Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Saturday 13 December 2014

IDDAT K MASA'IL

IDDAT K MASA'IL

Bismillahirrahmanirraheem

BAISH SUNI KI WAJAH SE JIN KHAWATEEN KO HAIZ AANA BAND HO GAYA HO UNKI IDDAT TALAAQ TEEN MAAH HAI
KAM SUNI KI WAJAH SE JIN KHAWATEEN KO HAIZ AANA ABHI SHURU NA HO UNKI IDDAT TALAAQ BHI TEEN MAAH HAI
HAMILA KHAWATEEN KI IDDAT WAZEY HAMAL HAI KHAWAH CHAND YAUM (DIN) HO YA CHAND HAFTEY HO YA CHAND MAAH

"Aur tumhari aurato mein se jo haiz se mayoos ho chuki ho unke muamalaat mein agar tumhey koi shak hai to (maloom hona chahiye k) unki iddat teen maheeney hai aur yahi hukm unka hai jinhey abhi haiz na aaya ho aur hamila aurato ki iddat ye hai k unka wazey hamal ho jaye jo shaks Allah se darey uske muamaley mein wo sahoolat paida kar deta hai". (Surah Talaaq Surah no. 65 Ayat no. 4)


DORAAN E IDDAT AURAT DOOSRA NIKAH NAHI KAR SAKTI

"Jab tum apni aurato ko talaaq de chuko aur wo apni iddat poori kar ley to phir unhe apne (pichley) khawindo se nikah karne se na rooko jab wo maroof tareeqey se ba'hum munakihat par raazi ho tumhey naseehat ki jaati hai k aesi harkat hargiz na karna agar tum Allah aur rooz e aakhirat par emaan rakhte ho, tumhare liye sha’ista aur pakeezah tareeqa yahi hai k us se baaz raho Allah jaanta hai tum nahi jaantey". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 232)


ZAMANA E IDDAT MEIN RAJI'E TALAAQ WALI AURAT KO APNE SAATH RAKHNA CHAHIYE
ZAMANA E IDDAT MEIN SHOHAR RAJI'E TALAAQ WALI AURAT K NAAN WA NAFQA KA ZIMMEYDAAR HAI

"Aurato ko (zamana e iddat mein) usi jagah rakkho jaha tum rehte ho jesi kuch bhi jagah tumhey mayassar ho, aur tang karne k liye aurato ko matt sataao phir agar wo tumhare (bacchey ko) doodh pilaaye to unki ujrat unhey do aur bhaley tareeqey se (ujrat ka muamala) bahami gaft wa shaneed se tey karlo lekin agar tumne (ujrat tey karne mein) ek doosre ko tang kiya to bacchey ko koi aur aurat doodh pila legi". (Surah Talaaq Surah no. 65 Ayat no. 6)


GAIR HAMILA AUR MADKHOOLA MUTALLAQA KI IDDAT TEEN TAHAR YA TEEN HAIZ HAI

"Jin aurato ko talaaq di gayi ho wo teen haiz aaney tak apne aapko rookey rakkhey aur unke liye ye jayez nahi hai k Allah ta'ala ne unke raham mein jo kuch khalk kiya hai use chipaaye unhe hargiz aesa nahi karna chahiye agar wo Allah aur yaum e aakhirat par emaan rakhti hai agar unke shohar taalluqaat durust kar lene par aamaada ho to wo is iddat k doraan mein unhe phir apni zojiyat mein wapas lene k haqqdaar hai, aurato k liye ye bhi maroof tareeqey par wese hi huqooq hai jese mardo k un par, albatta mardo ko unpar darja hasil hai aur Allah ta'ala sab par gaalib hai aur hikmat wala hai". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 228)


GAIR MADKHOOLA MUTALLAQA KI KOI IDDAT NAHI

"Ae loogo, jo emaan laye ho! jab tum momin aurato se nikah karo aur phir unhe haath lagane se pehle talaaq de do to tumhari taraf se unpar koi iddat nahi jiske poora karne ka tum mutaalba kar sako lihaza unhe kuch maal do aur bhaley tareeqey se rukhsat karo". (Surah Ahzaab Surah no. 33 Ayat no. 49)


