Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Monday 21 July 2014

GUSTAKH E RASOOL KI SAZA (COMPLETE)

GUSTAKH E RASOOL KI SAZA (COMPLETE)



Bismillahirrahmanirraheem

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA ISTAHZA (MAZAAK) KARNE WALO SE ALLAH TA'ALA DUNYA AUR AKHIRAT MAI BHARPOOR INTEQAAM LENGE

Beshak hum aapka mazaaq udane walo se inteqaam lene k liye kaafi hai. (Surah Hijr surah no 15 ayat no. 95)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA ISTAHZA (MAZAAK) KARNE WALA DAIRA E ISLAAM SE KHARIJ HO JATA HAI

Agar tum un (munafiqo) se pucho tum kya baate kar rehe they? wo foran jawab denge bas hum to zara hasi mazaaq aur dil lagi kar rahe they un se kaho: kya tumhari hasi aur dil lagi Allah, uski aayaat aur uske Rasool k saath hi thi? ab ma'azratey paish na karo, emaan laane k baad tumne kufr kiya hai agar humne tum mai se ek garoh ko maaf kar bhi diya to dusre garoh ko saza zaroor denge kyunki wo mujrim hai. (Surah Tauba surah no. 9 ayat no. 65 aur 66)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA MAZAAQ UDAANE WALO KA ALLAH TA'ALA DUNYA SE NAAM O NISHAAN MITA DETE HAI

Beshak tera dushman hi jadd kata hai (yaani jis tarha paid ki jadd kaat di jaati hai wahi misaal yaha us shaks ki hai). (Surah Kausar surah no. 108 ayat no. 3)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI TOHEEN KARNE WALE KI SAZA QATAL HAI KHAWAH KAFIR HO YA NAAM NIHAAD MUSALMAAN!

Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Anhu kehte hai k mai Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu k paas betha tha aur wo ek aadmi par sakht izhaar naaraazi farma rahe they, mene arz kiya "Ae khalifa e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam mujhe ijazat dijiye mai uski gardan uda du" mere in kalmaat se Hazrat Abu Bakr Razi Allhu Anhu ka saara gussa door ho gaya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam apni jagah se uthey aur andar chale gaye aur (thodi dair baad) mujhe bulaya aur pucha "tune mujhe kya kaha tha?" mene arz kiya "mujhe ijazat dijiye mai iski gardan uda du", Hazrat Abu Bakr Siddique Razi Allahu Anhu ne pucha agar mai ijazat de deta to kya tum aesa kar guzarte? mene arz kiya "han" Hazrat Abu Bakr Siddique Razi Allahu Anhu ne farmaya: Wallah! toheen k jurm mai qatal ki saza Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam k baad kisi aadmin k liye jayez nhi. (Abu Dawood Kitabul Hudood Hadees no. 3666)

RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI TOHEEN AUR GUSTAAKHI KARNE PAR HAZRAT ABDULLAH BIN UMME MAKTOOM RAZI ALLAHU ANHU NE APNI LONDI KO QATAL KAR DIYA, RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE USKA KHOON RAIGA KARAAR DE DIYA

Hazrat Abdullah Bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek nabeena sahabi ki loondi thi jo Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko gaaliya bakti aur aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki huju karti, sahabi use mana karte lekin wo baaz na aati, sahabi use daant'te lekin wo phir bhi na ruki, ek raat loondi ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki huju ki aur gaaliya bakne lagi to sahabi ne chura uske pait mai ghoonp diya aur zoor se dabaya jis se wo halaak ho gayi aur uski taango k darmiyaan baccha gir gaya aur usne jagah ko khoon se ganda kar diya, jab subah hui to Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamne us waqiya ka zikr kiya gaya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne loogo ko jama kiya aur farmaya: "Jis shaks ne ye kaam kiya hai mai use Allah ki qasam de kar aur apne us haqq k hawaale se jo mera us par hai, kehta hu k wo khada ho jaye, wo nabeena sahabi khade ho gaye, loogo ko loogo ko phaangta hua aage badha aur nabi e akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamne a kar baith gaya, wo aadmi kaanp raha tha, arz karne laga "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mai hu uska qaatil, wo aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko gaaliya bakti thi aur aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki huju karti thi, mai use mana karta lekin wo baaz na aati, mai use daant'ta lekin phir bhi mana na hui haalanke us se mere mootiyo jese (khoobsurat) do baite bhi hai wo meri (achhi) rafeeqa thi lekin kal raat jab wo aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko gaaliya bakne lagi aur aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki huju karne lagi to mene chura (chaku) pakda aur uske pait mai ghoonp diya aur zoor se daba diya, hattake mene use qatal kar diya" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: loogo suno!, gawah rehna is loondi ka khoon raiga hai".  (Abu Dawood Kitabul Hudood Hadees no. 3665)


AHAD E NABWI MAI EK YAHOODI KAAB BIN ASHRAF RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI TOHEEN KARTA THA, AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE KHUD USKO QATAL KARNE KA HUKM DIYA

