Muhammadi Blog

Muhammadi Blog
Showing posts with label ZAKAAT. Show all posts
Showing posts with label ZAKAAT. Show all posts

Thursday, 1 December 2016

ZAKAAT KI SHARA'IT

ZAKAAT KI SHRA'IT 

 

Bismillahirrahmanirraheem

HAR AAZAAD MAALDAAR (SAHIB E NISAAB) MUSALMAN (MARD HO YA AURAT, BALIGH HO YA NA-BALIGH, AAQIL HO YA GHAIR AAQIL) PAR ZAKAAT FARZ HAI

Hazrat Abdullah ibne Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Muaaz Razi Allahu Anhu ko yaman ki taraf bheja to farmaya "Loogo ko pehle is baat ki dawat do k wo gawahi de, Allah Ta'ala k siwa koi mabood nahi aur mein Allah Ta'ala ka Rasool hu, agar wo ye tasleem karle to phir unhey batao k har din aur raat mein Allah Ta'ala ne un par paanch namazey farz ki hai, agar ye bhi maan le to phir unhey batao k Allah Ta'ala ne un par unke maalon mein sadqa (zakaat) farz kiya hai jo k unke aghniya se liya jayega aur unke fuqara ko diya jayega". (Sahih Bukhari Kitabuz Zakaat)


JIS MAAL PAR EK QAMRI SAAL GUZAR CHUKA HO US PAR ZAKAAT ADA KARNI FARZ HAI

Hazrat Abdullah ibne Umar Razi Allahu Anhu kehte hai "Jo maal hasil hone k baad apne maalik k paas saal tak pada rahe us par zakaat farz hai". (Sahih Sunan Tirmizi Juzz e Saani Hadees no. 515)


SIRF HALAAL KAMAAYI SE DI GAYI ZAKAAT QABIL E QABOOL HAI

Hazrat Nafey Rahimahullah se riwayat hai k Ibne Umar Razi Allahu Anhu ghar k choote bade tamaam ifraad ki taraf se sadqa e fitr dete they hatta k mere baito ki taraf se bhi dete they aur Ibne Umar Razi Allahu Anhu un loogo ko dete they jo qabool karte aur eid ul fitr se ek ya do din pehle dete they. (Sahih Bukhari Kitabuz Zakaat)

Wednesday, 30 November 2016

ZAKAAT QURAN MAJEED KI ROSHNI MEIN

ZAKAAT QURAN MAJEED KI ROSHNI MEIN




Bismillahirrahmanirraheem

PEHLI UMMATO PAR BHI ZAKAAT FARZ THI

"Yaad karo jab bani israeel se humne pukhta ahad liya tha k Allah k siwa kisi ki ibadat na karna, maa baap k ssath rishtedaaro k saath yateemo aur miskeeno k saath naik salook karna, loogo se bhali baat kehna, namaz qayim karna aur zakaat dena, magar thoode aadmiyo k siwa tum sab is ahad se phir gaye". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 83)

"Ismaeel apne ghar walo ko namaz aur zakaat ki takeed kiya karte they, aur wo apne rabb k nazdeek bade pasandeedah insaan they". (Surah Maryam Surah no. 19 Ayat no. 55)

"Allah Ta'ala ne mujhe (yaani Esa Alaihis Salaam ko) hukm diya k jab tak zindah ho namaz qayim karo aur zakaat ada karte raho". (Surah Maryam Surah no. 19 Ayat no. 31)


ADAYIGI ZAKAAT EMAAN KI NISHANI AUR HURMAT JAAN KI ZAMANAT HAI

"Pas agar ye (kafir) touba karle aur namaz qayim kare, zakaat de to ye tumhare deeni bhai hai (lihaza in k khilaaf jang na karo) aur jaan'ne walo k liye hum apne ahkaam wazey kiye dete hai". (Surah Tauba Surah no. 9 Ayat no. 11)


ZAKAAT ALLAH KI RAHMAT KA WASEELA HAI

"Namaz qayim karo, zakaat ada karo Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ita'at karo ummeed hai tum par raham kiya jayega". (Surah Noor Surah no. 24 Ayat no. 56)


