Muhammadi Blog

Muhammadi Blog
Showing posts with label ITTEBA E SUNNAT. Show all posts
Showing posts with label ITTEBA E SUNNAT. Show all posts

Thursday, 4 September 2014

SUNNAT - A'IMMA E KIRAAM RAHIMAHULLAH KI NAZAR MEIN

SUNNAT - A'IMMA E KIRAAM RAHIMAHULLAH KI NAZAR MEIN

Bismillahirrahmanirraheem

SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI MOJOODGI MEIN TAMAAM A'IMMA KIRAAM NE APNE AQWAAL AUR RAAYE TARK KARKE SUNNAT PAR AMAL KARNE KA HUKM DIYA HAI

Hazrat Imam Abu Haneefa Rahimahullah se pucha gaya "Agar aap ka koi qaul quran majeed k khilaaf ho to kya kiya jaye?" Imam Abu Haneefa Rahimahullah ne jawab diya k "Quran majeed k muqabiley mein mera qaul chood do", phir pucha gaya "Agar aapka qaul Sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam k khilaaf ho to kya kiya jaye?" imam Abu Haneefa Rahimahullah ne jawab diya k "Sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam k muqabiley mein mera qaul chood do", phir pucha gaya "aap ka qaul Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhu k qaul k bar'aks ho to phir kya kiya jaye?" farmaya "Sahaba Razi Allahu Anhu k qaul k muqabiley mein bhi mera qaul chood do". (Aqdil jeed, Haqeeqatul Fatah safa no. 69)

Hazrat Imam Malik bin Anas Rahimahullah farmate hai "Bila shubah mein bashar hu, mera qaul sahih bhi ho sakta hai, galat bhi ho sakta hai, lihaza mere qaul par gaur karo jo kitab o sunnat k mutabiq ho uspar amal karo aur jo uske khilaaf ho use chood do". (Ibne Abdul barr Kitab jaamey Bayanul Ilm, Hadees Hujjatul banfasah safa no. 79)

Imam Shaafi Rahimahullah farmate hai "Jab tum meri kitab mein koi baat Sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam k khilaaf pao to meri baat chood do aur sunnat k mutabiq amal karo", ek doosri riwayat mein hai k "Sirf sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki pairvi karo aur kisi bhi dooosre shaks ki baat par tawajjo na do". (Zakarahu Ibne Asakir wannori wa ibne qayyim, Haqeeqatul Fatah Safa no. 75)

Imam Ahmad ibne Hambal Rahimahullah farmate hai "Na meri taqleed karo, na Imam Malik Rahimahullah ki, na Imam Shaafi Rahimahullah ki, na Imam Auozayi Rahimahullah aur Imam Soori Rahimahullah ki balkey deen k ahkaam wahi se loo jaha se inhone liye (Yaani kitab o sunnat se)". (Hamam Adla al absaar, Hadees Hujjatul banfasah Safa no. 80)

Imam Abu Haneefa Rahimahullah farmate hai "Loogo! deen mein apni aqal se baat karne se bacho aur Sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki pairvi ko apne liye laazim karlo, jo koi sunnat se hata, wo gumraah ho gaya". (Meezaan Sheraani, Haqeeqatul Fatah Safa no. 82)

IMAM ABU HANEEFA RAHIMAHULLAH K NAZDEEK HADEES PAR AMAL KARNA HIDAYAT HAI AUR HADEES K BAR'AKS AMAL KARNA GUMRAAHI AUR FASAAD HAI

Imam Abu Haneefa Rahimahullah farmate hai "Loog us waqt hidayat par qayam rahengey jab tak unme ilm e Hadees hasil karne wale mojood rahenge, jab hadees k bagair (deen ka) ilm hasil kiya jayega to loogo mein bigaad aur fasaad paida ho jayega". (Meezaan Sheraani, Haqeeqatul Fatah Safa no. 70)

SUNNAT KI MOJOODGI MEIN RAAYE DARYAFT KARNE WALE KO IMAM MALIK RAHIMAHULLAH NE FITNE MEIN PADNE YA AZAAB MEIN MUBTALA HONE KI TAMBIYAH

Ek aadmi Imam Malik Rahimahullah k paas aaya aur koi masla daryaft kiya, Imam Malik Rahimahullah ne bataya k is baare mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshaad e mubarak ye hai, us aadmi ne arz kiya "Is baare mein aapki kya raaye hai?" Imam Malik Rahimahullah ne jawab mein ye Aayat tilawat farmayi (FAL YAH ZARIL LAZEENA YUKHAALIFOONA AN AMRIHI AN TUSEEBAHUM FITNATUN AOU TUSEEBAHUM AZABUN ALEEM) "Jo loog Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k hukm ki mukhalifat karte hai unhe darna chahiye k wo kisi fitne ya dardnaak azaab mein mubtala na ho jaye". (Sharah Sunnah Juzz e Awwal Safa no. 216)

SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K BAARE MEIN IMAM SHAAFI RAHIMAHULLAH K BAAZ AQWAAL

"Is baat par tamaam musalmano ka ittefaaq hai k jis shaks ko Sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam maloom ho jaye uske liye kisi aadmi k qaul ki khatir sunnat ko tark karna jayez nahi". (Zakarahu ibne Qayyim wal Falaani, Hadees Hujjatul banfasah Safa no. 80)

"Mujhe jab Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki sahih hadees k khilaaf baat karte hue dekho to samajh lo mera dimaag chal gaya". (Zakarahu ibne abi Hatim wa ibne Asakir, Wajoobul amal bis sunnat e Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Sheikh Abdul Azeez bin Baaz Safa no. 27)

Imam Shaafi Rahimahullah farmate hai "Jab sahih hadees mil jaye to wahi mera mazhab hai" neez farmaya "Jab mera qaul hadees k khilaaf pao to Hadees par amal karo aur mera qaul diwaar par de maaro". (Aqdil Jeed, Haqeeqatul Fatah Safa no. 74)

IMAM AHMAD BIN HAMBAL RAHIMAHULLAH KISI AADMI K QAUL KI KHATIR SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO TARK KARNA HALAKAT KA BAA'AS SAMAJHTE THEY

Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah farmate hai "Jisne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki hadees ko radd kar diya wo halakat k kinaare par khada hai" (Zakarahu Ibnul Jauzi, Juzz e Awwal Safa no. 216)

Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah farmate hai "Imam Auozayi Rahimahullah, Imam Malik Rahimahullah, Imam Abu Haneefa Rahiamhullah mein se har ek ki baat raaye hai aur mere nazdeek sabka darja ek jesa hai, hujjat sirf Sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam hai" (Ibne Abdul barr fi Jaamey, Hadees hujjatul banfasah Safa no. 82)

Wednesday, 3 September 2014

SUNNAT - SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM KI NAZAR MEIN

SUNNAT - SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM KI NAZAR MEIN

Bismillahirrahamanirraheem

SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K TAMAAM AQWAAL WA AF'AAL KI MIN WA AN USI TARAH PAIRVI KARNE KI KOSHISH FARMATE JIS TARAH NABI E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE SUNTE YA AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO KARTE DEKHTE THEY, CHAND MISAALEY DARJ E ZAIL HAI
ITTEBA E SUNNAT K LIYE SUNNAT KI MASLEHAT AUR HIKMAT SAMAJH MEIN AANA ZARURI NAHI

1. Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai k ek dafa Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum ko namaz padha rahe they k doraan e namaz Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne joote utaar kar baayi jaanib rakh diye, jab Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne dekha to unhone bhi apne jootey utaar diye, Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne namaz khatam ki, to unhone daryaft farmaya "Tum loogo ne apne jootey kyu utaare?" Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Humne chunkey Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko jootey utaarte hue dekha, lihaza humne bhi apne jootey utaar diye" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mujhe Jibraeel Alaihis Salaam ne aa kar bataya k Mere jooto mein galazat hai" ya kaha takleef deh cheez hai (lihaza mene jootey utaar diye) phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ko naseehat farmayi "Jab masjid mein namaz padhne aao to pehle apne jooto ko acchi tarah dekh liya karo, agar unme galazat ho to use saaf karlo, phir unme namaz padho". (Sahih Sunan Abu Dawood juzz e Awwal Hadees no. 605)

2. Hazrat Abu Rafaey Razi Allahu Anhum farmate hai k marwaan ne Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ko madeena ka (qayim muqaam) governar banaya aur (khud kisi kaam se) makka chale gaye, usi doraan Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ne namaz e juma padhayi, pehli rakaat mein Surah Juma aur doosri rakaat mein Surah Munafiqoon tilawat ki, Hazrat Abu Rafaey Razi Allahu Anhu kehte hai namaz k baad mein Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se mila aur arz kiya aapne wahi suratey tilawat farmayi jo Hazrat Ali Razi Allahu Anhu (apne ahad e khilafat mein) koofa mein padhaya karte they, Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ne farmaya "Mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye dono suratey namaz e juma mein padhte suna hai (isi liye mene padhi hai)". (Sahih Muslim Kitbuj Juma)

3. Hazrat Nafaey Rahimahullah kehte hai k Hazrat Abdullah ibne Umar Razi Allahu Anhu ne baasuri ki aawaaz suni to apni dono ungliya kaano mein thoosli aur raaste ki doosri simt kaafi door nikal gaye aur mujhse pucha "Ae Nafaey! kya kuch sun rahe ho?" mene arz kiya kya "nahi!" tab unhone apni ungliyo kaano se nikaali aur farmaya "Mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath tha, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne baasuri ki aawaaz suni aur aese hi kiya (jese mene ab kiya hai) Hazrat Nafaey ne ye bhi bataya k us waqt mein chooti umar ka ladka tha". (Sahih Sunan Abu Dawood juzz e Saani Hadees no. 4116)

4. Hazrat Halaal bin Yasaaf Razi Allahu Anhu kehte hai hum Saalim bin Ubaidullah k paas they k ek aadmi ne cheenk maari aur kaha "ASSALAMU ALAIKUM" Hazrat Saalim Razi Allahu Anhu ne uske jawab mein kaha "WA ALAIKA WA ALA UMMUKA" (yaani tujh par aur teri maa par bhi salaam) phir kaha jo mene kaha hai shayad us par tujhe nagawaari mehsoos hui hai, aadmi ne jawab diya k meri khawahish thi k tum meri maa ka acche alfaaz mein tazkira karte na bure alfaaz se, to Hazrat Saalim Razi Allahu Anhu ne kaha "Suno mene ye jawab is liye diya hai k hum Nabi E Akram ki khidmat mein hazir they k ek aadmi ne cheenk maari aur "ASSALAMU ALAIKUM" kaha, to uske jawab mein Nabi E Arkam  ne bhi yahi jawab diya "WA ALAIKA WA ALA UMMIKA" (lihaza mene bhi wesa hi kaha hai) aur phir Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne use bataya jab cheenk maro to "ALHAMDULILLAH" kaho raavi kehta hai k Aap  ne baaz degar hamd k kalmaat ka bhi zikr kiya tha aur phir Aap  ne farmaya "cheenkne wale k paas jo shaks mojood ho use "YAR HAMUKALLAH" kehna chahiye aur cheenkne wale ko phir "YAGFIRULLAHU LANA WALAKUM" kehna chahiye. (Mishkaatul Masabeeh juzz e Saani Hadees no. 4741)

