Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday 20 May 2016

PAANCHVA (5th) HAQQ - AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K DEEN KI NUSRAT KARNA

PAANCHVA (5th) HAQQ - AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K DEEN KI NUSRAT KARNA



Bismillahirrahmanirraheem

Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k deen ki nusrat k chaar marahil hai, har musalman ko in marahil par amal karne ki bharpoor koshih karni chahiye, awwalan deen ka ilm hasil karna, saniyan hasil kardah ilm k mutabiq amal karna, salisan deen ki tableegh aur nashr o isha'at karna aur deen k liye zubaan, maal aur jaan k saath jadd o jahad karna.



DEEN KI NASHR O ISAH'AT K LIYE APNE MAALO JAANO AUR ZUBAANO SE JADD O JAHAD KARNA TAMAAM AHLE EMAAN PAR WAJIB HAI

"Aur Allah dekhna chahta hai k kaun bin dekhey uski aur uske rasoolo ki madad karta hai beshak Allah Ta'ala bahut quwwat aur ghalbey wala hai". (Surah Hadeed Surah no. 57 Ayat no. 25)

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mushriko se jihaad karo, apne maalo k saath, apni jaano k saath aur apni zubaano k saath". (Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 2186)


UMMAT K BA-SHA'OOR AFRAAD KO DEENI MARAKIZ SE ILM HASIL KARNE K BAAD APNE APNE MULKO YA APNE APNE SHEHRO MEIN JA KAR DEEN KI NASHR O ISHA'AT KA KAAM KARNA CHAHIYE

"Phir aesa kyu na hua k ahle emaan ki aabaadi k har hissey se kuch loog (deeni marakiz ki taraf) nikalte, deen ki samajh paida karte aur wapas ja kar apne ilaaqey k bashindo ko khabar karte takey wo kufr wa shirk se baaz aa jate". (Surah Tauba Surah no. 9 Ayat no. 122)

"Tum mein se ek garooh aesa zaroor hona chahiye jo loogo ko bhalaayi ki dawat deta rahey, neki ka hukm kare aur buraayi se rookta rahe, aese loog hi falah paani wale hai". (Surah Aal E Emraan Surah no. 3 Ayat no. 104)

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Meri taraf se deen ki baatey doosro tak pahunchao, khawah ek aayat hi ho". (Sahih Bukhari Kitabul Ambiya)


HAJJATUL WIDA K MOQEY PAR AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE HAZIREEN KO DEEN KI BAATEY DOOSRO TAK PAHUNCHANE KA HUKM DIYA

Hazrat Abu Bakrah Razi Allahu anhu kehte hai k (Mina mein 10 zill hijjah ko) Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam apne ounth par tashreef farma hue, ek aadmi ounth ki muhaar thamey hue tha, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Jo yaha hazir hai wo gayib tak ye ahkaam pahuchaye mumkin hai k jo shaks hazir hai wo kisi aese aadmi tak ye ahkaam pahunchaye jo pahunchane wale se ziyaadah yaad rakhne wala ho". (Sahih Bukhari Kitabul ilm)


DEEN KA ILM HASIL KARNE WALE WAFD KO RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE HUKM DIYA K WO WAPAS JA KAR YE ILM DOOSRE LOOGO TAK PAHUNCHAYE

Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai k wafd Abdul Qais Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unhey chaar baaton ka hukm diya aur chaar baaton se mana farmaya aur unhey hidayat farmayi "Un ahkaam ko acchi tarah yaad karlo aur (wapas ja kar) doosre loog ko bhi unse aagah karo". (Sahih Bukhari Kitabul Ilm)

Wazahat: Jin chaar baaton ka Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hukm diya wo ye thi:
1. Toheed aur Risalat ki gawahi
2. Namaz aur Zakaat ki adayigi
3. Ramazaan k Roozey
4. Maal e ghanimat se paanchva hissa Bait ul Maal mein jama karna.

Jin chaar baaton se Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mana farmaya wo ye thi:
1. Kaddo se banaya hua bartan
2. Mitti se banaya hu wo bartan jise laakh ya goond se rogan kiya gaya ho
3. Mitti se banaya hua wo bartan jise taarkool se rogan kiya gaya ho
4. Lakdi se banaya hua bartan, bartano ki ye tamaam iqsaam sharaab banane ya peene k liye istemaal hoti thi, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unke istemaal se mana farma diya.