Hazrat Jaabir Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Kaab bin ashraf ki kaun khabar leta hai usne Allah aur uske Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko bahut takleef di hai, Hazrat Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu khade hue aur arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! kya aap pasand karte hai k mai uska kaam tamaam kardu?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Han" unhone kaha to phir mujhe ijazat dijiye k mai jo munasib samjhu us se kahu, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Tujhe ijazat hai, Hazrat Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu kaab bin ashraf k paas aye aur kehne lage, ye shaks (yaani hazrat muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam) hum se sadqa maangta hai aur usne hame badi mashakkat mai mubtala kar rakkha hai, lihaza mai tujh se kuch karz lene aya hu, kaab bola: abhi to tum us se aur bhi takleefey uthaoge, Hazrat Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu ne kaha: ab to hum uski itteba ikhtiyaar kar chuke hai, hum use chood nahi sakte jab tak dekh na le k ayenda hamare saath kya guzarti hai? us waqt to mai tere paas ek ya do wask galla qarz lene aya hu, kaab bin ashraf ne kaha "pehle mere paas koi cheez girwi rakkho (tak qarz dunga)" Muhammad bin Maslamah ne kaha tum kya cheez rakhna chahte ho?, kaab ne kaha apni aurate ruhan rakh do, Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu ne kaha: tu arab mai bahut khoobsurat aadmi hai is liye tum tere paas apni aurate kese ruhan rakh sakte hai? kaab ne kaha: to phir apne baite mare yaha girwi rakh do, Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu ne kaha ye kese ho sakta hai k hum apne baite tere paas ruhan rakh de, unhe taana diya jayega aur kaha jayega k unhone ek ya do wask galla k ous ruhan rakkha gaya tha aur ye baat hamare liye ba'as sharam hai, al batta hum apne hathyaar tere paas girvi rakh sakte hai, Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu kaab k saath hathyaaro ka maamla tey karke aye aur raat k waqt kaab k bhai Hazrat Abu Naila Razi Allahu Anhu ko saath le kar aye, kaab ne un doono ko kalba ki taraf bulaya phir khud unke paas jane laga to uski beewi ne kaha: is waqt kaha ja rahe ho? kaab ne jawab diya ye to sirf Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu aur mera raza'i bhai Abu Naila Razi Allahu Anhu hai beewi ne kaha kaab mai to aesi awaaz sunti hu jis se khoon ki bu aati hai, kaab ne kaha: "Khatre ki koi baat nahi waha mera dost Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu aur mera raza'i bhai Abu Naila Razi Allahu Anhu hi hai (aur kaun hai?) shareef aadmi ko agar raat k waqt naiza maarne k liye bhi bulaya jaye to wo foran us aurat ko qatal kar leta hai, Raavi ka bayan hai k Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu apne saath do aur aadmi le kar aye they aur ek riwayat k mutabiq saath waale shaks Hazrat Abu Abs bin Jahar Razi Allahu Anhu, Haris Bin ous Razi Allahu Anhu aur Abaad bin bashar Razi Allahu Anhu they, Hazrat Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhune apne saathiyo se kaha "jab kaab yaha ayega to mai uske baal pakad kar soonghunga jab tum dekhoge k mene uska sar mazbooti se thaam liya hai to tum jaldi se uska kaam tamaam kar dena" Raavi ne ek dafa yu bayan kiya k phir mai tumhe sugaunga kaab uske paas chadar se lipte hue aya jisme se khushbu ki mehak uth rahi thi, tab Hazrat Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu ne kaha: mene aaj ki tarah ki khushbudaar hawa kabhi nahi soonghi" tab kaab ne kaha mere paas arab ki wo aurat hai jo sab aurato se zayada ma'atar rehti hai aur husn wa jamaal mai bhi be nazeer hai, Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu ne kaha: kya tu mujhe apna sar soonghne ki ijaazat deta hai? usne kaha "Han" tab Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu ne khud bhi soongha aur apne saathiyo ko bhi sughaya phir Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu ne kaha: mujhe dobara soonghne ki ijazat hai? usne kaha "Han" phir jab Hazrat Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu me use mazboot pakad liya to apne saathiyo se kaha: "Idhar aao" chunanchey unhone use qatal kar diya, phir Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas aye aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallamko us (k qatal) ki khushkhabri sunayi." (Bukhari Kitabul Magaazi Baab Qatala Kaab Ibne ashraf)

Wazahat: Kaab bin ashraf k jara'im (jurm) mai se chand ek ye hai

1. Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki shaan mai gustaakhi aur sab wa sitam.
2. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki huju mai ashyaar kehna.
3. Ishqiya ahyaar musalman aurato ki tadlees aur toheen karna.
4. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko qatal karne ki sajish karna.
5. Nakas E Ahad
6. Mushrikeen ko Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k khilaaf jang k liye uksaana.


