Muhammadi Blog

Muhammadi Blog
Showing posts with label TAHARAT. Show all posts
Showing posts with label TAHARAT. Show all posts

Wednesday, 17 June 2015

TAYAMMUM KA BAYAN

TAYAMMUM KA BAYAN

Bismillahirrahmanirraheem

Paani na milne ki soorat mein paak mitti ko wuzu ya gusal ki niyat kar k apne haatho aur muh par malna tayammum kehlata hai.

Paani na milne ki kayi sooratey hai masalan musafir ko safar mein paani na mile, ya paani k muqaam tak pahunchane mein jaan ka darr ho, masalan ghar mein paani nahi hai bahar karfue nafiz hai ya paani laane mein kisi dushman ya darindey se jaan ka andesha ho to aesi soorat mein hum tayammum kar sakte hai khawah ye wajah barso mojood rahe tayammum bhi barso jayez rahega.

Hazrat Abu Zarr Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Paak mitti musalmano ka wuzu hai agarchey das baras paani na miley". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 332, Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 124, ise Imam Hakim 1:176-177 aur Imam Ibne Hibban ne sahih kaha)

Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath safar par nikley jab baidaya zatil jaish pahunchey to mere galey ka haar toot kar gir gaya, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam usko dhoondhne  k liye thehar gaye, loog bhi thehar gaye waha paani na tha, Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu mere paas aaye unhone gussa kiya aur mujhe bura bhala kaha, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam meri raan par sar rakh kar soote rahey yaha tak k subah ho gayi aur paani bilkul na tha tab Allah ta'ala ne tayammum ki aayat nazil farmayi" Hazrat Usaid bin Khuzair Ansari Razi Allahu Anhu kehne lage "Ae Abu Bakr ki aulaad ye tumhari pehli barkat nahi hai (yaani is se pehle bhi tumhari wajah se Allah ta'ala ne musalmano ko faida diya) phir humne ounth ko uthaya haar uske nichey se mila". (Sahih Bukhari Hadees no. 334, Sahih Muslim Hadees no. 367)


JANABAT KI HALAT MEIN TAYAMMUM

Agar paani na miley ya paani itna kam ho k wuzu na ho sake to tayammum kiya ja sakta hai.

Hazrat Imaran Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath safar mein they, Aapne loogo ko namaz padhayi, jab namaz se farig hue to achanak aapki nazar ek aadmi par padi jo loogo se alag baitha hua tha aur usne loogo k saath namaz nahi padhi thi, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne us se pucha, Ae falah! loogo k saath namaz padhne se tujhe kis cheez ne rooka? usne kaha mujhe janabat pahunchi aur paani na mil saka, Aapne farmaya "tujh par mitti (se tayammum karna) lazim hai, pas wo tere liye kaafi hai". (Sahih Bukhari Kitabul Tayammum Hadees no. 344, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 682)


AGAR KOI ZAKHMI YA MAREEZ HO AUR PAANI K ISTEMAAL SE MARZ K BADHNE KA KHATRA HO:

Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu farmate hai k sardi ka mosam tha ek aadmi ko gusal e janabat ki zaroorat paish aayi, usne iske baare mein daryaft kiya to use gusal karne ko kaha gaya, usne gusal kiya jis se uski maut waqey ho gayi, jab is waqiye ka zikr Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se kiya gaya to aapne farmaya "Un loogo ne use maar dala, Allah unko maare baishak Allah ta'ala ne mitti ko paak karne wala banaya hai (yaani wo tayammum kar leta)". (Sahih Ibne Khuzaima 1:138, 273, Ibne Hibban 2001, ise Hakim 1:165 aur Hafiz Zahbi ne sahih kaha)

Agar kisi kamzoor ya bimaar aadmi ko ehtalaam ho jaye aur shadeed sardi ho ya paani bahut thanda ho aur gusal karna uske liye halkat ya bimaari ka mojoob ho to use tayammum karke namaz padh leni chahiye, mohtalim, haiza aur nifaas se farig hoone wali auratey bhi ba-waqt e zaroorat tayammum karke namaz padh sakti hai, uske liye tayammum uzr ki halat mein wuzu aur gusal dono qayim muqaam hai.


TAYAMMUM KA TAREEQA

Sabse pehle tayammum karne ki niyat yaani iraadah kare phir paak zameen par haath maare phir apne chehrey aur dono haatho ka masah kare.

Hazrat Ammar Razi Allahu Anhu bayan karte hai k wo safar ki halat mein junbi ho gaye aur (paani na milne ki wajah se) khaak mein loote aur namaz padhli, phir (safar se aa kar) ye haal Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamne bayan kiya to aapne farmaya "Tumhare liye sirf yahi kaafi tha, (aur) phir Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dono haath zameen par maare aur un par phoonk maari phir unke saath apne muh aur dono haatho par masah kiya". (Sahih Bukhari Kitabul Tayammum Hadees no. 338, Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 368)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Ammar se kaha k "Ulte haath se seedey haath par aur seedhey hath se ultey haath par masah karo phir dono haatho se chehrey ka masah karo". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 321)

1. Quran Majeed k hukm (FA TAYAMMAMU SAEEDAN TAYYABA)(Surah Nisa Ayat no. 43) ki rooh se tayammum paak mitti se karna chahiye.
2. Tayammum jese mitti se jayez hai usi tarah shoor wali zameen aur rait se bhi jayez hai
3. Ek tayammum se (wuzu ki tarah) kayi namazey padh sakte hai kyunki tayammum wuzu ka qayid e muqaam hai, jin cheezo se wuzu toot'ta hai unhi cheezo se tayammum bhi toot jata hai, agar namaz padh lene k baad paani ki mojodgi ka ilm ho jaye to use ba-wuzu ho kar namaz dohraane ya na dohraane ka ikhtiyaar hai, ta-hum agar dohrale to behtar hai.

Hazrat Abu Saeed Razi Allahu Anhu se riwayat hai k do aadmiyo ne tayammum kiya ur namaz padhli phir unhey paani mil gaya aur abhi namaz ka waqt baqi tha, pas un mein se ek ne wuzu kiya aur namaz lotaayi aur doosre ne namaz na lootayi, phir unhone Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha pas aapne us shaks se kaha jisne namaz nahi lootayi thi k "Tumne sunnat par amal kiya aur tumhari (tayammum wali) namaz tumhare liye kaafi hai aur doosre shaks se kaha jisne namaz lootayi thi k tere liye ziyadah ajr hai". (Nasayi Kitabul Gusal Hadees no. 433, Hakim aur Hafiz Zahbi ne Bukhari aur Muslim ki shart par sahih kaha)

JIN KAAMO K LIYE WUZU KARNA WAJIB HAI UNKA BAYAN

JIN KAAMO K LIYE WUZU KARNA WAJIB HAI UNKA BAYAN

Bismillahirrahmanirraheem

1. NAMAZ

Farz namaz ho ya nafil, namaz e janazah ya koi aur namaz wuzu k bagair qubool nahi hoti.

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Wuzu k bagair namaz qubool nahi hoti aur na hi maal e haraam se khairaat qubool hoti hai". (Sahih Muslim Hadees no. 224)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Be-wuzu aadmi ki namaz qubool nahi ki jaati yaha tak k wuzu kare". (Sahih Bukhari Hadees no. 135, Sahih Muslim Hadees no. 225)


2. TAWAAF E KAABA

Tawaaf e Kaaba k liye wuzu shart hai.

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Khana Khana ka tawaaf namaz ki tarah hai pas us mein guftagu kam karo". (Tirmizi Kitabul Manasikul Hajj Hadees no. 2922)


JIN KAAM K LIYE WUZU KARNA SUNNAT HAI UNKA BAYAN:

1. ALLAH KA ZIKR

Muhajir bin Qanfaz se marvi hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko kisi ne salaam kiya jab aap paishab kar rahe they to Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne jawab na diya, faragat k baad aapne wuzu kiya aur farmaya "Mene munasib na samjha k taharat k bagair salaam ka jawab du". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 17, Ibne Maja Kitabut Taharah Hadees no. 350, Hakim 1:167, Zahbi aur Nauvi ne sahih kaha)

Hazrat Abu Jaheem Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek aadmi ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko salaam kiya aapne uske salaam ka jawab na diya phir aap diwaar k paas aaye, apne chehrey aur haatho ka masah kiya phir salaam ka jawab diya. (Sahih Bukhari Hadees no. 337, Sahih Muslim Hadees no. 369)


2.JUNBI AADMI SOONEY YA KHAANE SE QABL WUZU KARE

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek ansaari ko bulaya, jab wo aaya to uske sar k baalo se paani tapak raha tha, aapne pucha "Shayad tum jaldi mein nahaaye ho?" usne kaha han Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! aapne farmaya "(Halat e janabat mein) agar kisi se fauri milna ho aur nahaane mein dair lagey to wuzu karna hi kaafi hai". (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 180, Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 345)

Hazrat Umar Farooq Razi Allahu Anhu ne aapse pucha mein raat ko junbi hota hu to kya karu? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Sharm-gaah dhoo daal, wuzu kar aur soo ja". (Sahih Bukhari Kitabul Gusal Hadees no. 290, Sahih Muslim kitabul Haiz Hadees no. 306)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab haalat e janabat mein khana ya soona chahte to namaz k wuzu ki tarah wuzu karte. (Sahih Bukhari Kitabul Gusal Hadees no. 288, Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 305)

Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo koi apni beewi se sohbat kare aur phir dobaarah karna chahta hai to use chahiye k dono k darmiyaan wuzu kare". (Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 308)


3. HAR NAMAZ K LIYE WUZU

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam har namaz k liye wuzu karte they. (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 214)


4. GUSAL WAJIB KARNE SE PEHLE WUZU KARNA

Sooney se pehle wuzu karna jesa k Bara bin Aajib Razi Allahu Anhu ki riwayat mein hai. (Sahih Bukhari Hadees no. 247)

Thursday, 11 June 2015

NAWAQIS E WUZU

NAWAQIS E WUZU

Bismillahirrahmanirraheem

SHARMGAAH KO HAATH LAGAANE SE WUZU:

Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks sharmgaah ko haath lagaaye pas wo wuzu kare". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 181, ise Imam Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 82 ne hasan kaha)

Ye hukm tab hai jab kapde k bagair baraahe raast haath lagaye. Wallahu Aalam


NEEND SE WUZU:

Hazrat Ali Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Dono aankhey, sireen ki sarband (tasmiya) hai, pas jo shaks soo jaye use chahiye k dobaarah wuzu kare". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 203, Ibne Maja Kitabut Taharah Hadees no. 277 ise ibne Islaah aur Imam Nauvi ne hasan kaha)


HAWA KHAARIJ HOONE SE WUZU:

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamne ek aese shaks ki haalat bayan ki gayi jise khayaal aya k namaz mein uski hawa khaarij hui hai to Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Namaz us waqt tak na toodey jab tak (hawa nikalne ki) awaaz na sun le ya use badbu mehsoon ho". (Sahih Bukhari Kitabut Wuzu Hadees no. 137, Sahih Muslim Hadees no. 361)

Is hadees se maloom hua k jab tak hawa khaarij hoone ka mukammal yaqeen na ho jaye wuzu nahi toodna lihaza jise paishaab k qatro ya waham ki bimaari ho use bhi jaan lena chahiye k wuzu ek haqeeqat hai, ek yaqeen hai ye yaqeen se hi toot'ta hai, shaq ya waham se nahi.


QEY, NAKSEER AUR WUZU:

Qey ya nakseer aane se wuzu toot jane wali riwayat ko jo Ibne Maja hadees no. 1221 mein hai, Imam Ahmad aur daigar Muhaddiseen ne zaeef kaha hai balkey is silsiley ki tamaam riwayat shakht zaeef hai, lihaza Baratul Saliya par amal karte hue (ye kaha ja sakta hai k) khoon nikalne se wuzu fasid nahi hota, is ki taeed us waqey se bhi hoti hai jo gazwa zaat e riqaa mein paish aaya jab ek ansari Sahabi raat ko namaz padh rahe they kisi dushman ne un par teen teer chalaaye jinki wajah se wo sakht zakhmi ho gaye aur unke jism se khoon behne laga magar iske ba-wajood wo apni namaz mein mashgool rahey. (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 198, ise Imam Hakim 1:156 aur Zahbi ne sahih kaha)

Ye ho hi nahi sakta k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko us waqey ka ilm na hua ho ya aapko ilm hua aur aapne unhey namaz lootane ya khoon behne se wuzu toot jaane ka masla bataya magar sahih ahadees mein uska zikr na ho

Isi tarah jab Hazrat Umar Razi Allahu Anhu zakhmi kiye gaye to aap usi haalat mein namaz padhte rahe halankey aapke jism se khoon jaari tha. (Muatta Imam Malik Kitabut Taharah Hadees no. 1:39, Behaqui 1:357)

Is se maloom hua k khoon ka behna naqis e wuzu nahi hai.

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Agar namaz mein wuzu toot jaye to naak par haath rakh kar looto". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 1114, ise Hakim aur Zahbi ne sahih kaha)

Thursday, 4 June 2015

PAGDI PAR MASAH

PAGDI PAR MASAH

 

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Mugeera bin Shuba Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne paishani, pagdi aur moozo par masah farmaya". (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 205)

Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu bayan karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne moozo aur pagdi par masah kiya. (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 275)

Hazrat Jafar bin Umar Razi Allahu Anhu apne baap se riwayat karte hai k unhone kaha, mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko pagdi aur moozo par masah karte dekha hai. (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu)

JURAABO PAR MASAH

JURAABO PAR MASAH

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Sobaan Razi Allahu Anhu riwayat karte hai "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne wuzu karte waqt Sahaba Razi Allahu Anhum ko paghdiyo aur juraabo par masah karne ka hukm diya". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 146, Ise Imam hakim aur Hafiz Zahbi ne sahih kaha)


SAHABA RAZI ALLAHU ANHUM KA JURAABO PAR MASAH KARNA

Hazrat Uqba bin Aamir Razi Allahu Anhu aur Hazrat Abu Mas'ood Ansari Razi Allahu Anhu ne apni juraabo par apni chappal k tasmo samait masah kiya. (Behaqui 1:25)

Hazrat Umar bin Harees Razi Allahu Anhu farmate hai Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ne paishaab kiya phir wuzu karte hue aapne apni juraabo par jo jootiya (chappalo) mein thi masah kiya. (Ibne Abi Shaiba wa Ibne Munzir)

Ibne Hazam Rahimahullah ne 12 Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhu se juraabo par masah karna zikr kiya hai jinme Abdullah bin Mas'ood, Saad bin Abi Waqaas Umar bin Harees Razi Allahu Anhu bhi shamil hai, isi tarah Sahal bin Saad Razi Allahu Anhu juraabo par masah kiya karte they. (Ibne Abi Shaiba 1:173)

Hazrat Abu Umama Razi Allahu Anhu bhi juraabo par masah kiya karte they. (Ibne Abi Shaiba 1:173)

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu ne wuzu karte hue apni topi aur siyaah rang ki juraabo par masah kiya aur namaz padhi. (Behaqui 1:285)

Ibne QUdaamah kehte hai k Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum ka juraabo par masah karne k jawaaz par ijma hai. (Mughni li bin Qudamah 1:332, Silsila 426)


LUGAT E ARAB SE "JURAB" K MAANI

Lugat e Arab ki motabar kitab "Qamoos" 1:46 mein hai har wo cheez jo pao mein pehni jaye Jurab hai,
"Tajul Uroos" mein hai jo cheez lifaafe ki tarah pao mein pehan le wo jurab hai, Allama Aeni likhte hai Jurab batey hue oun se banaayi jaati hai aur pao mein takhne se uper tak pehni jaati hai,
"Aarazul Ahwaazi" mein Sharah Hadees imam Abu Bakr ibne Arbi tahreer farmate hai Jurab wo cheez hai jo pao ko dhaakne k liye aun ki banaayi jaati hai,
"Umdatur Riyayah" mein hai juraabey ruyi yaani soot ki hooti hai aur baalo ki bhi banti hai,
"Gayatul Maqsood" mein hai k juraabey chamdey ki, soonf aur soonth ki bhi hoti hai.

Pas sabit hua k Jurab lifaafe ya libaas ko kehte hai wo libaas khawah charmi ho, ya ouni hum us par masah kar sakte hai.

WUZU K DAIGAR MASA'IL

WUZU K DAIGAR MASA'IL

Bismillahirrahmanirraheem

1. Wuzu k aazaa ka do do baar aur ek ek baar dhona bhi aaya hai, Nabi E Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum ka aksar amal teen teen baar dhooney par raha hai, Ibne Jazam Rahimahullah farmate hai k sab ulama ka ittefaaq hai k aazaa ka ek ek baar dhona bhi kafi hai.

2. Ek Aaraabi ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir ho kar wuzu ki kaifiyat daryaft ki to Aapne use aazaa ka teen teen baar dhona sikhaya aur farmaya "Is tarah kamil wuzu hai, phir jo shaks us (teen teen baar dhoone) par ziyaadah kare pas tehqeeq usne (tark e sunnat ki bina par) bura kiya aur (masnoon hadees se tajawuz kar k) ziyaadati ki aur (Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki mukhalifat karke apni jaan par) zulm kiya". (Abu Dawood Kitabut Taharah hadees no. 135, Nasaayi 1:88, 140, ise Imam Ibne Khuzaima aur Imam Nauvi ne sahih jabke Hafiz ibne Hajar ne jaid kaha)

3. Wuzu k baad aazaa teen baar aur baaz do baar dhoona bhi durust hai. (Sahih Bukhari Hadees no. 185, Sahih Muslim Hadees no. 235)


KHUSHK AEDIYO KO AZAAB

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath makkey se madeene ki taraf lootey, raaste mein hamey paani mila, hum mein se ek jamaat ne namaz e asar k liye jald baazi mein wuzu kiya, unki aediya khushk thi unko paani nahi pahuncha tha, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "(khushk) aediyo k liye aagh se kharaabi hai, pas wuzu poora kiya karo". (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 241)

Is hadees se maloom hua k wuzu badi aehayaat se sawaar kar aur poora karna chahiye aazaa ko khoob acchi tarah aur teen teen baar dhoona chahiye takey zarrah barabar jagah khushk na rahey

