Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday, 4 September 2015

SURAH FATIHA KA MASLA

SURAH FATIHA KA MASLA

Bismillahirrahmanirrahmeem

"BISMILLA HIR RAHMA NIR RAHEEM, ALHAMDU LILLAHI RABBIL AALAMEEN, AR RAHMA NIR RAHEEM, MALIKI YAUMUD DEEN, IYYAKA NA'ABUDU WA IYYAKA NASTAEEN, IHDINAS SIRAATAL MUSTAQEEM, SIRAATAL LAZEENA AN'AMTA ALAIHIM, GAIRIL MAGZOOBI ALAIHIM WALAZ ZAAALLEEN"

"Allah k naam se (shuru karta hu) jo nihayat meharbaan be-hadd raham karne wala, saari tareef Allah k liye hai jo tamaam makhlooqaat ka rabb hai, be-hadd raham karne wala be-hadd meharbaan, badle k din ka maalik hai, (Ae Allah!) hum teri hi ibadat karte hai aur tujh hi se madad maangte hai, hamey seedhey raaste par chala, un loogo k raaste par jin par tuney inaam kiya jin par tera gazab nahi kiya gaya jo gumraah nahi huwe".

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Abu Bakr, Umar aur Usman Razi Allahu Anhum k pichey namaz padhi wo surah fatiha se pehle ya baad mein (buland aawaaz se) "BIS MILLAHIR RAHMA NIR RAHEEM" nahi padhte they. (Sahih Muslim Hadees no. 399)

Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam "BIS MILLAHIR RAHMA NIR RAHEEM" aahista padhte they. (Sahih Ibne Khuzaima Hadees no. 495)


NAMAZ AUR SURAH FATIHA

Hazrat Ubada bin Saamit Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis shaks ne (namaz mein) surah fatiha nahi padhi uski namaz nahi hui". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 756, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 394)

Imam Bukhari Rahimahullah is hadees par yun baab baandhte hai: "Namaz mein surah fatiha padhna har namazi par wajib hai khawah imam ho ya muqtadi, muqeem ho ya musafir, namaz sirri ho ya zehri"

Hazrat Ubada bin Saamit Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k hum namaz mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k pichey they aapne quran padha pas aap par padhna bhaari ho gaya, jab namaz se faarigh hue to farmaya "Shayad tum imam k pichey padha karte ho? humne kaha han, Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! aapne farmaya Surah fatiha k aur kuch na padha karo kyunki us shaks ki namaz nahi hoti jo fatiha na padhey". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 823, Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 311, ise Ibne Khuzaima 1581, Ibne Hibban 460, 461, Behaqui ne sahih jabke Imam Tirmizi aur Daar e Qutni ne hasan kaha)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu bayan karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis shaks ne namaz padhi aur us mein surah fatiha na padhi pas wo (namaz) naqis hai, naqis hai, poori nahi" Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se pucha gaya hum imam k pichey hote hai (phir bhi padhey?) to Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ne kaha (han) to usko dil mein padh. (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 395)

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apne Sahaba Razi Allahu Anhum ko namaz padhaayi, farigh ho kar unki taraf mutawajjah ho kar pucha kya tum apni namaz mein imam ki qiraat k doraan mein padhte ho? sab khamosh rahe, teen baar aapne unse pucha, to unhone jawab diya han! hum aesa karte hai, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Aesa na karo tum sirf fatiha dil mein padha karo". (Ibne Hibban 5:152, 162, Behaqui 2:166, Majmua uz zawa'id mein Imam Behaqui farmate hai: iske sab raavi siqa hai aur isko ibne Hajar ne hasan kaha)

In Ahadees se sabit hua k muqtadiyo ko imam k pichey (chahey wo buland aawaaz se qiraat kare ya aahista aawaaz se) Alhamdu Shareef dil mein zaroor padhni chahiye.

Thursday, 3 September 2015

TAAWUZ

TAAWUZ

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab raat ko namaz mein khade hote to Allahu Akbar kehte aur padhte:

"SUBHANA KALLA HUMMA WA BI-HAMDIKA WA TA-BAARA KASMUKA WA TA-AALA JADDUKA WA LA-ILAHA GAIRUKA LA ILAHA ILLALLAH, LA ILAHA ILLALLAH, LA ILAHA ILLALLAH, ALLAHU AKBARU KABEERAN, ALLAHU AKBARU KABEERAN, ALLAHU AKBARU KABEERAN"
"AOZU BILLAHIS SAMEE'IL ALEEMI MINASH SHAITANIR RAJEEMI MIN HAMZIHI WA NAFKHIHI WA NAFSHIHI"

Tarjuma: "Allah ki panah maangta hu jo (har aawaaz ko) sun'ne wala (aur har cheez ko) jaan'ne wala hai, mardood shaitaan (k sharr) se, uske khatre se, uski phunko se aur uske waswasey se". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 775, Ise Ibne Khuzaima Hadees no. 467 ne sahih kaha)