ABU RAFA'E YAHOODI JISKA NAAM ABDULLAH BIN ABUL HAQEEQ THA, RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI TOHEEN KARTA THA, AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K HUKM PAR USE BHI QATAL KIYA GAYA

Hazrat Bara Bin Aazib Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ansaar ko abu raafa'e yahoodi k paas bheja aur unpar Abdullah bin Ateeq Razi Allahu Anhu ko ameer muqarrar kiya, ye abu rafa'e Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko sakht azziyat (takleef) diya karta tha aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k mukhlifeen ki a'aanat karta tha, zameen jijaaz mai uska kila tha wo usme riha'ish pazeer tha, jab ye loog uske paas pahunche to sooraj guroob ho chuka tha aur shaam k waqt loog apne mavaishi wapas la chuke they. Hazrat Abdullah Bin Ateeq Razi Allahu Anhu ne apne saathiyo se kaha: tum apni jagah par baitho mai jata hu aur darbaan se mil kar naram naram baate karke kiley k andar jaane ki koi tadbeer karta hu, wo kiley ki taraf rawana ho gaye aur darwaaze k kareeb pahunch kar khud ko kapdo mai is tarah chupaya goya qaza e haajat k liye baithey ho, us waqt ahle qila andar ja chuke they, darbaan ne apna aadmi samajh kar awaaz di "Ae Allah k bande agar tu andar ana chahta hai to aa ja mai darwaza band kar raha hu", Abdullah bin Ateeq Razi Allahu Anhu kehte hai k ye sunkar mai kiley k andar daakhil hua, aur chup gaya, jab sab loog andar aa chuke to darbaan ne darwaaza band kar k chabiya khoonti par latka di, Hazrat Abdullah bin Ateeq Razi Allahu Anhu ka bayan hai k mene uth kar chabiya li aur qiley ka darwaza khool diya, abu raafa'e k paas raat ko daastaan goyi hua karti thi, wo apne bala khane mai rehta tha jab daastaan go uske paas se chale gaye to mai uski taraf chal pada, mai jab koi darwaaza khool kar andar dakhil hua to andar se use chatkhani laga deta katey agar loogo ko meri khabar ho jaye to mujh tak abu raafa'e ko qatal karne se pehle pahunch na sake, jab mai uske paas pahuncha to maloom hua k wo ek tareek kamre mai apne baccho k darmiyaan so raha hai, chunkey mujhe maloom na tha k wo kis jagah par hai, is liye mene abu raafa'e keh kar awaaz di, usne jawaab diya "Kaun hai?" mai awaaz ki taraf mutawajjah hua aur us par talwaar se zoordaar waar kiya us waqt mera dil dhadak dhadak kar raha tha, us zarb se kuch kaam na nikla aur wo chillane laga mai kamre se bahar a gaya, thodi dair thehar kar phir dakhil hua, phir mene kaha "ae abu raafa'e ye kesi awaaz thi?" usne kaha "teri maa par musibat padi abhi abhi kisi ne is makaan mai mujh par talwaar ka waar kiya tha, Hazrat Abudullah Razi Allahu Anhu ka bayan hai k mene phir ek aur bharpoor waar kiya magar wo bhi khali gaya agarche usko zakham lag chuka tha, lekin wo us se mara nhi tha is liye mene talwaar ki nook uske pait kar rakhi (aur khoob zoor lagaya) talwaar uski peeth tak pahunch gayi jab mujhe yaqeen ho gaya k mene ise maar dala hai to mai ek ek darwaaza kholta hua seedhi tak pahuncha chandni raat thi ye khayaal kar k mai zameen par pahunch gaya pao niche rakkha to dhadaam se niche a gira apne dil mai kaha k yaha se us waqt tak nahi jaounga jab tak mujhe yaqeen na ho jaye k mene use qatal kar diya hai lihaaza jab subah k waqt murg ne azaan di to maut ki khabar sunaane wala diwaar par khada ho kar kehne laga "loogo mai tumhe hijaaz ki soodagar abu raafa'e k marne ki khabar deta hu" ye sunte hi mai apne saathiyo ki taraf chala aur unse kaha yaha se jaldi bhago Allah ne abu raafa'e ko (haamare haatho) qatal karwa diya hai phir waha se Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas pahuncha aur tamaam qissa keh sunaya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "apna toota hua pao phelao" mene apna pao phelaya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apna dart e mubarak us par phera jis se wo aesa ho gaya k goya mujhe kabhi shikayat hi na thi". (Bukhari Kitabul Magaazi)

AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI HUJU KARNE WALE MAL'OON ABDULLAH BIN KHATAL KO FATAH MAKKAH K ROOZ NABI E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KE HUKM PAR QATAL KIYA GAYA

Hazrat Anas bin Maalik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k fatah makkah k rooz jab nabi e kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam makkah mai dakhil hue to aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ke sar par khood thi, aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne khood utaara ek aadmi aya aur kehne laga "Abdullah bin khatal kaaba shareef k pardey se latka hua hai, aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: use qatal kar do". (Bukhari Kitabul Magaazi)

Wazahat: Abdullah bin khatal teehra mujrim tha, 
1. Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki huju karta aur loondiyo ko huju padhne ka hukm deta aur loogo ko sunwaata
2. pehle musalmaan hua phir murtad ho gaya
3. na haq ek musalmaan ko qatal kiya.

