Muhammadi Blog

Muhammadi Blog
Showing posts with label SHIRK. Show all posts
Showing posts with label SHIRK. Show all posts

Sunday, 5 October 2014

SHIRK E ASGAR K MASA'IL

SHIRK E ASGAR K MASA'IL

Bismillahirrahmanirraheem 

NAZAR E BADD YA BEEMARI SE MEHFOOZ REHNE K LIYE CHALLA, KADA, ZANJEER, HALQA YA TAWEEZ PEHAN'NA SHIRK HAI
NAZAR E BADD YA HAADSAAT SE BACHNE K LIYE KAAR, MAKAAN, YA DUKAAN WAGAIRAH PAR GHOODEY KI NAAL LATKAANA, YA MATTI KA KAALI HANDIYA LATKAANA SHIRK HAI
NOZAIDAH BACCHE KO NAZAR E BADD SE BACHAANE K LIYE GHAR K DARWAZEY PAR KISI MEHFOOZ DARAKHT KI TEHNIYA LATKANA SHIRK HAI
HAADSAAT SE MEHFOOZ REHNE K LIYE BAAZU PAR "IMAAM ZAAMAN" BAANDHNA SHIRK HAI 

Hazrat Uqba bin Aamir Juhni Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein ek jamaat (islam laane k liye) hazir hui Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne 9 aadmiyo se bait li aur dasve (10th) aadmi ki bait lene se haath rook liya unhone arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Aapne 9 aadmiyo ki bait li hai aur is aadmi ki bait nahi li?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Isne tameema (taweez, dhaaga ya manga wagairah) baandha hua hai" chunanchey Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apna haath aagey badha kar use kaat diya aur uske baad us'se bait le li phir irshad farmaya "Jisne tameema latkaya usne shirk kiya". (Musnad Ahmad, Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 492)
Baaz ulama k nazdeek qurani aayaat ya masnoon duwaon par mushtamil taweez istemaal karna jayez hai. 

Hazrat Abdullah (bin Mas'ood Razi Allahu Anhu) kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k "Damm, taweez aur tooney shirk hai". (Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 331) 

Hazrat Abu Basheer Ansari Razi Allahu Anhu se riwayat hai k wo ek safar mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath they Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek paighaam risa bheja, Abdullah bin Abu Bakr Razi Allahu Anhu kehte hai mein samajhta hu us waqt loog apni apni khawaab gaaho mein honge aur hukm diya k kisi ounth k gaaley mein (damm kiya hua) taant (dhaaga) ya tauq na rehne diya jaye balkey use kaat diya jaye, Imam Malik Rahimahullah kehte hai mera khayal hai (Musrik loog ye tauk ounth ko) nazar e badd se bachaane k liye istemaal karte they. (Sahih Muslim Kitabul Libaas) 


BADSHAGUNI LENA SHIRK HAI 

Hazrat Fuzaalah bin Ubaid Ansari Razi Allahu Anhu Sahabi E Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam kehte hai "Jis shaks ko badshaguni ne kaam karne se rook diya wo shirk ka murtakib hua". (Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 1065) 


GAIR ALLAH (MASALAN WALIDAYN, BEEWI, AULAAD YA QURAN YA KAABA WAGAIRAH) KI QASAM KHANA SHIRK HAI 

Hazrat Ibne Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne Allah ta'ala k siwa kisi doosre ki qasam khayi usne kufr kiya ya farmaya shirk kiya". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 1241) 

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tum mein se jo shaks (ghair Allah ki) qasam khaye aur apni qasam mein yu kahe "Laat (Kafireen/Mushrikeen e Makkah k butt) ki qasam" use LA ILAHA ILLALLAH kehna chahiye (yaani apne emaan ki tajdeed karni chahiye) aur jo shaks apne saathi se kahe aao mein tujhse jua khelu to use (apni istata'at k mutabiq) sadqa karna chahiye (takey gunah ka kaffarah ada ho jaye). (Sahih Muslim Kitabul Emaan) 


RIYA AUR DIKHAAWA SHIRK HAI 

Hazrat Abu Saad Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamare paas tashreef laye hum loog aapas mein maseeh dajjal ka zikr kar rahe they Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Kya mein tumhey aesi cheez ki khabar na du jiska mujhe tumhare baare mein maseeh dajjal se bhi zayada khauf hai" humne arz kiya "Kyu nahi ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam!" (zaroor bataiye) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmya "Wo hai shirk khafi yaani ye k aadmi namaz padhne k liye khada hua aur jab use mehsoos hua k koi use dekh raha hai to apni namaz lambi kardi (yaani dikhaavey ki namaz)". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 3389, Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 2389) 


TARK E NAMAZ SHIRK AUR KUFR HAI 

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai "Aadmi aur kufr aur shirk k darmiyaan tark e namaz (ka fark) hai". (Sahih Muslim Kitabul Emaan) 


GHAIB KA HAAL MALOOM KARNE K LIYE KISI KO HAATH DIKHANA SHIRK HAI 

Hazrat Safeeya Razi Allahu Anha Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki kisi zoja se riwayat karti hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks najoomi k paas jaye aur us'se (Mustaqbil k baare mein) koi baat daryaft kare to uski 40 rooz ki namaz qubool nahi hoti". (Sahih Muslim Kitabus Salaat) 