ZAKAAT GUNAAHO KA KAFFARAH AUR TAZKIYA E NAFS KA ZARIYA HAI

"Ae Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam! tum unke amwaal se zakaat le kar unhey gunaaho se paak aur saaf karo, neez unke haqq mein dua e rahmat karo, kyunki tumhari dua unke liye mojib e itminaan hai, Allah Ta'ala sabkuch sunta aur jaanta hai". (Surah Tauba Surah no. 9 Ayat no. 103)


ZAKAAT ADA KARNE WALE SACCHEY MOMIN HAI

"Jo loog namaz qayim karte hai aur jo kuch humne unhey diya hai us se (Allah ki raah mein) kharch karte hai haqeeqat mein wahi sacchey momin hai". (Surah Anfaal Surah no. 8 Ayat no. 3-4)


ZAKAAT ADA KARNE SE DOLAT MEIN BARKAT AUR IZAAFA HOTA HAI

"Aur jo zakaat tum loog Allah ki khushnudi hasil karne k liye dete ho, is se dar-asal dene wale apne maal mein izaafa karte hai". (Surah Roum Surah no. 30 Ayat no. 39)


ZAKAAT AAKHIRAT MEIN KAAMYAABI KI ZAMANAT HAI

"Alif Laam Meem, ye kitab hakeem ki aayat hai un naik bando k liye hidayat aur rahmat jo namaz qayim karte hai, zakaat dete hai, yahi loog apne rabb ki taraf se raah e raast par hai, aur yahi falah paane wale hai". (Surah Luqman Surah no. 31 Ayat no. 1-5) 


IQTADAAR HASIL HONE K BAAD NIZAAM E ZAKAAT KA NIFAAZ FARZ HAI

"Ye wo loog hai jinhey agar hum zameen mein iqtadaar bakhshey (inke pao jama de) to namaz qayim karenge, zakaat denge, naiki ka hukm denge aur buraayi se mana karenge tamaam muamalaat ka anjaam to pas Allah hi k haath mein hai". (Surah Hajj Surah 22 Ayat no. 41)


NAMAZ AUR ZAKAAT ADA KARNE WALE EMAANDAAR LOOGO KO HI MASAJID AABAAD KARNE KI SA'AADAT HASIL HOTI HAI

"Allah Ta'ala ki masjido k aabaad-kaar to wahi loog ho sakte hai jo Allah Ta'ala aur rooz e aakhirat ko maaney, namaz qayim kare, zakaat de aur Allah k siwa kisi se na darey, inhi se ye tawaqqa hai k seedhi raah par chalenge". (Surah Tauba Surah no. 9 Ayat no. 18)


ZAKAAT ADA KARNE WALE QAYAMAT K DIN HAR QISM K KHAUF AUR GHAM SE MEHFOOZ HONGE

"Jo loog emaan le aaye aur naik amal kare, namaz qayem kare aur zakaat de unka ajr (beshak) unke rabb k paas hai, aur unke liye kisi khauf aur ranj ka mouqa nahi". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 277)


ZAKAAT ADA NA KARNA KUFR WA SHIRK KI ALAMAT HAI
ZAKAAT ADA NA KARNA HALAKAT AUR BARBAADI KA BA'AS HAI

"Tabahi hai un mushriko k liye jo zakaat nahi dete aur aakhirat k munkir hai". (Surah Haa Meem Sajdah Surah no. 41 Ayat no. 6-7)


JIS MAAL SE ZAKAAT ADA NA KI JAYE WO MAAL QAYAMAT K DIN APNE MAALIK K GALE MEIN TAUQ BANA KAR DAALA JAYEGA

"Jin loogo ko Allah ne apne fazal se maal o dolat di hai aur wo bakheeli se kaam lete hai us khayaal mein na rahe k ye bakhal unke haqq mein behtar hai, balke ye unke liye bahut bura hai, is bakhal se jo kuch wo jama kar rahe hai usey qayamat k din tauq bana kar unke galey mein daal diya jayega". (Surah Aal e Imaran Surah no. 3 Ayat no. 180)