Ek shaks ne wuzu kiya aur apne qadam par nakhoon k barabar jagah khushk chood di, Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne use dekh kar farmaya "Wapas ja aur acchi tarah wuzu kar". (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 243)


TAHYATUL WUZU SE JANNAT LAZIM

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks wuzu kare aur khoob sawaar kar accha wuzu kare, phir khada ho kar dil aur muh se (zahiri wa batili taur par) mutawajjah ho kar do rakaat (nafil) namaz ada kare to uske liye jannat wajib ho jaati hai". (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 234)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu bayan karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne namaz e fajr k waqt Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu se farmaya "Ae Bilal! mere saamne apna wo amal bayan kar jo tooney islam mein kiya aur jis par tujhey sawab ki bahut ziyaadah ummeed hai kyunki mene apne aagey jannat mein teri jootiyo ki awaaz suni hai" Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu ne arz kiya "Mere nazdeek jis amal par mujhe (sawaab ki) bahut ziyaadah ummeed hai wo ye hai k mein raat ya din mein jab bhi wuzu kiya to us wuzu k saath jis qadr e nafs namaz mere muqaddas mein thi zaroor padhi (yaani har wuzu k baad nawafil padhey)". (Sahih Bukhari Kitabut Tahajjud Hadees no. 1149, Sahih Muslim Kitabul Faza'il e Sahaba Hadees no. 2458)


KOI SHAKS APNE SAATHI KO WUZU KARAAYE TO JAYEZ HAI

Hazrat Mugeera bin Shuba Razi Allahu Anhu ek safar mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath they, jab aap wuzu karne lagey to Hazrat Mugeera Razi Allahu Anhu aap par paani daalne lagey Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne wuzu kiya. (Sahih Bukhari Hadees no. 182, Sahih Muslim Hadees no. 274)


EK WUZU SE KAYI NAMAZEY

Hazrat Bureedah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k fatah makka k din Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne kayi namazey ek wuzu se padhi aur moozo par masah bhi kiya, Hazrat Umar Farooq Razi Allahu Anhu ne arz kiya Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! aaj k din aapne wo kaam kiya jo aap pehle nahi kiya karte they, Aapne farmaya "Ae Umar mene aesa jaan boojh kar kiya (takey loogo ko ek wuzu se kayi namazey padhne ka jawaaz maloom ho jaye)". (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 277)

Maloom hua k har namaz k liye wuzu farz nahi afzal hai.


DOODH PEENE SE KULLI KARNA

Beshak Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne doodh piya phir kulli ki aur farmaya isme chiknaayi hai. (Sahih Bukhari Kitabut Wuzu Hadees no. 211, Sahih Muslim Kitabut Haiz Hadees no. 358)

Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne bakri ka shaana khaya uske baad namaz padhi aur dobara wuzu na kiya. (Sahih Bukhari Kitabut Wuzu Hadees no. 207, Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 354)

Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne sattu khaya phir kulli karke namaz padhi aur wuzu nahi kiya. (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 209)

MOOZO PAR MASAH KARNE KA BAYAN

MOOZO PAR MASAH KARNE KA BAYAN

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Mugeera bin Shuba Razi Allahu Anhu bayan karte hai k ek safar mein, mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k hamrah tha, mene wuzu k waqt chaha k aapke dono moozey utaar du, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Inhey rehne do mene inhey taharat ki halat mein pehna tha phir Aapne un par masah kiya". (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 206, Sahih Muslim Kitbut Taharah Hadees no. 274)

Shareeh bin Haani farmate hai "Mene Hazrat Ali Razi Allahu Anhu se moozo par masah karne ki muddat k mutalliq pucha to Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ne farmaya "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne musafir k liye (masah ki muddat) teen din raat aur muqeem k liye ek din raat muqarrar farmayi hai". (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 276)

Imam Nauvi, Auzaayi aur Imam Ahmad Rahimahullah kehte hai k masah ki muddat moozey pehen'ne k baad, wuzu k toot jaane se nahi balkey pehla masah karne se shuru hoti hai yaani agar ek shaks namaz e fajr k liye wuzu karta hai aur moozey ya juraabey pehen leta hai to agle din ki fajr tak wo masah kar sakta hai.

Hazrat Safwaan bin Asaal Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k jab hum safar mein hoote to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamey hukm dete k hum apne moozey teen din aur teen raato tak pakhana, paishaab ya soone ki wajah se na utaarey (balkey un par masah karey) han janabat ki soorat mein (moozey utaarne ka hukm dete). (Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 96, Nasaayi 1:83, 84, 98 ise Imam Tirmizi, Ibne Khuzaima, Ibne Hibban aur Nauvi ne sahih kaha)

Is hadees se maloom hua k junbi hona masah ki muddat ko khatam kar deta hai, is liye gusal e janabat mein moozey utaarne chahiye albatta bol wa baraaz aur neend k baad moozey nahi utaarne chahiye balke maeena e muddat tak un par masah kar sakte hai.

WUZU K BAAD KI DUWAYE

WUZU K BAAD KI DUWAYE

Bismillahirrahmanirraheem

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya jo shaks wuzu kare aur phir kahe "ASH HADU ANLAA ILAHA ILLALLAHU WAHDAHU LA SHAREEKA LAHU WA ASH HADU ANNA MUHAMMADAN ABDUHU WA RASOOLUHU" "Mein gawahi deta hu k Allah k siwa koi mabood e barhaqq nahi, wo akela hai, uska koi shakreek nahi aur mein gawahi deta hu k Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam Allah k bandey aur uske Rasool hai" to uske liye jannat k aatho(8) darwaazey khool diye jaate hai k jis se chaahey dakhil ho. (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 234)

Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 170 ki ek riwayat mein is dua ko aasmaan ki taraf nazar utha kar padhne ka zikr hai magar ye riwayat sahih nahi hai, is mein Abu Aqeel ka chacha-zaad bhai majhool hai.


WUZU K BAAD YE DUA BHI PADHEY

"SUBHANA KALLAH HUMMA WA BI HAMDIKA ASH HADU ANLAA ILAHA ILLA ANTA ASTAGHFIRUKA WA ATOOBU ILAIKA" "Ae Allah! tu apni tamaam tar tarifaat k saath (har aeyb se) paak hai mein gawahi deta hu k tere siwa koi saccha mabood nahi hai mein tujh se bakhshish maangta hu aur tere huzoor toba karta hu". (Nasaayi Kitabul Amalul yaum wa lailah, ise imam Hakim, Hafiz Zahbi aur Ibne Hajar ne sahih kaha hai)
(Kisi majlis k khatimey par bhi yahi dua padhi jaati hai)


WUZU KI KHUD SAAKHTA DUWAYE

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki sunnat se wuzu k shuru mein (BISMILLAH) aur baad mein shahadatayn ka padhna sabit hai, lekin baaz loog wuzu mein har azu dhoote waqt ek ek dua padhte hai aur wo duwaye murawajjah kutub e namaz mein paayi jaati hai, wazey ho k ye duwaye sunnat e paak aur Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum k amal se sabit nahi hai, Allah Ta'ala ne jab apne Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam par deen mukammal kar diya to phir deni shari umoor mein kami baishi karna kisi ummati k liye hargiz jayez nahi hai.

Imam Nauvi Rahimahullah farmate hai "Har uzu k liye makhsoos azkaar k baare mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se koi cheez sabit nahi hai".

Saturday, 30 May 2015

WUZU KA BAYAN

WUZU KA BAYAN

Bismillahirrahmanirraheem

Allah ta'ala farmata hai: "Ae emaan walo! jab tum namaz k liye khade ho to apne chehro ko aur haatho ko kohniyo tak dhoo aur apne sar ka masah karo aur takhno tak apne pao dhoo". (Surah Maida Ayat no. 6)


MASNOON WUZU SE GUNAHO KI BAKHSHISH:

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis waqt bandah momin wuzu shuru karta hai phir kulli karta hai to uske muh k gunah nikal (jhad) jaate hai, phir jis waqt naak jhaadta hai uske naak k gunah nikal jaate hai, phir jis waqt chehra dhoota hai uske chehrey k gunah nikal jaate hai, yaha tak k uski aankho ki palko k nichey se bhi gunah nikal jaate hai, chehra dhoote waqqt gunah daadhi k kinaaro se bhi girte hai aur jis waqt wo haath dhoota hai to uske dono haatho se gunah nikal jaate hai yaha tak k dono haatho k nakoonu k nichey se bhi nikal jaate hai, phir jis waqt masah karta hai uske sar se gunah nikal jaate hai, yaha tak k dono kaano se bhi gunah nikal jaate hai, phir jis waqt pao dhoota hai to uske dono paao se gunah nikal jaate hai, yaha tak k dono pao k nakhoono k nichey se bhi nikal jaate hai, yaha tak k wo sab gunaho se paak saaf ho kar nikalta hai". (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 244)

Ek shaks ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha k aap apni ummat ko (maidaan e hashr mein) doosri ummato k (be-shumaar loogo k) darmiyaan kis tarah pehchanengey? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya mere ummati wuzu k asar se safaid (noorani) chehre aur safaid (noorani) haath pao wale hongey, is tarah unke siwa koi nahi hoga. (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 247)