SITAARO KI TAASEER PAR YAQEEN RAKHNA SHIRK HAI 

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Nahi naazil farmayi Allah ta'ala ne barkat (baarish) aasmano se magar loogo mein se baaz ne subah ko uska inkaar kiya halankey baarish Allah ta'ala hi barsaata hai lekin inkaar karne wale kehte hai k falah falah taarey ki wajah se baarish hui". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)


ANBIYA, AULIYA AUR SULHA SE AQEEDAT MEIN GULU KARNA SHIRK HAI 

Hazrat Umar Razi Allahu Anhu kehte hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k "Meri taareef mein is tarah mubaalga na karo jis tarah isaiyo ne Hazrat Isa Alaihis Salaam k baare mein mubaalga kiya beshak mein ek bandah hu lihaza mujhe Allah ta'ala ka banda aur uska Rasool hi kaho". (Sahih Bukhari Kitabul Anbiya)

Friday, 3 October 2014

SHIRK SUNNAT KI ROSHNI MEIN

SHIRK SUNNAT KI ROSHNI MEIN

Bismillahirrahmanirraheem

KABEERA GUNAH MEIN SABSE BADA GUNAH SHIRK HAI

Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu se riwayat hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha "Allah ta'ala k nazdeek konsa gunah sab se bada hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya ye k "tu Allah ta'ala k saath shirk kare halankey usne tujhe paida kiya hai" Hazrat Abdullah Razi Allahu Anhu kehte hai mene arz kiya "han waqayi ye to bahut bada gunah hai" phir mene arz kiya "Shirk k baad konsa bada gunah hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Phir ye k tu apni aulaad ko is darr se qatal kare k wo tere saath khana khaye gi" phir mene arz kiya "ukse baad?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "ye k tu hamsaaye (padoosi) ki beewi se zina kare". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)


SHIRK SABSE BADA ZULM HAI

Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu kehte hai jab (Surah Anaam ki) aayat "AL LAZEENA AAMANU WA LAM YALBISU EEMAANAHUM BI ZULM" (yaani wo loog jo emaan laye aur apne emaan k saath zulm ko alag nahi kiya) nazil hui to Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum par bahut girah guzri unhone kaha "Hum mein se kaun aesa hai jisne emaan laane k baad koi zulm (gunah) na kiya ho?" (Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko maloom hua to) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Is aayat mein zulm se muraad aam ganah nahi (balkey shirk hai) kya tumne (quran majeed mein) luqman ka qaul nahi suna jo unhone apne baite (son) se kaha tha k "Shirk sabse bada zulm hai". (Sahih Bukhari Kitabut Tafseer)


SHIRK ALLAH TA'ALA KO SABSE ZAYADA TAKLEEF DENE WALA GUNAH HAI

Hazrat Moosa Ash'ari Razi Allahu Anhu kehte hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Takleef deh baat sun kar Allah ta'ala se zayada sabr karne wala koi nahi, mushrik kehte hai Allah ta'ala ki aulaad hai phir bhi Allah ta'ala unhe aafiyat mein rakhta hai aur roozi deta hai". (Sahih Bukhari Kitabut Tauheed)


SHIRK KANRE WALA ALLAH TA'ALA KO GAALI DETA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah ta'ala farmata hai k ibne Aadam ne mujhe jhutlaaya hai aur ye uske liye munasib na tha, ibne Aadam ne mujhe gaali di aur ye uske liye munasib na tha, raha uska mujhe jhutlaana to wo uska ye kehna hai k Allah ta'ala mujhe hargiz dobara nahi paida karega jesa k usne pehli dafa paida kiya, halankey pehle paida karna dobara paida karne se zayada aasaan nahi hai aur uska mujhey gaali dena ye hai k usne kaha k Allah ta'ala ki aulaad hai halankey mein akela beniyaaz hu na meri koi aulaad hai aur na mein kisi ki aulaad hu aur na koi mera hamsar hai". (Sahih Bukhari Kitabut Tafseer Surah Qul hu wallahu ahad)


QAYAMAT K ROOZ ALLAH TA'ALA MUSHRIK KO USKE NAIK AAMAAL KA BADLA DENE SE INKAAR KAR DEGA

Hazrat Mahmood bin Labeed Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Tumhare baare mein mujhe jin cheezo ka khauf hai unme se zayada daraaney wali cheez shirk e asgar hai" Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! shirk e asgar kya hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Riya" qayamat k rooz jab loogo ko unke aamaal ka badla diya ja raha hoga to Allah ta'ala (riya mein mubtala) loogo se kahega "Jao un loogo k paas jinko dikhane k liye tum naik aamaal kiya karte they aur phir dekho unse tum kya jaza paate ho?". (Musnad Ahmad, Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 951)


SHIRK INSAN KO HALAAK KANRE WALA GUNAH HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Halak kanre wale saat (7) gunaho se bacho" Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! wo (saat gunah) kaun se hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya:

1. Allah ta'ala k saath shirk karna
2. Jaadu
3. Na haqq kisi jaan ko qatal karna jise Allah ta'ala ne haraam thehraya hai
4. Yateem ka maal khana
5. Sood khana
6. Maidaan e jang se bhaagna aur
7. Bholi bhali momina aurato par tohmat lagana. (Sahih Muslim Kitabul Emaan)


RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE MUSHRIKO K LIYE BAD'DUA FARMAYI

Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne baitullah shareef ki taraf muh kiya aur quraish k cheh (6) aadmiyo k liye badd'dua farmayi, jinme Abu Jahal, Umaiyya bin Khalf, Atibba bin Rabeeya, Shaiba bin Rabeeya, aur Uqba bin Abu Mu'eet shamil they, (Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu kehte hai) mein Allah ki qasam kha kar kehta hu k mene un loogo ko badr k maidaan mein is haal mein dekha k dhoonp se unke jism kaale pade hue they kyunki wo bahut garam din tha. (Sahih Muslim Kitabul Jihaad)


SHIRK KARNE WALA JAHANNAMI HAI

Hazrat Abdullh bin Mas'ood Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks is haal mein mare k Allah ta'ala k siwa kisi doosre ko shareek banata tha wo aag mein dakhil hoga". (Sahih Bukhari Kitabul Emaan)


KISI NABI YA WALI K SAATH QAREEBI TALLUQ BHI MUSHRIK KO JAHANNAM K AZAAB SE NAHI BACHA SAKEGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "k Hazrat Ibraheem Alaihis Salaam qayamat k din apne baap aazar ko is haal mein dekhenge k uske muh par siyaahi aur gard o gubaar jama hoga chunanchey hazrat Ibraheem Alaihis Salaam kahenge "Mene dunya mein tumhey kaha nahi tha k meri nafarmaani na karo"? Aazar kahega "accha aaj mein tumhari nafarmani nahi karunga" "Hazrat Ibraheem Alaihis Salaam (apne rabb se darkhawast karenge) "Ae mere rabb! tooney mujhse wada kiya tha k mujhe qayamat k rooz ruswa nahi karega lekin is se zayada ruswayi aur kya hogi k mera baap teri rahmat se mehroom hai" Allah ta'ala irshad farmayega "Mene jannat kafiro par haraam kardi hai phir Allah ta'ala farmayega" Ae Ibraheem Alihis Salaam! tumhare dono pao k nichey kya hai? "Hazrat Ibraheem Alaihis Salaam dekhenge k galazat mein lat-pat ek bicchu hai jise (farishte) pao se pakad kar jahannam mein daal denge". (Sahih Bukhari Kitabul Bad ul Khalk)


QAYAMAT K ROOZ MUSHRIK ROOH E ZAMEEN KI SAARI DOLAT DE KAR JAHANNAM SE NIKALNA CHAHEGA LEKIN AESA MUMKIN NA HOGA

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "(qayamat k rooz) Allah ta'ala us dozakhi se farmayega jise sabse halka azaab diya ja raha hoga k agar tere paas is waqt rooh e zameen ki saari dolat mojood ho to kya tu apne aapko azaad karaane k liye dega?" wo kahega "Han zaroor de dunga" Allah ta'ala irshad farmayega "Dunya mein mene tujhse iski nisbat bahut hi aasaan baat ka mutaalba kiya tha wo ye k mere saath kisi ko shareek na thehraana, lekin tooney meri ye baat na maani aur mere sath shirk kiya". (Sahih Bukhari Kitabur Riqaaq)


MUSHRIK SE DEENE UMOOR KO MUTASSIR KARNE WALE TAALLUQAAT RAKHNE MANA HAI

Hazat Jareej Razi Allahu Anhu kehte hai k mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hue , Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam (loogo se) bait le rahe they mene arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! apna haath aagey badhaiye takey mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki bait karu aur (han) mujhe shara'it bata dijiye (kyunki) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam mujhse zayada jaante hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Mein tujhse in shara'it par bait lunga:
1. Tu Allah ta'ala ki bandagi karega
2. Namaz qayam karega
3. Zakaat ada karega
4. Musalmano ki khair khawahi karega aur
5. Mushriko se alag rahega". (Sahih Sunun Nasayi Hadees no. 3893)


AESI JAGAH JAHA SHIRK KIYA JATA THA, YA KIYA JA RAHA HO, WAHA JAYEZ IBADAT KARNA BHI MANA HAI

Hazrat Saabit bin Zahaak Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek shaks ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k zamaney mein boona naami jagah par ounth zibah karne ki nazar maani wo Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua (aur arz kiya) mene boona par ounth zibah karne ki nazar maani hai (apni nazar poori karu ya na karu?) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne daryaft farmaya "Kya waha zamana e jahiliyat mein koi butt tha jiski pooja ki jaati rahi ho?" Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Nahi" tab Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pucha "Kya waha mushriko ka koi maila lagta tha?" Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Nahi" tab Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam irshad farmaya "Apni nazar poori karo aur yaad rakkho Allah ta'ala ki nafarmani wali nazar poori karna jayez nahi na hi wo nazar jo insaan k bas mein na ho". (Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 2834)