ZAKAAT ADA NA KARNE WALO KI DOLAT KO JAHANNAM KI AAGH MEIN GARAM KARKE US SE UNKE JISMO KO DAAGA JAYEGA

"Dardnaak saza ki khushkhabri suna do un loogo ko jo soona aur chandi jama karke rakhte hai aur unhey Allah ki raah mein kharch nahi karte, ek din aayega k isi sooney chandi par jahannam ki aagh dehkaayi jayegi, aur phir usi se un loogo ki paishaniyo, pehluon aur peethon ko daaga jayega aur kaha jayega ye hai wo khazana jo tumne apne liye jama kiya, lo ab apni samaiti hui dolat ka maza chakho". (Surah Tauba Surah no. 9 Ayat no. 34-35)

Tuesday, 29 November 2016

ZAKAAT KI AHMIYAT

ZAKAAT KI AHMIYAT

 


Bismillahirrahmanirraheem

JIS SOONEY AUR CHANDI KI ZAKAAT ADA NA KI JAYE QAYAMAT K DIN US SOONEY AUR CHANDI KI TAKHTIYAN BANA KAR AAGH MEIN GARAM KI JAYEGI AUR UNSE USKE MAALIK KI PAISHANI PEETH AUR PEHLU DAAGEY JAYENGE
JIN JAANWARO KI ZAKAAT ADA NA KI JAYE QAYAMAT K DIN WO JAANWAR APNE MAALIK KO PACHAAS HAZAAR SAAL TAK APNE PAO TALEY ROONDTE RAHEGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks sooney aur chandi ka maalik ho lekin uska haqq (yaani zakaat) ada na kare to qayamat k din us (sooney aur chandi) ki takhtiyan banaayi jayegi phir unko jahannam ki aagh mein garam kiya jayega, phir un se us (munkir e zakaat) k pehlu, paishani aur peeth par daagh lagaaye jayenge jab kabhi (ye takhtiyan garam karne k liye) aagh mein wapas le jaayi jayegi to dobaarah (azaab dene k liye) lotaayi jayegi (us se ye salook) sara din hota rahega jiska arsa pachaas hazaar saal (k barabar) hai, yahan tak k insaano k faisale ho jayenge phir wo apna raasta jannat ki taraf dekhey ya dozakh ki taraf" arz kiya gaya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam phir ountho ka kya maamla hoga" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks ountho ka maalik ho aur wo unka haqq (zakaat) ada na kare aur uske haqq se ye bhi hai k paani pilaane k din ka doodh dhooye (aur arab k riwaaj k mutabiq ye doodh masakeen ko pila de) wo qayamat k din ek hamwaar maidaan mein oundhey muh litaya jayega aur wo ounth bahut farbah aur mootey ho kar aayenge un mein se ek baccha bhi kam na hoga (yaani sabke sab) us (munkir e zakaat) ko apne khuron, pao se roondenge aur apne muh se kaatengey jab pehla ounth (ye salook karke) jayega to doosra aa jayega (us se ye salook) sara din hota rahega jiska arsa pachaas hazaar saal (k barabar) hai, hatta k loogo ka faisla ho jayega phir wo apna raasta jannat ki taraf dekhengey ya jahannam ki taraf" arz kiya gaya "Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! gaayen aur bakri k baare mein kya irshaad hai?" farmaya "Koi gaayen aur bakri wala aesa nahi jo unka haqq (zakaat) ada na karega magar jab qayamat ka din hoga to wo oundha litaaya jayega, ek hamwaar zameen par, aur un gaayen aur bakriyon mein se koi kam na hogi (sabki sab aayengi) aur unme se koi seengh mudi hui na hogi ya bagair seenghon k aur na tootey hue seenghon wali, wo usko apne seenghon se maaregi aur apne khuron se roondengi jab pehli guzar jayegi to pichli aa jayagi (yaani lagataar aati rahengi) din bhar aesa hota rahega jiski muddat pachaas hazaar saal k barabar hai, yahan tak k bando k darmiyaan faisla ho jayega, phir wo apna raasta jannat ki taraf dekhey ya dozakh ki taraf". (Sahih Muslim Kitabuz Zakaat)