WUZU SE BULAND DARJAAT:

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Taharat aadha emaan hai". (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 223)

Sayyadna Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k mene apne dost Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye farmate hue suna "(jannat mein) momin ka zaivar waha tak pahunchega jaha tak wuzu ka paani pahunchega". (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 250)

Rasool Allah  ne farmaya "Kya mein tumhey wo cheez na batau k jiske sabab Allah ta'ala gunaho ko door aur darjaat ko buland karta hai?" Sahaba Razi Allahu Anhum ne arz kiya, Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam irshad farmaiye, Aapne farmaya "Mashakkat (beemari ya sardi) k waqt kaamil aur sawaar kar wuzu karna, kasrat se masjido ki taraf jana aur namaz k baad namaz ka intazaar karna gunaho ko door aur darjaat ko buland karta hai". (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 251)


NEEND SE JAAG KAR PEHLE HAATH DHOIYE:

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum neend se jaago to apna haath paani k bartan mein na daalo jab tak k usko (teen baar) na dhoolo kyunki tum nahi jaante k us haath ne raat kaha guzaari hai". (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 162, Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 678)


TEEN BAAR NAAK JHAADEY:

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum neend se baidaar ho phir wuzu ka iraadah karo to (paani chadha kar) teen baar naak jhaado kyunki shaitaan naak k baansey mein raat guzaarta hai". (Sahih Bukhari Kitabul Badd ul Khalq Hadees no. 3295, Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 238)

Soone wale k naak k baansey mein shaitan k raat guzaarne ki asliyat aur haqeeqat Allah hi behtar jaanta hai, hamara farz emaan lana hai k waqae shaitan raat guzaarta hai.


MASNOON WUZU KI MUKAMMAL TARTEEB:

1. Wuzu karne se pehle dil mein wuzu karne ki niyat karey.

2. Wuzu k shuru mein "BISMILLAH" zaroor padhni chahiye kyunki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum se farmaya "BISMILLAH" keh kar wuzu karo. (Nasaayi Kitabut Taharah Hadees no. 78, Ibne Khuzaima Hadees no. 144)

Wazey rahe k wuzu ki ibtida k waqt sirf "BISMILLAH" kehna chahiye "AR-RAHMAN-NIR-RAHEEM" k alfaaz ka izaafa sunnat se saabit nahi.

Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks wuzu k shuru mein "BISMILLAH" nahi kehta uska wuzu nahi". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 101, Hafiz Munzari wagairah ne shawahid ki bina par hasan kaha)

Agar "BISMILLAH" bhool gayi aur wuzu k doraan yaad aayi to fauran padh le wuzu dobaara karne ki zaroorat nahi kyunki bhool maaf hai.

3. Hazrat Ummey Ateeya Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Zainab Razi Allahu Anha ko gusal dene waliyo se kaha dahini taraf se aur wuzu k muqaamo se unka gusal shuru karo. (Sahih Bukhari Hadees no. 167, Sahih Muslim Hadees no. 939)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jooti pehan'ne, kanghi karne, taharat karne aur garz tamaam kaamo mein daayi taraf se shuru karna pasand farmaate. (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 168, Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 268)

4. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dono haath kohniyo tak teen baar dhooye. (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 159, Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 226)

5. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Wuzu mukammal karo aur haatho ko dhoote waqt haatho ki ungliyo k darmiyaan khalal karo, aur naak mein paani chadhane mein mubaalagha karo illa ye k tum rooza-daar ho". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 146, Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 38, Ise Tirmizi, Hakim (1:147-148) aur Noovi ne sahih kaha)

6. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek chulllu le kar aadhey se kulli ki aur aadha naak mein daala aur naak ko baaye haath se jhaada, ye amal teen dafa kiya. (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 191, 199, Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 235)

7. Phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne teen baar muh dhooya. (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 185, Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 235)

8. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam daadhi ka khalaal karte they. (Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 31, Iben Hibban aur Ibne Khuzaima ne sahih kaha)

9. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne daaya haath kohni tak teen baar dhooya phir baaya haath kohni tak teen baar dhooya. (Sahih Bukhari Kitabus Soum Hadees no. 1934, Sahih Muslim Hadees no. 226)

10. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne sar ka masah kiya, dono haath sar k agle hisse se shuru kaar k gardan tak pichey le gaye, phir pichey se aagey usi jagah le aaye jaha se masah shuru kiya tha. (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 185, Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 235)

Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne sar ka ek dafa masah kiya. (Sahih Bukhari Hadees no. 186, Sahih Muslim Hadees no. 235)

11. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne kaano ka masah kiya shahadat ki ungliya dono kaano k suraakho mein daal kar kaano ki pusht par angootho k saath masah kiya. (Ibne Maja Kitabut Taharah Hadees no. 439, Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 36, Ise Ibne Khuzaima (1:77 Hadees 148) ne sahih kaha)

12. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne daaya pao takhno tak teen baar dhoya aur baaya pao bhi takhno tak teen baar dhoya. (Sahih Bukhari Kitabus Saum Hadees no. 1934, Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 226)

13. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k jab wuzu karo to haatho aur pao ki ungliyo ka khalaal karo. (Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 39, Ibne Maja Kitabut Taharah Hadees no. 447, Ise Tirmizi ne hasan kaha)

Hazrat Mastoorad bin Shaddaad Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko wuzu karte hue dekha k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam apne pao ki ungliyo ka khalaal haath ki chooti ungli se kar rahe they. (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 148, Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 40, Imam Malik ne hasan kaha)

14. Hakam bin Sufyaan Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab paishab karke wuzu karte to apni sharm-gaah par paani ka cheenta dete. (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 166, Nasaayi Kitabut Taharah Hadees no. 135)

15. Wuzu karte hue aazaa k dhoone mein tarteeb qaayam rakhna wajib hai aur wuzu ek hi waqt mein kiya jaaye aazaa k dhoone mein waqfa aur taakheer na ho.

16. Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu ne farmaya "K Agar zakham par patti bandhi hui ho to wuzu karte waqt patti par masah karle aur ird gird ko dhoo le". (Behaqui 1:228, Imam Behaqui ne ise hasan kaha)


TANBIHAAT:

1. Kulli aur naak mein paani daalne k liye alag alag paani lene ka zikr jis hadees mein hai use (Abu Dawood Hadees no. 139) Imam Noovi aur Hafiz ibne Hajar ne zaeef kaha hai, Imam Noovi aur Imam Ibne Qayyam farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k wuzu ka tareeqa ek chullu se aadha paani muh mein aur aadha naak mein daalna hai.

2. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Kaano ka talluq sar se hai "(Daare Qutni 1:98 Ise Ibne Joozi Rahimahullah wagairah ne sahih kaha hai) iska matlab ye hai k kaano k liye naaye paani ki zaroorat nahi, kaano k masah k liye naya paani lene wali riwayat ko Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ne shaaz kaha hai"

3. Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah farmate hai k k (guddi k nichey) gardan k (alag) masah k baare mein qata'an koi sahih hadees nahi, gardan k masah ki riwayat k mutalliq Imam Noovi farmate hai "Ye Hdees Bil-ittefaaq zaeef hai". (Majmua E Fatawa 21:127, Zadul Maad 1:195, Al Majmua 1:489)

Tuesday, 26 May 2015

GUSAL KA BAYAN

GUSAL KA BAYAN

 

Bismillahirrahmanirraheem

GUSAL E JANABAT KA TAREEQA:

Gusal e janabat karne wala sabse pehle gusal karne ka iraadah yaani niyat karega

Ummul Momineen Hazrat Maimoona Razi Allahu Anha bayan karti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne gusal ka iraadah farmaya to sabse pehle dono haath dhooye, phir sharm-gaah ko dhooya, phir baaya haath, jis se sharm-gaah ko dhooya tha, zameen par ragda phir usko dhoya phir kulli ki aur naak mein paani dala, phir chehra dhooya, phir kohniyo tak haath dhooye phir sar par paani dala aur baalo ki jadoo tak paani pahunchaya, teen baar sar par paani dala, phir tamaam badan par paani dala, phir jaha aapne gusal kiya tha us jagah se hat kar pao dhooye. (Sahih Bukhari Kitabul Gusal Hadees no. 265, Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 317)

Hazrat Maimoona Razi Allahu Anha farmati hai "mene gusal k baad jism saaf karne k liye Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko kapda diya magar aapne nahi liya". (Sahih Bukhari Hadees no. 266, Sahih Muslim Hadees no. 317)

Hazrat Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah farmate hai "Kisi hadees mein (gusal e janabat ka wuzu karte waqt) sar k masah ka zikr nahi hai". (Fathul Baari Sharah Sahih Bukhari)

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k gusal e janabat mein wuzu ka zikr karte hue farmate hai k aapne sar ka masah nahi kiya balkey us par paani dala, Imam Nasaayi ne us hadees par ye baab baandha hai "Janabat k wuzu mein sar k masah ko tark karna". (Nasaayi Kitabul Gusal Hadees no. 420, 1:205)

Imam Abu Dawood farmate hai "Mene Imam Ahmad se sawal kiya k junbi jab (gusal se qabl) wuzu kare to kya sar ka masah bhi kare? Aapne farmaya k wo masah kis liye kare jab k wo apne sar par paani dalega".