Tuesday, 30 September 2014

SHIRK QURAN MAJEED KI ROSHNI MEIN

SHIRK QURAN MAJEED KI ROSHNI MEIN

Bismillahirrahmanirraheem

SHIRK SABSE BADI JAHALAT HAI
SHIRK TAMAAM NAIK AAMAAL KO ZAAYA KAR DETA HAI KHAWAH NABI HI KYU NA HO

"(Ae Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam) in se kaho phir kya ae jahilo! tum Allah ta'ala k siwa kisi aur ki bandagi karne k liye mujhse kehte ho? (halankey) tumhari taraf aur tumse pehle guzare hue tamaam ambiya ki taraf ye wahi bheji ja chuki hai k agar tumne shirk kiya to tumhara amal zaaya ho jayega aur tum khasarey mein rahoge". (Surah Zumar Surah no. 39 Ayat no. 45-46)


SHIRK INSAN KO AASMAN KI BULANDIYO SE ZAMEEN KI PASTI MEIN GIRA DETA HAI, JAHA WO MUSALSAL MUKHTALIF GUMRAHIYO MEIN DHASTA CHALA JATA HAI HATTA K HALAAK AUR BARBAAD HO JATA HAI

"Aur jisne Allah ta'ala k saath shirk kiya wo gooya aasaman se gir pada ab ya to use parindey (yaani shayateen) achak le jayenge ya hawa (khawahishaat e nafs) usko aesi jagah le ja kar phenk degi jaha uske cheethdey (botiya botiya) oudh jayenge". (Surah Hajj Surah no. 22 Ayat no. 31)


MUSHRIK KO TAUHEED KA ZIKR BADA NA-GAWAAR MEHSOOS HOTA HAI

"Jab ek Allah ta'ala ka zikr kiya jata hai to aakhirat par emaan na rakhne walo k dil kudhne lagte hai aur jab uske siwa doosro ka zikr hota hai to yakayak khushi se khil uthtey hai". (Surah Zumar Surah no. 39 Ayat no. 45)


SHIRK K MUAMALEY MEIN WALIDAYEN YA KISI AALIM YA KISI MURSHID KI ITA'AT KARNA HARAAM HAI

"Humne insan ko hidayat ki hai k wo walidayen k saaath naik sulook kare lekin agar walidayen zoor daaley k tu mere saath kisi (aese mabood) ko shareek thehray jise (shareek ki hesiyat se) tu nahi jaanta to unki ita'at na kar, meri hi taraf tum sab ko palat kar aana hai phir mein tumko bataunga k tum kya karte rahe ho". (Surah Ankaboot Surah no. 29 Ayat no. 8)


MUSHRIK MARD YA AURAT KA TAUHEED PARAST AURAT YA MARD SE NIKAH HARAAM HAI

"Mushrik aurato se nikah hargiz na karo jab tak wo emaan na le aye ek momin loondi mushrik aazaad aurat se behtar hai agarche wo (yaani mushrik aurat) tumhey pasand hi ho aur apni aurato k nikah mushrik mardo se bhi hargiz na karo jab tak wo emaan na le aaye, ek gulam momin, aazaad mushrik se behtar hai khawah wo mushrik tumhey kitna hi pasand ho". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 221)


HALAT E SHIRK MEIN FAUT HONE WALE MUSHRIKO K LIYE DUA E MAGFIRAT KARNA MANA HAI

"Nabi ko aur un loogo ko jo emaan laye hai zaiba nahi hai k mushriko k liye magfirat ki dua kare chahey wo unke rishtedaar hi kyu na ho jab k un par ye baat khul chuki hai k wo jahannam k mustahiq hai". (Surah Tauba Surah no. 9 Ayat no. 113)


MUSHRIK PAR JANNAT HARAAM HAI AUR WO HAMESHA HAMESHA K LIYE JAHANNAM MEIN RAHEGA

"Hazrat Isa Alaihis Salaam ne (apni qaum Bani Israeel) se kaha, ae bani israeel Allah ta'ala ki bandagi karo jo mera bhi rabb hai aur tumhara bhi, jisne Allah ta'ala k saath kisi ko shareek thehraya us par Allah ta'ala ne jannat haraam kardi aur uska thikaana jahannam hai, aur aese zalimo ka koi madadgaar nahi". (Surah Maida Surah no. 5 Ayat no. 72)

"Ahle kitab aur mushriko mein se jin loogo ne kufr kiya wo yaqeenan jahannam ki aag mein jayenge aur hamesha usme rahenge aese loog bad'tareen makhlooq hai". (Surah Bayyina Surah no. 98 Ayat no. 6)


HAQEEQAT E SHIRK SAMJHAANE K LIYE QURAN MAJEED KI CHAND HAKEEMANA MISALEY

1. "Jin loogo ne Allah ta'ala ko chood kar doosrey sarparast bana liye hai unki misaal makdi jesi hai jo apna ek ghar banati hai aur sab gharo se zayada kamzoor ghar makdi ka hi hota hai kaash ye loog is haqeeqat ko jaantey". (Surah Ankaboot Surah no. 29 Ayat no. 41)

2. "Ae loogo! ek misaal di jaati hai use zara gaur se suno, Allah ta'ala ko chood kar jin maboodo ko tum pukaarte ho wo sab mil kar ek makkhi bhi paida nahi kar saktey balkey makkhi agar unse koi cheez cheen le jaye to wo use chuda (wapas nahi le sakte) bhi nahi sakte, madad chahne (maangne) wala bhi kamzoor aur jinse madad chaahi (maangi) jaati hai wo bhi kamzoor, in loogo ne Allah ta'ala ki qadar hi nahi pehchaani jesa k uske pehchaan'ne ka haqq tha haqeeqat ye hai k quwwat aur izzat wala to Allah hi hai". (Surah Hajj Surah no. 22 Ayat no. 73-74)