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K GUSTAAKH ABU LAHAB SE ALLAH TA'ALA NE DUNYA MAI HI INTAQAAM LIYA

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu k azaad karda gulaam hazrat Akrama Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k azaad karda gulaam Abu Raafa'e Razi Allahu Anhu ne kaha: abu lahab (maut k darr se) gazwa e badr mai shamil na hua aur apni jagah aas bin hishaam ko bhej diya jab quraishi sardaaro ki halakat ki khabar makkah pahunchi to Allah ta'ala ne abu lahab par zillat aur ruswaayi musallat kar di aur humne apne andar taaqat aur quwwat mehsoos ki, Wallah! shikast ki khabar sun'ne k baad abu lahab sirf saar raatey zinda raha, Allah ta'ala ne use ta'oon ki aesi maar maari k wo usi se halaak ho gaya, ek riwayat mai ye bhi hai uske baito ne uski laash bagair kafan chood di hattake sad kar boo choodne lagi, Allah ki qasam uske baito ne use gusal bhi na diya, door se us par paani phenka, koi uske qareeb nhi bhatakta tha phir wo use makkah k kabristaan mai le gaye ek diwaar k saath lagaya aur uper se patthar phenk kar dhaanp diya. (Al Bidaya Wan Nihaya safa no., 328 matbua daarul maarfa bairoot)

GUSTAAKH E RASOOL ABU JAHAL BIN HISHAAM SE BHI ALLAH TA'ALA NE DUNYA MAI INTEQAAM LIYA

Hazrat Abdur Rahmaan bin Auf Razi Allah Anhu farmaate hai gazwa e badr k din mai maidaan e jang ki saff mai khada tha achanak mene apne daaye baaye nazar daali to ansaar k do kam umar ladko ko dekha mene khawahish ki kaash mai in kamsan ladko k bajaye mazboot jism k maalik aadmiyo k darmiyaan hota un dono me se ek ne mujh se ishaara mai pucha "chacha jaan! kya aap abu jahal ko pehchaante ho" mene kaha "Han lekin lekin mere bhateeje tujhe us se kaya garz?" usne jawab diya "mujhe pata chala hai k wo Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko gaaliya deta hai us zaat ki qasam jiske haath mai meri jaan hai agar mene use dekh liya to us se us waqt tak alag na hounga jab tak hum dono mai se jis ki maut pehle ayi ho wo marna jaye" mujhe uski is baat par tajjub hua usi dauraan ek dusre jawaan ne mujh se ishaare se wahi sawaal pucha jo pehle ne pucha tha chand lamho baad meri nazar abu jahal par padi jo loogo k darmiyaan ghista phir raha tha mene (dono se mukhatib ho kar) kaha "dekho wo hai abu jahal jiske baare mai tum mujh se puch rahe ho" dono ladke apni talwaaro k saath us par jhapat padey aur use waar kar k qatal kar daala phir dono Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mai haazir hue aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko abu jahal k qatal ki khabar di un dono k naam mu'aaz bin afra'a aur mu'aaz bin umar wa bin jamooh they. (Bukhari Kitabul Jihaad)


GUSTAKH E RASOOL KHUSRO PARVAIZ SE BHI ALLAH TA'ALA NE DUNYA MAI INTAQAAM LIYA

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek sahaabi ko ek khat banaam kisra de kar bheja aur hukm diya k ise ameer e behreen tak pahunchaado aur ameer e behreen ne wo khat kisra pahuncha diya jab kisra ne wo khat padha to phaad diya, raavi kehta hai k ibne musayyab Razi Allah Anhu ne kaha Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ahle faaras k liye dad dua "Farmaayi Allah inhe parah parah kar de". (Bukhari Kitabul Ilm)

Wazahat: Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki us bad dua k baad jaldi hi Allah ta'ala ne kisra ki huqoomat ko parah parah kar diya.

RASOOL ALLAH SALLLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA ISTAHZA KARNE WALE EK MURTAD KO ALLAH TA'ALA NE DUNYA MAI HI IBRAT NAAK SAZA DI