5. Hazrat Nafaey Rahimahullah se riwayat hai k ek aadmi ne Hazrat Abdullah ibne Umar Razi Allahu Anhu k paas cheenk mari aur kaha "ALHAMDU LILLAHI WAS SALAAMU ALA RASOOLILLAH" Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu ne farmaya "ALHAMDU LILLAHI WAS SALAAMU ALA RASOOLILLAH" to mein bhi kehta hu (yaani mujhey bhi Rasool Allah  par salaam bhejne mein koi aetraaz nahi) lekin Rasool Allah  ne hamey yuh sikhlaya hai (cheenk k baad) hum "ALHAMU LILLAHI ALA KULLI HAAL" (yaani har haal mein Allah ta'ala ka shukr hai) kahe (lihaza jo sunnat tareeqa hai wahi ikhtiyaar karo). (Sahih Sunan Tirmizi juzz e Saani Hadees no. 2200)

6. Hazrat Zaid bin Aslam Razi Allahu Anhu apne baap se riwayat kare hai k Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu ne Hajra e aswad ko mukhatib karke kaha "Wallah! mein jaanta hu tu ek patthar hai na nuksaan pahuncha sakta hai na nafa de sakta hai agar mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko istalaam (hajra e aswad ko haath laga kar boosa dena) na karte dekha hota to tujhe kabhi boosa choomta nahi" phir farmaya ab hamey ramal karne ki kya zarurat hai, ramal to dushmano ko dikhane k liye tha ab to Allah ta'ala ne unhe halaak kar diya, phir khud hi farmaya lekin ramal to wo cheez hai jo Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki sunnat hai aur sunnat chootna hamey pasand nahi. (Al loo loo wal Marjaan juzz e Awwal Hadees no. 799)

7. Hazrat Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas jab khana laya jata to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam us se tanawul farmane k baad mere paas bhej dete, ek rooz Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne bartan joo ka tooh khaye bagair meri taraf bhej diya kyunki unme lahsun tha, mene Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha "Kya lahsun haraam hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Nahi! lekin mein uski booh ki wajah se use pasand nahi karta". (Sahih Muslim Kitabul Ashraba)

8. Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Islam ki bunyaad paanch cheezo par hai, Allah ta'la ki touheed, namaz qayam karna, zakaat ada karna, ramazaan k roozey aur hajj ada karna" ek aadmi ne (baat dohrakar) pucha "Hajj aur ramazaan k roozey?" Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu ne farmaya "(Nahi) ramazaan k roozey aur hajj, mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se is tarteeb se hadees suni thi". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

9. Hazrat Zaid bin Aslam Razi Allahu Anhu farmate hai mene Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu ko khuley batno k saath namaz padhte hue dekha, to mene unse pucha "Aap aesa kyu karte ho?" to Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu ne jawab diya "Mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko aese hi namaz padhte hue dekha hai". (Sahih Ibne Khuzaima, Sahih Targeeb wa Tarheeb juzz e Awwal)

10. Hazrat Mujahid Rahimahullah kehte hai hum Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu k saath ek safar mein ja rahe they ek jagah se guzrey, to Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu raaste se door hatt gaye, unse pucha gaya "Aapne aesa kyu kiya?" Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu ne jawab diya "Mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko aese hi karte dekha hai, isliye mene aesa kiya hai". (Sahih Targeeb wa Tarheeb juzz e Awwal Hadees no. 44)

11. Hazrat Anas bin Seereen Rahimahullah farmate hai mein Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu k saath arfaat mein tha jab wo kahi jaate to mein bhi unke saath jata, yaha tak k hum imam k paas pahunchey aur uske saath namaz e zuhar wa asar (jama kar k) ada ki, phir Abdullh bin Umar Razi Allahu Anhu ne waqoof farmaya, to mein aur mere saathiyo ne bhi unke saath waqoof kiya, yaha tak k imam (arfaat se) wapas loote to hum bhi unke saath wapas loote yaha tak k usi tang raaste par pahunchey jo maaz mein (jagah ka naam) se pehle hai waha pahunch kar Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu ne apni sawaari bithwa di aur humne abhi apni sawaariya bitha di, hamara khayal tha k ab Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu namaz padhenge lekin jo mulazim unki sawari par mutaeen tha, usne bataya k Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu namaz nahi padhna chahte balke Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam yaha pahunch kar haajat e zarooriya se farig hue they, chunanchey Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu bhi usi jagah haajat e zaruriya se faarig hona pasand karte they. (Sahih Targeeb wa Tarheeb juzz e Awwal Hadees no. 46)

12. Hazrat Anas bin Seereen Rahimahullah farmate hai k Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu shaam se tashreef laye to aeen tamar k muqaam par humne unka istaqbaal kiya, mene unhe gadhey par namaz padhte dekha aur gaadhey ka rukh qibley ki bajaye qibley k daaye taraf tha, mene Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se pucha "Aapne qibley ki taraf rukh kiye bagair namaz kyu padhi hai?" unhone farmaya "Agar mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko isi tarah namaz padhte na dekhta to kabhi namaz na padhta". (Sahih Bukhari wa Muslim Kitabut Tafseerus Salaat)

13. Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne sooney (gold) ki ek angoothi banwayi, to Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne bhi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko dekha dekhi angoothiya banwali, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mene sooney ki angoothi banwayi thi" (tumne bhi banwaali) chunanchey Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne angoothi utaar phenki aur farmaya "Ab mein kabhi istemaal nahi karunga" (Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki itteba mein) Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne bhi apni apni angoothiya utaar kar phenk di. (Sahih Bukhari Kitabul Aetasaam bil Kitabis Sunnah)

14. Sahabi E Rasool Hazrat Ibne Hanzala Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Agar khareem asdi k baal lambey na hoote aur tahband neechey latka na hota to bahut accha aadmi lagta" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ye baat khareem asdi tak pahunchi, to khud hi churi le kar kaano tak apne baat kaat diye aur tahband nisf pindliyo tak uncha kar liya. (Sahih Sunan Abu Dawood Juzz e Saani Hadees no. 4461)

15. Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek aadmi k haath mein sooney ki angoothi dekhi to use utaar kar phenk diya aur farmaya "Tum mein se koi sooney ki angoothi pehan kar gooya aag k angaarey ka qasad karta hai" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k tashreef le jaane k baad us aadmi se kaha gaya angoothi utha lo aur us se koi (doosra) faida hasil karlo (yaani apni beewi ya behan ko de do ya farokht karo) Sahabi ne kaha "Allah ki qasam! jis angoothi ko Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne phenk diya hai use kabhi na uthaunga". (Sahih Mulim Kitabul Libaas waz Zeenah)
16. Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek martaba juma k din Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam (khutba dene k liye) mimbar par tashreef laaye to farmaya "loogo! baith jao" Hazrat Abdullah bin Masood Razi Allahu Anhu ne suna to masjid k darwaazey par hi baith gaye, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dekha to farmaya "Abdullah! masjid k andar aa kar baitho". (Sahih Sunan Abu Dawood juzz E Awwal Hadees no. 203)

Monday, 1 September 2014

SUNNAT PAR AMAL KARNA WAJIB HAI

SUNNAT PAR AMAL KARNA WAJIB HAI

Bismillahirrahmanirraheem

ALLAH TA'ALA K AHKAMAAT KI TARAH RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K AHKAMAAT BHI WAJIBUL ITTEBA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hame khutba diya jisme irshad farmaya: "Allah ta'ala ne tum par hajj farz kiya hai, lihaza hajj karo" Ek aadmi ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! kya har saal hajj ada kare?" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam khamoosh rahe, us aadmi ne teen martaba sawal kiya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Agar mein "han" keh deta to tum par har saal hajj ada karna wajib ho jata aur phir us par amal karna tumhare liye mumkin na hota, lihaza jitni baat mein tumse kahu usi par iktafa kiya karo, agle loog ise liye halaak hue k wo apne nabiyo se zayada sawal aur ikhtalaaf karte they" (phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya) "Jab mein tumhey kisi baat ka hukm du to (kuraid ki bajaye) apni istata'at k mutabiq us par amal karo aur jis cheez se mana karu use chood do". (Sahih Muslim Kitabul Hajj)

Hazrat Abu Saeed bin Mualla Razi Allahu Anhu farmate hai mein masjid mein namaz padh raha tha, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhe aawaaz di, mene jawab na diya phir (namaz khatam kar k) jab Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua, to arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mein namaz padh raha tha (is liye Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k bulane par hazir na ho saka) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Kya Allah ta'ala ne (quran majeed mein) ye hukm nahi diya "Loogo! Allah aur uska Rasool jab tumhe bulaye to uske hukm ki tameel karo". (Sahih Bukhari)

Hazrat Abdullah bin Masood Razi Allahu Anhu ne farmaya: "Allah ta'ala ne jism goondne wali aur gudwaane wali, chehre k baal ukhadne aur ukhadwaane walo par, khoobsurti k liye daant (ragad kar) khule karwane waliyo par (neez) Allah ta'ala ki banawat ko tabdeel karne waliyo par laanat farmayi hai" Bani Asad ki ek aurat ummey yaqoob ne ye baat suni jo k quran padha karti thi, to Hazrat Abdullah bin Masood Razi Allahu Anhu k paas ayi aur kaha, mene suna hai "Tumne jism gudwaane aur goodne waliyo par, chehre k baal ukhaadne aur ukhadwaane waliyo par daanto ko kushaada karwane waliyo aur Allah ta'ala ki banawat ko badalne waliyo par lanat ki hai?" Hazrat Abdullah bin Masood Razi Allahu Anhu ne kaha: "Mein us par laanat kyu na karu jis par Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne laanat farmayi hai aur ye (yaani is baat ka zikr) to Allah ta'ala ki kitab mein mojood hai" us aurat ne kaha "Mene (apne paas mehfooz) do takhtiyo k darmiyaan sara quran padh daala hai, lekin mujhe to usme kahi is baat ka zikr nahi mila" Hazrat Abdullah Razi Allahu Anhu ne farmaya: "Agar to quran gaur se padhti (jis tarah gaur se padhne ka haqq hai) to tujhe ye baat mil jaati" Allah ta'ala farmata hai "Rasool jis baat ka hukm de us par amal karo aur jis se mana kare us se baaz aa jao" phir wo aurat booli "Un baato mein se baaz baatey to tumhari beewi mein bhi hai" Hazrat Abdullah Razi Allahu Anhu ne kaha "Jao ja kar dekh lo" wo aurat gayi to unki beewi mein aesi koi baat na payi tab wo wapas ayi aur kehne lagi "Unme se to koi baat mene tumhari beewi mein nahi dekhi" Hazrat Abdullah Razi Allahu Anhu ne farmaya "Agar wo aesa karti to hum kabhi us se sohbat na karte". (Al loo loo wal Marjaan juzz e Saani Hadees no. 1377)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI ITA'AT ALLAH KI ITA'AT HAI AUR RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI NAFARMANI ALLAH KI NAFARMANI HAI, LIHAZA DONO KI ITA'AT EK HI DARJEY MEIN WAJIB HAI

Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu farmate hai farishto ki ek jama'at Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hui, us waqt Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam soo rahe they, farishto ne aapas mein kaha "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ek misaal hai, wo bayan karo" kuch farishto ne kaha "Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam to soo rahe hai (yaani unke saamne misaal bayan karne se kya faida?)" lekin kuch doosre farishto ne kaha "Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki misaal us aadmi ki si hai jisne ek ghar taameer kiya, khana pakaya aur phir loogo ko bulane k liye ek aadmi bheja, jisne bulane wale ki baat maan li wo ghar mein dakhil hua aur khana kha liya, jisne bulane wale ki baat na maani wo ghar mein dakhil hua na khana khaya"  phir kuch farishto ne kaha "is misaal ki wazahat karo takey Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam acchi tarah samajh le" baaz farishto ne phir ye baat dohraayi "Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam to soo rahe hai" lekin doosre ne jawab diya "Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki aankh to soo rahi hai lekin dil jaag raha hai" chunachey farishto ne misaal ki yu wazahat ki "ghar se muraad jannat hai (jise Allah ta'ala ne taameer kiya hai) aur loogo ko bulane wale Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam hai, pas jisne Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki baat maan li usne gooya Allah ta'ala ki baat maani aur jisne Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki baat na maan'ne se inkaar kiya, usne gooya Allah ta'ala ki baat maan'ne se inkaar kiya aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam loogo k darmiyaan fark karne wale hai (yaani kaun farmabardaar hai aur kaun na-farmaan)". (Sahih Bukhari Kitabul Aetasaam bil Kitabis Sunnah)

Hazrat Miqdaam bin Maadi Karb Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Loogo, yaad rakkho! quran hi ki tarah ek aur cheez (Yaani Hadees) mujhe Allah ki taraf se di gayi hai, khabardaar! ek waqt ayega k ek pait bhara (yaani takabbur shaks) apni musnad par takiya lagaye baitha hoga aur kahega loogo! tumhare liye ye quran hi kaafi hai is mein jo cheez halaal hai bas wahi halaal hai aur jo cheez haraam hai bas wahi haraam hai, halankey jo kuch Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne haraam kiya hai wo aese hi haraam hai jese Allah ne haraam kiya hai, suno! gharelu gadha bhi tumhare liye halaal nahi (halankey quran mein uski hurmat ka zikr nahi) na hi wo darindey jinki kuchliya (yaani now kiye (teekhey) daant jinse wo shikaar karte hai) hai, na hi kisi zimmey ki giri padi cheez kisi k liye halaal hai, han albatta agar uske maalik ko uski zarurat hi na ho to phir jayez hai". (Sahih Sunan Abu Dawood juzz e Saani Hadees no. 3848)

SHARIYAT MEIN SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM AUR KITABULLAH K AHKAMAAT EK HI DARJA RAKHTE HAI

Hazrat Abu Hurairah aur Zaid bin Khalid Juhni Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek dehaati Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mein aap ko Allah ki qasam deta hu k mera faisla kitabullah k mutabik kijiye" muqadmey ka doosra fareeq zayada samajhdaar tha usne arz kiya "Han ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! hamare darmiyaan kitabullah k mutabiq hi faisla farmaye, lekin mujhey baat karne ki ijazat di jaye" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya accha baat karo, usne arz kiya "Mera baita uske ghar nokar tha usne uski beewi se zina kiya loogo ne mujhse kaha tere baite k liye rajm ki saza hai mene uske badle soo bakriya sadqa ki aur ek loondi aazaad ki, phir mene ulama se pucha to unhone kaha tere baite k liye 100 koodo ki saza aur ek saal ki jila watni hai aur fareeq saani ki beewi k liye sangsaari ki saza hai" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "us zaat ki qasam! jiske haath mein meri jaan hai, mein tumhare darmiyaan kitabullah k mutabiq hi faisla karunga" fareeq awwal ko hukm diya k "apni bakriyo aur loondi wapas le lo tumhare baite k liye 100 koode hai aur saal ki jila watni ki saza hai" phir ek Sahabi (Unais Razi Allahu Anhu) ko hukm diya k tum kal us aurat se ja kar pucho agar wo zina ka ikraar kare to use sangsaar kardo" Hazrat Unais Razi Allahu Anhu agle rooz gaye aurat ne zina ka iqraar kar liya to Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k hukm se wo sangsaar kardi gayi. (Al loo loo wal Marjaan juzz e Saani Hadees no. 1103)

GUMRAHI SE BACHNE K LIYE KITABULLAH AUR SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM DONO KI TARAF PAIRVI KA HUKM

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Mein tumhare darmiyan do chizey choode ja raha hu k agar unpar amal karoge to kabhi gumrah nahi honge ek Allah ki kitab aur doosri meri Sunnat". (Mustadrak E Hakim, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 2937)

JO AMAL SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K MUTABIQ NA HO, WO ALLAH TA'ALA K HAN QABIL E QUBOOL NAHI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jisne deen mein koi aesa kaam kiya jiski bunyaad shariyat mein nahi, wo kaam mardood hai". (Al loo loo wal Marjaan Juz e saani Hadees no. 1120)

DEENI MASA'IL MEIN NABI E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI BA'ZARIYA E WAHI REHNUMAYI KI JAATI, JIS KI ITA'AT ALLAH TA'ALA K HUKM KI TARAH HI WAJIB HAI, CHAND MISAALEY MULAHIZA FARMAIYE

1. Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu kehte hai mein bimaar tha to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur Hazrat Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu iyadat k liye tashreef laye mein behosh tha, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne wuzu kiya aur wuzu ka paani mujh par dala, jis se mein hoosh mein aa gaya, mene arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! ek baar Hazrat Sufyaan Razi Allahu Anhu ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha tha k mein apne maal ka kya faisla karu?" phir Hazrat Sufyaan Razi Allahu Anhu ne bataya k "Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne us waqt koi jawab na diya jab tka meraas ki aayat na utri". (Sahih Bukhari Kitabul Aetasaam bil Kitabis Sunnah)

2. Hazrat Sahal bin Saad Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek aadmi Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas hazir hua aur arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! agar koi shaks apni beewi ko gair mard k saath dekhey to kya kare? agar qatal kare to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam use (qasaas) mein qatal karwadege, phir aakhir kya kare?" (Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne koi jawab na diya hatta k) Allah ta'ala ne un dono k baare mein quran majeed mein la'aan ka hukm nazil farmaya, tab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne us shaks se farmaya "Tera aur teri beewi ka faisla ho gaya, chunanchey dono ne la'aan kiya (raavi kehte hai) mein us waqt Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas mojood tha, tab ye sunnat jaari hui k la'aan karne wale miya beewi mein judayi karadi jaye". (Sahih Bukhari Kitabut Tafseer)

3. Hazrat Abdullah bin Masood Razi Allahu Anhu kehte hai ek dafa mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath ek baag mein tha, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam khajoor ki ek chadi par taik lagaye hue they k yahoodi guzrey wo aapas mein ek doosre se kehne lage un (yaani Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam) se rooh k baare mein sawal karo, (unme se) ek ne kaha "Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam k baare mein tumhey kis cheez ne shak mein daal diya hai (k wo paigambar hi na ho)" kuch yahoodiyo ne kaha "Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam koi aesi baat na keh de, jo tumhe na'gawaar guzrey, phir unhone (faisla karke) kaha "accha chalo sawal karo" chunanchey yahoodiyo ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha "Rooh kya cheez hai?" Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam khamoosh rahe unhe koi jawab na diya, mein samajh gaya k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam par wahi nazil ho rahi hai chunanchey apni jagah par khada raha, jab wahi nazil ho chuki to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye aayat tilawat farmayi (WA YAS ALOONAKA INIR ROOHU QULIR ROOHU MIN AMRI RABBI) "Ae Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam! loog Aap se rooh k baare mein sawal karte hai, keh dijiye rooh mere rabb ka hukm hai aur tum ko (us baarey mein) kam hi ilm diya gaya hai. (Surah Bani Israeel Ayat no. 85)". (Sahih Bukhari Kitabut Tafseer)

QURAN MAJEED K ALAWA BHI ALLAH TA'ALA, NABI E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO DEEN K AHKAMAAT SIKHATE THEY JIN PAR EMAAN LANA AUR AMAL KARNA USI TARAH WAJIB HAI JIS TARAH QURAN MAJEED K AHKAMAAT PAR EMAAN LANA AUR AMAL KARNA WAJIB HAI, CHAND MISALEY DARJ E ZAIL HAI
1. Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah ta'ala ne musafir ko nisf namaz ki rukhsat aur rooza mu'akkhar karne ki rukhsat di hai jabke hamila aur doodh pilane wali aurat ko (sirf) rooza mu'akkhar karne ki rukhsat di hai". (Sahih Sunan Nasayi juzz e Saani Hadees no. 2145)

Wazahat: Quran Majeed mein Allah ta'ala ne sirf musafir aur bimaar ka zikr kiya hai jabkey yaha hamila aur doodh pilane wali aurat ko di gayi rukhsat ko bhi Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Allah ta'ala ki taraf mansoob kiya hai.

2. Hazrat Abu Saeed Razi Allahu Anhu kehte hai ek aurat Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hui aur arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Aap ki saari talimaat (Ahadees) mardo ne le li hai, (Haftey mein) ek din hamari taleem k liye bhi muqarrar farma dijye jisme hame wo baatey sikhlaiye jo Allah ta'ala ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko sikhlayi hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Accha fala fala din fala fala jagah jama hua karo" chunanchey auratey jama hui aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unke paas tashreef le gaye aur jo baatey Allah ta'ala ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko sikhlayi thi wo unko sikhlayi, phir farmaya "Tum mein se jo aurat apne teen bacchey aagey bhej chuki hai (yaani faut ho chukey hai) to qayamat k rooz wo bacchey (sabr karne par) uske liye jahannam se rukawat banege" ek aurat ne sawal kiya "agar do bacchey hue ho?" aurat ne do ka lafz dohraya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne jawab diya "Han do bhi, do bhi, do bhi (teen martaba kaha)". (Sahih Bukhari Kitabul Aetasaam bil Kitabis Sunnah)

3. Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se aur Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam apne rabb se riwayat karte hai k Allah ta'ala irshad farmata hai "Har amal ka badla hai aur rooza mere liye hai mein hi uska badla dunga, rooza-daar k muh ki buh Allah ta'ala k nazdeek mushk ki khushbu se zayada acchi hai". (Sahih Bukhari Kitabut Tauheed)

4. Hazrat Anas Razi Allahu Anhu Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam apne rabb se riwayat karte hai k Allah ta'ala farmata hai "Jab koi banda balisht meri taraf aata hai to mein haath bhar uski taraf aata hu, jab banda haath bhar meri taraf aata hai to mein do haath uski taraf badhata hu jab banda chal kar meri taraf ata hai to mein doud (bhaag) kar uski taraf ata hu". (Sahih Bukhari Kitabut Tauheed)

5. Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya, Allah ta'ala irshad farmata hai "Kibriyayi meri oudhni hai aur azmat meri chadar hai jisne in dono mein se kisi ek ko mujhse cheena, mein use jahannam mein phenk dunga". (Sahih Sunan Abu Dawood juzz e Saani Hadees no. 2446)

6. Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya, Allah ta'ala irshad farmata hai "Ae ibne aadam! to (meri raah mein) kharch kar, tujh par kharch kiya jayega". (Sahih Bukhari Kitabut Tafseer)

Wazahat: Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka Allah ta'ala se barah e Raast riwayat karna is baat ki daleel hai k Quran majeed k alawa baaz doosre shari ahkamaat bhi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko Allah ta'ala ki taraf se sikhlaye jate they.

