chahey istemaal kare". (Surah Waqia Surah no. 56 Ayat no. 17-21)


AHLE JANNAT KI MAIZABAANI K LIYE DAIGAR TAMAAM PHALO K ALAWAH KHAJOOR, ANGOOR, ANAAR, BAIR AUR ANJEER K PHAL BAKASRAT MOJOOD HONGEY

"Dono baagho mein (har qism k) phal hai (khaas taur par) khajoor aur anaar k, phir ae jinn wa ins! tum apne rabb ki kis kis naimat ko jhutlaogey". (Surah Rahman Surah no. 55 Ayat no. 68-69)

"Beshak muttaqi loog hi (aakhirat mein) kaamyaab hongey jaha unke liye baagaat aur angoor hongey". (Surah Naba Surah no. 78 Ayat no. 32-33)


HOOZ E KAUSAR MEIN UDHNE WALI CHIDYO K GOOSHT SE BHI AHLE JANNAT LUTF ANDOOZ HONGEY

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se daryaft kiya gaya "kausar kya hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Ye ek nehar hai jo mujhey Allah ta'ala ne jannat mein ata farmayi hai jiska paani doodh se ziyaada safaid aur shehad se ziyaada meetha hai, isme aese parindey (udhte hai) jinki gardaney untho ki si hai" Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne arz kiya "wo parindey to khoob mazey mein hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "un parindo ko khaane wale ziyaada mazey mein hai". (Sunan Tirmizi Abwabul Jannah)


AHLE JANNAT KI DAWATO KA SILSILA SUBAH WA SHAAM JAARI RAHEGA

"Aur jannatiyo k liye jannat mein subah wa shaam rizq tayyar hoga". (Surah Maryam Surah no. 19 Ayat no. 62)


JANNAT MEIN HAR SHAKS KO 100 AADMIYO K BARABAR KHANE KI ISTATA'AT DI JAYEGI

Hazrat Zaid bin Arqam Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ahle jannat mein se har shaks ko khane peene aur shahoot wa jimaa mein 100 aadmiyo k barabar istata'at diya jayega ahle jannat ki rafe haajat ki soorat ye hogi k unke jism se paseena bahega aur pait wese ka wesa hi ho jayega (jesa k khane se qabl tha)". (Sahih Jamey Sageer Hadees no. 1623)


AHLE JANNAT KA KHANA PEENA DAKAAR AUR PASEENA AANE SE HAZAM HO JAYEGA

Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannati khaaye aur piyengey lekin na thokengey na pishaab karengey na pakhaana karengey, na naak sinkengey" Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "to phir khana kaha jayega?" Aap Sallallahu Alaihi wa Sallam ne irshad farmaya "Dakaar aur paseena ayengey (jis se khana hazam ho jayega) jannati tasbeeh aur tahmeed usi tarah karengey jis tarah saans leete hai". (Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 367)


AHLE JANNAT KO MASHROBAAT WA MAKOLAAT SOONE, CHANDI AUR SAFAID CHAMAKDAAR SHEESHEY K BARTANO MEIN PAISH KIYE JAYENGEY

"Ahle jannat k aagey sooney k thaal aur saagir gardish karaaye jayengey har man-bhaati aur nigaaho ko lazzat dene wali cheez unke liye waha mojood hogi unse kaha jayega tum ab yaha hamesha rahogey tum us jannat k waris un amaal ki bina par hue jo tum dunya mein karte rahe tumhare liye yaha bakasrat phal mojood hai jinhey tum khaaoge". (Surah Zukhruf Surah no. 43 Ayat no. 71-73)

Saturday 7 February 2015

HOOZ E KAUSAR

HOOZ E KAUSAR

Bismillahirrahmanirraheem

KAUSAR JANNAT KI EK NEHAR (YA HOOZ) HAI JO ALLAH SUBHANAHU WA TA'ALA NE SIRF RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO ATA FARMAYI HAI
HOOZ E KAUSAR JANNAT KI SABSE BADI AUR SABSE AALA NEHAR HAI

