Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Saturday 31 January 2015

JANNAT K CHASHMEY

JANNAT K CHASHMEY

Bismillahirrahmanirraheem

JANNAT K EK CHASHMEY KA NAAM "SALSABEEL" HAI JIS SE SOONTH (ZANJABEEL) KI AAMEZISH WALI SHARAAB BARAMAD HOGI

"Ahle jannat k aagey chandi k bartan aur sheeshey k piyaaley gardish karaaye ja rahe hongey shishey bhi chandi ki tarah (chamakdaar) hongey, un piyaalo ko (khuddaam) theek andaazey k mutabiq bharengey ahle jannat ko waha aesi sharaab k jaam pilaaye jayenge jisme soonth ki aamezish hogi, ye (sharaab jannat k) ek chashmey se (baramad) hogi jiska naam "Salsabeel" hai". (Surah Dahar Surah no. 76 Ayat no. 15-18)


JANNAT K EK CHASHMEY KA NAAM "KAAFOOR" HAI JISKI SHARAAB SE AHLE JANNAT LUTF ANDOOZ HONGEY

"Naik loog (jannat mein) sharaab k aese saagir piyengey jisme aab e kaafoor ki aamezish hogi ye (kaafoor) ek behta hua chashma hai jis se Allah k bandey (khoob paani) piyengey aur jaha kahi chahengey ba-sahoolat uski shakhey nikaal le jayengey". (Surah Dahar Surah no. 76 Ayat no. 5-6)


JANNAT K EK CHASHMEY KA NAAM "TASNEEM" HAI JISKA KHAAS PAANI SIRF ALLAH K MUQARRAB LOOGO KO HI PEENE K LIYE DIYA JAYEGA
ABRAAR LOOGO KO (JO DARYA MEIN MUQARRAB LOOGO SE KAM HONGEY) UMDAH SHARAAB MEIN TASNEEM KA PAANI MILA KAR PEENE KO DIYA JAYEGA

"Beshak naik loog bade mazey mein hongey unchi musnado par baithey nazaare kar rahe hongey tum unke chehro par se naimato ki ronaq aur tar o taazgi mehsoos karoge unko nafees bartan sarband sharaab pilaayi jayegi jis par mushk ki muhar lagi hogi jo loog doosro par baazi le jana chahte hai wo us (sharaab) ko hasil karne mein baazi le jaane ki koshish karenge is nafees aur umdah sharaab mein tasneem k paani ki aamezish hogi tasneem ek chashma hai jis (ka khalis pani) muqarrab loog piyengey". (Surah Mutaffafeen Surah no. 83 Ayat no. 22-28)


BAAZ CHASHMO SE SAFAID CHAMAKDAAR AUR LAZEEZ SHARAAB BARAMAD HOGI

"Ahle jannat k liye jana pehchana rizq hai har tarah ki lazeez chizey aur naimat bhari jannatey jinme wo izzat k saath rakkhe jayenge takhto par aamne saamne baithenge sharaab k chashmo se saagir bhar bhar kar unke darmiyaan phiraaye jayenge safaid (chamakti hui) sharaab jo peene walo k liye lazeez hogi na us se sar chakrayega na hi aqal mein fatoor ayega". (Surah Saaffaat Surah no. 37 Ayat no. 41-45)


BAAZ CHASHMEY FUWAARO KI TARAH AHLE UBAL RAHE HONGEY

"Un do baagho mein do chashmey aese hongey jisme paani joosh maar raha hoga pas ae jinn wa insaan tum apne rabb ki kin kin naimato ko jhutlaogey?". (Surah Rahman Surah no. 55 Ayat no. 66-67)


AHLE JANNAT K QALB WA NAZAR KI TASKEEN K LIYE HAR DO RAWA DAWA PAANI K KHOOBSURAT CHASHMEY AUR AABSHAREY JANNAT MEIN HONGI

"Jannat mein rawa dawa behte chashmey hongey". (Surah Gashiya Surah no. 88 Ayat no. 12)

"(jannat mein) door tak phaili huui chaao aur girta hua paani bhi hoga". (Surah Waqiah Surah no. 56 Ayat no. 30-31)


MAZKOORAH CHASHMO K ALAWA AHLE JANNAT KI KHATIR MADARAAT K LIYE JABAJA MUKHTALIF CHASHMEY HONGEY

"Beshak muttaqi loog saayo aur chashmo mein hongey aur manpasand maivey unke liye hazir hongey". (Surah Mursalaat Surah no. 77 Ayat no. 41-42)

No comments:

Post a Comment