SANA

SANA

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam takbeer (oula) aur qiraat k darmiyaan kuch dair chup rehte, pas mene kaha "Mere maa baap aap par qurbaan, Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! aap takbeer aur qiraat k darmiyaan khamoosh reh kar kya padhte hai? aapne farmaya! mein ye padhta hu:

1. "ALLAHUMMA BA'ID BAINI WA BAINA KHATAYAYA KAMA BA'ATTA BAINAL MASHRIQI WAL MAGRIBI, ALLAHUMMA NAQQINI MINAL KHATAYA KAMA YU NAQQAS SAUBUL ABYAZU MINAD DANASI, ALLAHUM-MAGSIL KHATAYAYA BIL MAAA'I WAS-SALJI WAL BARDI"

Tarjuma: "Ya Allah! mere aur mere gunaho k darmiyaan doori daal de jese tooney mashriq aur magrib k darmiyaan doori rakkhi hai, Ae Allah! mujhe gunaho se is tarah paak kar jesa k safaid kapda mail se paak kiya jata hai, Ae Allah! mere gunaho ko (apni bakhshish k) paani, barf aur oulo se dhoo daal". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 744, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 598)

2. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k pichey namaz mein ek shaks ne kaha:

"ALLAHU AKBARU KABEERAN WAL HAMDU LILLAHI KASEERAN WA SUBHANALLAHI BUKRATAU WA ASEELA"

Tarjuma: "Allah sabse bada hai, bahut bada hai, saari tareef uski hai, wo (har aeb se) paak hai, subah aur shaam hum uski paaki bayan karte hai"

Ye sun kar Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k "Iske liye aasmaan k darwaazey khool diye gaye hai" Ibne Umar Razi Allahu Anhu ne farmaya "Jab se mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se ye baat suni hai, mene ye kalmaan ko kabhi nahi chooda". (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 601)

3. Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab namaz shuru karte to kehte:

"SUBHANA KALLA HUMMA WA BI-HAMDIKA WA TA-BAARA KASMUKA WA TA-AALA JADDUKA WA LA-ILAHA GAIRUK"

Tarjuma: "Ae Allah to paak hai, (hum) teri tareef k saath (teri paaki bayan karte hai) tera naam (bada hi) ba-barkat hai, teri buzurgi buland hai, tere siwa koi mabood nahi". (Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 243, Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 776, Ibne Maja Kitab Iqamatus Salaat Hadees no. 806, ise Hakim 1:1235 aur Hafiz Zahbi ne sahih kaha)

AURATO AUR MARDO KI NAMAZ MEIN KOI FARQ NAHI

AURATO AUR MARDO KI NAMAZ MEIN KOI FARQ NAHI

Bismillahirrahmanirraheem

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Namaz us tarah padho jis tarah tum mujhe namaz padhte hue dekhte ho". (Sahih Bukhari Hadees no. 631)

Yaani ho-bahu mere tareeqey k mutabiq sab auratey aur sab mard namaz padhey, phir apni taraf se ye hukm lagana k auratey kandho tak haath uthaaye aur mard kaano tak, auratey seeney par haath baandhey aur mard zair e naaf aur auratey sajdah karte waqt zameen par koi aur heeyat ikhtiyaar kare aur mard koi aur.... ye deen mein mudakhalat hai, yaad rakkhey k takbeer e tehrima se shuru karke "ASSALAMU ALAIKUM WA RAHMATULLAH" kehne tak auratey aur mardo k liye ek heeyat aur ek hi shakal ki namaz hai, sabka qayaam, ruku, qouma, sajdah, jalsa e istarahat, qaada aur har har muqaam par padhne ki duwaye yaksa hai, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mard aur aurat ki namaz k tareeqey mein koi farq nahi bataya.

SEENEY PAR HAATH BAANDHNA

SEENEY PAR HAATH BAANDHNA

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Wayel bin Hujar Razi Allahu Anhu kehte hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath namaz padhi to aapne apna daaya haath baaye hath par rakh kar, seeney par haath baandhey. (Sahih Ibne Khuzaima 1: 243, 479, ise ibne Khuzaima ne sahih kaha)

Hazrat Halb Razi Allahu Anhu farmate hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko seeney par haath rakkhey hue dekha. (Musnad Ahmad 5: 226, 22313, Hafiz ibne Abdul Barr aur Allama Azeem Aabaadi ne ise sahih kaha)

Hazrat Wayel bin Hujar Razi Allahu Anhu Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki namaz ka tareeqa bayan karte hue farmate hai k aapne daaye haath ko baaye haath ki hatheli (ki pusht) uske jood aur kalaayi par rakkha. (Nasayi Kitabul Iftah Hadees no. 889, ise ibne Hibban Hadees no. 485, ibne Khuzaima Hadees no. 480 ne sahih kaha)

Hamey bhi daaya haath baaye hath par is tarah rakhna chahiye k daaya haath baaye haath ki pusht jood aur kalaayi par aa jaye aur dono ko seeney par baandha jaye takey tamaam riwayat par amal ho sakey.