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab (Mairaaj k mauqey par) mera guzar jannat se hua to mene ek nehar dekhi jiske dono kinaaro par motiyo k gumbad hai jinhey andar se taraash kar banaya gaya hai mene Jibraeel Alaihis Salaam se daryaft kiya "Ye kya hai?" Jibraeel Alihis Salaam ne kaha "Ye kausar hai jo Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko aapke rabb ne ata farmaya hai" (Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmate hai) "Uski mitti ya khushbu taiz mushk ki si thi". (Sahih Bukhari Kitabur Riqaaq)


HOOZ E KAUSAR K DONO KINAAREY SOONEY K HAI USKE SANGREEZEY MOOTI AUR YAQOOT K HAI AUR MITTI MUSHK HAI ZIYAADAH KHUSHBUDAAR HAI

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Kausar jannat mein ek nehar hai jiske dono kinaarey sooney k hai uska paani mooti aur yaqoot par behta hai uski mitti mushk hai ziyaadah khushbudaar hai uska paani shehad se ziyaadah meetha aur barf se ziyaadah safaid hai". (Sunan Tirmizi Abwabut Tafseer baab Tafseer surah kausar)


HOOZ E KAUSAR PAR PAANI PILAANE WALE KHUD RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM HONGEY
AHLE EMAAN KI KHATIR RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM DOOSRE LOOGO KO HOOZ SE HATA DENGEY
HOOZ E KAUSAR KI EK SIMT ITNI TAWEEL HOGI JITNA MADEENA AUR AMMAAN K DARMIYAAN FAASLA HAI (TAQREEBAN EK HAZAAR KILO-METER)
HOOZ E KAUSAR KA PAANI DOODH SE ZIYAADAH SAFAID AUR SHEHAD SE ZIYAADAH MEETHA HOGA

Hazrat Sobaan Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Hooz e kausar k kinaarey par mein ahle emaan ki khatir doosre loogo ko apni chadi (lathi) se hataunga yaha tak k hooz ka paani ahle emaan ki taraf beh niklega (aur wo khoob sair ho kar piyengey) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se arz kiya gaya "Hooz ka arz kitna hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Madeena se le kar ammaan tak" phir hooz k paani k baare mein sawal kiya gaya "wo kesa hoga?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Doodh se ziyaadah safaid aur shehad se ziyaadah meetha" phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mere hooz mein jannat k do parnaalo se paani aayega unme se ek parnaala sooney ka hoga aur doosra chandi ka". (Sahih Muslim Kitabul Faza'il)

Wazahat: Ammaan Madeena munawwarah se ek hazaar kilo meter k faasley par hai, doosri ahadees se malooom hota hai k hooz e kausar ki chaaro simtey barabar hai Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshad e mubarak hai hooz ki choodayi uski lambaayi k barabar hai. (Sunan Tirmizi)


HOOZ E KAUSAR PAR SOONEY AUR CHANDI K JAAM HONGEY JINKI TADAAD AASMAAN K TAARO JITNI HOGI

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Allah k Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Hooz e kausar par tum sooney aur chandi k jaam aasmaan k taaro k barabar dekhogey". (Sahih Muslim Kitabul Faza'il)


RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA MIMBAR QAYAMAT K ROOZ HOOZ E KAUSAR PAR RAKKHA JAYEGA JIS PAR BAITH KAR AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM APNI UMMAT KO PAANI PILAYENGEY

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mere hujrah e mubarak aur mimbar k darmiyaan wali jagah jannat k baagho mein se ek baagh hai aur mera mimbar (qayamat k rooz) mere hooz par rakkha jayega". (Sahih Bukhari Kitabur Riqaaq)