EK HI BARTAN MEIN MIYAA BEEWI KA IKATTHEY GUSAL KARNA:

Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne kaha "Mein aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ek bartan se nahaate aur dono us se chullu bhar bhar kar lete they". (Sahih Bukhari Kitabul Gusal Hadees no. 273, Sahih Muslim Hadees no. 319)

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki zooja e mohtarma ne ek lagan se paani le kar gusal kiya, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne lagan mein bachey hue paani se wuzu karna chaaha to unhone arz ki Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mein junbi thi, aapne farmaya "Beshak paani junbi (yaani na-paak) nahi hota". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 68)


GUSAL PARDEY MEIN KARNA CHAHIYE:

Hazrat Ummey Haani Razi Allahu Anha binte Abu Talib se riwayat hai k mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas gayi, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam gusal kar rehey they aur Hazrat Fatima Razi Allahu Anha aap par kapde se pardah kiye hue thi. (Sahih Bukhari Kitabul Gusal Hadees no. 280, Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 336)


GUSAL E JANABAT KA WUZU KAAFI HAI:

Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam gusal (janabat) k baad wuzu nahi karte they. (Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 107, Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 250, Ise Imam Hakim, Zahbi aur Tirmizi ne Sahih kaha)

Yaani gusal k shuru mein wuzu karte they, usko kaaf jaante aur (namaz k liye) dobaarah wuzu nahi farmate they, lekin isme ye ehtayaat zaroori hai k doraan e gusal, sharm-gaah ko haat na lage.


JUMA K DIN GUSAL:

Sayyadna Ibne Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum mein se koi shaks namaz k liye aaye to use gusal karna chahiye". (Sahih Bukhari Hadees no. 877, Sahih Muslim Hadees no. 844)

Sayyadna Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Har musalman par haqq hai k hafte mein ek din (juma ko) gusal kare, us mein apna sar dhooye aur apna badan dhooye". (Sahih Bukhari Kitabul Juma Hadees no. 897, Sahih Muslim Kitabul Juma Hadees no. 849)

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Juma k din har baaligh musalman par nahaana wajib hai". (Sahih Bukhari Kitabul Juma Hadees no. 879, Sahih Muslim Kitabul Juma Hadees no. 846)

Hazrat Ibne Joozi Rahimahullah farmate hai "Juma k din gusal wajib hai kyunki uski ahadees ziyaadah sahih aur qavi hai, ibne Hazam aur Allama Shokaani Rahimahullah ne bhi isi mazhab ko ikhtiyaar kiya hai".


MAYYAT KO GUSAL DENE WALA GUSAL KARE:

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks murde ko gusal de use chahiye k wo khud bhi nahaaye". (Abu Dawood Kitabul Jana'iz Hadees no. 3161, Tirmizi Kitabul Jana'iz Hadees no. 993, Ibne Maja Hadees no. 1463, Ise Ibne Hibban 751 aur Ibne hazam 2:23 ne sahih kaha)

Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tum par mayyat ko gusal dene se koi gusal wajib nahi kyunki tumhari mayyat taahir marti hai najis nahi, lihaza tumhey haath dhoo lena hi kaafi hai". (Behaqui 1:306, Ise Hakim aur Zahbi ne sahih aur Ibne Hazam ne hasan kaha)

Dono ahadees k milaane se masla ye saabit hua k jo shaks mayyat ko gusal de, uske liye nahana mustahab hai, zaroori nahi, chunanchey Ibne Umar Razi Allahu Anhu farmate hai "Hum mayyat ko gusal dete (phir) hum mein se baaz gusal karte aur baaz na karte". (Behaqui 1:306, Hafiz ibne Hajar ne ise sahih kaha)


NOO-MUSLIM GUSAL KARE:

Hazrat Qais bin Aasim Razi Allahu Anhu se riwayat hai k jab wo musalman hue to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unhey hukm diya k paani aur bairi k patto k saath gusal karey. (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 355, Tirmizi Kitabul Juma Hadees no. 605, Ise Imam Noovi ne hasan, Imam Ibne Khuzaima 1:26 Hadees 154-155 aur Ibne Hibban 234 ne sahih kaha)


EIDAYN K ROOZ GUSAL:

Hazrat Nafey Rahimahullah kehte hai k Sayyadna Ibne Umar Razi Allahu Anhu eid ul fitr k rooz gusal kiya karte they. (Muatta Imam Malik Hadees no. 1:17)

Hafiz ibne Abdul Barr Rahimahullah farmate hai k eidayn k din gusal k baare mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se koi hadees sabit nahi, Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum ka amal hai, Ahle Ilm ki ek jamaat k nazdeek ye gusal, gusal e juma par qayaas karte hue mustahab hai.

Sayyadna Ali Razi Allahu Anhu ne farmaya "Juma, Arfa, Qurbaani aur Eid ul fitr k din gusal karna chahiye". (Behaqui 3:278)


AHRAAM KA GUSAL:

Hazrat Zaid bin Saabit Razi Allahu Anhu se riwayat hai k hajj ka ahraam baandhte waqt Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne gusal farmaya. (Tirmizi Kitabul Hajj Hadees no. 830, Imam Tirmizi ne ise hasan kaha)


MAKKA MEIN DAKHIL HOONE KA GUSAL:

Sayyadna Ibne Umar Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam makka mein dakhil hoote waqt gusal karte they. (Sahih Bukhari Kitabul Hajj Hadees no. 1573, Sahih Muslim Kitabul Hajj Hadees no. 1259)


MISWAAK KA BAYAN:

Sayyadna Huzaifa Razi Allahu Anhu farmate hai "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab raat ko tahajjud k liye uthte to miswaak karte". (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 245, Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 255)

Sayyadna Ibne Abbas Razi Allahu Anhu farmate hai "Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam raat ko har do rakaat k baad miswaak karte". (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 256)

Sayyadna Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Miswaak muh k liye taharat ka sabab aur Allah ki raza-mandi ka zariya hai". (Nasaayi Kitabut Taharah Hadees no. 5, Ise Imam Noovi aur Ibne Hibban ne sahih kaha)

Sayyadna Ummey Salma Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab bhi mere paas Jibraeel Alaihis Salaam aate to mujhe miswaak karne ka hukm karte they mujhe khatrah la haqq hua k mein apne muh ki ungli jaanib na cheer lu". (Behaqui 7: 49, Imam Bukhari ne is hadees ko hasan kaha hai)

Sayyadna Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Aagar mein apni ummat k liye mushkil na jaanta to har namaz se pehle miswaak karne ka hukm deta". (Sahih Bukhari Kitabul Juma Hadees no. 887, Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 252)

Monday, 25 May 2015

NIFAAS KA HUKM

NIFAAS KA HUKM

Bismillahirrahmanirrahaam

Bacchey ki paidaish k baad jo khoon aata hai use nifaas kehte hai

Hazrat Ummey Salma Razi Allahu Anha farmati hai k nifaas wali auratey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k zamaney mein 40 din baitha karti thi (Namaz wagairah nahi padhti thi). (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 311, Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 139, Ibne Maja Hadees no. 648, ise Imam Hakim (1:175) aur Hafiz Zahbi ne sahih kaha, jabke Imam Noovi ne hasan kaha)

Aksar Sahaba Razi Allahu Anhum aur Taaba'een Rahimahullh k nazdeek nifaas k khoon ki ziyaadah se ziyaadah muddat chalees din hai agar chalees rooz k baad bhi khoon jaari rahe to aksar ahle ilm k nazdeek wo khoon istihaaza hai jis mein aurat har namaz k liye wuzu karti hai, nifaas ki kam az kam muddat ki koi hadd nahi

Sayyadna Anas Razi Allahu Anhu farmate hai "Nifaas ki muddat chalees din hai illa ye k khoon pehle hi band ho jaye". (Behaqui)

Nifaas aur Haiz k khoon ka hukm ek jesa hai yaani un halaat mein namaz, rooa aur jima mana hai.