ISLAM KI DAWAT AUR ISHA'AT K LIYE RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM, SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANAHUM KO DOOSRE SHEHRO MEIN BHI BHEJTE THEY

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k yaman k loog Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hue aur arz ki "Deen aur islam sikhaane k liye hamare saath aadi rawana farmaye" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Abu Ubaidah bin Jarrah Razi Allahu Anhu ka haath pakda aur farmaya (ise le kar jao) ye us ummat ka aeman hai. (Sahih Muslim Kitabul Fazail)


DEEN KI DAWAT AUR ISHA'AT KI KHATIR 70 SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM NE APNI JAANO KA NAZRAANA PAISH KIYA

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai kuch loog Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hue aur darkhuwast ki "Hamare saath kuch aadmi bhej de jo kitab o sunnat ki taleem de" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Ansar mein se 70 aadmi unke saath bhej diye, unhey "Qurrah" kaha jata tha un mein mere khalo Hazrat Haraam Razi Allahu Anhu bhi shamil they wo loog quran majeed ki tilawat karte aur raat k waqt quran majeed ka ilm seekhte, din k waqt paani laate aur masjid mein (wuzu wagairah k liye) rakh dete uske alawah ye lakdiya kaat kar laate aur unhey baich kar ahle suffah aur daigar qurrah k liye khana khareedte, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne un qurrah ko unke saath bhej diya lekin unhone raaste mein un par hamla kar diya aur thikaane par pahunchane se pehle hi unko qatal kar dala (qatal hone se pehle) qurrah ne Allah Ta'ala se dua ki "Ya Allah! hamare Nabi ko khabar pahunchade k hum tere paas is haal mein pahunch chukey hai k hum tujh se raazi hai aur tu humse raazi hai" Raavi kehte hai k ek aadmi Hazrat Anas Razi Allahu Anhu k khalu Hazrat Haraam Razi Allahu Anhu k paas peechey se aaya aur (unki gardan mein) naizah maara jo paar ho gaya, Hazrat Haraam Razi Allahu Anhu ne kaha "Rabb e Kaaba ki qasam! mein kaamyaab ho gaya". (Sahih Muslim Kitabul Imaraat)


ISLAMI RIYASAT MEIN HUKKAM E BAALA KO DEEN KI NASHR O ISHA'AT KA MUQADDAS FAREEZAH KHUD SAR-ANJAAM DENE KA EHTAMAAM KARNA CHAHIYE

Hazrat Umar bin Abdul Azeez Rahimahullah ne (Qaazi e Madeena) Abu Bakr bin Hazam Rahimahullah ko likha k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ahadees ko likh lo mujhe darr hai k kahi ilm mit na jaye aur ulama (dunya se) utha jaaye aur (yaad rakkho) Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ahadees k alawah koi doosri baat (kisi ummati ka qaul ya raaye wagairah) qabool na karna, ulama ko chahiye k wo ilm ko phelaye, musnad e ilm par baithey takey jiske paas deen ka ilm nahi wo ilm hasil kar sake, ilm waha se khatam ho jata hai jaha uski nashr o isha'at na ho. (Sahih Bukhari Kitabul Ilm)


KHUTOOT, DASTAVEZAAT, RASAYIL AUR KUTUB K ZARIYE BHI DEEN E ISLAM KI NASHR O ISHA'AT KA KAAM KARNA CHAHIYE

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Kasra, Qaisar, Najjashi aur tamaam baadshahon k naam khat likhey jin mein unhey Allah Ta'ala ki taraf dawat di. (Sahih Muslim Kitabul Jihad was Siyar)

Wazahat: 1. Yaad rahe Kasra Iran k baadshah ko, Qaisar Roam k baadshah ko aur Najjashi Habshah k baadshah ko kaha jata hai.
2. Islam ki nashr o isha'at k liye wo tamaam qadeem aur jadeed zaraaye iblaagh e istemaal karne chahiye jin mein shariyat k kisi hukm ki khilaf-warzi na paayi jati ho.