Saturday, 30 August 2014

QURAN SAMAJHNE K LIYE SUNNAT KI ZARURAT

QURAN SAMAJHNE K LIYE SUNNAT KI ZARURAT

Bismillahirrahamanirraheem

SUNNAT (HADEES) K BAGAIR QURAN MAJEED SE TAMAAM SHARI MASA'IL MALOOM KARNA MUMKIN NAHI
SUNNAT MEIN BAYAN KIYE GAYE AHKAMAAT, QURAN MAJEED K AHKAMAAT KI TARAH WAJIBUL ITTEBA HAI

Hazrat Miqdaam bin Maadi Karb Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Loogo, yaad rakkho! quran hi ki tarah ek aur cheez (Yaani Hadees) mujhe Allah ki taraf se di gayi hai, khabardaar! ek waqt ayega k ek pait bhara (yaani takabbur shaks) apni musnad par takiya lagaye baitha hoga aur kahega loogo! tumhare liye ye quran hi kaafi hai is mein jo cheez halaal hai bas wahi halaal hai aur jo cheez haraam hai bas wahi haraam hai, halankey jo kuch Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne haraam kiya hai wo aese hi haraam hai jese Allah ne haraam kiya hai, suno! gharelu gadha bhi tumhare liye halaal nahi (halankey quran mein uski hurmat ka zikr nahi) na hi wo darindey jinki kuchliya (yaani now kiye (teekhey) daant jinse wo shikaar karte hai) hai, na hi kisi zimmey ki giri padi cheez kisi k liye halaal hai, han albatta agar uske maalik ko uski zarurat hi na ho to phir jayez hai". (Sahih Sunan Abu Dawood juzz e Saani Hadees no. 3848)

Hazrat Abu Raafee Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "(loogo!) mein tum mein se kisi ko is haal mein na pau k wo apni musnad par takiya lagaye baitha ho uske paas mere un ahkamaat mein se jinka mene hukm diya, ya jinse mene mana kiya hai, koi hukm aye aur wo yuh kahe mein to (Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k is hukm ko) nahi jaanta, humne jo kitabullah mein paya usi par amal kar liya (yaani hamare liye wahi kaafi hai)". (Sahih Sunan Abu Dawood Juzz e Saani Hadees no. 3849)

QURAN E MAJEED KO SUNNAT K ZARIYE HI SAMJHA JA SAKTA HAI, CHAND MISAALEY DARJ E ZAIL HAI

1. Hazrat Huzaifah Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Diyanat-daari aasamano se loogo k dilo mein utri hai (yaani insan ki fitrat mein shamil hai) aur quran bhi (aasman se) nazil hua hai jise loogo ne padha aur sunnat k zariye samjha". (Sahih Bukhari Kitabul Aetasaam bil Kitabis Sunnah)

2. Hazrat Yaala bin Ummayah Razi Allahu Anhu kehte hai mene Hazrat Umar Razi Allahu Anhu se pucha "Allah ta'ala farmata hai agar tumhey kafiro k sataane ka khauf ho to namaz qasar kar lene mein koi harj nahi aur ab jabke zamana e aman hai (to kya phir bhi qasar ki rukhsat hai) to Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne kaha mujhe bhi tumhari tarah tajjub hua tha, to mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se masla daryaft kiya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k (doran e safar khauf ho ya na ho) Allah ta'ala ne tumhey sadqa diya hai, lihaza uska sadqa qubool karo". (Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 433)

3. Hazrat Adi bin Hatim Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se roozey k baarey mein sawal kiya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "(Sehri us waqt tak khao piyo) jab tak safaid dhari siyah dhari se alag nazar na aye" chunanchey mene 2 dooriya (dhagey) li, unme se ek safaid, doosri siyah thi aur (raat bhar) dono ki taraf dekhta raha (mene ye soorat e haal Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko batayi to) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhse koi aesi baat kahi, jo Abu Sufyaan ko yaad nahi rahi phir farmaya "Is se muraad raat aur din hai". (Sahih Sunan Tirmizi juzz e Saani Hadees no. 2372)

4. Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu kehte hai ye aayat nazil hui "Wo loog jinhone apne emaan mein zulm shamil nahi kiya (Surah Anaam Ayat no. 83)" to tamaam musalman pareshan ho gaye aur arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! hum mein se kaun aesa hai jisne koi zulm (yaani gunah) na kiya ho? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Ayat mein zulm se muraad, gunah nahi balkey shirk hai, kya tumne Hazrat Luqman Alaihis Salaam ko apne baitey ko nasihat suni ae mere baitey! Allah k saath shirk na karna, kyunki shirk bahut bada zulm hai". (Sahih Sunan Tirmizi juzz e Saani Hadees no. 2452)

SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NAZAR ANDAAZ KARENE SE BAAZ SHARI AHKAAM NA MUKAMMAL AUR GAIR WAZEY REHTE HAI, MUKAMMAL DEEN SAMAJHNE AUR US PAR AMAL KARNE K LIYE QURAN MAJEED K SAATH SAATH SUNNAT KI PAIRVI AUR ITTEBA BHI ZARURI HAI, CHAND MISAALEY DARJ E ZAIL HAI


1. Quran majeed ne sirf musafir aur bimaar ko ramazaan mein roozey chood kar qaza ada karne ki rukhsat di hai jabkey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne musafir aur bimaar k alawa haiza aur doodh pilaane wali aurato ko bhi rooza chood kar baad mein ada karne ki rukhsat di hai.

QURAN MAJEED KA HUKM:

"Tum mein se jo shaks bimaar ho ya safar mein ho (aur roza na rakkhey) to (ramazaan k baad) doosre dino mein ginti poori kare". (Surah Baqarah Ayat no. 184)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA HUKM:

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah ta'ala ne musafiro ko rooza mu'akkhar karne aur nisf namaz ki rukhsat di hai jabke hamila aur doodh pilane wali aurat ko sirf rooza mu'akkhar karne ki rukhsat di hai". (Sahih Sunan Nasayi Juzz e Saani Hadees no. 2145)

Hazrat Abu Zanaad Rahimahullah farmate hai masnoon aur shari ahkaam basa auqaat raaye k bar-aks hote hai lekin musalmano par un ahkaam ki pairvi karna lazim hai unhi ahkaam mein se ek ye bhi hai k haiza roozo ki qaza ada kare, lekin namaz ki qaza ada na kare. (Sahih Bukhari Kitabus Saum)


2. Quran majeed ne zaani mard aur zaani aurat ko 100-100 koodey maarne ka hukm diya hai jabke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne gair shadi-shuda mard aur aurat ko 100-100 koodey maane ka hukm diya hai aur shadi-shuda mard aur aurat ko sangsaar karne ki saza di hai.

QURAN MAJEED KA HUKM:

"Zaniya aurat aur zaani mard dono mein se har ek ko 100-100 koodey maro aur Allah ta'ala k deen (ko nafiz karne) k maamley mein tumko taras na aye, agar tum Allah aur yaum e akhirat par emaan rakhte ho". (Surah Noor Ayat no. 2)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA HUKM:

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai k Maaiz bin Malik Razi Allahu Anhu, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hue aur do martaba zina ka aetraaf kiya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unhe wapas loota diya, Hazrat Maaiz Razi Allahu Anhu phir hazir hue aur do martaba zina ka aetraaf kiya, tab Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Tumne char martaba apne khilaf gawahi de di (tab loogo ko hukm diya) jao use sangsaar kardo". (Sahih Sunan Abu Dawood juzz e Saani Hadees no. 3823)


3. Quran majeed ne tamaam murdaar haraam qarar de diye hai jabkey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mari hui machli halal qaraar di hai.

QURAN MAJEED KA HUKM:

"Haraam kiya gaya hai tum par murdaar, khoon, khinzeer ka goosht aur har wo janwar jispar (zibah karte waqt) Allah k alawa kisi aur ka naam liya jaye". (Surah Maaida Ayat no. 3)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA HUKM:

Hazrat jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se samundar k baarey mein sawal kiya gaya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Samundar ka paani paak hai aur uska murdaar (yaani machli) halal hai". (Sahih Ibne Khuzaimah Juzz e Awwal Hadees no. 112)


4. Quran e majeed ne mardo aur aurato k liye har tarah ki zeenat ko jayez aur halaal qaraar diya hai jabke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mardo k liye soona aur raisham haraam qaraar diya hai.

QURAN MAJEED KA HUKM:

"Ae Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam)! un se kaho jisne rizk ki pakeezah cheezo ko aur Allah ki us zeenat ko haraam qaraar diya jise Allah ne apne bando k liye nikaala hai". (Surah Aaraaf Ayat no. 32)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA HUKM:

Hazrat Abu Moosa Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Meri ummat ki aurato k liye soona aur resham halal kiya gaya hai aur mardo k liye haram kiya gaya hai". (Sahih Sunan Nasayi juzz e Saani Hadees no. 4754)


5. Quran majeed ne wuzu ka tareeqa muh aur haath kohniyo tak dhoona phir sar ka masah aur pao ka dhoona bataya hai jabke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne teen martaba haath dhoona, teen martaba kulli karna, teen martaba naam saaf karna aur phir muh dhoona, teen martaba dono haath kohniyo tak dhoona, uske baad sar aur kaano ka masah karna aur phir teen martaba dono pao takhno tak dhoona bataya hai.