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ayyaam e nifaas ki namazo ki qaza ka hukm nahi dete they. (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 312, Ise Imam Hakim aur Zahbi ne sahih kaha)

ISTIHAAZA KA MASLA

ISTIHAAZA KA MASLA

Bismillahirrahmanirraheem

Istihaza wo khoon hota hai jo ayyaam e haiz k baad khaki ya zard rang ka jaari hota hai, ye ek marz hai, jab aurat apne haiz ki iddat k din poore karle phir use gusal karke namaz shuru kar deni chahiye kyunki khoon e istihaaza ka hukm khoon e haiz k hukm se mukhtalif hai

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Hazrat Fatima bintey Jaish Razi Allahu Anha Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein aayi aur arz kiya "Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mujhe khoon e istihaaza aata hai aur mein (boja khoon istihaaza) paak nahi hoti kya mein namaz chood du? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Nahi" khoon e istihaaza ek (androoni) ragg se (behta) hai ye khoon haiz nahi hai, pas jab tujhe haiz ka khoon aaye to namaz chood de aur jis waqt khoon e haiz band ho jaye (aur khoon e istihaaza shuru ho) to apne istihaaza k khoon ko dho aur namaz padh". (Sahih Bukhari Kitabul Haiz Hadees no. 306, Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 333)

Hazrat Fatima binte Abi Jaish Razi Allahu Anha ko Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Haiz ka khoon siyaah rang ka hota hai aur pehchana jata hai agar ye aaye to namaz se ruk ja aur agar koi aur rang ho to wuzu kar aur namaz pad is liye k ye rang (istihaaza) ka khoon hai". (Abu Dawood Kitabul Taharah Hadees no. 286)

Hazrat Ummey Ateeya Razi Allahu Anha bayan karti hai k "Hum haiz k alawa baaqi dino mein peele ya matyaale rang ki kuch parwah nahi karti thi". (Sahih Bukhari Hadees no. 326, Abu Dawood Hadees no. 307)

Hasil kalaam ye k mustahaaza paak aurat ki tarah hai

Khoon e haiz baloogat ki alamat hai agar ye aadat k mutabiq aaye to ye sehat ki alamat hai, iske bar-aks istihaaza bimaari ki alamat hai chunkey ye khoon, haiz se pehle bhi aata hai aur haiz ki muddat guzar jaane k ba-wajood nahi rukta is liye baaz khawateen use bhi haiz samajh kar namaz choode rakhti hai lihaza is masle ko ba-luzahat samajhna zaroori hai:

1. Khoon e haiz gadha, siyaah aur kisi qadr badbudaar hota hai, jab uski muddat khatam hoti hai to khake ya zard rang ka khoon agar jaari rehta hai to wo istihaaza ka khoon hai.

2. Agar khatoon, haiz aur istihaaza ka farq pehchaan leti hai to wo uske mutabiq amal karegi yaani haiz aane par namaz chood degi aur haiz k baad istihaaza k doraan har namaz k liye alag wuzu karke namaz ada karegi.

3. Agar use dono khoono ki pehchaan nahi hai albatta haiz use aadat k mutabiq aata hai to wo aadat k dino mein namaz tark karegi aur unke baad jo khoon aayega use istihaaza samjhegi.

4. Agar use dono khoono ki pehchaan nahi hai aur haiz bhi adat k mutabiq nahi aata to wo apni qareebi rishtedaar khatoon (jo mizaaj aur umar mein us jesi ho masalan behan wagairah) ki aadat k mutabiq amal karegi hatta k use pehchaan ho jaye ya uski apni aadat ban jaye. (Wallahu Aalam bis Sawaab)


MUSTAHAAZA K AHKAAM:

1. Haiz k khatimey k baad aurat gusal karegi.

2. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Fatima bintey Jaish Razi Allahu Anha ko hukm diya k har namaz k liye wuzu kiya karo. (Sahih Bukhari Hadees no. 228)

3. Aurat har wo kaam karegi jo ek paak aurat karti hai yaani wo namaz ada karegi, rooza rakkhegi, aetakaaf karegi, khana kaba ka tawaaf karegi

4. Mustahaaza aurat se sohbat karna jayez hai, Jumnah bintey Jahash se riwayat hai k "Unhey istihaaza ka khoon aata tha aur unke khawind (is haal mein) unse sohbat karte they". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 310)

HAIZ K MASA'IL

HAIZ K MASA'IL

Bismillahirrahmanirraheem

Haiz us khoon ko kehte hai jo baligha aurat k raham se har maah nikalta hai uska kam se kam waqt ek din aur ek raat hai aur ziyaadah se ziyaadah 15 din hai, aam taur par 6 ya 7 din aata rehta hai.


HAIZ WA NIFAAS K AYYAAM MEIN MAMNOO AAMAAL:

1. NAMAZ AUR ROOZA KI MUMANIYAT:

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab aurat haiz se hooti hai to wo namaz nahi padhti aur na rooza rakhti hai". (Sahih Bukhari Kitabul Haiz Hadees no. 304, Sahih Muslim Kitabul Emaan Hadees no. 79)

Ek aurat Muaazata ne Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se daryaft kiya "Kya wajah hai k haiza aurat rooze ki qaza to deti hai, namaz ki nahi? Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne farmaya "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k zamaane mein hamey haiz aaya karta tha to hamey rooze ki qaza ka hukm diya jata tha magar namaz ki qaza ka hukm nahi diya jata tha". (Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 335)


2. HAIZA SE SOHBAT KARNE KI MUMANIYAT:

Haiz ki haalat mein aurat se mujami'at karna sakhat gunah hai Allah ta'ala ne quran majeed mein farmaya "FAATAZILUN NISAA'A FIL MAHEEZ" "pas (ayyam) haiz mein aurato se kinara kashi karo (yaani sohbat na karo)"

Agar koi is gunah ka murtakib ho jaye to Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks ba-haalat e haiz apni aurat se sohbat kare to use chahiye k nisf dinaar khairaat kare". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 264, Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 136, Imam Hakim (1:171-172) aur Zahbi ne ise sahih kaha)

Dinaar saade chaar maashey soone ka hota hai nisf dinaar sawa do maashey sona hua, soone ki qeemat sadqa kare yaani kisi mustahiq ko de de aur ayindah k liye tauba kare.

Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu farmate hai agar haiz ka rang surk hai to ek dinaar aur agar haiz ka rang peela hai to nisf dinaar khairaat kare. (Abu Dawood Kitabun Nikah Hadee no. 2169, Tirmizi Hadees no. 137, Albani ne moqoof riwayat ko sahih kaha)

3. TAWAAF E KABA KI MUMANIYAT:

Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath hajj ko gayi, raaste mein mujhe haiz shuru ho gaye, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam mere paas aye aur mein roo rahi thi, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Kya tujhe haiz aa gaya hai?" mene arz kiya k han! Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ye Allah ta'ala ka amr hai jo usne Aadam Alaihis Salaam ki baitiyo k liye rakh diya hai pas tum har wo kaam karo jo haaji karte hai siwaye khana kaba k tawaaf k, aur wo tum (haiz se paak ho kar) gusal karne k baad karna". (Sahih Bukhari Kitabul Umrah Hadees no. 1785, Sahih Muslim Hadees no. 1216)


HAIZ AUR NIFAAS MEIN JAYEZ UMOOR:

Sayyadna Anas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k jab aurat haiz (yaani mahwari ka khoon) se hoti to yahoodi uske saath khate peete nahi they to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Haiza se har kaam karo siwaye jima k". (Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 302)

Yaani haiza se khana peena, uthna baithna, use choona aur boosa kinaar wagairah sab baatey jayez hai siwa e mujami'at k

Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha riwayat karti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhe (halat e haiz mein) izaar baandhne ka hukm dete, so mein izaar baandhti, Aap mujhe gale lagaate they aur mein haiz wali hoti thi. (Sahih Bukhari Kitabul Haiz Hadees no. 300, Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 293)

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne masjid (mein apni aetakaaf gaah) se mujhe booriya pakdaane ka hukm diya mene kaha mein haiza hu, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tera haiz tere haath mein nahi hai". (Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 298)

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai "Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam meri good ko takiya bana kar quran e hakeem ki tilawat karte they halankey mein haiza hoti thi". (Sahih Bukhari Kitabul Haiz hadees no. 297, Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 301)


HAIZA KA QURAN MAJEED PADHNA AUR ZIKR AZKAAR KARNA:

Haalat e janabat wa haiz mein quran majeed ki tilawat k haraam hoone k baare mein koi sahih hadees nhi hai.

Azkaar ki baabat Imam Noovi farmate hai "Haiza k liye tasbeeh wa tahmeed, takbeer aur daigar duwaye aur azkaar bala jima jayez hai". (Majmua)

Is ki daleel Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ki hadees hai Aap farmati hai mein hajj k dino mein haiza ho gayi to Rasool allah ne farmaya "Baitullah k tawaaf k alawah har wo kaam karo jo haaji karta hai". (Sahih Bukhari Kitabul Haiz Hadees no. 294, Sahih Muslim Kitabul Hajj Hadees no. 1211)

Is hadees se ye bhi wazey hua k haiza tawaaf e kaba k alawa hajj k baaqi tamaam aamaal kar sakti hai.

Hazrat Ummey Ateeya Razi Allahu Anha farmati hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne haiz wali aurato ko bhi eid k rooz eid-gaah jaane ka hukm diya takey wo loogo ki takbeero k saath takbeerey kahey aur unki duwa k saath duwa kare lekin namaz na padhey. (Sahih Bukhari Kitabul Eidayn Hadees no. 981, Sahih Muslim Hadees no. 890)

Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam har haal mein Allah ka zikr karte they. (Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 373)

In Ahadees se sabit hua k haiza aur junbi zikr, azkaar kar sakte hai.

