Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Monday 9 November 2015

NAMAZ E TAHAJJUD KI FAZILAT

NAMAZ E TAHAJJUD KI FAZILAT

Bismillahirrahmanirrahmeem

Hazrat Abu Umama Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tahajjud zaroor padha karo, kyunki wo tumse pehle saliheen ki roosh hai aur tumhare liye apne rabb k qareeb ka waseela, gunaho k mitne ka zariya aur (mazeed) gunaho se bachne ka sabab hai". (Ibne Khuzaima Hadees no. 1135, ise Hafiz ibne Aeraaqi ne hasan Imam Hakim aur Imam Zahbi ne sahih kaha)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Us shaks par Allah ki rahmat ho jo raat ko utha, phir namaz (tahajjud) padhi aur apni aurat ko jagaaya, phir usne (bhi) namaz padhi phir agar aurat (galba e neend k ba'as) na jaagi, to uske muh par paani k chinte mare, aur us aurat par Allah ki rahmat ho jo raat ko uthi phir namaz (tahajjud) padhi aur apne khawind ko jagaaya, phir usne (bhi) namaz padhi agar khawind (galba e neend k ba'as na jaaga) to uske muh par paani k chinte maare". (Abu Dawood Kitabut Tatvi Hadees no. 1308, ise Imam Hakim 1:409, Imam Ibne Khuzaima 1148 Zahbi aur Imam Nawawi ne sahih kaha)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Farz namaz k baad sab namazo se afzal tahajjud ki namaz hai aur ramazaan k roozo k baad afzal roozey Allah k maheeney Muharram k hai". (Sahih Muslim Kitabs Siyaam Hadees no. 1163)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab insan soota hai to shaitan uske sar ki guddi par teen girhey (gaanthey) lagata hai aur kehta hai k raat badi lambi hai agar wo baidar ho kar Allah ka zikr kare to ek girah khul jati hai aur agar wuzu kare to doosri girah khul jaati hai aur namaz padhey to teesri girah khul jati hai, aur wo shaad-maan aur paak nafs ho kar subah karta hai, warna uski subah khabees aur sust nafs k saath hoti hai". (Sahih Bukhari Kitabut Tahajjud Hadees no. 1142, Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 776)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah ta'ala har raat ko jab ek tihaayi raat baaqi rah jati hai aasmaani dunya par nuzool farmata hai aur farmata hai "Koi hai jo mujhe pukaare mein uski dua qubool karu, koi hai jo mujhse maangey mein usko dun, koi hai jo mujhse bakhshish talab kare mein usko baksh du". (Sahih Bukhari Kitabut Tahajjud Hadees no. 1145, Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 758)


NABI RAHMAT SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA SHOONQ E TAHAJJUD

Hazrat Mugeerah Razi Allahu Anhu farmate hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne (raat ko tahajjud mein) itna lamba qiyaam kiya k aapke paao soojh gaye, aapse sawal hua "Aap itni mashaqqat kyu karte hai halankey aap maghfoor hai?" aapne farmaya "Kya phir (jab Allah ta'ala ne mujhe naboowat k in'aam, magfirat ki dolat aur be-shumar naimato se nawaza hai) mein Allah ka shukr guzaar bandah na banu?". (Sahih Bukhari Kitabut Tafseer Hadees no. 4836, Sahih Muslim Sifaatul Munafiqeen Hadees no. 2819)


NEEND SE JAAGTEY WAQT KI DUA

Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab raat ko (bistar se tahajjud k liye) uthte to (ye) padhte: (ALLAHU AKBAR) das baar (ALHAMDULILLAH) das baar (SUBHANALLAHI WA BI HAMDIHI) das baar (SUBHANAL MALIKIL QUDDOOS) das baar (ASTAGHRIFULLAH) das baar (LA ILAHA ILLALLAH) das baar aur phir (ALLAHUMMA INNI A'OUZU BIKA MIN ZEEQID DUNYA WA ZEEQI YAUMIL QIYAAMAH) das baar. (Abu Dawood Kitabul Adab Hadees no. 5085) phir kehte (ALLAHUMMAGH FIRLI WAHDINI WARZUKNI WA AAFINI) (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 766 ise Imam Ibne Hibban Hadees no. 649 ne sahih kaha)

"Allah sabse bada hai, sari tareef Allah k liye hai, Allah apni tareef samait (har aeyb se) paak hai, mein nihayat hi pakeezah baadshah ki paaki bayan karta hu, mein Allah se bakshish talab karta hu, Allah k siwa koi (saccha) mabood nahi hai, ae Allah! mein dunya wa aakhirat ki pareshaniyo se teri panah maangta hu, ae Allah! mujhe maaf farma, mujhe hidayat ata kar, mujhe rizq de aur aafiyat se nawaaz"

phir (wuzu wagairah karke) tahajjud shuru karte.

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks raat ko neend se jaagey aur kahe"

"LA ILAHA ILLALLAHU WAHDAHU LA SHAREEKA-LAHU LAHUL MULKU WA LAHUL HAMDU WA HUWA ALA KULLI SHAI'IN QADEER, ALHAMDULILLAHI WA SUBHANALLAHI WA LA ILAHA ILLALLAHU WALLAHU AKBARU WALA HAULA WALA QUWWATA ILLA BILLAH"

"Allah k siwa koi (sachha) mabood nahi hai, wo akela hai uska koi shareek nahi, usi k liye sari baadshahat aur usi k liye saari tareef hai aur wo har cheez par khoob qudrat rakhne wala hai, sari tareef Allah k liye, Allah (har aeyb se) paak hai, Allah k siwa koi mabood nahi Allah sabse bada hai, badi (buraayi) se bachne aur naiki karne ki kisi mein taaqat nahi hai magar Allah ki tofeeq se" phir kehte: "ALLAHUMAGH FIRLI" "Ae Allah! mujhe baksh de" (ya koi aur dua kare) to qubool hogi, aur agar wuzu karke namaz padhte to (wo bhi) qubool ki jayegi. (Sahih Bukhari Kitabut Tahajjud Hadees no. 1154)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam tahajjud k liye uthte to aapne baithne k baad surah Aale Imraan ki aakhiri das aayaat (189-200) padhte. (Sahih Bukhari Amalu fis Salaat Hadees no. 1198, Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 763)

No comments:

Post a Comment