QURAN MAJEED KA HUKM:

"Ae loogo, jo emaan laye ho! jab namaz k liye utho to muh aur apne haath kohniyo tak dhulo, saro  par masah karlo aur pao ko takhno tak dho liya karo". (Surah Maaidah Ayat no. 6)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA HUKM:

Hazrat Humraan Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Hazrat Usman Razi Allahu Anhu ne wuzu k liye paani mangwaya aur bartan se dono haato par paani daala aur dono haato ko teen baar dhooya phir apna haath bartan mein dala, kulli ki, naak saaf ki aur unme paani dala, phir apna chehra teen martaba dhooya aur kohniyo tak baazu teen martaba dhooye phir sar ka masah kiya phir teen martaba dono pao dhooye phir farmaya "Mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko isi tarah wuzu karte dekha hai". (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim Kitabul Wuzu)

Wednesday, 27 August 2014

SUNNAT KI MOJOODGI MEIN RAAYE KI HESIYAT

SUNNAT KI MOJOODGI MEIN RAAYE KI HESIYAT

Bismaillahirrahmanirraheem

SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PAR AMAL KARNE KI BAJAYE APNI MARZI SE ZAYADA AMAL KARKE ZAYADA SAWAB HASIL KARNE KI KHAWAHISH PAR AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE IZHAAR E NARAAZGI FARMAYA

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu farmate hai teen sahabi azwaaj e mutahharaat Razi Allahu Anhum k gharo mein hazir hue aur Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ibadat k baare mein sawal kiya jab unhe bataya gaya to unhone Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ibadat ko kam samajha aur aapas mein kaha Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k muqabaley mein hamara kya muqaam hai unki to agli pichli saari khtaye maaf kardi gayi hai (lihaza hame Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se zayada ibadat karni chahiye) unmey se ek ne kaha mein hamesha saari raat namaz padhunga (aaraam nahi karunga) doosre na kaha mein hamesha roozey rakkhunga aur kabhi tark nahi karunga, teesre na kaha mein aurato se alag rahunga aur kabhi nikah nahi karunga jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam tashreef laye to un se pucha "Kya tumne aesa aur aesa kaha hai?" (unke iqraar par) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Khabardaar! Allah ki qasam mein tum sab se zayada Allah ta'ala se darne wala aur tum sab se zayada parhaizgaar hu, lekin mein rooza rakhta hu, tark bhi karta hu, raat ko qayam bhi karta hu aur aaraam bhi karta hu, aurato se nikha bhi kiye hai (yaad rakkho) jisne meri sunnat se muh mooda uska mujhse koi talluq nahi". (Sahih Bukhari Kitabun Nikah)

SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PAR AMAL KARNE KI BAJAYE APNI RAAYI PAR AMAL KARNE WALO KO RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE "NAFARMAAN" KAHA HAI

Hazrat Arwah bin Zubair Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu ne farmaya: "Mein koi aesi cheez nahi chood sakta jis par Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam amal kiya karte they, kyunki mujhey darr hai k agar mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k qaul wa fail mein koi cheez bhi chood dunga to gumraah ho jaunga". (Al loo loo wal Marjaan Kitabul Jihad Hadees no. 1150)

SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM FAISLA KARTE WAQT APNI RAAYE PAR AMAL KARNE SE PEHLE HAMESHA SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI TARAF RUJU FARMATE
SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA ILM HOTE HI SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM APNI RAAYE WAPAS LE LETE THEY
ITTEBA E SUNNAT HI MUSALMANO K BA'HAMI IKHTALAFAAT KHATAM KARNE KA WAHID RAASTA HAI

Hazrat Qubaisah bin Zuyeb Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek mayyat ki naani Hazrat Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu k paas meraas maangne aayi, Hazrat Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu ne farmaya "Quraani ahkaam k mutabiq meraas mein tumhara koi hissa nahi aur na hi mene is baare mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se koi hadees suni hai, lihaza wapas chali jao, mein is baare mein loogo se daryaft karunga" chunanchey Hazrat Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu ne loogo se pucha to Hazrat Mugeera bin Shuba Razi Allahu Anhu ne kaha "Meri mojoodgi mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne naani ko chatha (6th) hissa dilaya hai" Hazrat Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu ne pucha "Koi aur bhi iska gawah hai?" Hazrat Muhammad bin Maslamah Ansari ne bhi is hadees ki ta'eed ki, chunanchey Hazrat Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu ne naani ko chatha (6th) hissa dila diya. (Sahih Sunan Abu Dawood juz e Awwal Hadees no. 2888)

Hazrat Saeed Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu farmaya karte they "Dayat sirf walid k rishtedaro k liye hai lihaza beewi ko apne shohar ki dayat se koi hissa nahi milta" Zahaak bin Sufyaan Razi Allahu Anhu ne (Hazrat Umar Razi Allahu Anhu) se kaha Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhe ye paigaam likhwa kar bhijwaya k mein Aseem Siyaabi ki beewi ko uske shohar ki dayat se hissa dilau, chunanchey Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne apni raaye se ruju kar liya. (Sahih Sunan Abu Dawood juz e Awwal Hadees no. 2921)

Hazrat Miswar bin Makhramah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne pait k bacchey ki dayat k baare mein loogo se mashwara kiya, to Hazrat Mugeerah bin Shuba Razi Allahu Anhu ne kaha Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne is par ek gulam ya loondi aazaad karne ka hukm diya hai, Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne farmaya "Apni baat par gawah lao" chunanchey Hazrat Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu ne is baat ki tasdeeq ki (Is k baad Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne Sunnat E Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam k mutabiq faisla farmaya). (Sahih Muslim Kitabul Qasamah)

Hazrat Bajalah Razi Allahu Anhu kehte hai "Mein ahnf k chacha juzz bin Muaviyah ka munshi tha, hamey Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ka ek khat unki wafaat se ek saal qabl mila, jisme likha tha k jis munshi ne apni mahram aurat se nikah kiya ho unhe alag karo, Hazrat Umar Razi Allahu Anhu majoosiyo se jizya nahi lete they, lekin jab Hazrat Abdur Rahman bin Aouf Razi Allahu Anhu ne gawahi di k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam majoosiyo se jizya liya karte they (to Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne bhi jizya lena shuru kar diya)". (Sahih Bukhari Kitabul Jizya)

Hazrat Zainab binte Kaab bin Ujrah Razi Allahu Anha se riwayat hai k Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu ki behan Fureah binte Malik bin Sunaan Razi Allahu Anha ne unhe bataya k wo Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas aayi aur pucha "Kya wo bani khudrah mein apne ghar ja sakti hai?" kyunki mere khawind k chand gulaam bhaag gaye they wo unhe dhundhne nikle jab tarfe qadoom (ek muqaam hai madeena se saat meel par) pahunche to waha gulamo ko paya aur gulamo ne mere khawind ko maar dala chunanchey mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se daryaft kiya kya mein apne ghar wapas chali jao kyunki mera khawind mere liye koi makaan ya kharch wagairah chood kar nahi mara?" Hazrat Fureah Razi Allahu Anha kehti hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "chali jao" Hazrat Fureah Razi Allahu Anha kehti hai mein waha se nikli abhi masjid ya hujre mein thi to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhe bulaya ya kisi ko bulane ka hukm diya aur mujhe bulaya gaya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "tumne kya kaha tha?" mene saari baat dobara bayan ki jo mene apne shohar k mutalliq kahi thi Hazrat Fureah Razi Allahu Anha kehti hai tab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Apne ghar mein thehri raho hatta k iddat poori ho jaye" chunanchey mene us ghar mein 4 maah 10 din poorey kiye, Hazrat Fureah Razi Allahu Anha kehti hai jab Usman bin Affan Razi Allahu Anhu ne mere paas paigaam bheja aur masla daryaft kiya to mene unhey yahi bataya aur unhone uske mutabiq faisla kiya. (Sahih Sunan Abu Dawood Juzz e Saani Hadees no. 2016)

Tuesday, 26 August 2014

SUNNAT KA EHTARAAM

SUNNAT KA EHTARAAM

Bismillahirrahamanirraheem

SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI MAMOOLI SI MUKHALIFAT BHI GAWARA NAHI SAMAJHTE THEY

Hazrat Umarah bin Ruwaibah Razi Allahu Anhu ne hakim e waqt Marwaan k baite Bashar ko (doraan e khutba e juma) mimbar par dono haath uthate dekha to famaya: "Allah kharaab kare un dono haatho ko mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko us se zayada karte hue nahi dekha". (Sahih Muslim Kitabuj Juma)

Hazrat Kaab bin Ujrah Razi Allahu Anhu masjid mein dakhil hue aur ummey hakam ka baita Abdur Rahman baith kar khutba de raha tha, Hazrat Kaab Razi Allahu Anhu ne farmaya: "Is khabees ko dekho baith kar khutba de raha hai (jo khilaf e sunnat hai) Allah ta'ala Quran e Majeed mein farmata hai: "Ae Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Jab loogo ne khareed o farokht ya khail kood dekha, to us taraf bhagey aur tujhe khada hua chood gaye". (Sahih Muslim Kitabuj Juma)

SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K QAUL YA FAIL K KHILAAF KISI QISM KI BAAT SUN'NA YA USE MAMOOLI SAMAJHNA SAKHT NA PASAND FARMATE THEY

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Koi shaks Allah ki bandiyo ko masjid mein aane se na rookey" Hazrat Abdullah Razi Allahu Anhu k baite ne kaha "Hum to rokenge" Hazrat Abdullah Razi Allahu Anhu sakht naraaz hue aur farmaya: "Mein tere saamne Hadees e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam bayan kar raha hu aur tu keh raha hai k hum unhe zaroor rokenge". (Ibne Maja Kitabus Sunnah)

Hazrat Abdullh bin Mugfal Razi Allahu Anhu se riwayat hai k unka bhatija pehlu mein baitha kankariya phaink raha tha, Hazat Abdullah Razi Allahu Anhu ne use mana kiya aur bataya k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne is se mana farmaya hai neez Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshad e mubarak hai hai k aesa karne se na to shikar ho sakta hai na dushman ko nuksan pahunchaya ja sakta hai, albatta is se (kisi ka) daant toot sakta hai ya aankh phoot sakti hai, bhatije ne dobara kankariya phainkni shuru kardi, to Hazrat Abdullah Razi Allahu Anhu ne kaha: "Mene tujhe bataya hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne is se mana farmaya hai aur tu phir wahi kaam kar raha hai, lihaza mein tujhse ab kabhi baat nahi karunga". (Sahih Sunan Ibne Maja Juz e Awwal Hadees no. 17)

Hazrat Imran bin Hussain Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Haya to saari bhalayi hai" ya Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Haya mukammal bhalayi hai" Basheer bin Kaab Razi Allahu Anhu ne kaha humne baaz kitabo mein ya danayi ki baato mein padha hai k haya ki ek qism to Allah ta'ala k huzoor sakeenah aur waqaar hai jabke doosri qism bodapan aur kamzoori hai, ye sunkar (Sahabi E Rasool) Hazrat Imarn Razi Allahu Anhu ko sakht gussa aya, aankhey surkh ho gayi aur farmaya k mein tumhare saamne Hadees e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam bayan kar raha hu aur tu uske khilaf baat kar raha hai, raavi kehte hai Hazrat Imran Razi Allahu Anhu ne phir Hadees padh kar sunayi, idhar Basheer bin Kaab Razi Allahu Anhu ne bhi apni wahi baat dohrayi, to Hazrat Imran Razi Allahu Anhu gazabnaak ho gaye aur (Basheer bin Kaab Razi Allahu Anhu ko saza dene ka faisla kiya) hum sab ne kaha "Ae aba najeed (Hazrat Imran Razi Allahu Anhu ki kaneet) basheer hamara hi musalman saathi hai (ise maaf kar dijiye) isme koi (munafiqat ya kufr wali) baat nahi hai". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA ILM HO JANE K BAWAJOOD MASLA DARYAFT KARNE PAR HAZRAT UMAR RAZI ALLAHU ANHU KA IZHAAR E NARAZI