Hazrat Anas Razi Allah Anhu riwayat karte hai k ek isayi aadmi musalman hua usne surah baqara aur surah aal e imraan padhli aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k liye (wahi ki) kitabat karne laga lekin baad mai murtad ho gaya kehne laga Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ko tu kisi baat ka pata hi nhi hai jo kuch mai likh kar deta hu bas wahi keh deta hai, Allah ne jab use maut di to isaiyo ne use (qabar mai) dafar kar diya subah hui to (loogo ne dekha k) zameen ne use bahar nikaal phenka hai isaiyo ne kaha ye Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) aur unke saathiyo ka kaam hai chunke wo unke deen se bhaag kar aya hai lihaaza unhone uski qabar khood kar laash bahar nikaal phenki hai, isaiyo ne uske liye dobara (nayi jagah) qabar khoodi aur use (pehli ki banisbat) bahut gehra banaya (aur laash ko dobar dafan kar diya) jab subah hui to (loogo ne dekha k) zameen ne use phir bahar nikaal phenka hai, isaiyo ne phir ilzaam lagaya ye Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) aur unke saathiyo ka kaam hai chunke wo unke deen se bhaag kar aya hai lihaaza unhone uski qabar khood kar laash bahar nikaal phenki hai, isaiyo ne (teesri martaba) uske liye qabar khoodi aur itni gehri banayi jitni gehri wo bana sakte they, subah hui to (loogo ne dekha k) zameen ne use phir nikaal bahar phenka hai tab unhey yaqeen ho gaya k ye musalmaano ka kaam nhi hai (balke Allah k azaab hai) chunanchey isaiyo ne us ki laash aese hi chood di. (Bukhari Kitabul Manaqib)

DUSHMAN E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM AAMIR BIN TUFAIL SE BHI ALLAH TA'ALA NE DUNYA MAI HI INTEQAAM LIYA

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai k mushriko k sardaar aamir bin tufail ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko teen baato mai se koi ek baat qubool karne ki paishkash ki, pehli baat ye k aap dehatiyo par huqoomat kare aur hum shehar walo par, doosri baat ye k mai aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka khaleefa banu agar ye dono baate aapko qubool na ho to teesri baat ye hai k qabeela e gatfaan k do hazaar aadmi le kar mai tumhare khilaaf jang karunga, aamir bin tufail ek aurat k ghar ta'oon mai mubtala hua to kehne laga ye to bas oonth ki gadood ki tarah ek (mamooli si) gadood hai aur (kuch nhi) kehne laga "mera ghoda lao (mai ilaaj k liye jao) jese hi ghoode par baitha to uski peeth par hi mar gaya". (Bukhari Kitabul Magaazi)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO QATAL NARNE KI DHAMI DENE WALE MAL'OON UBAY BIN KHALF KA GAZWA E UHAD MAI IBRAT NAAK ANJAAM

Iben is'haaq kehte hai (gazwa e uhad mai) jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ghaati mai tashreef laye to ubay bin khalf ye kehta hua aya "aaj muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) nhi ya mai nhi" mujhahideen ne arz ki "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam kya hum mai se ispar koi hamla kare?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Nahi ise aane do" jab wo Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k qareeb aya to aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne haaris bin samaah Razi Allahu Anhu se ek naizah liya aur ubay bin khalf k saamne a gaye uski gardan mai taak kar naizah mara jis se wo baar baar apne ghoode se ludakta raha, umayya bin khalf ek baar makkah mai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se (istahzaya aur hatak ameezana andaaz mai) kehne laga "Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) mere paas "Auoz" naami ghooda hai jise mai rozana teen saa (saade saat kilogram) galla khilaata hu mai tumhe is ghoode par baith kar qatal karunga" "Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: nahi balke mai tujhe qatal karunga, In shaa Allah!" chunanche naizah lagne k baad jab ubay bin khalf quraish k paas wapasa gaya to kehne laga "Wallah! Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ne mujhe qatal kar diya hai halanke us naizey se uske gale par mamooli si kharaash ayi thi aur khoon tak nhi nikla tha, loogo ne kaha: Wallah! tumhe kuch bhi nahi hua tum to dil haar baithey ho" ubay bin khalf kehne laga "Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ne mujhe makkah mai kaha tha mai tumhe qatal karunga, Allah ki qasam! agar wo mujh par thook bhi deta to mai mar jata" phir Allah ka dushman apne qafiley k sath makkah wapas jaate hue muqaam e sarf par hi mar gaya. (Ibne Hishaam 3/55 matbua darul kutub azi bairoot)

Wazahat: Hazrat Urwah Razi Allah Anhu farmaate hai k mal'oon ubay bin khalf naizah lagne k baad bail (saand) ki tarah takraata tha aur kehta "us zaat ki qasam jis k haath mai meri jaan hai jitni takleef mujhe hai agar zawal mijaaz k saare loogo mai taqseem kar di jaye to wo bhi mar jaye" (Ar Raheequl Makhtoom)


RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO GAALIYA DENE WALI MAL'OONA AURAT KO RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE KHUD QATAL KARWAYA

Qabeeba e talqeen k ek aadmin se riwayat hai k ek aurat Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko gaaliya diya karti thi, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: "Mere is dushman se kaun nimtega?" hazrat Khalid bin Waleed Razi Allahu Anhu us aurat k paas gaye aur use qatal kar diya. (Musannaf ibne Abdur Razzaaq Hadees no. 9705)

RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO AZIYYAT PAHUNCHANE WALE NAZEER BIN HAARIS AUR MAL'OON UQBA BIN ABU MU'EET DONO KO GAZWA E BADR K BAAD QATAL KIYA GAYA