JANABAT K AHKAAM

JANABAT K AHKAAM

Bismillahirrahmanirraheem

Wajoob e gusal ki haalat ko "Janabat" kehte hai, jis insaan par gusal wajib ho wo junbi kehlata hai junbi gusal karne se pehle na to namaz ada kar sakta hai aur na hi kaba ka tawaaf kar sakta hai
Mandarja zail haalato mein musalman mard aur aurat par gusal karna farz ho jata hai:

1. Josh k saath mani kharij hone k baad (is mein ehtalaam bhi dakhil hai)
2. Sohbat k baad
3. Haiz k baad
4. Nifaas k baad (wo khoon jo bacchey ki paidaish par jaari hota hai)
5. Marne k baad mayyat ka gusal
6. Kafir jab islam qubool kare


SOHBAT AUR GUSAL E JANABAT:

Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum k darmiyaan gusal e janabat ka ek masla zair e bahas aaya, ek garooh kehta tha k gusal sirf dakhool par farz ho jata hai inzaal shart nahi, doosra garooh bayan karta tha k wajoob e gusal k liye dakhool k saath inzaal bhi shart hai, Hazrat Abu Mosa Razi Allahu Anhu ne Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se daryaft kiya, Hazrat Ayesha Siddeqa Razi Allahu Anha ne kaha k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab mard, aurat ki chaar shaako k darmiyaan baith jaye aur uska mahal khatnah aurat k mahal khatnah k saath mas kare to gusal wajib ho jata hai". (Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 349)

Masla ye sabit hua k sirf sharmgaaho k milne par hi mard aur aurat junbi ho jaate hai aur unpar gusal wajib ho jata hai, inzaal shart nahi hai.

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum aurat ki chaar shaako k darmiyaan baith kar sohbat karo to tum par gusal wajib ho gaya, agarchey mani na nikle". (Sahih Bukhari Kitabul Gusal Hadees no. 291, Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 348)

AURAT BHI MOHTALIM HOTI HAI:

Ummul Momineen Hazrat Salma Razi Allahu Anha riwayat karti hai k Ummey Saleem Razi Allahu Anha ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se kaha, ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! yaqeenan Allah haqq se nahi sharmaata (mein bhi aap se masla poochti hu) kya aurat par gusal hai jab k usko ehtalaam ho? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Han" lekin jab paani (mani ka nishan) dekhey, us par Ummey Salma Razi Allahu Anha ne arz kiya Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! kya aurat ko bhi ehtalaam hota hai? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Han (hota hai) tera dahina haath khaak aalood ho". (Sahih Bukhari Kitabul Gusal Hadees no. 282, Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 313)

Is mein aakhiri jumla bad-dua nahi, mehaz ek muhawara hai, muraad tanbiha karna hota hai
Maloom hua k aurat ya mard neend se uth kar agar tari yaani nishaan e mani dekhey to (ye ehtalaam ki alamat hai lihaza) us par gusal karna farz ho jata hai aur agar ehtalaam ki kaifiyat unhey yaad ho lekin nishan na paaye to gusal farz nahi hoga aesi soorat mein shak karne ki zaroorat nahi hai.


JUNBI K BAALO KA MASLA:

Hazrat Ummey Salam Razi Allahu Anha riwayat karti hai k mene kaha Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mein apne sar k baal khoob mazboot goondati ho, kya mein unhey gusal e janabat k waqt khool du? Aapne farmaya "unka khoolna zaroori nahi, tere liye kaafi hai k teen lapp paani apne sar par daale, phir apne saare badan par paani bahaye, pas tu paak ho jayegi". (Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 330)

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ko khabar mili k Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu aurato ko gusal e janabat k liye baal khoolne ka hukm dete hai aap farmane lagi, Ibne Umar Razi Allahu Anhu par tajjub hai unhone aurato ko takleef mein daal diya wo unhey sar mundhwaane ka hukm kyu nahi de dete, mein aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ek hi bartan mein gusal karte aur mein apne baal (khoole bagair) sar par teen chullu se ziyadah paani nahi daalti thi. (Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 331)

Maloom hua gusal e janabat k liye baal khoolne ki zaroorat nahi magar ye hukm sirf gusal e janabat ka hai, gusal e haiz k liye baalo ko khoolna zaroori hai.

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k unhey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne gusal e haiz k liye farmaya "Apne baal kholo aur gusal karo". (Ibne Maja Kitabut Taharah Hadees no. 641, Busairi ne kaha k iske ravi siqa hai)


JUNBI K SAATH MILNA JULNA:

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k ek din ba-haalat e janabat mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se mulaqaat ki, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mera haath pakda aur mein Aapke saath ho liya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ek jagah baith gaye aur mein chupke se nikal gaya aur ghar ja kar gusal kiya phir wapas aaya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam abhi bhi baithey hue they, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pucha "Ae Abu Hurairah! tu kaha gaya tha" mene sara haal keh sunaya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Subhan Allah, tehqeeq e momin na-paak nahi hota". (Sahih Bukhari Kitabul Gusal Hadees no. 283, Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 371)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka ye farmaan k momin na-paak nahi hota, iska matlab ye hai k momin najis aur paleed nahi hota, janabat, hukmi najasat hai, hasi nahi yaani shariyat ne maslehat ki bina par ek haalat mein hukman us par gusal wajib kiya hai, pas junbi k saath milna julna, uthna baithna, ikhtataat wa irtabaat aur khana peena sab jayez hai.


MAZI K KHARIJ HOONE SE GUSAL WAJIB NAHI HOTA:

Sayyadna Ali Razi Allahu Anhu ko mazi kasrat se aati thi, Aap ko masla maloom na tha k mazi k kharij hoone par gusal wajib hota hai ya nahi, chunkey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k damaad they is liye bil mashaafah daryaft karte hijaab aya to apne doost Hazrat Miqdaad Razi Allahu Anhu se kaha k wo masla daryaft kare, Hazrat Miqdaad Razi Allahu Anhu ne Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Agar mazi kharij ho to sharmgaah ko dhoo lo aur (namaz k waqt) wuzu karo". (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 178, Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 303)

Neez farmaya "Agar kapde par jaha mazi lagi ho ek chullu paani le kar chidak lena kaafi hai". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 210, Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 115, Imam Tirmizi ne ise hasan sahih kaha)


MAZI, MANI, WADI KA FARQ:

Mazi: Us chipakte hue lais-daar paani ko kehte hai jo shahoot k waqt zikr k sire par namudaar hota hai.

Mani: Azu makhsoos se lazzat aur josh k saath tapak kar kharij hoone wala safaid maada hota hai jis se insaan paida hota hai aur uske khurooj se aadmi par gusal farz ho jata hai.

Wadi: Wo gaadha safaid paani jo paishaab se qabl ya baad kharij hota hai, uske nikalne par gusal karna zaroori nahi hai.

SEELAAN RAHAM MOJOOB GUSAL NAHI:

Jin aurato ko safaid ratoobat yaani laikooriya ki shikayat hoti hai us se bhi gusal laazim nahi hota, hasb e mamool namazey ada karni chahiye.

Sunday, 24 May 2015

NAJASATO KI TATHEER KA BAYAN

NAJASATO KI TATHEER KA BAYAN

Bismillahirrahmanirraheem

Ek aaraabi ne masjid mein paishab kar diya aur loog uske pichey pad gaye, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unhey farmaya "Use chood do aur (jagah ko paak karne k liye) uske paishab par paani ka dool baha do". (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 221, Sahih Muslim Kitabul Taharah Hadees no. 284)

Phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne usko bula kar farmaya "Masjid paishab aur gandagi k liye nahi balkey Allah k zikr, namaz aur quran padhne k liye (hoti) hai". (Ibne Maja Kitabut Taharah Hadees no. 529)


HAIZ AALOOD KAPDA:

Hazrat Asma bintey Abu Bakr Razi Allahu Anha riwayat karti hai k ek aurat ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha k jis kapde ko haiz (mahawari) ka khoon lag jaye to kya kare? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Use chutikiyo se mal kar paani se dho daalna chahiye aur phir usme namaz ada karli jaye". (Sahih Bukhari Kitbul Wuzu Hadees no. 227, Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 291)


MANI KA DHOONA:

Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai k mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k kapdey se mani ko dhoo daalti thi aur Aap us kapde mein namaz padhne tashreef le jaate they aur dhoone ka nishaan kapde par hota tha. (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 229, Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 289)


SHEER KHAWAAR BACCHEY KA PAISHAAB:

Hazrat Ummey Qais Razi Allahu Anha apne choote (sheer khawaar) bacche ko jo khana nahi khata tha, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas laayi aur Aapne use apni goodi mein baitha liya, bacchey ne aapke kapde par paishab kar diya to aapne paani mangwakar kapde par cheentey maare aur use dhooya nahi. (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 223, Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 287)

Lubaba bintey Haris Razi Allahu Anha riwayat karti hai k Hussain bin Ali Razi Allahu Anhu ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki goodi mein paishab kar diya (jo abhi sheer khawaar hi they) "mene arz kiya koi aur kapda pehan le aur tahband mujhe de de takey mein use dhoo du, to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya ladki ka paishab dhoya jata hai aur ladke k paishab par cheente maar diye jaate hai". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 375, Ibne Maja Kitabut Taharah Hadees no. 522, ise ibne Khuzaima 282, Hakim (1:166) aur Zahbi ne sahih kaha)


KUTTE KA JHOOTA:

Hazrat Abdullah bin Mugfal Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Agar koi kutta kisi k bartan mein paani (wagairah) pee le to bartan ko saat martaba paani se dhooye aur pehli baar mitti se maanjhey". (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 279,280)


MURDAAR KA CHAMDA:

