Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Tuesday 29 November 2016

ZAKAAT KI AHMIYAT

ZAKAAT KI AHMIYAT

 


Bismillahirrahmanirraheem

JIS SOONEY AUR CHANDI KI ZAKAAT ADA NA KI JAYE QAYAMAT K DIN US SOONEY AUR CHANDI KI TAKHTIYAN BANA KAR AAGH MEIN GARAM KI JAYEGI AUR UNSE USKE MAALIK KI PAISHANI PEETH AUR PEHLU DAAGEY JAYENGE
JIN JAANWARO KI ZAKAAT ADA NA KI JAYE QAYAMAT K DIN WO JAANWAR APNE MAALIK KO PACHAAS HAZAAR SAAL TAK APNE PAO TALEY ROONDTE RAHEGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks sooney aur chandi ka maalik ho lekin uska haqq (yaani zakaat) ada na kare to qayamat k din us (sooney aur chandi) ki takhtiyan banaayi jayegi phir unko jahannam ki aagh mein garam kiya jayega, phir un se us (munkir e zakaat) k pehlu, paishani aur peeth par daagh lagaaye jayenge jab kabhi (ye takhtiyan garam karne k liye) aagh mein wapas le jaayi jayegi to dobaarah (azaab dene k liye) lotaayi jayegi (us se ye salook) sara din hota rahega jiska arsa pachaas hazaar saal (k barabar) hai, yahan tak k insaano k faisale ho jayenge phir wo apna raasta jannat ki taraf dekhey ya dozakh ki taraf" arz kiya gaya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam phir ountho ka kya maamla hoga" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks ountho ka maalik ho aur wo unka haqq (zakaat) ada na kare aur uske haqq se ye bhi hai k paani pilaane k din ka doodh dhooye (aur arab k riwaaj k mutabiq ye doodh masakeen ko pila de) wo qayamat k din ek hamwaar maidaan mein oundhey muh litaya jayega aur wo ounth bahut farbah aur mootey ho kar aayenge un mein se ek baccha bhi kam na hoga (yaani sabke sab) us (munkir e zakaat) ko apne khuron, pao se roondenge aur apne muh se kaatengey jab pehla ounth (ye salook karke) jayega to doosra aa jayega (us se ye salook) sara din hota rahega jiska arsa pachaas hazaar saal (k barabar) hai, hatta k loogo ka faisla ho jayega phir wo apna raasta jannat ki taraf dekhengey ya jahannam ki taraf" arz kiya gaya "Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! gaayen aur bakri k baare mein kya irshaad hai?" farmaya "Koi gaayen aur bakri wala aesa nahi jo unka haqq (zakaat) ada na karega magar jab qayamat ka din hoga to wo oundha litaaya jayega, ek hamwaar zameen par, aur un gaayen aur bakriyon mein se koi kam na hogi (sabki sab aayengi) aur unme se koi seengh mudi hui na hogi ya bagair seenghon k aur na tootey hue seenghon wali, wo usko apne seenghon se maaregi aur apne khuron se roondengi jab pehli guzar jayegi to pichli aa jayagi (yaani lagataar aati rahengi) din bhar aesa hota rahega jiski muddat pachaas hazaar saal k barabar hai, yahan tak k bando k darmiyaan faisla ho jayega, phir wo apna raasta jannat ki taraf dekhey ya dozakh ki taraf". (Sahih Muslim Kitabuz Zakaat)

Hazrat Ahnaf bin Qais Razi Allahu Anhu kehte hai k mein quraish k chand loogo mein baitha hua tha k Abu Zarr Razi Allahu Anhu aaye aur kehne lage "Khazana jama karne walo ko basharat do aese daagh ki jo unki peeth par lagaaye jayenge aur unke pehluon se aar paar ho jayenge unki gardan mein lagaaye jayenge to unki paishaniyo se paar ho jayenge phir Abu Zarr Razi Allahu Anhu ek taraf ho kar baith gaye to mene (loogo se) pucha "ye kaun hai?" loogo ne bataya "ye Abu Zarr Razi Allahu Anhu hai" chunanchey mein unki taraf gaya aur arz kiya "Ye kya tha jo mene abhi abhi aap se suna jo aapne farmaya" Hazrat Abu Zarr Razi Allahu Anhu ne kaha "Mene wahi kiya jo mene un (musalmaano) k Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam se suna hai". (Sahih Muslim Kitabuz Zakaat)


ZAKAAT NA DENE WALO KA RUPYA PAISA QAYAMAT K DIN GANJA SAANP BAN KAR UNKO DASEY AUR KAATEGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis ko Allah Ta'ala ne maal diya aur usne uski zakaat ada na ki to qayamat k din uska maal aese ganje saanp ki shakal ban kar, jiski aankho par nuqte (daagh) hongey uske galey ka tauq ban jayenga phir uski dono jabdon ko pakad kar kahega "Mein tera maal hu, mein tera khazana hu, phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye aayat tilawat farmayi "Jin loogo ko Allah Ta'ala ne apne fazal se maal diya hai aur wo bakheeli karte hai to apne liye ye bakhal behtar na samjhey balke unke haqq mein bura hai, anqareeb qayamat k din ye bakheeli unke galey ka tauq ban'ne wali hai". (Sahih Bukhari Kitabuz Zakaat)