JISNE EK DAFA HOOZ E KAUSAR SE PAANI PEE LIYA USE PHIR KABHI PIYAAS NAHI LAGEGI

Hazrat Abdullah (bin Umar Razi Allahu Anhu) se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "(Jannat mein) tumhare saamne ek hooz hoga jiski ek simt jarba'a se le kar azraj (shaam k do shehro k naam hai) tak hogi, jis par aasmaan k taaro ki tarah jaam rakkhey hongey jo hooz par aa kar ek dafa paani pee lega use phir kabhi piyaas nahi lagegi". (Sahih Muslim Kitabul Faza'il)


HOOZ E KAUSAR PAR SABSE PEHLE AANE WALE AUR SAIRAAB HONE WALE MUHAJIR (NABI E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K AHAD MAIN MAKKA SE MADEENA KI TARAF HIJRAT KARNE WALE) FUQARAA HONGEY

Hazrat Sobaan Razi Allahu Anhu se rawayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mere hooz par sabse pehle jo loog ayengey wo taqreeban muhajireen hongey, gard aalood sar, maile kucheley kapdey naaz o naam mein pali hui aurato se nikah karne ki istata'at na rakhne wale aur jin k liye (amra'a k) darwaazey nahi khole jaate". (Sunan Tirmizi Abwabus Sifatul Qayamaah)


HAR NABI KO QAYAMAT K DIN HOOZ DIYA JAYEGA JIS SE USKE UMMATI AA KAR PAANI PIYENGEY
RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K HOOZ PAR AANE WALO KI TADAAD BAAQI TAMAAM ANBIYA K MUQABILEY MEIN ZIYAADAH HOGI

Hazrat Samurah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Har Nabi k liye ek hooz hai aur tamaam anbiya aapsa mein ek doosre par farkhr karengey k kiske hooz par paani peene wale ziyaadah aate hai aur mein ummeed rakhta hu k mere hooz par aane wale sabse ziyaadah hongey". (Sunan Tirmizi Abwabus Sifatul Qayamaah)


HOOZ E KAUSAR MEIN UNTOO KI GARDANO WALI CHIDYA HONGI JINKE GOOSHT SE AHLE JANNAT LUTF ANDOOZ HONGEY

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se daryaft kiya gaya "kausar kya hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Ye ek nehar hai jo mujhey Allah ta'ala ne jannat mein ata farmayi hai jiska paani doodh se ziyaada safaid aur shehad se ziyaada meetha hai, isme aese parindey (udhte hai) jinki gardaney untho ki si hai" Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne arz kiya "wo parindey to khoob mazey mein hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "un parindo ko khaane wale ziyaada mazey mein hai". (Sunan Tirmizi Abwabul Jannah)


RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM APNI UMMAT K LIYE HOOZ E KAUSAR PAR MEER SAAMAAN HONGEY
BIDA'ADI LOOG AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K HOOZ E KAUSAR SE MEHROOM WAPAS PALTENGEY

Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mein hooz par tumhara meer saamaan hunga tum mein se baaz loog waha laye jayengey phir mujhse door hata diye jayengey mein kahunga ae mere rabb! ye to meri ummat k loog hai jawab mein kaha jayega aap nahi jaante unhone aapke baad kesi kesi bida'at shuru kar di". (Sahih Bukhari Kitabur Riqaaq)


KAFIR HOOZ E KAUSAR PAR AA KAR PAANI PEENA CHAHENGEY LEKIN RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM UNHEY DOOR HATA DENGEY
RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM APNI UMMAT KO WUZU K SABAB CHAMAKTI HUI PAISHANI AUR CHAMAKTE HUE HAATH SE PEHCHAAN LENGEY

Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Qasam hai us zaat ki jiske haath mein meri jaan hai mein hooz se (gair musalmaano ko) usi tarah hata dunga jis tarah untho ka malik doosre untho ko (isthaan se) hata deta hai" arz kiya gaya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! kya aap hamey pehchaan lengey?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Han! tum mere paas aaogey to wuzu ki wajah se tumhare haath, paao aur paishaniya chamak rahi hongi ye sifat tumhare alawah kisi doosre ummati mein nahi hongi". (Sunan Ibne Maja Kitabuz Zahad baab fil Hooz)