3. "Allah ta'ala ko chood kar jinhe ye (mushrik) loog pukaate hai wo (maboodaan e baatil) unki duwaon ka koi jawab nahi de sakte unhe pukaarna to aesa hi hai jese koi shaks paani ki taraf haath phaila kar us'se darkhawast kare k tu mere muh tak pahunch ja, halanakey paani us tak pahunchne wala nahi bas isi tarah kaafiro ki duwaye bekaar jaane wali hai". (Surah Raad Surah no. 13 Ayat no. 14)

4. "Allah ta'ala ek misaal deta hai, ek gulam to wo hai jiske malik hone mein bahut se kujh khalk aaqa shareek hai jo use apni apni taraf khechte hai aur doosra shaks mukammal taur par sirf ek hi aaqa ka gulam hai, kya un dono ka haal yaksa (ek jesa) ho sakta hai? Alhamdullah (aesa nahi) magar aksar loog nahi jaante". (Surah Zumar Surah no. 39 Ayat no. 29)

5. "Allah ta'ala tumhey tumhari zaat se hi ek misaal deta hai kya tumhare in gulaamo mein se jo tumhari milkiyat mein hai kuch gulam aese bhi hai jo hamare diye hue maal wa dolat mein tumhare saath barabar k shareek ho aur kya tum unse is tarah darte ho jis tarah aapas mein apne hamsaro se darte ho? is tarah hum aayat khool kar paish karte hai un loogo k liye jo aqal se kaam lete hai". (Surah Room Surah no. 30 Ayat no. 28)

6. "Allah ta'ala ek misaal deta hai ek to hai gulam jo doosre ka mamlook hai aur khud koi ikhtiyaar nahi rakhta, (jese muskriko k thehraye hue shuraka) doosra shaks wo hai jise humne apni taraf se accha rizk ata kiya hai aur wo usme se khuley aur acchey (apni marzi se) kharch karta hai (yaani poori tarah ba'ikhtiyaar hai jese Allah ta'ala) batao kya dono barabar hai? Alhamdulillah (hargiz nahi) magar aksar loog nahi jaante". (Surah Nahal Surah no. 16 Ayat no. 75)


QAYAMAT K ROOZ ALLAH TA'ALA KI BAARGAH MEIN FARISHTE AMBIYA WA RUSUL AUR AULIYA AUR SULHA UN MUSHRIKEEN K KHILAAF GAWAHI DENGE JO DUNYA MEIN UNHE ALLAH TA'ALA KA SHAREEK THEHRAATE RAHE HONGE
QAYAMAT K ROOZ MUSHRIKEEN K MABOOD UNKE KISI KAAM NAHI AYENGE

1. MALAIKA (FARISHTE)

"Aur jis din Allah ta'ala tamaam insano ko jama karega phir farishto se puchega "kya ye (mushrik) loog tumhari hi ibadat kiya karte they?" faishte jawab denge paak hai teri zaat , hamara talluq to aap se hai na k in loogo se, dar'asal ye hamari nahi jinno ki ibadat karte they, in (mushrikeen) mein se aksar unhi par emaan laaye hue they". (Surah Saba Surah no. 34 Ayat no. 40-41)

2. AMBIYA WA RUSUL

"Jis rooz Allah ta'ala sab Rasoolo ko jama kar k puchega k tumhey kya jawab diya gaya to wo arz karenge "hame kuch ilm nahi, ghaib ki baatey to aap hi k ilm mein hai". (Surah Maida Surah no. 5 Ayat no. 109)

"(Qayamat k din) jab Allah ta'ala farmayega "Ae Isa bin Mariyam! kya tooney looogo se kaha tha k khuda k siwa mujhe aur meri maa ko bhi khuda banao?" to wo jawab mein arz karega k "Subhan Allah" mera ye kaam na tha k wo baat kehta jiske kehne ka mujhe koi haq nahi tha, agar mene aesi baat kahi hoti to mujhe zaroor ilm hota tu jaanta hai, jo kcuh mere dil mein hai aur mein nahi jaanta jo tere dil mein hai beshak tu saari poshidah baato se waqif hai, mene unse is k siwa kuch nahi kaha jiska tooney hukm diya tha wo ye k Allah ta'ala ki bandagi karo jo mera rabb hai aur tumhara rabb bhi, mein us waqt tak unka nigraan tha jab tak k mein unke darmiyaan tha, jab tooney mujhe wapas bula liya to phir tu hi in par nigraan tha aur tu saari hi cheezo par nigraan hai". (Surah Maida Surah no. 5 Ayat no. 116-117)