Hazrat Haris bin Abdullah bin Aaus Razi Allahu Anhu kehte hai mein Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu k paas hazir hua aur unse pucha: "Agar qurbani k din tawaaf e ziyarat karne k baad aurat haiza ho jaye to kya kare?" Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne farmaya: "(Taharat hasil karne k baad) aakhiri amal baitullah shareef ka tawaaf hona chahiye" Haris Razi Allahu Anhu ne kaha Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne bhi mujhe yahi fatwa diya tha is par Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne farmaya: "Tere haath toot jaye, toone mujhse aesi baat puchi, jo Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se puch chuka tha takey mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k khilaf faisla karu". (Sahih Sunan Abu Dawood juz Awwal Hadees no. 1765)

SUNNAT KI AHMIYAT

SUNNAT KI AHMIYAT

Bismillahirrahamanirraheem

ZAYADA SAWAB HASIL KARNE K IRADEY SE SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO NA KAAFI SAMAJH KAR GAIR MASNOON TAREEQO PAR MEHNAT AUR MASHAKKAT KARNA AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI NARAAZGI KA BAA'AS HAI
WAHI AMAL QABIL E QUBOOL HAI JO SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K MUTABIQ HO

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu farmate hai teen sahabi azwaaj e mutahharaat Razi Allahu Anhum k gharo mein hazir hue aur Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ibadat k baare mein sawal kiya jab unhe bataya gaya to unhone Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ibadat ko kam samajha aur aapas mein kaha Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k muqabaley mein hamara kya muqaam hai unki to agli pichli saari khtaye maaf kardi gayi hai (lihaza hame Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se zayada ibadat karni chahiye) unmey se ek ne kaha mein hamesha saari raat namaz padhunga (aaraam nahi karunga) doosre na kaha mein hamesha roozey rakkhunga aur kabhi tark nahi karunga, teesre na kaha mein aurato se alag rahunga aur kabhi nikah nahi karunga jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam tashreef laye to un se pucha "Kya tumne aesa aur aesa kaha hai?" (unke iqraar par) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Khabardaar! Allah ki qasam mein tum sab se zayada Allah ta'ala se darne wala aur tum sab se zayada parhaizgaar hu, lekin mein rooza rakhta hu, tark bhi karta hu, raat ko qayam bhi karta hu aur aaraam bhi karta hu, aurato se nikha bhi kiye hai (yaad rakkho) jisne meri sunnat se muh mooda uska mujhse koi talluq nahi". (Sahih Bukhari Kitabun Nikah)

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ko kisi baat ka hukm farmate to unhi kaamo ka hukm dete jinhe wo kar sake, Sahaba Razi Allahu Anhum arz karte "Hum Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki tarah (Allah ta'ala k mehboob) thoodey hai, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki to Allah ne agli pichli saari khataye maaf kardi hai (lihaza hamey zayada ibadat karne dijiye) ye sun kar Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam itna gussa hue k unke aasaar Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k chehra e mubarak par zahir hue phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya beshak mein tum sab se zayada parhaizgaar hu aur Allah ta'ala k ahkaam k baare mein sabse zayada jaan'ne wala hu". (Sahih Bukhari Kitabul Emaan)

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne koi kaam kiya aur loogo ko uski rukhsat de di, lekin kuch loogo ne wo rukhsat lene se parhaiz kiya, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko pata chala to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne khutba diya, Allah ta'ala ki qasam! mein loogo ki nisbat Allah ta'ala ki mansha aur marzi se zayada waqif hu aur loogo ki nisbat zayda Allah ta'ala se darne wala hu (yaani tum loog na to mujhse zayada Allah ta'ala k ahkamaat se waqif ho sakte ho na mujhse zayada muttaqi ban sakte ho). (Al loo loo wal Marjaan juz e saani Hadees no. 1518)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA HUKM NA MAAN'NE WALE KO AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE SAZA DENE KA FAISLA FARMAYA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "(Iftar k bagair) musalsal roozey na rakkho", Sahaba Razi Allahu Anhum ne arz kiya Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Aap to rakhte ho? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Mein tumhari tarah nahi hu, mujhe mera rabb raat ko khilata bhi hai pilata bhi hai" lekin uske bawajood loog baaz nahi aaye, Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai tab Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne musalsal do din ya musalsal do raat rooza rakkha phir (ittefaaq se) Eid ka chaand nazar aa gaya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Agar chand nazar na aata to mein abhi musalsal roozey rakhta" goya unko saza dene k liye Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye baat farmayi (Yani mera hukm na man'ne wale loog bhi mere saath rooza rakhte aur unhe saza milti). (Sahih Bukhari Kitabul Aetasaam bil Kitabis Sunnah)

SUNNAT KA ILM HO JAANE K BAAD USPAR AMAL NA KARNE WALO KO NABI E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE NAFARMAAN KAHA

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ramazaan mein fatah makkah wale saal makkah k liye (madeena se) nikley to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne rooza rakkha jab kura gameem (jagah ka naam) pahunchey to loogo ne bhi rooza rakkha chunanchey Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne paani ka piyala manga kar uncha kiya, yaha tak k loogo ne us (piyaley) ko dekh liya phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne paani pee liya baad mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko bataya gaya k kuch loogo ne abhi rooza rakkha hua hai, is par Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad famaya "Ye loog nafarman hai, ye loog nafarman hai". (Sahih Muslim Kitabus Siyaam)

JO AMAL SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K MUTABIQ NA HO WO ALLAH TA'ALA K YAHA MARDOOD (NA QABIL E QUBOOL) HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jisne deen mein koi aesa kaam kiya jiski bunyaad shariyat mein nahi, wo kaam mardood hai". (Al loo loo wal Marjaan Juz e saani Hadees no. 1120)

KITAB O SUNNAT KI PAIRVI SE HATNE KA NATEEJA GUMRAHI HAI
RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI NAFARMAANI HALAKAT AUR TABAHI KA BAA'AS HAI

Hazrat Abu Musa Ash'ari Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Meri aur us hidayat ki misaal, jise mein de kar bheja gaya hu aesi hai jese k ek aadmi apne quam k paas aye aur kahe loogo! mene apni aankho se ek lashkar dekha hai jis'se tumhe wazey taur par khabardaar kar raha hu lihaza us se bachne ki fikr karo qaum k kuch loogo ne uski baat maanli aur raato raat chipke se nikal gayi jabke doosre loogo ne jhutla diya aur apne gharo mein (gaflat se) padey rahe, subah k waqt lashkar ne unhe aa liya aur halaak karke unki nasal ka khatma kar diya ye misal meri aur mujh par nazil kiye gaye haqq ki pairvi karne wale aur na karne wale loogo ki hai". (Sahih Bukhari Kitabur Riqaaq)

Hazrat Arbaaz bin Saariyah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k unhone Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai "Loogo mein tumhe aese roshan deen par choodey ja raha hu jiski raat bhi din ki tarah roshan hai us se wahi shaks guraiz karega jise halaak hona hai". (Sahih Kitabus Sunnah juz e awwal Hadees no. 49)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K MUQABILEY MEIN KISI NABI YA WALI, MUHADDIS YA FUQAHA, IMAAM YA AALIM KI ITTEBA KA TASAWWUR SARASAR GUMRAAHI HAI

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Hazrat Umar Razi Allahu Anhu Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hue aur arz kiya "Hum yahoodiyo se kuch baatey sunte hai jo hamey acchi lagti hai kya unme se baaz (zayada acchi lagne wali) likh liya kare?" Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Kya tum (apne deen k baare mein) shak mein mubtala ho (k ye naqis hai) jis tarah yahood wa nasara (apne apne deen k baare mein) shak mein padey they, halakey mein ek wazey aur roshan shariyat le kar aya hu, agar aaj Musa Alaihis Salaam bhi zinda hote, to meri pairvi k bagair unke liye bhi koi chara na hota". (Musnad Ahmad, Behaqui, Mishkaatul Masabeeh Kitabul Emaan)

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu Toraat le kar Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hue aur arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! ye Toraat hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam khamoosh rahe, Hazrat Umar Razi Allahu Anhu Toraat padhne lage, to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka chehra mubarak (gusse se) badalne laga, Hazrat Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu ne (ye soorat e haal dekhi) to kaha: "Ae Umar! gum karne waliya tujhe gum paaye, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k chehre ki taraf nahi dekhte" Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k chehra e mubarak ki taraf dekha to kaha "Mein Allah aur uske Rasool k gusse se Allah ta'ala ki panah maangta hu, hum Allah k rabb hone par, islam k deen hone par, aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam k Nabi hone par raazi hai" uske baad Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad famaya: "Us zaat ki qasam! jiske haath mein Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki jaan hai agar aaj Musa Alaihis Salaam tashreef le aye aur tum loog meri bajaye unki itteba shuru karo, to seedhi raah se gumraah ho jaoge aur agar Musa Alaihis Salaam zinda hote aur meri nabuwat ka zamana paate to wo bhi meri hi itteba karte". (Muqadma Daarmi Baab 39 Hadees no. 435)

RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI ITA'AT MEIN KOTAHI NE JANG E UHAD KI FATAH KO SHIKAST MEIN BADAL DIYA

Hazrat Bara Razi Allahu Anhu farmate hai k uhad k rooz mushriko se hamara muqabala hua, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne teer-andaazo ki ek jama'at (pahaad ki chooti par) bitha di aur Abdullah bin Jubair Razi Allahu Anhu ko unka ameer muqarrar karte hue farmaya: "Tum hame (maidaan e jang mein) khawah gaalib hote dekho ya magloob hote, apni jagah se hargiz na hatna aur na hi hamari madad ko aana" chunanachey kafiro se muqabala hua, to kafir bhaag nikle hatta k mene dekha k mushriko ki aurate pindliyo se kapda uthaye hue pahaad par bhaagi ja rahi hai, unki pazaibey dikhayi de rahi thi, Hazrat Abdullah bin Jubair Razi Allahu Anhu ne unko samjhaya k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam taakeed kar gaye hai k is jagah se na hatna lihaza yaha se mat palto, neez andaza na maaney (apni marzi se wo jagah chood di chunanchey) musalmano ko shikast ho gayi aur 70 Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum shaheed ho gaye. (Sahih Bukhari Kitabul Magaazi)

SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO TARK KARNA SARASAR GUMRAAHI SAMAJHTE THEY

Hazrat Arwah bin Zubair Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu ne farmaya: "Mein koi aesi cheez nahi chood sakta jis par Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam amal kiya karte they, kyunki mujhey darr hai k agar mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k qaul wa fail mein koi cheez bhi chood dunga to gumraah ho jaunga". (Al loo loo wal Marjaan Kitabul Jihad Hadees no. 1150)

AESI BAAT YA AMAL, JO RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE SABIT NA HO, HADEES YA SUNNAT KEH KAR LOOGO K SAAMNE PAISH KARNE KI SAZA JAHANNAM HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jisne jaan boojh kar jhoot meri janib mansoob kiya wo apna thikana jahannam bana le". (Al loo loo wal Marjaan Juz e Awwal Hadees no. 30)

Hazrat Ali Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jisne meri janib jhoot baat mansoob ki wo aag mein dakhil hoga". (Al loo loo wal Marjaan juz e awwal Hadees no. 1)

Hazrat Salma Razi Allahu Anhu se riwayat hai k mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye farmate hue suna hai k "Jo shaks meri taraf aesi baat mansoob kare, jo mene nahi kahi, wo apni jagah jahannam mein bana le". (Sahih Bukhari Kitabul Ilm)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Akhiri zamane mein dajjal aur kazzab loog aesi aesi hadeese tumhare paas layenge, jo tumne aur tumhare aslaaf ne kabhi na suni hongi lihaza unse bach kar raho kahi tumhe gumraah na karde ya fitne mein mubtala na karde". (Sahih Muslim Kitabus Sunnah Hadees no. 4604)

SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM CHOOD KAR KOI NAYA TAREEQA TALASH KARNE WALA SHAKS ALLAH TA'ALA K HAN SABSE ZAYADA MAGZOOB HAI

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Teen aadmi Allah ta'ala k han magzoob hai
1. Haram shareef ki hurmat paimaal karne wala
2. Islam mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka tareeqa chood kar jahliyat ka tareeqa talaash karne wala
3. Kisi musalman ka na haqq khoon talab karne wala takey uska khoon bahaye". (Sahih Bukhari Kitabud Dayaat)

RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA HUKM NA MAAN'NE PAR DUNYA MEIN IBRAT-NAAT SAZA

Hazrat Salma bin Akwa Razi Allahu Anhu se riwayat hai k unke baap ne unhe bataya k ek aadmi ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas baaye haath se khana khaya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Apne daaye hath se khao" us aadmi ne jawab diya "Mein aesa nahi kar sakta" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "(accha Allah kare) tujhse aesa na ho sake, us shaks ne takabbur ki wajah se ye baat kahi thi (halankey koi shari uzr nahi tha) raavi kehte hai k wo shaks (umar bhar) apna daaya hath muh tak na utha saka". (Sahih Muslim Kitabul Ashrabah)

Sunday, 24 August 2014

SUNNAT KI FAZILAT

SUNNAT KI FAZILAT

Bismillahirrahmanirraheem

SUNNNAT KI ITTEBA KARNE WALE KO RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE JANNAT KI KHUSHKHABRI DI HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Meri ummat k saare loog jannat mein jayenge, siwa e un loogo k jinhone inkaar kiya", Sahaba E Kiram Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! inkaar kisne kiya? "Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: jinse meri ita'at ki wo jannat mein dakhil hoga, jisne meri nafarmani ki usne inkaar kiya (aur wo jannat mein nahi jayega)". (Sahih Bukhari Kitabul Aetasaam bil Kitabis Sunnah)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI ITA'AT AUR FARMABARDARI ALLAH KI ITA'AT AUR FARMABARDARI HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne meri ita'at ki usne Allah ki ita'at ki, jisne meri nafarmani ki usne Allah ki nafarmani ki aur jisne ameer ki ita'at ki, usne meri ita'at ki aur jisne ameer ki nafarmani ki unse meri nafarmani ki". (Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 1223)

QURAN WA SUNNAT PAR SAKHTI SE AMAL KARNE WALE LOOG GUMRAAHIYO SE MEHFOOZ RAHENGE

Hazat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hajjatul wida k mookey par khutba dete hue irshad farmaya: "Shaitan is baat se mayoos ho chuka hai k is sar-zameen mein kabhi uski bandagi ki jayegi lihaza ab wo isi baat par mutmaeen hai k (shirk k alawa) wo aamaal jinhe tum mamooli samajhte ho unme uski pairvi ki jaye, lihaza (shaitan se har waqt) khabardaar raho aur (suno) mein tumhare darmiyan wo cheez choode ja raha hu jise mazbooti se thaame rakkhoge to kabhi gumrah nahi honge aur wo hai Allah ki kitab aur uske Nabi (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ki sunnat". (Mustadrak E Hakim, Sahih Targeeb wa Tarheeb Hadees no. 36)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Mein tumhare darmiyan do chizey choode ja raha hu k agar unpar amal karoge to kabhi gumrah nahi honge ek Allah ki kitab aur doosri meri Sunnat". (Mustadrak E Hakim, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 2937)

UMMAT MEIN IKTALAF K WAQT NABI K IKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI SUNNAT PAR MAZBOOTI SE JAMEY REHNA NIJAAT KA BAA'AS HOGA

Hazrat Arbaaz bin Sariya Razi Allahu Anhu kehte hai k ek rooz Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hame namaz padhayi, namaz k baad hamari taraf tawajjah farmayi aur hame bada mosar waaz farmaya jis se loogo k aanso beh nikley aur dil kaanp uthey ek aadmi ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! aaj Aapne is tarah waaz farmaya hai jese ye Aapka aakhiri waaz ho, aese waqt mein Aap hamey kis cheez ki takeed farmate hai? hame kuch wasiyat bhi farma dijiye Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Mein tumhe Allah ta'ala se darne, apne ameer ki baat sun'ne aur uski ita'at karne ki wasiyat karta hu, khawah tumhara ameer habshi gulam hi kyu na ho (aur yaad rakkho) jo loog mere baad zinda rahenge wo ummat mein bahut zayada ikhtalaaf dekhenge, aese halaat mein meri sunnat par amal karne  ko lazim bana lena aur hidayat yaafta khulafa e Rashideen k tareeqey ko thaamey rakhna aur uspar mazbooti se jamey rehna neez deen mein paida ki gayi nayi nayi baato (bida'ato) se bachna kyunki deen mein har nayi cheez bida'at hai aur har bida'at gumraahi hai". (Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 3851)

SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM ZINDA KARNE WALE KO APNE SAWAB K ALAWA UN TAMAAM LOOGO KA SAWAB BHI MILTA HAI JO USKE BAAD US SUNNAT PAR AMAL KARTE HAI

Hazrat Kaseer bin Abdullah bin Umar bin Auof Muzni Razi Allahu Anhu farmate hai k mujhse mere baap ne, mere baap se mere dada ne riwayat kiya hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jisne meri sunnato mein se koi ek sunnat zinda ki aur loogo ne us par amal kiya to sunnat zinda karne wale ko bhi utna hi sawab milega jitna us sunnat par amal karne wale tamaam loogo ko milega jabke loogo k apne sawab mein koi kami nahi ki jayegi aur jisne koi bida'at jaari ki aur phir uspar loogo ne amal kiya to bida'at jaari karne wale par un tamaam loogo ka gunah bhi hoga jo is bida'at par amal karenge bida'at par amal karne wale loogo k apne gunaho ki saza se koi cheez kam nahi hogi (yaani wo bhi poori poori saza payenge)". (Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 173)

SUNNAT E RASOOL SALLALALHU ALAIHI WA SALLAM DOOSRE TAK PAHUNCHANE WALO K LIYE RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI DUAYE

Hazrat Abdur Rahman bin Abdullah Razi Allahu Anhu apne baap se aur wo Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se riwayat karte hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah ta'ala us aadmi ko tar o taaza rakkhey jisne humse hadees suni aur use (juh ka tuh) aagey pahuncha diya (kyunki) aksar wo looog jinko hadees pahunchayi gayi ho, wo sun'ne walo se zayada yaad rakhne wale hote hai". (Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 189)

Hazrat Abdullah bin Masood Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai "Allah ta'ala us shaks ko tar o taaza rakhhey jisne hum se koi baat suni aur usko usi tarah doosro tak pahuncha diya jis tarah suni thi (kyunki) bahut se pahunchaye jaane wale sun'ne walo se zayada yaad rakhne wale hote hai". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 2140)

Friday, 22 August 2014

SUNNAT QURAN MAJEED KI ROSHNI MEIN

SUNNAT QURAN MAJEED KI ROSHNI MEIN

Bismillahirrahmanirraheem

DEEN K MAAMLEY MEIN RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K HUKM KI ITA'AT KARNA FARZ HAI

Ae loogo jo emaan laye ho! Allah ta'ala aur uske Rasool ki ita'at karo aur baat sun lene k baad us se muh na moodo. (Surah Anfaal Surah no. 8 Ayat no. 20)

Namaz qayam karo, zakaat do aur Rasool ki ita'at karo, ummeed hai k tum par raham kiya jaye. (Surah Noor Surah no. 24 Ayat no. 56)

Jisne Rasool ki ita'at ki usne dar'asal Allah ta'ala ki ita'at ki aur jisne Rasool ki ita'at se muh phera (uska wabaal usi par hoga) humne Aapko unpar paasbaan (nigehbaan) bana kar bheja hai. (Surah Nisa Surah no. 4 Ayat no. 80)

Humne jo bhi Rasool bheja hai wo is liye k Allah k hukm se uski ita'at ki jaye. (Surah Nisa Surah no. 4 Ayat no. 64)

Allah aur Rasool ki ita'at karo takey tum par raham kiya jaye. (Surah Ale Imran Surah no. 3 Ayat no. 132)

Ae loogo, jo emaan laye ho! Allah aur uske Rasool ki ita'at karo aur un loogo ki jo tum mein se sahib e amr ho, phir agar tumhare darmiyaan kabhi maamley mein ikhtalaaf paida ho jaye to use Allah aur uske Rasool ki taraf palta do agar tum waqayi Allah aur rooz e aakhirat par emaan rakhte ho yahi ek sahih tareeqa hai aur sawab k lihaz se bhi accha hai. (Surah Nisa Surah no. 4 Ayat no. 59)

Wazahat: Allah ta'ala ki taraf lootne ka matlab Quran paak ki taraf ruju karna hai aur Rasool ki taraf lootne ka matlab Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki hayaat e tayyaba mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki zaat e muqaddas thi, lekin Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki wafaat k baad is se muraad Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki sunnat e mutahhara aur Ahadees e mubaraka hai.