Ibne Is'haaq kehte hai (gazwa e badr se waapsi par) jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam muqaam safra par pahunche to nazeer bin haaris ko qatal kiya gaya, use hazrat Ali bin Abu Talib Razi Allahu Anhu ne (Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k hukm se) qatal kiya aur jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam irq e zabiyya k muqaam par pahuche to uqba bin abu mu'eet ko qatal kiya gaya, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne uqba ko qatal kerne ka hukm diya to kehne laga "Ae Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam)! mere baccho ka kya hoga?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: unke liye aag hai, Imaam ibne kaseer Rahimahullah kehte hai ye dono logo mai se badtareen they aur kufr mai sab se badhey hue they aur islaam se dushmani rakhne mai sabse aagey they, sarkushi, hasad, islaam aur musalmaano ki huju karne mai sab se zayada they, dono par Allah ta'ala ki laanat ho. (Al Bidaya Wan Nihaya maqatl nazeer bin haaris wa uqba bin abu mu'eet lanatullah 3/324)

GUSTAKH E RASOOL MAL'OON HUWAIRIS BIN NUQEEZ KO RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE FATAH MAKKAH K BAAD KHUD QATAL KARWAYA

Waaqidi kehte hai huwairis bin nuqeez nabi e akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko aziyyat pahuchaya karta tha is liye Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne (fatah makkah k rooz) uska raiga karaar de diya, fatah makkah k rooz wo apne ghar mai tha, lekin uske liye jeena doobhar ho gaya (ya zameen us k liye tang ho gayi) Hazrat Ali Razi Allahu Anhu uski justaju mai they, Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ko bataya gaya k wo to fala gao mai hai, huwairis ko bhi kisi ne ittela kar di k wo matloob hai (Hazrat Ali Razi Allahu Anhu us gao pahuch gaye) uska darwaaza khatkhataya huwairis bahar nikla, wo bhaag kar kisi dusre ghar mai panah lena chahta tha lekin Hazrat Ali Razi Allahu Anhu saamne a gaye aur use qatal kar diya. (Saarimil Maslool safa no. 128)

GUSTAKH E RASOOL ABU AFAK YAHOODI KO HAZRAT E SAALIM BIN UMAIR RAZI ALLAHU ANHU NE JAHANNAM RASEED KARNE KI NAZAR MAANI AUR MOOKA MILTE HI APNI NAZAR PURI KAR DI

Hazrat Zaid bin Saabit Razi Allahu Anhu kehte hai k banu umar wa bin auof ka ek shaks tha jiska naam abu afak tha, bahut hi budha, jab nabi e akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam madeena munawwara tashreef laye us waqt uski umar 120 saal thi, abu afak ne islaam qabool na kiya aur loogo ko Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki dushmani k liye bhadkaya karta, jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam gazwa e badr k liye tashreef le gaye to Allah ta'ala ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khoob madad farmayi jis se abu afak hasad karene laga aur sarkashi par utar aya, Hazrat Saalim bin umair Razi Allahu Anhu ne ye nazar maani k mai ya to abu afak ko qatak karunga ya khud uske haatho qatal ho jaunga jab Hazrat Saalim Razi Allahu Anhu abu afak ki toh mai they, moosam garma ki ek raat abu akak banu umar wa bin auof k han sahan mai soya hua tha Hazrat saalim Razi Allahu Anhu aye aur talwaar uske kaleeje par rakh di hatta k talwaar bistar tak pahunch gayi, Allah ka dushman cheekhne chillane laga uske ham khayal loog bhaage hue aye, utha kar use kamre mai le gaye aur dafan kar diya, phir puchne lage "ise kisne qatal kiya?" Wallah agar hame pata chal jaye to hum use qatal kar denge". (Waaqidi Kitabul Magaazi jild 1 safa no. 174-175)


HAZRAT UMAIR BIN UMAYYA RAZI ALLAHU ANHU KI BEHAN RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO GAALIYA DETI THI, HAZRAT UMAIR RAZI ALLAHU ANHU NE APNI BEHAN KO QATAL KAR DIYA, RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE USKA KHOON RAIGA KARAAR DE DIYA