3. AULIYA WA SULHA

"Aur jis rooz Allah ta'ala un (mushriko) ko bhi ikattha kar layega aur unke un maboodo ko bhi bulayega, jinhey aaj ye Allah ta'ala ko chood kar poojh rahe hai phir wo un (maboodo) se puchega "Kya tumne mere in bando ko gumrah kiya tha ya ye khud raah e raast se bhatak gaye they?" wo arz karenge "Paak hai teri zaat hamari to ye majaal na thi k tere siwa kisi doosre ko apna maula banate, magar tooney unko unke baap dada ko bartane ko nematey di hatta k ye (tere) irshadaat ko bhool gaye aur ye halaak hone wale loog they". (Surah Furqaan Surah no. 25 Ayat no. 17-18)

"Aur jis rooz hum un sab (yaani shareek thehraye gaey aur shareek thehraane wale loogo) ko ek saath ikattha karenge to un looog se jinhone shirk kiya hai kahenge k thehar jao tum sabhi aur tumhare thehraye hue shareek bhi, phir hum inke darmiyaan se ajnabiyat ka pardah hata denge (yaani wo mushrik aur unke thehraye hue shareek ek doosre ko pehchaan lenge) tab unke thehraye hue shareek kahenge "Tum hamari ibadat to nahi karte they (aur us baat par) hamare aur tumhare darmiyaan Allah ta'ala ki gawahi kaafi hai k (agar tum hamari ibadat karte bhi they to) hum tumhari is ibadat se bilkul be-khabar they". (Surah Younus Surah no. 10 Ayat no. 28-29)


QAMAYAT K ROOZ MUSHRIKO AUR SHURAKA KI HALAT E ZAAT PAR QURAN MAJEED KA EK TANZIYA TABSIRAH

"(Qayamat k rooz hukm hoga) ghair lao un sab zalimo ko, unke saathiyo ko aur un maboodo ko jinki wo Allah ta'ala ko chood kar ibadat kiya karte they, phir un sab ko jahannam ka raasta dikhao aur (han) zara unhe thehrao unse kuch puchna hai "Kya ho gaya tumhey tum ek doosre ki madad kyu nahi kar rahe?" arey aaj to ye sab bade farmabardaar bane hue hai? (yaani har baat par bila chu wa chira amal kar rahe hai). (Surah Saffat Surah no. 37 Ayat no. 22-26)


QAYAMAT K ROOZ MUSHRIK AZAAB DEKH KAR SHIRK SE INKAAR AUR TAUHEED KA IQRAAR KAREGA LEKIN US WAQT TAUHEED KA IQRAAR USE KOI FAIDA NAHI DEGA

"Jab inhone hamara azaab dekh liya to pukar uthenge k humne maan liya Allah wahdahu la shareek lahu ko, aur hum inkaar karte hai un sab maboodo ka jinhey hum uska shareek thehraate they, magar hamara azaab dekh lene k baad inka emaan unke liye kuch bhi nafa bakhs na ho sakta tha kyunki yahi Allah ta'ala ka qanoon  hai jo hamesha se uske bando mein chala aa raha hai, chunanchey us waqt kafir loog khasarey mein padh jayenge". (Surah Momin Surah no. 40 Ayat no. 84-85)


MUSHRIKO K LIYE QURAN MAJEED KI DAWAT E FIKR

1. "Ae Nabi! inse pucho, sehra aur samandar ki tareekiyo mein kaun tumhey khatraat se bachata hai? kaun hai jis'se tum museebat k waqt gidgida gidgida kar aur chupkey chupkey duwaye maangte ho? kis se kehte ho k agar is bala se usne hame bacha liya to hum zaroor shukr guzaar honge? kaho Allah ta'ala tumhey us'se aur har takleef se nijaat deta hai phir tum doosro ko uska shareek thehraate ho". (Surah Anaam Surah no. 6 Ayat no. 63-64)

2. "Mushriko se kaho batao, agar tum jaante ho k ye zameen aur jo kuch isme hai wo sab kiski milkiyat hai? ye zaroor kahenge Allah ta'ala ki, kaho phir tum hoosh mein kyu nahi aatey" inse pucho saato aasman aur arsh e azeem ka malik kaun hai? ye zaroor kahenge Allah, kaho tum darte kyu nhi? inse kaho batao agar tum jaante ho k har cheez par iqtadaad kiska hai aur kaun hai jo panah deta hai aur uske muqabiley mein koi panah nahi de sakta? ye zaroor kahenge Allah, kaho phir kaha se tum ko dhooka lagta hai?. (Surah Mominoon Surah no. 23 Ayat no. 84-89)

3. "Kya in loogo k banaye hue arzi mabood aese hai k (be-jaan mein jaan daal kar) utha khada karte ho? agar aasman wa zameen mein ek Allah ta'ala k siwa doosre mabood bhi hote to (zameen wa aasman) dono ka nizaam bigad jata, pas arsh ka malik Allah paak hai un baato se jo ye loog bana rahe hai". (Surah Ambiya Surah no. 21 Ayat no. 21-22)

4. "Kaun hai jisne zameen ko jaye qaraar banaya aur uske andar darya rawa kiye aur usme (pahado ki) maikhey gaadh di aur paani k do zakheero k darmiyaan pardey hayel kar diye? kya Allah k saath koi aur Allah bhi (in kaamo mein shareek) hai? "nahi" balkey inme aksar loog nadaan hai". (Surah Namal Surah no. 27 Ayat no. 61)