Ae Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam! tumhare rabb ki qasam, loog kabhi momin nahi ho sakte jab tak k apne (tamaam) baahami ikhtalafaat mein tum ko faisla karne wala na maan le phir jo bhi faisla tum karo us par apne dilo mein koi tangi mehsoos na kare balkey sar basar tasleem karle. (Surah Nisa Surah no. 4 Ayat no. 65)

Ae loogo! jo emaan laye ho! Allah aur uske Rasool ki ita'at karo (aur ita'at se muh mood kar) apne aamaal zaaya na karo. (Surah Muhammad Surah no. 47 Ayat no. 33)

Jo kuch Rasool tumhe de wo le lo aur jis cheez se tumhe rook de us se ruk jao aur Allah se daro beshak Allah sakht azaab dene wala hai. (Surah Hashr Surah no. 59 Ayat no. 7)


RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI ITA'AT AUR ITTEBA, KAAMYABI KI ZAMANAT HAI

Jo loog Allah aur uske Rasool ki ita'at kare Allah se darey aur uski nafarmani se bachey, wahi kaamyaab hai. (Surah Noor Surah no. 24 Ayat no. 52)

Emaan laane walo ka kaam to ye hai k jab wo Allah aur uske Rasool ki taraf bulaye jaye takey Rasool unke maamlaat ka faisla kare to wo keh de humne baat sunli aur ita'at ikhtiyaar ki, aese loog hi kaamyaab hone wale hai. (Surah Noor Surah no. 24 Ayat no. 51)

Jisne Allah aur uske Rasool ki ita'at ki usne badi kaamyabi hasil ki. (Surah Ahzaab Surah no. 33 Ayat no. 71)

Jo shaks Allah aur uske Rasool ki ita'at karega Allah use aese baago mein dakhil karega jinke nichey nehrey behti hongi jaha wo hamesha rahega aur yahi sabse badi kaamyabi hai. (Surah Nisa Surah no. 4 Ayat no. 13)


ALLAH TA'ALA AUR RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K HUKM K MUTABIQ KIYE GAYE AAMAAL KA BHARPOOR AJR WA SAWAAB MILEGA

Agar tum loog Allah aur uske Rasool ki ita'at karoge to tumhare aamaal k ajr wa sawaab mein koi kami nahi karega (ita'at karne walo k liye) Allah yaqeenan bakashne wala aur raham farmaaney wala hai. (Surah Hujraat Surah no. 49 Ayat no. 14)


GUNAHO KI MAGFIRAT RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K ITTEBA K SAATH MASHROOT HAI

Ae Nabi! un se keh do k agar tum (haqeeqat mein) Allah se muhabbat karte ho to meri itteba karo Allah tum se muhabbat karega aur tumhari khatao ko maaf farmayega, wo bada maaf karne wala aur raheem hai. (Surah Ale Imran Surah no. 3 Ayat no. 31)


ALLAH TA'ALA AUR RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI ITA'AT KARNE WALE LOOG QAYAMAT K DIN NABIYO, SIDDEQO, SHAHEEDO AUR NAIK LOOGO K SATH HONGE

Jo loog Allah aur Rasool ki ita'at karenge wo (qayamat k din) un loogo k saath honge jin par Allah ta'ala ne inaam farmaya hai yaani ambiya, siddeqeen, shohda aur saliheen, in loogo ki rifaqat kitni acchi hai. (Surah Nisa Surah no. 4 Ayat no. 69)


ALLAH TA'ALA AUR RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PAR EMAAN LAANE K BA'WAJOOD BAAZ LOOG AMLAN ALLAH AUR RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA HUKM NAHI MAANTE, AESE LOOG MOMIN NAHI

Loog kehte hai k hum Allah aur Rasool par emaan laye hai aur humne ita'at qubool ki hai phir (iqraar karne k baad) unmey se ek garooh (ita'at se) mooh phair leta hai, aese loog hargiz momin nahi (kyunki) jab unko Allah aur Rasool ki taraf bulaya jata hai takey Rasool unke baahami maamlaat ka faisla kare to unmey se ek fareeq katra jata hai. (Surah Noor Surah no. 24 Ayat no. 47, 48)

Jab unse kaha jata hai k aao us cheez ki taraf jo Allah ne nazil ki hai aur aao Rasool ki taraf to un munafiqo ko tum dekhte ho k tumhari taraf aane se ruk jaate hai. (Surah Nisa Surah no. 4 Ayat no. 61)

Ae Nabi! keh dijiye Allah aur Rasool ki ita'at karo aur agar loog Allah aur Rasool ki ita'at se mooh moodey (to unhe maloom hona chahiye k) Allah yaqeenan kaafiro ko pasand nahi karta. (Surah Ale Imran Surah no. 3 Ayat no. 32)


ALLAH TA'ALA AUR RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI ITA'AT NA KARNE KA NATEEJA BAAHAMI INTASHAAR AUR LADAAYI JHAGDEY HAI

(Ae loogo, jo emaan laye ho) Allah aur uske Rasool ki ita'at karo aur aapas mein jhagda na karo warna tumhre andar kamzoori paida ho jayegi aur tumhari hawa ukhad jayegi, sabr se kaam lo Allah ta'ala yaqeenan sabr karne walo k saath hai. (Surah Anfaal Surah no. 8 Ayat no. 46)


RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K HUKM KI MOJOODIGI MEIN KISI DOOSRE K HUKM PAR AMAL KARENE KI DEEN E ISLAM MEIN KOI GUNJAISH NAHI
ALLAH AUR RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI NAFARMANI SAREEH GUMRAAHI HAI

Kisi momin mard aur aurat ko ye haqq nahi hai k jab Allah aur uske Rasool kisi maamley ka faisla kare to phir use apne maamley mein khud faisla karne ka ikhtiyaar hasil rahey aur jo koi Allah aur uske Rasool ki nafarmani karega wo sareeh gumraahi mein padd gaya. (Surah Ahzaab Surah no. 33 Ayat no. 36)


ALLAH TA'ALA AUR RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI NAFARMANI KARNE WALE APNE ANJAAM K KHUD ZIMMEDAAR HONGEY

Loogo! Allah aur Rasool ki ita'at karo aur nafarmani se baaz aa jao lekin agar tumne hukm na maana to jaan lo k tumhare Rasool par saaf saaf paigaam pahuncha dene k alawa koi zimmedari nahi. (Surah Maida Surah no. 5 Ayat no. 92)

Allah aur Rasool ki baat mano aur agar na maanoge to yaad rakkho hamare Rasool par saaaf saaf haqq baat pahuncha dene ki zimmedaari hai. (Surah Tagabun Surah no. 64 Ayat no. 12)

(Ae Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam!) keh dijiye k Allah ki ita'at karo, Rasool ki ita'at karo aur agar nahi karte to khoob samajh lo k Rasool par jis (farz yaani risalat) ka boojh dala gaya hai wo sirf usi ka zimmedaar hai aur tum par jis (farz yaani ita'at) ka baar dala gaya hai uske zimmedaar tum ho agar Rasool ki ita'at karoge to hidayat paoge warna Rasool ki zimmedaari us se zayada kuch nahi k saaf saaf hukm pahunchade. (Surah Noor Surah no. 24 Ayat no. 54)


ALLAH TA'ALA AUR RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI NAFARMANI KI SAZA JAHANNAM AUR RUSWA KUN AZAAB HAI

Jo shaks Allah aur uske Rasool ki ita'at karega use Allah un jannato mein dakhil dakhil farmayega jinke niche nehrey beh rehi hongi aur jo shaks Allah aur Rasool ki ita'at se muh phairega wo use dardnaak azaab dega. (Surah Fatah Surah no. 48 Ayat no. 17)

HEELEY AUR BAHANEY TALAASH KARKE ALLAH TA'ALA AUR RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K AHKAMAAT SE PEHLU TAHI KARNA DARDNAAK AZAAB KA BAA'AS HAI

Musalmano! Rasool k bulane ko apne darmiyan ek doosre ko bulane ki tarah na samjh baitho, Allah un loogo ko khoob jaanta hai jo tum mein se ek doosre ki aadh lete hue chipkey se khisak jaate hai, Rasool k hukm ki khilaaf warzi karne walo ko darna chahiye k wo kisi fitney mein giraftaar na ho jaye ya unpar dardnaak azaab na aa jaye. (Surah Noor Surah no. 24 Ayat no. 63)

Thursday, 21 August 2014

SUNNAT KI TAREEF

SUNNAT KI TAREEF



Bismillahirrahmanirraheem

SUNNAT KA LUGVI MANA TAREEQA YA RAASTA HAI. (KHAWAH ACCHA HO YA BURA)

Hazrat Juhaifah Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jis shaks ne koi accha tareeqa jaari kiya aur uske baad us par amal kiya gaya to jaari karne wale ko apne amal ka sawab bhi milega aur us acche tareeqey par chalne wale doosre loogo k amal ka sawab bhi milega jabke amal karne wale loogo k apne sawab mein koi kami nahi ki jayegi aur jis shaks ne koi bura tareeqa jaari kiya jis par uske baad amal kiya gaya to uspar apna gunah bhi hoga aur un loogo ka gunah bhi jihone uspar amal kiya jabke bure tareeqey par amal karne wale loogo k apne gunaho se koi kami nahi ki jayegi". (Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 172)

SHARI ISTALAH MEIN SUNNAT KA MATLAB RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA TAREEQA HAI

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jisne mere tareeqey par chalne se guraiz kiya wo mujh se nahi". (Sahih Bukhari Kitabun Nikah)

Hazrat Talha bin Abdullah bin Auof Razi Allahu Anhu kehte hai k mene Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu k pichey namaz e janaza padhi, to unhone usmey Surah Fatiha padhi aur farmaya: "(Mene ye is liye padhi hai takey) loogo ko ilm ho jaye k ye Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka tareeqa hai". (Sahih Bukhari Kitabul Janaiz)

SUNNAT KI TEEN QISMEY HAI 1. SUNNAT E QAULI, 2. SUNNAT E FAILI, 3. SUNNAT E TAQREERI
RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI ZUBANI IRSHAD E MUBARAK "SUNNAT E QAULI" KEHLATI HAI

Hazrat Huzaifah Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Aagar khana khane se pehle "BISMILLAH" na padhi jaye to shaitan us khaane ko apne liye halal samajh leta hai. (Sahih Muslim Kitabul It'amah)

RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K AMAL MUBARAK KO "SUNNAT E FAILI" KEHTE HAI

Hazrat Nauman bin Basheer Razi Allahu Anhu farmate hai jab hum namaz k liye khade hote to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamari safey durust farmate, jab hum sidhey khade ho jate to "ALLAHU AKBAR" keh kar namaz shuru farmatey. (Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 619)

RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI MOJOODGI MEIN JO KAAM KIYA GAYA HO AUR AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE KHAMOOSHI IKHTIYAAR FARMAYI HO YA US PAR IZHAAR PASANDEEDGI KIYA HO, USE "SUNNAT E TAQREEQI" KEHTE HAI

Hazrat Qais bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek aadmi ko subah ki namaz k baad 2 rakaatey padhte dekha to farmaya: "Subah ki namaz to 2 rakaat hai" us aadmi ne jawab diya "Mene farz namaz se pehle ki 2 rakaatey nahi padhi thi lihaza ab padhi hai" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ye jawab sun kar khamoosh ho gaye (yaani uski ijazat de di). (Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 1128)