Muhammadi Blog

Muhammadi Blog
Showing posts with label HAYAAT E SAHABA RA. Show all posts
Showing posts with label HAYAAT E SAHABA RA. Show all posts

Thursday, 1 May 2014

HAZRAT E HAMZA IBNE ABDUL MUTTALIB RAZI ALLAHU ANHU KA KABOOL E ISLAAM

HAZRAT E HAMZA IBNE ABDUL MUTTALIB RAZI ALLAHU ANHU KA KABOOL E ISLAAM



Bismillahirrahmanirraheem

Makkah ki fiza zulm wa zoor k un siyah baadlo se gambhir thi k achanak ek bijli chamki aur makhooroo ka rasta roshan ho gaya, yani Hazrat Hamza Razi Allahu Anhu Musalman ho gaye.
Unke islam lane ka waqiya 6 Nabawi k akhir ka hai, unke islam lane ka sabab ye hai k ek rooz Abu Jahal koohe safa k nazdeek Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas se guzra to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko aeza pahunchai aur sakht sust kaha, Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam khamoosh rahe aur kuch bhi na kaha lekin uske baad us ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k sar par ek patthar de mara, jis se aesi chout ayi k khoon bhi nikla, phir wo Khana Kaaba k paas Kuraish ki majlis mai ja baitha.
Abdullah Bin Jud'aan ki ek loondi koohe safa par apne makaan se ye sara manzar dekh rahi thi, Hazrat Hamza Razi Allahu Anhu shikaar se wapas tashreef laye to usne unse Abu Jahal ki sari harkat keh sunai, Hazrat Hamza Razi Allahu Anhu gusse se bhadak uthey.
Ye Kuraish k sab se Takatwar aur mazboot jawan they, majra sun kar kahi ek lamha ruke bagair doodte hue aur ye tahayya kiye gue aye k jo hi Abu Jahal ka samna hoga uski marammat kar dunga. Chunanche Masjid e Haraam mai dakhil ho kar sidhey uske sar par ja khade hue aur bole "O sureen par khushbu lagane wale buzdil! tu mere bhatije ko gali deta hai halanke mai bhi usi k Deen par hu."
uske baad kamaan se is zoor ki maar mari k uske sar par badtareen kisam ka zakham a gaya. uspar Abu Jahal k kabile Banu Makhzoom aur Hazrat Hamza Razi Allahu Anhu k Kabile Banu Hashim k loog ek dusre k khilaaf bhadak uthey, lekin Abu Jahal ne ye keh kar unhe khamoosh kar diya k Abu Umara ko jane do, mene wakai uske bhatije ko bahut buri gali di thi.
Ibtada'an Hazrat Hamza Razi Allahu Anhu ka islam mehaz is hamyat k tour par tha k unke azeez ki toheen kyu ki gayi? Lekin phir Allah ne unka seena khol diya aur unhone Islam ka kada mazbooti se thaam liya aur Musalmano ne unki wajah se badi Izzat wa quwwat mehsoos ki. (Mukhtasar Seerah Sheikh Muhammad Bin Abdul Wahhab RH 66, Rehmatullil Alameen 68/1, Ibne Hishaam 291/1,292, Mukhtasar Seerah Sheikh Abdullah 101, Ar Raheeq Al Makhtoom Safa No. 157,158)

Wednesday, 30 April 2014

HAZRAT E UMAR BIN KHATTAB RAZI ALLAHU ANHU KA LAQAB FAROOQ KESE PADA?

HAZRAT E UMAR BIN KHATTAB RAZI ALLAHU ANHU KA LAQAB FAROOQ KESE PADA?



Bismillahirrahmanirraheem

Mujahid ne Ibne Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat kiya hai k mene Umar Bin Khattab Razi Allahu Anhu se daryafat kiya k kis wajah se aap ka laqab Farooq pada?

To unhone kaha: Mujhse 3 din pehle Hazrat Hamza Razi Allahu Anhu musalman hue phir Harzat Umar Razi Allahu Anhu ne unke islam lane ka waqiya bayan kar k akhir mein kaha k phir jab mein musalman hua to mene kaha! Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Kya hum haq par nahi hai khawah zinda rahe khawah mare?

Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Kyu nahi! us zaat ki kasam jis k hath mein meri jaan hai tum loog haq par ho khawah zinda raho khawah maut se do chaar raho.

Hazrat Umar Razi Allahu Anhu kehte hai k tab mene kaha k phir chupna kesa?

Us zaat ki kasam jis ne Aap ko haq k sath mab'oos farmaya hai hum zaroor bahar niklenge. chunanche hum 2 safoh mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko hamrah le kar bahar aye ek saff mein Hazrat Hamza Razi Allahu Anhu they aur ek me Mein (Hazrat Umar Razi Allahu Anhu) tha hamare chalne se chakki k aatay ki tarha halka halka gubbar udh raha tha, yaha tak k hum Masjid E Haraam mein dakhil ho gaye.

Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ka bayan hai k kuraish ne mujhe aur Hazrat Hamza Razi Allahu Anhu ko dekha to unke dilo par aesi chout lagi k ab tak na lagi thi isi din Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mera laqab "Farooq" rakh diya. (Tarikh Umar Bin Khattab Razi Allahu Anhu, Ar Raheeq Al Makhtoom Safa No. 165-166)