Saturday, 27 September 2014

SHIRK - TAREEF AUR IQSAAM

SHIRK - TAREEF AUR IQSAAM

Bismillahirrahmanirraheem

SHIRK KI 2 QISMEY HAI 1. SHIRK E AKBAR, 2. SHIRK E ASGAR
ALLAH TA'ALA APNI ZAAT, IBADAT AUR SIFAAT MEIN AKELA AUR BE-MISL HAI KISI JAANDAAR YA BE JAAN, ZINDA YA FAUT SHUDA MAKHLOOQ KO USKI ZAAT MEIN YA IBADAT MEIN YA USKI SIFAAT MEIN SHAREEK KARNA YA USKE HAMSAR SAMAJHNA SHIRK E AKBAR KEHLATA HAI
SHIRK E AKBAR KA MURTAKIB HAMESHA JAHANNAM MEIN RAHEGA

Hazrat Abdullah bin Mas’ood Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jo shaks is haal mein mara k Allah ta'ala k saath kisi ko shareek thehraata tha wo aag mein dakhil kiya jayega". (Sahih Bukhari Kitabul Emaan)


SHIRK FIZ ZAAT, SHIRK FIL IBAADAAT AUR SHIRK FIS SIFAAT K ALAWA BAAZ AESE DEGAR UMOOR JINKE LIYE AHADEES MEIN SHIRK KA LAFZ ISTEMAAL HUA HAI MASALAN RIYA YA GAIRULLAH KI QASAM KHANA WAGAIRAH SHIRK E ASGAR KEHLATA HAI

Hazrat Mahmood bin Labeed Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Tumhare baare mein mujhe jin cheezo ka khauf hai unme se zayada daraaney wali cheez shirk e asgar hai" Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! shirk e asgar kya hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Riya". (Musnad Ahmad, Mishkaat Baab Riya was Sam'ah)

Wazahat: Shirk e akbar ka murtakib daaira e islam se kharij ho jata hai aur ho hamesha hamesha jahannam mein rahega jabkey shirk e asgar ka murtakib daaira e islam se kharij nahi hota lekin kabeera gunah ka murtakib hota hai jis ki saza jahannam hai (jab tak Allah chahey) yaad rahey shirk e asgar se tauba na karna shirk e akbar ka ba'as (sabab) ban sakta hai.


SHIRK E KHAFI SE MURAAD CHIPA HUA SHIRK HAI JO INSAAN K ANDAR KI CHUPI HUI KAIFIYAT KA NAAM HAI, SHIRK E KHAFI SHIRK E ASGAR BHI HO SAKTA HAI JESA K RIYA-KAAR KA SHIRK AUR SHIRK E AKBAR BHI HO SAKTA HAI JESA K MUNAFIQ KA SHIRK

Hazrat Abu Saad Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamare paas tashreef laye hum loog aapas mein maseeh dajjal ka zikr kar rahe they Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Kya mein tumhey aesi cheez ki khabar na du jiska mujhe tumhare baare mein maseeh dajjal se bhi zayada khauf hai" humne arz kiya "Kyu nahi ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam!" (zaroor bataiye) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmya "Wo hai shirk khafi yaani ye k aadmi namaz padhne k liye khada hua aur jab use mehsoos hua k koi use dekh raha hai to apni namaz lambi kardi (yaani dikhaavey ki namaz)". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 3389)

Sunday, 18 May 2014

TAGOOT KYA HAI

TAGOOT KYA HAI



Bismillahirrahmanirraheem

WALA QAD BA'ASNA FI KULLI UMMATIN RASOOLAN ANIEBUDULLAHA WAJ'TANIBUT TAGOOT. (Surha Nahal surha no. 16 ayat no. 36)

Tarjuma: Aur humne har jamaat mai pegambar bheja k Allah hi ki ibadat kare aur butoo se ijtanaab karo, to unme baaz aese hai jinko Allah ne hidayat di aur baaz aese hai jin par gumrahi sabit hui, so zameen par chal phir kar dekh lo k jhutlaane walo ka anjaam kesa hua. (Surah Nahal surh no. 16 ayat no. 36)

Hazrat e Umar Farooq Razi Allahu Anhu farmate hai k tagoot ka ittelaaq shaitan par hota hai. (Ibne abu hatim)

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu kehte hai k tagoot kahino ko kehte hai unke paas shayateen mukhtalif khabre laate they. (Ibne abu hatim)

Imam Malik rahimahullah kehte hai tagoot har us cheez ka naam hai jis ki Allah k siwa ibadat ki jati ho.

Allama Ibne Qayyim rahimahullah ne tagoot ki bahut jamey tareef ki hai "tagoot har wo cheez hai jis ki wajah se insaan hadd se tajawuz kar jaye khuwah ibadat mai, khuwah itteba mai, khuwah ita'at mai"

har qaum ka tagoot wahi hota hai jiski taraf wo Allah ta'ala aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki bajaye faisle k liye ruju karte hai Allah k siwa uski ibadat karte hai ya bila daleel uski itteba karte hai.