Hazrat Ahnaf bin Qais Razi Allahu Anhu kehte hai k mein quraish k chand loogo mein baitha hua tha k Abu Zarr Razi Allahu Anhu aaye aur kehne lage "Khazana jama karne walo ko basharat do aese daagh ki jo unki peeth par lagaaye jayenge aur unke pehluon se aar paar ho jayenge unki gardan mein lagaaye jayenge to unki paishaniyo se paar ho jayenge phir Abu Zarr Razi Allahu Anhu ek taraf ho kar baith gaye to mene (loogo se) pucha "ye kaun hai?" loogo ne bataya "ye Abu Zarr Razi Allahu Anhu hai" chunanchey mein unki taraf gaya aur arz kiya "Ye kya tha jo mene abhi abhi aap se suna jo aapne farmaya" Hazrat Abu Zarr Razi Allahu Anhu ne kaha "Mene wahi kiya jo mene un (musalmaano) k Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam se suna hai". (Sahih Muslim Kitabuz Zakaat)


ZAKAAT NA DENE WALO KA RUPYA PAISA QAYAMAT K DIN GANJA SAANP BAN KAR UNKO DASEY AUR KAATEGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis ko Allah Ta'ala ne maal diya aur usne uski zakaat ada na ki to qayamat k din uska maal aese ganje saanp ki shakal ban kar, jiski aankho par nuqte (daagh) hongey uske galey ka tauq ban jayenga phir uski dono jabdon ko pakad kar kahega "Mein tera maal hu, mein tera khazana hu, phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye aayat tilawat farmayi "Jin loogo ko Allah Ta'ala ne apne fazal se maal diya hai aur wo bakheeli karte hai to apne liye ye bakhal behtar na samjhey balke unke haqq mein bura hai, anqareeb qayamat k din ye bakheeli unke galey ka tauq ban'ne wali hai". (Sahih Bukhari Kitabuz Zakaat)


JIS MAAL SE ALLAH TA'ALA KA HAQQ ADA NA KIYA JAYE WO MAAL TABAH WA BARBAAD HO JATA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai unhone Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se suna Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmate they "Bani Israeel mein teen aadmi they ek kodhi doosra ganja aur teesa andha, Allah Ta'ala ne unko aazmane ka iraadah farmaya unki taraf ek farishta bheja wo kodhi k paas aaya aur kaha "Tujhe kaunsi cheez bahut piyaar hai?" usne kaha "Accha rang aur accha badan aur wo cheez mujhse door ho jaye jiski wajah se loog mujhse nafrat karte hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "farishte ne (uske jism) par haath phera, pas us se uski gandagi door ho gayi aur accha rang aur accha badan de diya gaya" phir farishte ne kodhi se pucha "tujhe kaunsa maal ziyaadah pasand hai?" usne kaha "ounth" ya kaha "gaayen" raavi (Is'haaq) ko shak hai han kodhi aur ganje mein se ek ne ounth kaha aur doosre ne gaayen kaha, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Usey ek hamila ounthni de di gayi aur kaha Allah tujhe isme barkat de" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Phir wo farishta ganje k paas aya aur kaha tujhe sabse ziyaadah kaunsi cheez pasand hai" usne kaha "Khoobsurat baal, aur wo cheez mujhse door ho jaye jis se loog mujhse nafrat karte hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "farishte ne us par haath phera uska ganjapan jata raha aur khoobsurat baal usey de diye gaye" farishte ne pucha "Tujhe kaunsa maal ziyaadah pasand hai?" usne kaha "Gaayen" pas ek hamila gaayen usey de di gayi aur farishte ne kaha Allah tujhe isme barkat de" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Phir wo farishta andhey k paas aaya aur kaha tujhe sabse ziyaadah piyari cheez kaunsi hai?" usne kaha "Allah mujhe beenaayi de de takey mein loogo ko dekh sakun" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "farishte ne us par haath phera, Allah Ta'ala ne uski beenaayi wapas kardi, farishte ne kaha "Tujhe sabse ziyaadah maal kaunsa pasand hai?" usne kaha "Bakriyan" usey ek hamila bakri de di gayi, pas bacchey liye kodhi aur ganje ne ounth aur gaayen k aur andhey ne bakri k, jis se kodhi k liye ek jangal ountho se bhar gaya ganje k liye ek jangal gaayen se bhar gaya aur andhey k liye ek jangal bakriyon se bhar gaya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Phir (kuch arsa baad) farishta kodhi k paas uski pehli soorat aur shakal mein aaya aur aa kar kaha "gareeb aadmi hu safar mein mera maal wa asbaab jata raha ab mera aaj k din (apni manzil par) pahunchna Allah ki meharbaani aur tere sabab se hai, mein tujhse isi zaat k waaste se maangta hu, jisne tujhe accha rang jism aur maal diya hai ek ounth chahta hu, jiske zariye apni manzil par pahunch saku" usne kaha "Haqdaar bahut hai (yaani kharch ziyaadah hai maal kam hai) farishte ne kaha "mein tujhe pehchaanta hu kya tu kodhi na tha k loog tujhse nafrat karte they aur tu gareeb tha Allah Ta'ala ne tujhe sehat aur maal diya" usne kaha "mujhe to ye maal doolat baap dada se wirasat mein mila hai, farishte ne kaha "Tu jhoota hai, Allah tujhe wesa hi karde jesa k tu tha" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Phir wo farishta ganje k paas aaya aur usey wahi kaha jo kodhi se kaha tha, ganje ne wahi jawab diya jo kodhi ne diya tha" farishte ne kaha "Agar tu jhoota hai to Allah tujhe wesa hi karde jesa tu tha" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Phir wo farishta andhey k paas uski (saabqa) soorat mein aaya aur kaha "gareeb musafir hu, safar mein mera maal wa asbaab jata raha, aaj mein (apni manzil par) nahi pahunch sakta hu, magar Allah Ta'ala ki meharbaani aur tere sabab se tujhse isi zaat k waaste se maanga hu jisne tujhe beenaayi di, ek bakri (chahta hu) k uske ba'as apni manzil par pahunch saku" andhey ne kaha "Beshak mein andha tha, mujhe Allah Ta'ala ne beenaayi di, pas tu jo chahta hai le le, aur jo chaahey chood de, Allah ki qasam! aaj k din mein tera haath na pakdunga us cheez se jise tu Allah k liye lena chahey" farishte ne kaha "Apna maal apne paas rakh, haqeeqat ye hai k tum (teeno) ko aazmaya gaya, pas tujhse Allah raazi hua aur tere dono saathiyon par gussa kiya gaya". (Sahih Bukhari Kitabul Ahadeesul Ambiya)


