Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Sunday 11 May 2014

ISLAM MAI ZIBAH KARNE KA TARIQA ZALIMAANA KYU?

ISLAM MAI ZIBAH KARNE KA TARIQA ZALIMAANA KYU?



Bismillahirrahmanirraheem

Musalman jaanwaro ko zalimaana tareeqey se dherey dherey kyu zibah karte hai? ye sawal gair muslimo ki taraf se aksar kiya jata hai.

Janwar zibah karne ka islami tarika "Zabiha" gair muslimo ki aksariyat k nazdeek tankeed ka ba'as (sabab) hai, agar koi mandarja zail nukaat ko jaan sakta hai k zibah karne ka ye tareeqa na sirf reham dilana hai balke science k lihaaz se bhi behtar hai.

ZIBAH KARNE KA ISLAMI TAREEQA
Islami tareeqe se janawar zibah karne k liye kuch shara'it ka khayal rakhna chahiye:
1. janwar ko taiz dhaar chaku ya churi se teezi se zibah karna chahiye taakey janwar ko kam se kam takleef ho.
2. "Zabiha" arbi lafz hai jiska matlab hai "zibah kiya gaya" janwar ko zibah karne ka amal uska gala, sans ki naali aur gardan mai mojood khoon ki naliya kaat kar anjaam dena chahiye.
3. sar utaarne se pehle khoon ko mukammal taur par beh jane dena chahiye, khoon ki beshtar mikdaar nikaalne ki wajah ye hai k khoon mai jaraseem nushu wa numa pa sakte hai, haraam magaz ko nhi kaatna chahiye kyunki dil ko jaane wale aasaab ko nuksaan pahunch sakta hai aur yu dil ki dhadkan ruk jane ki wajah se khoon mukhtalif naliyo mai munjamad ho jata hai.

KHOON MAI JARASEEM AUR BACTERIA
Khoon mukhtalif qism k jaraseem, bacteria ya aur zehro (Toxins) ki muntakli ka zariya hai, is liye musalmano ka zibah karne ka tariqa zayada sehatmand aur mehfooz hai kyunki khoon mai tamaam kism k jaraseem hote hai jo mukhtalif beemariyo ka sabab bante hai, lihaza jayada se jayada khoon jism se nikal dena chahiye.

ZABIHA GOOSHT KI TAAZGI
Janwar islami tareekey se zibah kiye jaye to khoon k mumkana had tak sharyaano se nikal jaane ki badolat goosht zibah karne k doosre tareeqo ki banisbat zayada dair tak taaza rehta hai.

JANWAR KO TAKLEEF NHI HOTI
Gardan ki sharyaani tezi k saath kaatne se dimaag k us asb (Nerve) ki taraf khoon ka bahaav ruk jata hai jo ehsaas dard ka zimmedaar hai, yu janwar ko dard mehsoos nahi hota janwar jab marte waqt tadapta hai ya taagey hilaata aur maarta hai to ye dard ki wajah se nhi balke khoon ki kami k ba'as azlaat k phelne aur sukadne ki wajah se hota hai aur khoon ki kami ka sabab khon ka jism se bahar ki taraf bahao hota hai.

No comments:

Post a Comment