HAZRAT ABDULLAH BIN MAS'OOD RAZI ALLAHU ANAHU NE DEEN KI DAWAT AUR TABLEEGH K LIYE JUMERAAT KA DIN MUQARRAR KAR RAKKHA THA

Hazrat Abu Wayel Razi Allahu Anhu kehte hai k Abdullah (bin Mas'ood) Razi Allahu Anhu har jumeraat loogo ko waaz wa naseehat kiya karte they, ek aadmi ne unse kaha "Ae Abu Abdur Rahman! (Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu ki kunniyat) meri khuwahish hai k tum hamey rozana waaz wa naseehat karo" Hazrat Abdullah Razi Allahu Anhu ne farmaya "Uski wajah ye hai k mein ye baat na-pasand karta hu k tum waaz sunte sunte thak jao". (Sahih Bukhari Kitabul Ilm)


SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM, TABAAYI AUR TABA TABAAYI E AZAAM RAHIMAHULLAH DEEN KI NASHR O ISHA'AT K LIYE MADEENA MUNAWWARAH, MAKKA MUKARRAMAH, YAMAN, MISR, SHAAM, BASRAH AUR KOOFA JESE DOOR DARAAZ SHEHRO MEIN JA KAR RIHAYISH PAZEER HO GAYE

Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah k betey Hazrat Abdullah Rahimahullah kehte hai k mene apne walid Rahimahullah se daryaft kiya k ilm hasil karne wale shaks k baare mein Aap ki kya raaye hai k wo ek hi ilm se likhey padhey ya ilm k mukhtalif marakiz mein ja kar (mukhtalif ulama se) ilm hasil kare? Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah ne farmaya k "Talib e ilm ko chahiye k wo koofa, basrah, madeena aur makkah k ulama se ilm hasil kare (aur unke alawah) daigar ahle ilm ko bhi talaash kare aur unse ilm ki sima'at kare". (Al Rahlatu fi Talabul Hadees, Khateeb Baghdaadi, Matbooa darul kutub ilmiyah bairoot Safa no. 88)

Imam Ahmad ibne Hambal Rahimahullah farmate hai Abdullah ibne Mubarak k zamaane mein husool e ilm k liye unse badh kar koi doosra shaks mehnat aur mashakkat karne wala nahi tha, unhoney yaman, misr, shaam, basrah aur koofa ka safar kiya halankey wo khud ilm k raaviyo mein se they aur wo waaqayi uske ahal they. (Al Rahlatu fi Talabul Hadees Khateeb Baghdaadi matbooa darul kutub ilmiya bairoot Safa no. 91)


DEEN KI NASHR O ISHA'AT KA SAWAB INSAN KO MARNE K BAAD BHI MILTA REHTA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab insan marta hai to uska amal teen cheezo k alawah munqatey ho jata hai:
1. Sadqa E Jaariyah
2. Ilm jiske zariye loogo ko nafa hasil ho
3. Naik aulaad ko marne wale k liye dua kare. (Sahih Muslim Kitabul Waseeyah)


DEEN KI NASHR O ISHA'AT KARNE WALO K LIYE RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE TARO TAAZA AUR KHUSH WA KHURRAM REHNE K LIYE DUA FARMAAYI

Hazrat Abdur Rahman bin Abdullah Razi Allahu Anhu apne baap se aur wo Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se riwayat karte hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah Ta'ala us aadmi ko tar o taaza rakkhey jisne humse hadees suni aur usey (joh ka toh) aagey pahuncha diya (kyunki) aksar wo loog jinko hadees pahunchaayi gayi ho, wo sunney walo se ziyadah yaad rakhne wale hote hai (Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 189)


KHAWATEEN KO BHI DEEN KI NASHR O ISHA'AT AUR DAWAT WA TABLEEGH KA KAAM KARNA CHAHIYE

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu se riwayat hai k aurato ne Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein arz ki "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mard aapse ilm hasil karne mein humse aagey badh gaye hai, Aap hamari taleem k liye bhi ek din muqarrar farma dijiye" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne aurato ko ek din taleem dene ka wada farma liya us din Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne aurato ko waaz farmaya aur ahkaam batlaaye jo ahkaam Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne aurato ko batlaaye un mein se ye bhi tha k tum mein se jo aurat apne teen bacchey aagey bhejey (yaani faut ho jaye aur sabar kare) to wo uske liye dozakh se bachne k liye ba'as banengey, aur aurat ne arz ki "agar koi aurat do bhejey" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "do bhi". (Sahih Bukhari Kitabul Ilm)

No comments:

Post a Comment