ZAKAAT NA DENE WALA DOZAKHI HAI

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Zakaat na dene wala qayamat k din aagh mein hoga". (Sahih Targheeb wa Tarheeb lil Albani Juzz e Awwal Hadees no. 760)


ZAKAAT ADA NA KARNE WALE LOOGO KO ALLAH TA'ALA QAHAT-SAALI MEIN MUBTALA KAR DETE HAI

Hazrat Bureedah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Zakaat ada na karne wale loogo ko Allah Ta'ala qahat-saali mein mubtala kar dete hai". (Sahih Targheeb wa Tarheeb lil Albani Juzz e Awwal Hadees no. 761)


ZAKAAT ADA NA KARNE WALE PAR RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE LAANAT FARMAYI

Hazrat Ali Razi Allahu Anhu kehte hai "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne sood khane, khilaane, gawahi dene aur katabat karne wale sab loogo par laanat farmayi, neez baal goondne, gundwaane wali par, zakaat ada na karne wale par, halala nikaalne aur nikalwaane wale par bhi laanat farmayi hai". (Sahih Targheeb wa Tarheeb lil Albani Juzz e Awwal Hadees no. 756)

Monday, 28 November 2016

ZAKAAT KI FAZEELAT

ZAKAAT KI FAZEELAT

 

Bismillahirrahmanirraheem

ZAKAAT ADA KARNE WALA JANNATI HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai ek aaraabi Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur arz kiya mujhe aesa amal bataiye jise karne se mein jannat mein dakhil ho jau, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah Ta'ala ki ibadat kar, uske saath kisi ko shareek na kar, farz namaz qayim kar, farz zakaat ada kar, aur ramazaan ul mubarak k roozey rakh" mene kaha "Allah ki qasam! mein is se ziyadah kuch na karunga, jab wo aadmi wapas hua to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jise jannati aadmi dekhna pasand ho wo ise dekh le". (Sahih Bukhari Kitabuz Zakaat)