Hazrat Umair bin Umayya Razi Allahu Anhu ki ek mushrika behan thi jab hazrat umair Rasool Allah Sallallahu Aliahi Wa Sallam ki khidmat mai haazri k liye (ghar se) nikalte to ye hazrat Umair Razi Allahu Anhu ko (baato s) azziyat pahunchati, Nabi E Akram Sallallahu Aliahi Wa Sallam ko gaaliya deti ek rooz hazrt Umair Razi Allahu Anhu ne talwaar lapaiti behan k paas aye aur use qatal kar diya, us aurat k baite khade ho gaye aur cheekhne chillane lage aur kehne lage hame maloom hai ise kisne qatal kiya hai? kya hamari maa un loogo k haato qatal hui jin k maa baap mushrik hai? jab Hazrat Umair Razi Allahu Anhu ko khadsha mehsoos hua k ye loog meri bajaye kisi aur ko qatal na kar de to hazrat Umair Razi Allahu Anhu Nabi E Akaram Sallallahu Aliahi Wa Sallam ki khidmat mai hazir hue aur sara waqiya keh sunaya, Rasool Allah Sallallahu Aliahi Wa Sallam ne daryaft farmaya: "Kya tune apni behan ko qatal kiya hai?" Hazrat Umair Razi Allahu Anhu ne arz kiya "Han" Aap Sallallahu Aliahi Wa Sallam ne phir daryaaft farmaya "tune use kyu qatal kiya hai?" Hazrat Umair Razi Allahu Anhu ne jawab diya "Ye Aap Sallallahu Aliahi Wa Sallam ko gaaliya deti thi jis se mujhe takleef hoti thi, Rasool Allah Sallallahu Aliahi Wa Sallam ne aurat k baito ki taraf aadmi bhej kar qatil ka naam daryaaft farmaya to unhone hazrat Umair Razi Allahu Anhu ki bajaye kisi aur ka naam liya, Rasool Allah Sallallahu Aliahi Wa Sallam ne unhe sahi qatil ka naam bataya aur us aurat ka khoon raiga karaar diya". (Tabraani Majmua uz zawahid Hadees no. 10570)

GUSTAKH E RASOOL YAHOODI IBNE SABEENA KO HAZRAT MUHAISA BIN MAS'OOD RAZI ALLAHU ANHU NE QATAL KIYA AUR APNE HAQEEQI BAHI HUWAISAH BIN MAS'OOD KO BHI AESI GUSTAKHI KARNE PAR QATAL KARNE KI DHAMI DI

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai (jang e badr k baad) jab (Rasool Allah Sallallahu Aliahi Wa Sallam k hukm par) kaab bin ashraf (yahoodi) ko (toheen e risalat k jurm mai) qatal kar diya gaya to Rasool Allah Sallallahu Aliahi Wa Sallam ne farmaya: "Yahoodiyo mai se jis kisi ko toheen e risalat ka murattab pao, use qatal kar do" chunanche Muhaisa Razi Allahu Anhu ne ek yahoodi tajid ibne sabeena ko (toheen e risaalat k jurm mai) qatal kar diya, muhaisa yahoodiyo k han ata jata tha aur unke saath tijaarat bhi karta tha, Hazrat Muhaisa Razi Allahu Anhu ka bada bhai Huwaisa bin mas'ood bhi islaam nhi laya tha usne apne bhai ko maarna peetna shuru kar diya aur kehne laga "Ae Allah k duhman! kya tune us yahoodi ko qatal kar diya hai halankey uske maal se kitni charbi tere pait mai hai" Hazrat Muhaisa Razi Allahu Anhu ne kaha Allah ki qasam use qatal karne ka hukm mujhe us zaat ne diya tha k agar wo mujhe hukm de tujhe qatal karne ka to mai tujhe bhi qatal kardu, Huwaisa ne tajjub se kaha agar MUhammad (Sallallahu Aliahi Wa Sallam) tujhe hukm de mujhe qatal karne ka to kaya waqayi to mujhe qatal kar dega? Hazrat Muhaisa Razi Allahu Anhuu ne farmaya "Han" Allah ki qasam! agar wo mujhe hukm de to mai tujhe bhi qatal kar dunga, Huwaisa kehne laga "Allah ki qasam! ye deen to bahut khoob hai jisne tujhe is jazbe se sarshaad kar diya" aur huwaisa musalmaan ho gaya. (Istiyaab baab harafe meem, hadees no. 2554)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO GAALIYA DENE WALE MUSHRIK KO RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALIAHI WA SALLAM NE KHUD QATAL KARWAYA

Hazrat Abdullah Bin Abbas Razi Allahu Anhu k azaad karda gulaam hazrat Akrama Razi Allahu Anhu se riwayat hai k mushriko mai se ek aadmi ne Nabi E Akram Sallallahu Aliahi Wa Sallam ko gaaliya di, Aap Sallallahu Aliahi Wa Sallam ne farmya: "mere dushman se kon niptega?" Hazrat Zubair Razi Allahu Anhu ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Aliahi Wa Sallam mei niptunga" chunanche hazrat Zubair Razi Allahu Anhu ne us mushrik se do so haath kiye aur use qatal kar dala, Nabi Sallallahu Aliahi Wa Sallam ne Hazrat Zubair Razi Allahu Anhu ko us ka maal (Batoor ganeemat) ata farmaya. (Musannaf Ibne Abdur Razzaq Hadees no. 9477)

EK MAL'OONA YAHOODIYA NE RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO BURA BHALA KAHA TO SAHABI NE USE QATAL KAR DIYA, RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE YAHOODIYA KA KHOON RAAIGA QARAAR DE DIYA

