Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday 3 September 2015

QAYAAM

QAYAAM

Bismillahirrahmanirraheem

Allah ta'ala farmata hai "WA QOOMOO LILLAHI QANITEEN" "Aur Allah k liye ba-adab khade hua karo". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 238)

Hazrat Imran bin Hussain Razi Allahu Anhu bayan karte hai k mujhe bawaseer ki takleef thi, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "(Mumkin ho to) khade ho kar namaz ada karo agar taqat na ho to baith kar agar baith kar ada karne ki bhi taqat na ho to lait kar (namaz ada karo)". (Sahih Bukhari Kitabut Taqseerus Salaat Hadees no. 1117)

maloom hua k istata'at k ba-wajood baith kar farz namaz ada karna jayez nahi.

Albatta nafil namaz mein qayam ki qudrat hone k ba-wajood baithna jayez nahi agarchey uska aadha sawab milega

Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks khade ho kar namaz padhey wo afzal hai aur jo baith kar padhey usko khade hone wale ka aadha sawab milega aur jo lait kar padhey usko baithne wale ka aadha sawab milega". (Sahih Bukhari Kitabut Taqseerus Salaat Hadees no. 1116)

Jab Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki umar ziyaadah ho gayi to aapne ja-namaz k qareeb ek satoon tayyar karaaya jis par aap (namaz k doraan) taik lagaate they. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 948, Hakim aur Zahbi ne sahih kaha)

Aapne baith kar namaz padhne ki bajaaye satoon k sahaare khade hone ko tarjeeh di, is se maloom hua k koi uzar ho to kisi cheez ka sahara le kar qayaam kiya ja sakta hai khawah farz namaz ho ya nafil. (Wallahu Aalam)

Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam raat ka bada hissa khade ho kar nawafil ada karne aur kabhi baith kar, jab qiraat khade ho kar farmate to (usi halat) qayam se ruku ki halat mein muntaqil hote aur jab baith kar qiraat farmate to usi halat mein ruku aur sujood bhi farmate. (Sahih Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees no. 730)

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha riwayat karti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko kabhi baith kar namaz padhte nahi dekh yaha tak k aapki umar ziyaadah ho gayi to aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam baith kar qiraat farmate, jab qiraat se tees ya chalees aayaat baqi hoti to aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam khade ho kar unki tilawat farmate phir ruku mein chale jaate doosri rakaat mein bhi aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka yahi mamool hota. (Sahih Bukhari Kitabut Taqseerus Salaat Hadees no. 1119, Sahih Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees no. 731)

No comments:

Post a Comment