JIN AURAT KA SHOHAR FOUT (MAR JAYE) HO JAYE USKI IDDAT E SOOG CHAAR MAAH DAS DIN HAI

Hazrat Ummey Ateeyah Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Koi aurat mayyat par soog k liye teen din se zayadah muqarrar na kare siwaye apne shohar k jiske liye chaar maah das din ki iddat hai is doraan aurat ranga hua kapda na pehney illa ye k rangdaar bana hua ho na surma lagaaye na khushbu istemaal kare albatta jab haiz se paak ho to haiz k khoon ki badbo door karne k liye (mamooli si) qast ya khushbu istemaal kar sakti hai". (Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 864)


KHULA HASIL KARNE WALI AURAT KI IDDAT EK HAIZ HAI

Hazrat Rabee binte maooz bin Afra Razi Allahu Anha se riwayat hai k unhone Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k zamaney mein apne shohar se khula liya to Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne use hukm diya "k wo ek haiz iddat guzaarey". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 945)


JIS AURAT KA SHOHAR FOUT HO GAYA HO USE IDDAT KA ZAMANA HAR SOORAT MEIN APNE SHOHAR K GHAR MEIN HI GUZAARNA CHAHIYE
KISI ZAROORAT K TAHAT GHAR SE NIKALNE KI RUKHSAT HAI LEKIN RAAT GHAR AA KAR BASAR KARNA ZAROORI HAI

Hazrat Zainab bintey kaab bintey Ujrah Razi Allahu Anha se riwayat hai k Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu ki behan fareeya bintey Maalik bin Sanaan Razi Allahu Anha ne unhey bataya k wo Rasool Allah Sallallhu Alaihi Wa Sallam k paas aayi aur pucha "Kya wo bani khudra mein apne ghar jaa sakti hai? kyunki mere khawind k gulaam bhaag gaye hai wo unhey dhoondne nikley jab Tarf e Qadoom (ek muqaam hai madeena se saat meel par) pahuchey to waha gulaamo ko paya aur gulaamo ne mere khawind ko maar dala" chunanchey mene Rasool Allah Sallallhu Alaihi Wa Sallam se daryaft kiya "Kya mein apne ghar wapas chali jau kyunki mera khawind mere liye koi makaan ya kharch wagairah chood kar nahi mara" Hazrat Fareeya Razi Allahu Anha kehti hai Rasool Allah Sallallhu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "han chali jao" Hazrat Fareeya Razi Allahu Anha kehti hai k mein waha se nikli abhi masjid ya hujrah mein hi thi to Nabi E Akram Sallallhu Alaihi Wa Sallam ne mujhe bulaya ya kisi ko bulaaney ka hukm diya aur mujhey bulaya gaya Aapne irshad farmaya "Tumne kya kaha tha?" mene saari baat dobaarah bayan ki jo mene apne shohar k mutalliq kahi thi, Hazrat Fareeya Razi Allahu Anha kehti hai tab Rasool Allah Sallallhu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Apne ghar mein thehri raho hatta k iddat poori ho jaye" chunanchey mene us ghar mein chaar maah das din poorey kiye, Hazrat Fareeya Razi Allahu Anha kehti hai k jab Hazrat Usman bin Affan Razi Allahu Anhu khaleefa baney to unhone mere paas paighaam bheja aur masla daryaft kiya to mene unhey yahi bataya aur unhone uske mutabiq faisla kiya. (Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 2099)


MAFQOODUL KHABR SHOHAR KI BEEWI CHAAR SAAL INTAZAAR KARNE K BAAD IDDAT (CHAAR MAAH DAS DIN) GUZAAR KAR DOOSRA NIKAH KAR SAKTI HAI

Hazrat Saeed bin Musayyab Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu ne mafqoodul khabr shohar wali aurat k baare mein farmaya k wo chaar saal intazaar kare uske baad chaar maah das din iddat guzaar kar (chahey to) nikah karley. (Muatta Imam Malik Kitabut Talaaq)

Wazahat: Mafqoodul khabr - agar kisi ka shohar gum (laapata ho) jaye aur uski koi khabar na miley to aesi soorat mein chaar saal intazaar kiya jayega agar wo wapas na aaya aur uski koi khabar na miley to usey fout shuda samjha jayega phir chaar maah das din ki iddat guzaari jayegi.

No comments:

Post a Comment