Ek bakri mar gayi, Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam uske paas se guzrey aur pucha k tumne uska chamda utaar kar rang kyu nahi liya takey us se faida uthate? loogo ne kaha wo to murdaar hai, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Uska sirf khana haraam hai". (Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 363 Sahih Bukhari Hadees no. 2221)

Ummul Momineen Hazrat Sooda Razi Allahu Anha ne farmaya k hamari bakri mar gayi humne uske chamde ko rang kar mushk bana li, phir hum usme nabeez (khajoor ka mashroob) daalte rahe yaha tak k wo purani ho gayi. (Sahih Bukhari Kitabul Emaan wan Nuzoor Hadees no. 6686)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne murdah bakri ka chamda utaar kar istemaal karne ka hukm farmaya "Murdaar ka chamda dabagat dene (masaale k saath rangney) se paak ho jata hai". (Abu Dawood Kitabul Libaas Hadees no. 4125, ise Ibne Sakan aur Hakim ne sahih kaha)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne darindo ki khaal istemaal karne se mana farmaya. (Abu Dawood Kitabul Libaas Hadees no. 4132, Tirmizi Kitabul Libas Hadees no. 1771, ise Hakim aur Zahbi ne sahih kaha)


BILLI KA JHOOTA:

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Billi ka jhoota najis nahi hai". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 75, Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 92, ise Tirmizi, Hakim, Zahbi aur Noovi ne sahih kaha)


SOONE CHANI K BARTAN MEIN KHANA:

Hazrat Ummey Salma Razi Allahu Anha riwayat karti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks soone chandi k bartano mein khata peeta hai, wo apne pait mein dozakh ki aagh jama karta hai". (Sahih Muslim Kitabul Libas Hadees no. 2065)

Friday, 22 May 2015

TAHARAT KA BAYAN

TAHARAT KA BAYAN

 

Bismillahirrahmanirraheem

PAANI K AHKAAM

Namaz k liye wuzu shart hai, wuzu k bagair namaz nahi hoti, isi tarah wuzu k liye paani ka paak hona shart hai.

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se sawal kiya gaya "Kya hum baza'a k kuwey se wuzu kar sakte hai? ye ek aesa kuwa hai jisme badbudaar cheezey phenki jaati hai (baza'a ka kuwa dhalwaan par tha aur barish wagairah ka paani un cheezo ko baha kar kuwey mein le jata tha) Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Paani paak hai (aur usme doosri cheezo ko paak karne ki salahiyat hai) usey koi cheez na-paak nahi kar sakti". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 66, Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 66 ise Tirmizi ne hasan jabke imam Ahmad bin Hambal, Yahya bin Maeen, ibne Hazam, Noovi Rahimahullah ne sahih kaha)

Maloom hua k kuwey ka paani paak hai

Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Daryaai aur samundari paani paak karne wala hai, aur uska murdaar halaal hai". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 83, Tirmizi Kitabut Taharah hadees no. 69, is hadees ko Tirmizi, Hakim (1:140-141), Imam Zahbi aur Noovi (Al majmua 1:82) ne sahih kaha)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Junbi thehrey hue paani mein gusal na kare, Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se pucha gaya k phir wo kya kare? farmaya "Zaroorat ka paani le kar (bahar gusal) kare". (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 282)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne khade paani mein paishab karne aur phir gusal karne se mana farmaya hai. (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 239, Sahih Muslim Hadees no. 282)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne khade paani mein paishab karne aur phir us se wuzu karne se mana farmaya hai. (Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 68 ise Tirmizi ne hasan kaha, iske rijaal Muttafiqun Alaih hai dekhiye: Saheefa Hammaam ibne Munabbey)


RAFA E HAAJAT K AADAAB

Baitul Khula mein jaate waqt ki dua:

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab rafa e haajat k liye baitul khula mein dakhil hoone ka iraadah karte to farmate: "ALLAHUMMA INNI AAUZUBIKA MINAL KHUBUSI WAL KHABA'IS" "Ae Allah! tehqeeq mein teri panah pakadta hu narr aur maada na-paak cheezo k sharr se". (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 142, Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 375)

Zaid bin Arkam Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Baitul Khula jinno aur shaitaano k hazir hoone ki jagah hai jab tum baitul khula mein jao to kaho "AAUZU BILLAHI MINAL KHUBUSI WAL KHABAAA'IS" "Mein Allah ki panah leta hu, narr aur maada khabees jinno (k sharr) se". (Abu Dawood Hadees no. 6, Ibne Maja Hadees no. 296, Ibne Hibban, Hakim aur Zahbi ne sahih kaha)


Baitul Khula se nikalte waqt ki dua:

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha riwayat karti hai: jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam baitul khula se nikalte to farmate: "GUFRAANAKA" "Ae Allah mein tujh se bakhshish chahta hu". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 30, Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 7, Ibne Maja Kitabut Tahrah Hadees no. 300, isko Hakim (1:158) Zahbi aur Noovi ne sahih kaha)


RAFA E HAAJAT K MASA'IL

Hazrat Abu Ayyub Razi Allahu Anhu se riwayat hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum qaza e haajat ko aao to qible ki taraf muh karo na peeth". (Shaih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 394, Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 264, 265)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Do laanat ka sabab banne wale kaamo se bacho" Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne pucha wo kya hai? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Loogo k raaste mein aur saaya-daar darakhato k nichey rafa e haajat karna". (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 269)

Hazrat Abu Qatadah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Rahamat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tum mein se koi paishab karte hue daaye haath se sharm-gaah ko na pakde aur na hi daaye haath se istanja kare". (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 153, 154, Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 247)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo koi mitti k dhailo se istanja kare wo taaq dhaile le". (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 162, Sahih Muslim Hadees no. 237)

Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne teen (Dhailo) se istanaja karne ka hukm diya. (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 8, Nasaayi Hadees no. 40, Ise Imam Daare Qutni aur Noovi ne sahih kaha)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne teen dhailo se kam k saath istanja karne se aur goobar aur haddi k saath istanja karne se mana farmaya. (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 262)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab rafa e haajat ko jaate to (itni door ja kar) baith te k koi aapko na dekh sakta. (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 1,2)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam amooman baith kar paishab karte they jesa k Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai k "Jo shaks tumhey bayan kare k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam khade ho kar paishab karte they usko saccha na jaano, aap baith kar hi paishab karte they". (Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 12)

Agarchey kisi uzr ki bina kar khade ho kar paishab karne ki gunja'ish bhi hai

Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu bayan karte hai k "Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam qaum k koodey karkat ki jagah par aaye aur aapne khade ho kar paishab kiya". (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 224, Sahih Muslim Hadees no. 273)


Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam paani k saath istanja farmate they

Hazrat Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu bayan karte hai k jab ye aayat nazil hui "(FEEHI RIJALUI YUHIBBOONA AY’YATATAH HARU WALLAHU YUHIBBUL MUTATAH HIREEN) (Unme aese mard hai jo pasand karte hai k khoob paak rahe, Allah ta'ala paak rehne walo se muhabbat karta hai) Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ae Ansaar! Allah ta'ala ne paakizagi ki wajah se tumhari tareef ki hai, tum kese taharat karte ho?" unhone kaha k hum har namaz k liye wuzu karte hai, janabat ka gusal karte hai aur paani k saath istanja karte hai". (Ibne Maja Hadees no. 355)

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam paishab kar rahe they k ek aadmi ne aapko salaam kiya magar aapne uska jawab na diya. (Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 370)

is hadees se maloom hua k rafa e haajat ki haalat mein kalaam karna mana hai

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne gusal-khaane mein paishab karne se mana farmaya. (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 27,28, ise Hakim aur Zahbi ne sahih kaha)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai "Jab Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam baitul khula jaate mein ek bartan mein paani lata aap us se istanja kiya karte they phir apna haath zameen par malte phir ek aur bartan mein paani lata phir aap wuzu kiya karte they". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 45, Ibne Hibban ne ise sahih kaha)

Maloom hua k istanja aur wuzu ka bartan alhaidah hona chahiye aur taharat k baad haath mitii ya saabun se dhona chahiye takey haath mein badboo na rahe.

Hazrat Abdullah bin Arqam Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis shaks ko rafa e haajat ki talab ho aur jama'at khadi ho gayi ho to pehle wo haajat se faragat paaye phir namaz padhey". (Abu Dawood Kitabut Tahrah Hadees no. 88, Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 142, ise Imam Tirmizi, Hakim (1:168) aur Zahbi na sahih kaha)


PAISHAB K CHEENTO SE BACHNE KI SAKHT TAKEED

Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam do qabro k paas se guzrey to farmaya "un dono qabr walo ko azaab ho raha hai aur ba'as e azaab koi badi cheez nahi unme se ek paishab k cheento se nahi bachta tha aur doosra chugal-khoor tha". (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 216, Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 292)

Is hadees se maloom hua k paishab k cheento se sakht parhaiz karna chahiye, wo loog jo paishab karte waqt cheento se parhaiz nahi karte apne kapdo ko nahi bachaate paishab kiye bagair fauran khade ho jaate hai, unke pajaamey, patloon aur jism wagairah paishab se aaloodah ho jaate hai unhey maloom hona chahiye k paishab se na bachna ba'as e azaab aur gunaah hai.