ZAKAAT ADA KARNE WALE K EMAAN KI GAWAHI RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE DI HAI

Hazrat Abu Malik Ash'ari Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya hai "Wuzu acchi tarah karna nisf emaan hai, aur Alhamdulillah (kehna) meezaan ko (naikiyon se) bhar dena hai, Subhan Allah aur Allahu Akbar (kehna) aasman o zameen ko (naikiyon se) bhar dete hai, Namaz qayamat k din roshni hogi aur zakaat (sahib e emaan hone ki) daleel hai, sabr karna (pareshaniyon aur masayib mein raah dikhaane k liye) roshni hai aur quran (qayamat k rooz gawahi de kar) tere haqq mein hujjat banega ya tere khilaf hujjat banega". (Sahih Sunan Nasayi Juzz e Saani Hadees no. 2285)

Hazrat Khalid bin Aslam Razi Allahu Anhu kehte hai hum Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu k saath nikle to ek dehaati ne kaha "Mujhe Allah Ta'ala k us qaul "WAL LAZEENA YAKNIZOONAZ ZAHABA WAL FIZZAH" k matlab se aagaah farmaiye, Hazrat Ibne Umar Razi Allahu Anhu ne farmaya "Jis aadmi ne soona chandi jama kiya aur uski zakaat na di to uske liye kharaabi hai aur ye aayat zakaat ka hukm utarne se pehle ki hai, jab zakaat farz hui to Allah Ta'ala ne maal zakaat k zariye paak kar diya". (Sahih Bukhari Kitabuz Zakaat)


ZAKAAT ADA KARNE SE MAAL MEIN IZAAFA HOTA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Sadqa dene se maal kam nahi hota maaf karne se Allah izzat badhaata hai aur aajizi ikhtiyaar karne par Allah buland martaba ata farmata hai". (Sahih Muslim wa Mishkatul Masabeeh Kitabuz Zakaat)

Sunday, 27 November 2016

ZAKAAT KI FARZIYAT

ZAKAAT KI FARZIYAT

 

Bismillahirrahmanirraheem

ZAKAAT ADA KARNA ISLAM K PAANCH BUNYAADI FARA'IZ MEIN SE EK HAI

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Islam ki bunyaad paanch cheezo par hai:

1. Is baat ki shahadat dena k Allah k siwa koi mabood nahi, aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam Allah Ta'ala k Rasool hai.
2. Namaz qayim karna
3. Zakaat ada karna
4. Hajj aur
5. Ramazaan k roozey rakhna". (Sahih Bukhari Kitabul Emaan)


ZAKAAT ADA KARNE K AHAD PAR RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE BAIT LI

Hazrat Jareej bin Abdullah Razi Allahu Anhu kehte hai mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se namaz qayim karne, zakaat dene aur har musalman ki khair khawahi karne par bait ki. (Sahih Bukhari Kitabuz Zakaat)


ZAKAAT ADA NA KARNE WALO K KHILAF JIHAD KARNA FARZ HAI
ZAKAAT EK FARZ IBADAT HAI, USKI JAGAH KOI SADQA KHAIRAAT YA TEX WAGAIRAH ADA KARNE SE ZAKAAT KA FARZ SAQIT NAHI HOTA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu farmate hai k jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki wafaat hui aur Hazrat Abu Baqr Razi Allahu Anhu khaleefa hue to arab k kuch loog kafir ho gaye (aur zakaat baitul maal mein jama karaane se inkaar kar diya) Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne kaha "K aap loogo se kyu jihaad karengey halankey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya hai k mujhe loogo se us waqt tak ladne ka hukm hai jab tak wo LA ILAHA ILLALLAH na kahe, jab ye kehne lage to unhone apne maal aur apni jaaney mujhse bacha li, magar haqq k saath, aur unka hisaab Allah Ta'ala k zimmey hoga, Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu ne kaha "Allah ki qasam! mein to us se zaroor ladunga jo namaz aur zakaat mein farq karega kyunki zakaat ka maal haqq hai, Wallah! agar ye loog ek bakri ka baccha bhi, jo Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko diya karte they, mujhe na denge to unse zaroor ladaayi karunga, Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne farmaya "Wallah! Allah Ta'ala ne Abu Bakr Razi Allahu Anhu ka seena khool diya tha aur mein jaan gaya k haqq yahi hai". (Sahih Bukhari Kitabuz Zakaat)