Hazrat Ali Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek yahoodiya Nabi E Akram Sallallahu Aliahi Wa Sallam ko bura bhala kaha karti thi aur Aap Sallallahu Aliahi Wa Sallam ki shaan mai gustaakhi karti thi, ek aadmi ne uska gala ghoota hattake wo mar gayi, Nabi E Akram Sallallahu Aliahi Wa Sallam uska khoon raaiga qaraar de diya. (Sunan Behaqui Hadees no. 1251)


HAZRAT UMAIR BIN ADI RAZI ALLAHU ANHU NE APNE KHANDAAN KI EK GUSTAAKH E RASOOL MAL'OONA KO JAHANNAM RASEED KARNE KI NAZAR MAANI ARU MOOKA MILTE HI APNI NAZAR POORI KAR DI

Hazrat Abdullah bin Haaris bin Fazal Razi Allahu Anhu apne baap se riwayat karte hai k asma binte marwaan, jo banu umayyah bin zaid khandaan se tallauq rakhti thi aur yazeed bin zaid bin hussain khatmi ki beewi thi, ye Nabi E Akram Sallallahu Aliahi Wa Sallam ko Aeza pahunchati, islaam par aeeb joi karti aur loogo ko Nabi E Akram Sallallahu Aliahi Wa Sallam k khilaaf ubharti, Umair bin adi khatmi Razi Allahu Anhu kehte hai "jab us aurat k ye ash'aar aur Nabi E Akram Sallallahu Aliahi Wa Sallam k khilaaf targeeb mujh tak pahunchi to mene nazar maanli k Ae Allah agar tune apne Rasool Sallallahu Aliahi Wa Sallam ko madeena looota diya to mai is aurat ko zaroor qatal karunga, us rooz Rasool Allah Sallallahu Aliahi Wa Sallam badr mai they jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam wapas aye to Umair bin adi Razi Allahu Anhu raat ki takeeki mai us k ghar mai dakhil ho gaye, us waqt uske ird gird uske bacche soye hue they jin mai se ek ko wo apna doodh pila rahi thi jab usne apne haath se choo kar dekha to usko laga k wo bacche ko doodh pila rahi thi, Hazrt Umair Razi Allahu Anhu ne baccha us se alhaida (alag) kiya aur talwar uske seene par rakkhi aur uske pait k paar utaar di, phir wo waha se nikle aur Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath subah ki namaz padhi, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab namaz se faarig hue to Umair Razi Allahu Anhu ki taraf dekha to farmaya: "tune marwaan ki beewi ko qatal kar diya?" Hazrat Umair Razi Allahu Anhu ne jawab diya "Ji han" Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mere maa baap aap par qurbaan ho, Hazrat Umair Razi Allahu Anhu ko darr mehsoos hua k kahi uske qatal ki wajah se Allah k Rasool naaraaz na ho, unhone kaha: Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam kya uska mujh par koi gunah to nhi hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne faramay: "is baare mai koi do raye nhi" mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki zubaan se ye muhawara pehli martaba suna tha, Umair Razi Allahu Anhu kehte hai phir Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam apne ird gird baithey hue loogo ki taraf mutawajjah hue aur farmaya: "Agar tum kisi aese aadmi ko dekhna pasand karo jisne gaib mai Allah aur uske Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki nusrat ki hai to Umair bin Adi Razi Allahu Anhu ko dekh lo, Hazrat Umair Razi Allahu Anhu jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat se wapas loote to apne baito ko loogo ki ek jamaat k saath mil kar use dafan karte hue paya, jab un loogo ne unhe madeena ki janib se ate hue dekha to unki taraf mutawajjah hue aur pucha Ae Umair Razi Allahu Anhu kya tumne ise qatal kiya hai? Hazrat Umair Razi Allahu Anhu ne jawab diya "Han chaho to tum sab mere khilaaf tadbeer karlo aur mujhe koi mohlat na do us zaat ki qasam jis k haath mai meri jaan hai agar tum sab bhi wahi baat kahe jo usne kahi thi to mai tum sab ko apni talwaar se qatal karunga ya khud mar jaunga" yahi wo din tha k banu khatma kabeele mai islaam galib hua, warna unme aese loog bhi they jo apni qaum k darr se islaam ko chipaate they". (Waqidi Kitabul Magaazi sarimul maslool safa no. 95-96)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA MAZAAQ UDAANE WALO PAR DUNYA AUR AKHIRAT, DONO JAGAH ALLAH TA'ALA KI LAANAT HAI AUR UNKE LIYE JAHANNAM MAI RUSWA KUN AZAAB HOGA



Jo loog Allah aur uske Rasool Sallallahu Aliahi Wa Sallam ko azeeyat dete hai un par Allah ne dunya aur akhirat mai laanat farmayi hai aur unke liye ruswa kun azaab tayyar kar rakkah hai. (Surah Ahzaab surah no. 33 ayat no. 57)

Allah Ta'ala hamari hifazat farmaye aur gustaakh e rasool k khilaaf hamari madad farmaye. (Aameen Ya Rabbal Alameen) 
 
 
 
 
 

No comments:

Post a Comment