JIS MAAL SE ALLAH TA'ALA KA HAQQ ADA NA KIYA JAYE WO MAAL TABAH WA BARBAAD HO JATA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai unhone Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se suna Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmate they "Bani Israeel mein teen aadmi they ek kodhi doosra ganja aur teesa andha, Allah Ta'ala ne unko aazmane ka iraadah farmaya unki taraf ek farishta bheja wo kodhi k paas aaya aur kaha "Tujhe kaunsi cheez bahut piyaar hai?" usne kaha "Accha rang aur accha badan aur wo cheez mujhse door ho jaye jiski wajah se loog mujhse nafrat karte hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "farishte ne (uske jism) par haath phera, pas us se uski gandagi door ho gayi aur accha rang aur accha badan de diya gaya" phir farishte ne kodhi se pucha "tujhe kaunsa maal ziyaadah pasand hai?" usne kaha "ounth" ya kaha "gaayen" raavi (Is'haaq) ko shak hai han kodhi aur ganje mein se ek ne ounth kaha aur doosre ne gaayen kaha, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Usey ek hamila ounthni de di gayi aur kaha Allah tujhe isme barkat de" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Phir wo farishta ganje k paas aya aur kaha tujhe sabse ziyaadah kaunsi cheez pasand hai" usne kaha "Khoobsurat baal, aur wo cheez mujhse door ho jaye jis se loog mujhse nafrat karte hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "farishte ne us par haath phera uska ganjapan jata raha aur khoobsurat baal usey de diye gaye" farishte ne pucha "Tujhe kaunsa maal ziyaadah pasand hai?" usne kaha "Gaayen" pas ek hamila gaayen usey de di gayi aur farishte ne kaha Allah tujhe isme barkat de" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Phir wo farishta andhey k paas aaya aur kaha tujhe sabse ziyaadah piyari cheez kaunsi hai?" usne kaha "Allah mujhe beenaayi de de takey mein loogo ko dekh sakun" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "farishte ne us par haath phera, Allah Ta'ala ne uski beenaayi wapas kardi, farishte ne kaha "Tujhe sabse ziyaadah maal kaunsa pasand hai?" usne kaha "Bakriyan" usey ek hamila bakri de di gayi, pas bacchey liye kodhi aur ganje ne ounth aur gaayen k aur andhey ne bakri k, jis se kodhi k liye ek jangal ountho se bhar gaya ganje k liye ek jangal gaayen se bhar gaya aur andhey k liye ek jangal bakriyon se bhar gaya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Phir (kuch arsa baad) farishta kodhi k paas uski pehli soorat aur shakal mein aaya aur aa kar kaha "gareeb aadmi hu safar mein mera maal wa asbaab jata raha ab mera aaj k din (apni manzil par) pahunchna Allah ki meharbaani aur tere sabab se hai, mein tujhse isi zaat k waaste se maangta hu, jisne tujhe accha rang jism aur maal diya hai ek ounth chahta hu, jiske zariye apni manzil par pahunch saku" usne kaha "Haqdaar bahut hai (yaani kharch ziyaadah hai maal kam hai) farishte ne kaha "mein tujhe pehchaanta hu kya tu kodhi na tha k loog tujhse nafrat karte they aur tu gareeb tha Allah Ta'ala ne tujhe sehat aur maal diya" usne kaha "mujhe to ye maal doolat baap dada se wirasat mein mila hai, farishte ne kaha "Tu jhoota hai, Allah tujhe wesa hi karde jesa k tu tha" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Phir wo farishta ganje k paas aaya aur usey wahi kaha jo kodhi se kaha tha, ganje ne wahi jawab diya jo kodhi ne diya tha" farishte ne kaha "Agar tu jhoota hai to Allah tujhe wesa hi karde jesa tu tha" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Phir wo farishta andhey k paas uski (saabqa) soorat mein aaya aur kaha "gareeb musafir hu, safar mein mera maal wa asbaab jata raha, aaj mein (apni manzil par) nahi pahunch sakta hu, magar Allah Ta'ala ki meharbaani aur tere sabab se tujhse isi zaat k waaste se maanga hu jisne tujhe beenaayi di, ek bakri (chahta hu) k uske ba'as apni manzil par pahunch saku" andhey ne kaha "Beshak mein andha tha, mujhe Allah Ta'ala ne beenaayi di, pas tu jo chahta hai le le, aur jo chaahey chood de, Allah ki qasam! aaj k din mein tera haath na pakdunga us cheez se jise tu Allah k liye lena chahey" farishte ne kaha "Apna maal apne paas rakh, haqeeqat ye hai k tum (teeno) ko aazmaya gaya, pas tujhse Allah raazi hua aur tere dono saathiyon par gussa kiya gaya". (Sahih Bukhari Kitabul Ahadeesul Ambiya)


ZAKAAT NA DENE WALA DOZAKHI HAI

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Zakaat na dene wala qayamat k din aagh mein hoga". (Sahih Targheeb wa Tarheeb lil Albani Juzz e Awwal Hadees no. 760)


ZAKAAT ADA NA KARNE WALE LOOGO KO ALLAH TA'ALA QAHAT-SAALI MEIN MUBTALA KAR DETE HAI

Hazrat Bureedah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Zakaat ada na karne wale loogo ko Allah Ta'ala qahat-saali mein mubtala kar dete hai". (Sahih Targheeb wa Tarheeb lil Albani Juzz e Awwal Hadees no. 761)


ZAKAAT ADA NA KARNE WALE PAR RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE LAANAT FARMAYI

Hazrat Ali Razi Allahu Anhu kehte hai "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne sood khane, khilaane, gawahi dene aur katabat karne wale sab loogo par laanat farmayi, neez baal goondne, gundwaane wali par, zakaat ada na karne wale par, halala nikaalne aur nikalwaane wale par bhi laanat farmayi hai". (Sahih Targheeb wa Tarheeb lil Albani Juzz e Awwal Hadees no. 756)

No comments:

Post a Comment