Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Monday 28 March 2016

NAMAZ MEIN KHUSHU AUR KHUZU

NAMAZ MEIN KHUSHU AUR KHUZU 



Bismillahirrahmanirraheem

Allah ta'ala farmata hai: "QAD AFLAHAL MUMINOONAL LAZEENA HUM FI SALATIHIM KHASHI'OON" (Surah Mominoon Surah no. 23 Ayat no. 1,2)

Beshak momin kaamyaab ho gaye jo apni namaz khushu aur khuzu k saath ada karte hai.

Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k "Ahsan ye hai k tu Allah ki ibadat us tarah (dil laga kar) kar jese tu usko dekh raha hai, aur agar ye na ho sake to ye khayal kar k Allah ta'ala tujhe dekh raha hai". (Sahih Bukhari Kitabul Emaan Hadees no. 50, Sahih Muslim Hadees no. 8)

Jab insan namaz mein ye tasawwur karega k mein Allah ta'ala ko dekh raha hu ya kam-az-kam Allah ta'ala mujhe dekh raha hai to uske dil mein Allah ta'ala ki hibat aur tazeem paida hogi, wo apni namaz khushu aur khuzu k saath ada karega namaz mein beja harkaat wa siknaat nahi karega, be-adbi aur bad-tahzeebi k sath namaz ada nahi karega, namaz sukoon aur itminaan ka naam hai.

Hazrat Ubada bin Saamit Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k humne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye farmate hue suna "Allah ta'ala ne paanch namazey farz ki hai, pas jisne accha wuzu kiya unko khushu k saath padha aur unka ruku poora kiya to us namazi k liye Allah ta'ala ka ahad hai k wo usko baksh dega aur jo aesa na kare Allah ka koi ahad nahi chahey baksh de chahey azaab de". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 425, Imam Ibne Hibban ne ise sahih kaha)

Jo shaks namaz mein ye tasawwur kare k wo ahkamul hakimeen k saamne khada hai to wo poori dil-jami’e aur huzoor e qalb k saath namaz ada karega, ye mumkin hi nahi k uska jism harkat karta rahe, kabhi ek pair par zoor de kabhi doosre pair par, kabhi daadhi se khelna shuru kare aur kabhi bagair zaroorat khujli karta rahe, kabhi qamees ki salwatey door kare aur kabhi sar k rumaal ko hilata rahe.

Allah ta'ala irshad farmata hai: "WA QOOMU LILLAHI QANITEEN"

"Aur Allah k saamne (namaz mein) adab se khade raho". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 238)

Bila zaroorat harkat karna adab aur tazeem k manaafi hai.

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye taleem di hai k namazi k saamne koi aesi cheez nahi honi chahiye jo uski tawajjoh se hata de aur is tarah uske huzoor e qalb mein farq aaye.

Ummum Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek chadar mein namaz padhi jis mein naqsh wa nigaar they, phir farmaya "Meri is chadar ko Abu Jaham k paas le jao aur uski chadar mere paas le aao, us (chadar ki dhariyon) ne mujhe namaz mein khushu se gafil kar diya". (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 373, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 556)

Ummum Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne ghar mein ek pardah latka rakkha tha Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ye pardah hata do, iski tasweerey namaz mein mere saamne aati hai". (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 374)

In Ahadees e Mubaraka se ye baat nikli hai k namaz mein kamaal e huzoor aur khuzu laazmi hai aur jo cheez aadmi ko namaz mein apni taraf mutawajjah kare usko door kar dena chahiye, magar afsoos aaj masjido mein mobile ki mauseeqi wali aawazey goonjti hai hatta k khana kaba bhi is mauseeqi se mehfooz nahi raha is tarah ye loog apni aur doosre loogo ki bhi namazo k khushu aur khuzu ko kharab karte hai alawah azee masjido k mehraab aur deewaro ko aaraasta kiya jata hai, un par naqsh wa nigaar banaye jate hai, masjid ki qaleen aur jaye-namaz par naqsh wa nigaar banaaye jate hai, halankey masajid saadgi ka namoona honi chahiye takey namaz mein sakoon aur itminaan ho aur poori tawajjah k saath ek musalman namaz ada kar sakey.

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mujhe ye hukm nahi diya gaya k mein masjido ko muzayyan (sajaaon) karu" Ibne Abbas Razi Allahu Anhu farmate hai: Albatta tum bhi masajid ki zeenat karoge jese unko yahood o nasara ne muzayyan (sajana hua) kiya. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 448, Ibne Hibban ne ise sahih kaha)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Qayamat ki nishaniyo mein se ek nishani ye hai k loog masjido par fakhar karengey". (Abu Dawood Hadees no. 449, Ibne Khuzaima 3:281 Hadees no. 1322 ne ise sahih kaha)

Namaz padhte hue nigaahey nichi honi chahiye, ye baat namaz mein Allah k saamne adab se khade hone k khilaf hai k namazi nazro ko uncha kare ya idhar udhar dekhey.

Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha bayan karti hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se namaz mein idhar udhar dekhne k baare mein sawal kiya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Namaz mein idhar udhar dekhna bande ki namaz mein shaitaan ka hissa hai". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 751)

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu bayan karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Loogo ka kya haal hai k wo namaz mein apni nigaahey uper uthaate hai" aapne sakht tambiyah karte hue farmaya "Loog aesa karne se baaz aa jaye warna unki nazrey achak li jayegi". (Sahih Bukhari Hadees no. 750)

Namaz mein tawajjah aur huzoor e qalb barqaraar rakhna itna zaroori hai k aapne neend ki shadeed talab ki mojoodgi mein nafil namaz padhne se mana farmaya - Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks namaz mein unghey usey chahiye k lait jaye yaha tak k uski neend poori ho jaye, jo koi neend mein namaz padhega to usko maloom nahi ho sakta k wo Allah se ma'aafi maang raha hai ya apne aapko bad-dua de raha hai". (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 212, Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 786)

Isi tarah agar bhook lagi ho aur khana bhi mojood ho to namaz mein khane ka khayal aa sakta hai, jiski wajah se dil-jami'e k saath namaz ada karna mushkil hota hai to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pehle khana khane ka hukm diya.

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu bayan karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tumhare saamne shaam ka khana rakkha jaye aur udhar namaz k liye jamaat bhi khadi ho jaye to pehle khana khao aur namaz k liye jaldi na karo yaha tak k khane se farigh ho jao. Ibne Umar Razi Allahu Anhu k liye khana laya jata aur jamaat bhi khadi ho jaati to wo namaz k liye nahi jaate they yaha tak k khane se farigh ho jaate, halankey wo imam ki qiraat ki aawaaz bhi sun rahe hote they". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 673, Sahih Muslim Hadees no. 559)

Namaz mein dil-jami'e hi ki khatir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hukm diya k pakhana ya paishab ki agar hajat ho to pehle us se faragat hasil karo.

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha bayan karti hai k Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab khana mojood ho ya pakhana wa paishab ki hajat ho to namaz nahi hoti". (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 560)

Bool wa baraaz k dabaow ki halat mein agar namaz padhega to namaz mein chain, khuzu aur itminaan hasil na hoga is liye Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unse faraghat hasil karne ko muqaddam farmaya.

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki namaz mein khashiyat e ilahi ka yuh muzahirah hota tha k "Aap namaz padhte to aapke roone ki wajah se aapke seeney se chakki k chalne ki si aawaaz aati thi". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 904, Nasayi 3:13, 1214)

Hamey bhi namaz mein ye tasawwur dil o dimaag mein bithana chahiye k hum Allah ta'ala ki baar-gaah mein khade hai, zahiri aur batini taur par Allah ki taraf tawajjah rehna chahiye aur agar shaitan hamey hamari namaz se gafil karna chahey to "A'OUZU BILLAH" keh kar baayi janib teen baar thuthkaar kar shaitan ko bhagana chahiye.

Hazrat Usman bin Abul Aas Razi Allahu Anhu ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se daryaft kiya k Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! shaitan meri namaz aur mari qira'at k darmiyaan hayil ho jata hai aur qira'at mein iltabaas paida karta hai, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Us shaitan ka naam khanzab hai, jab tujhe uska khayal aaye to "A'OUZU BILLAH" k kalmaat padho aur baayi janib teen baar thuthkaaro" Hazrat Usman bin Abul Aas Razi Allahu Anhu bayan karte hai k mene aesa hi kiya, chunanchey Allah ta'ala ne use (shaitan ko) mujhse door kar diya. (Sahih Muslim Kitabus Salaam Hadees no. 2203)

Hamey namaz bahut hi khoobsurati k saath padhni chahiye baaz namazi rafulyadain karte hue haatho ko kandho tak buland nahi karte sirf haath ya ungliyo ko zara si harkat dena hi kaafi samajhte hai, baaz namaz ki halat mein kabhi aasteeney utaarte hai aur kabhi is halat mein namaz padhte hai k unki aasteeney uper chadhi hui hoti hai, garz namaz mein la ibaliyat aur be-adbi ka mukammal muzahirah kar rahe hote hai aur yahi loog dunyawi hukmaraano k saamne jab khade hote hai to bade adab aur ehtaraam se khade hote hai, kya Allah ta'ala k darbaar mein be-adbi jayez ho sakti hai?

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu bayan karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek din namaz k baad farmaya "Ae falah! tum apni namaz husn wa khoobi k saath kyu ada nahi karte? namazi jab namaz padhta hai to wo is baat ko kyu madd-e-nazar nahi rakhta k wo kis tarah namaz padh raha hai? halankey namazi apne faidah k liye namaz padhta hai aur Allah ki qasam! mein jis tarah aagey dekhta hu usi tarah pichey bhi dekhta hu". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 423)

No comments:

Post a Comment