Tagoot k baare mai Allah ta'ala ka irshaad:

Ab jo koi tagoot ka inkaar kar k Allah ta'ala par emaan le aya usne ek aesa mazboot kada thaam liya jo kabhi tootne wala nhi aur Allah ta'ala sun'ne wala aur jan'ne wala hai. (Surah Baqara surah no. 2 ayat no. 256)

Bad'tareen loogo ki nishaan dahi Allah ta'ala karta hai:

Jin par Allah ne laanat ki aur unpar gazab hua aur unme se baaz ko bandar aur suwar bana diya aur jinhone tagoot ki bandagi ki yahi loog badtareen darje wale aur raaste se bhatke hue hai. (Surah Maida surah no. 5 ayat no. 60)

Aur khushkhabri k mustahiq loogo k bare mai Allah ta'ala irshaad farmata hai:

Aur jin loogo ne tagoot ki bandagi se ijtanaab kiya aur Allah ki taraf mutawajjah rahe wo khushkhabri k mustahiq hai pas mere bando ko khushkhabri suna dijiye. (Surah Zumar surah no. 39 ayat no. 17)

SHIRK ZULM HAI IS SE BACHNE KI DUA

SHIRK ZULM HAI IS SE BACHNE KI DUA



Bismillahirrahmanirraheem

ALLAHUMMA INNI AOUZUBIKA AN USHRIK BIKA WA ANAA AALAMU WA ASTAGFIRUKA LIMA LA AALAMU. (Musnad Ahmad)

Tarjuma: Ae Allah mai teri panah mai ata hu is baat se k mai jaante hue tere saath kisi ko shareek banau, aur mai teri bakhshish maangta hu is se jinhe mai na jaante hue tera shareek banau. (Musnad Ahmad)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: k jo koi surah kafiroon raat ko padh kar soyega wo shirk se bari karaar payega. (Musnad Ahmad, Tirmizi, Abu Dawood, Majmua uz zawa'id)

RIYAKAARI SHIRK HAI IS SE BACHNE KI DUA

RIYAKAARI SHIRK HAI IS SE BACHNE KI DUA



Bismillahirrahmanirraheem

Abu saeed khudri Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: kya mai tumhe wo baat na batau jis ka mujhe tum par maseeh dajjal se bhi zayada khauf hai, Sahaba RA ne arz kiya kyu nhi Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam to aapne farmaya: wo shirk khafi hai k koi shaks namaz k liye khada ho aur apni namaaz ko mehaz is liye bana sawaar kar padhey (yani dikhawe k liye lambi lambi namaz padhey) k koi use dekh raha hai. (Musnad Ahmad, Sunan Ibne Maja)

Mazeed ek riwayat mai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: tumhare baare mai mujhe sab se zayada dar shirk e asgar ka hai, pucha gaya k shirk e asgar kya hai? to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Riya Kari. (Musnad Ahmad)

Ek taweel hadees ka khulasa kuch yuh hai k qayamat wale din sab se pehle 3 ashkhaas ka faisla kiya jayega, ek sakhi, dusra mujahid, teera aalim qaari, Allah un se puchega tumne ya amal kyu kiya tha to wo bade khushnuma andaaze se maksad raza e ilahi bayan karenge, Allah farmayega tum jhoot bolte ho, aur unhe jahannam mai daal diya jayega, is hadees k raawi Abu Huraira Razi Allahu Anhu is hadees ko sunate waqt khauf se behoosh ho jaya karte they.

ALLAHUMMA TAHHIRU QALBI MINAN NIFAAQI WA AMALI MINAR RIYA.
Ae Allah mere dil ko nifaaq se paak karde aur mere amal ko riya kaari se khalis karde.

BADFAALI SHIRK HAI IS SE BACHNE KI DUA

BADFAALI SHIRK HAI IS SE BACHNE KI DUA




Bismillahirrahmanirraheem

Rasoolo ne kaha: tumhari nahusat tumhare sath hai, tumhe nasihat ki gayi is liye, balke tum hadd se tajawuz kar gaye ho. (Surah Yaseen surah no. 36 ayat no. 19)

Fazal bin abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: badshgooni wo hai jo tujhe kisi kaam k kane par aamaadah kare ya rook de. (Musnad Ahmad)

Abu Huraira Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: koi bimaari muta'adi nahi, na badfaali aur badshgooni ki koi haqeeqat hai aur na maah e safar manhoos hai. (Sahih Bukhari)

Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: jo shaks apne kisi kaam se badfaali ki bina par ruka to usne shirk kiya, Sahaba Razi Allahu Alaihim Ajmaeen ne arz kiya k uska kaffara kya hai? aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya uska Kaffara ye dua hai:

"ALLAHUMMA LA KHAIRA ILLA KHAIRUKA WALA TAIRA ILLA TAIRUKA WALAA ILAHA GAIRUK". (Musnad Ahmad)
"Ya Allah teri bhalayi k alwa koi bhalayi nhi aur tere shagoon k alwa koi shagoon nhi aur tere siwa koi mabood nhi".

Hamare muashare mai bhi ye baat zubaan dar aam hai k kawwa bola tha lihaza mehmaan ayenge.
Dukaan par pehla grahak accha nhi aya to din hi accha nahi guzrega.
Kali billi raasta kaat gayi hai lihaza safar par na jao.

wagaira wagaira to in sab se bachna chahiye. Allah hamari hifazat farmaye. (Aameen Ya Rabbal Alameen)