Hazrat Sahal bin Saad Razi Allahu Anhu se riwayat hai k loogo ko ye hukm diya jaata tha "Namaz mein daaya hath baayi kalaayi par rakkhey". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 740)

Rahi Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ki riwayat k sunnat ye hai k hatheli ko hatheli par zair e naaf rakkha jaye. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 756) ise Imam Behaqui aur Hafiz ibne Hajar ne zaeef qaraar diya aur Imam Nawawi farmate hai k iske zaeef par sabka ittefaaq hai.

TAKBEER E OULA (NAMAZ KI PEHLI TAKBEER)

TAKBEER E OULA (NAMAZ KI PEHLI TAKBEER)

Bismillahirrahmanirraheem

Qiblah ki jaabib muh karke Allahu Akbar kehte hue rafulyadain kare, yaani dono haatho ko (kandho tak) uthaaye.

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu farmate hai mene Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko dekha aapne namaz ki pehli takbeer kahi aur apne dono haath kandho tak uthaaye, ruku ki takbeer k waqt bhi aesa kiya aur jab "SAMI ALLAHULIMAN HAMIDAH" kaha to bhi aesa hi kiya aur farmaya "RABBANA WA LAKAL HAMD" aur sajdey mein jaate aur sajdey se sar uthaate waqt aesa na kiya. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 738, Sahih Muslim Hadees no. 390)

ise takbeer e oula isliye kehte hai k ye namaz ki sabse pehli takbeer hai aur is se namaz shuru hoti hai aur ise takbeer e tehrima bhi kehte hai kyunki iske saath hi bahut si cheezey namazi par haraam ho jati hai.

Hazrat Malik bin Huwairis Razi Allahu Anhu se riwayat hai k "Beshak Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab takbeer kehte to haatho ko kaano tak buland farmate, jab ruku karte hatho ko kaano tak buland karte aur jab ruku se sar uthaate phir bhi aesa hi karte". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 391)

Sheikh Albani farmate hai k (rafulyadain karte waqt) haatho se kaano ko choone ki koi daleel nahi hai unka choona bidaat hai ya waswasa, masnoon tareeqa hatheliya kandho ya kaano tak uthaana hai, haath uthaane k maqaam mein mard aur aurat dono barabar hai, aesi koi sahih hadees mojood nahi jis mein ye tafreeq ho k mard kaano tak aur auratey kandho tak haath buland kare.

QAYAAM

QAYAAM

Bismillahirrahmanirraheem

Allah ta'ala farmata hai "WA QOOMOO LILLAHI QANITEEN" "Aur Allah k liye ba-adab khade hua karo". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 238)

Hazrat Imran bin Hussain Razi Allahu Anhu bayan karte hai k mujhe bawaseer ki takleef thi, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "(Mumkin ho to) khade ho kar namaz ada karo agar taqat na ho to baith kar agar baith kar ada karne ki bhi taqat na ho to lait kar (namaz ada karo)". (Sahih Bukhari Kitabut Taqseerus Salaat Hadees no. 1117)

maloom hua k istata'at k ba-wajood baith kar farz namaz ada karna jayez nahi.

Albatta nafil namaz mein qayam ki qudrat hone k ba-wajood baithna jayez nahi agarchey uska aadha sawab milega

Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks khade ho kar namaz padhey wo afzal hai aur jo baith kar padhey usko khade hone wale ka aadha sawab milega aur jo lait kar padhey usko baithne wale ka aadha sawab milega". (Sahih Bukhari Kitabut Taqseerus Salaat Hadees no. 1116)

Jab Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki umar ziyaadah ho gayi to aapne ja-namaz k qareeb ek satoon tayyar karaaya jis par aap (namaz k doraan) taik lagaate they. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 948, Hakim aur Zahbi ne sahih kaha)

Aapne baith kar namaz padhne ki bajaaye satoon k sahaare khade hone ko tarjeeh di, is se maloom hua k koi uzar ho to kisi cheez ka sahara le kar qayaam kiya ja sakta hai khawah farz namaz ho ya nafil. (Wallahu Aalam)

Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam raat ka bada hissa khade ho kar nawafil ada karne aur kabhi baith kar, jab qiraat khade ho kar farmate to (usi halat) qayam se ruku ki halat mein muntaqil hote aur jab baith kar qiraat farmate to usi halat mein ruku aur sujood bhi farmate. (Sahih Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees no. 730)

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha riwayat karti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko kabhi baith kar namaz padhte nahi dekh yaha tak k aapki umar ziyaadah ho gayi to aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam baith kar qiraat farmate, jab qiraat se tees ya chalees aayaat baqi hoti to aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam khade ho kar unki tilawat farmate phir ruku mein chale jaate doosri rakaat mein bhi aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka yahi mamool hota. (Sahih Bukhari Kitabut Taqseerus Salaat Hadees no. 1119, Sahih Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees no. 731)