Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday, 25 February 2016

GHAYIBAANA NAMAZ E JANAZAH

GHAYIBAANA NAMAZ E JANAZAH

Bismillahirrahmanirraheem

Jis Din Najjashi faut hua, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Sahaba k saath nikle, saff-bandi ki aur chaar takbeeraat k saath (namaz e janazah) ada ki. (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1254, Sahih Muslim Hadees no. 951)

Aur farmaya k "Apne bhai ki namaz e janazah ada karo kyunki arz e ghair (doosri zameen) mein faut hua". (Ibne Maja Kitabul Jana'iz Hadees no. 1537)

Hazrat Uqba bin Aamir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ek din bahar nikle aur uhad k shohda k liye is tarah namaz padhi jese mayyit par namaz padhte hai". (Sahih Bukhari Hadees no. 1343, Sahih Muslim Kitabul Fazail Hadees no. 2296)

Is se maloom hua k mayyit ki ghayibaana namaz e janazah padhi ja sakti hai Imam Shafi aur Imam Ahmad bin Hambal ka yahi maslak hai.

Magar Sahaba e Kiram Razi Allahu Anhum aur Tabaeen Rahimahullah mein ghayibaana namaz e janazah k mamool na hone ki sabse badi daleel ye hai k Khulafa e Rashideen ki ghayibaana namaz e janazah poori islami mamlakat mein ada ki jaati, magar aesa kisi se bhi manqool nahi hai, Ibne Qayyim, Ibne Taimiyah, Allama Nasiruddin Albani Rahimahullah aur muhaqqiqeen ki ek jamaat ghayibaan namaz e janazah ada karne ki qayil nahi hai.

Hafiz ibne Abdul Barr farmate hai "Agar ghayib par namaz e janazah jayez hoti to Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam apne Sahaba Razi Allahu Anhum ki ghayibaana namaz e janazah ada karte isi tarah sharq wa garb (mashriq wa maghrib) mein rehne wale musalman, khulafa e rashideen ki bhi ghayibaana namaz e janazah padhte, magar aesa kisi se bhi manqool nahi hai".

Ibne Qayyim Rahimahullah ne farmaya "Musalmano mein bahut se aese loog faut hue jo Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam se ghayib they magar aapne un mein se kisi ki ghayibaana namaz e janazah ada nahi ki".

Monday, 22 February 2016

JANAZAH K MASA'IL

JANAZAH K MASA'IL

Bismillahirrahmanirraheem

1. Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum janazah dekho to khade ho jao aur jo shaks janazah k saath jaye us waqt tak na baithey jab tak janazah na rakkha jaye". (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1310, Sahih Muslim Hadees no. 959)

2. Jab Hazrat Saad bin Abi Waqaas Razi Allahu Anhu ka intaqaal hua to Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne farmaya k unka janazah masjid mein lao takey mein bhi namaz e janazah mein shareek ho jao loogo ne tami kiya to unhone farmaya k Allah ki qasam Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Suhail Razi Allahu Anhu aur unke bhai ki namaz e janazah masjid mein padhaayi. (Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 973)

Siddeque Akbar Razi Allahu Anhu ki namaz e janazah bhi masjid mein padhi gayi neez Farooq e Aazam Razi Allahu Anhu ki namaz e janazah Suhaib Razi Allahu Anhu ne masjid mein padhaayi. (Behaqui 4:52)

3. Jis janazey k saath khilaf e shari kaam ho uske saath jana mana hai. Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu farmate hai k "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne us janazey k saath jaane se mana farmaya jiske saath noha aur matam karne wali aurate ho". (Ibne Maja Kitabul Jana'iz Hadees no. 1583)

4. Hazrat Mugheera bin Shoba Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Sawaar janazey k pichey rahe aur paidal chalne wale janazey k qareeb rahte hue aagey, pichey daaye aur baaye chal sakte hai". (Abu Dawood Kitabul Jana'iz Hadees no. 3180, Imam Tirmizi ne hasan kaha)

NAMAZ E JANAZAH

NAMAZ E JANAZAH

Bismillahirrahmanirraheem

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Emaan ki halat mein sawab ki niyat se jo kisi musalman k janazah k saath jata, uske saath rehta, uska janazah padhta aur usko dafan karke farigh hota hai to uske liye do qeeraat sawab hai, har qeeraat uhad pahaad k barabar hai aur jo (sirf) janazah padh kar wapas aa jata hai to uske liye ek qeeraat hai". (Sahih Bukhari Kitabul Emaan Hadees no. 47, Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 945)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis musalman k janazah mein aese 40 aadmi shamil ho jo Allah k saath shirk na karte ho to Allah ta'ala us (mayyat k haqq) mein unki sifarish qabool karta hai". (Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 948)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "4 musalman jis musalman ki tareef kare aur acchi shahadat de, Allah usko jannat mein dakhil karega, humne arz kiya "aur 3?" Aapne farmaya "3 bhi" humne arz kiya "aur 2?" aapne farmaya "2 bhi, phir humne ek k baare mein nahi pucha". (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1368)

Yaha un musalmano ki gawahi muraad hai jin ka aqeedah wa amal aur akhlaaq wa kirdaar kitab o sunnat k mutabiq ho. (Wallahu Aalam)

Namaz e janazah padhne k liye mayyat ki chaar-paayi is tarah rakkhey k mayyat ka sar shimaal ki simt aur pao junoob ki jaanib ho, phir ba-wuzu ho kar safey baandhey.

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu ne ek mard ka janazah padhaya to wo (uske) sarke saamne khade hue phir ek aurat ka janazah laya gaya to wo uske darmiyaan khade hue aur farmaya k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam aesa hi karte they. (Tirmizi Kitabul Jana'iz Hadees no. 1034, Abu Dawood Kitabul Jana'iz Hadees no. 3194, Imam Tirmizi ne ise hasan kaha)

Phir dil mein niyat karke dono haath kandho ka kaano tak uthaaiye aur pehli takbeer keh kar surah fatiha padhey.


JANAZAH MEIN SURAH FATIHA

Hazrat Abu Umama bin Sahal Razi Allahu Anhu se riwayat hai k namaz e janazah mein sunnat tareeqa ye hai k pehli takbeer kahi jaye, phir fatiha padhi jaye, phir Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam par darood aur mayyat k liye dua (ki jaaye) uske baad salaam (phera jaye). (Musannaf Abdur Razzaaq Hadees no. 6428, 3:489, 490, Hafiz ibne Hajar ne ise sahih kaha)

Hazrat Talha bin Abdullah bin Aouf Razi Allahu Anhu kehte hai k mene Ibne Abbas Razi Allahu Anhu k pichey namaz e janazah padhi to aapne Surah Fatiha padhi, aur farmaya "Mene ye is liye kiya k takey tum jaan lo k ye sunnat hai". (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1335)

Is se jahri qiraat bhi sabit hui, tajjub hai jo loog uth'te baith'te "Fatiha" ka naam lete hai wo namaz e janazah mein ise padhte hi nahi.

Hazrat Talha bin Abdullah kehte hai k mene Ibne Abbas Razi Allahu Anhu k pichey namaz e janazah padha unhone Surah Fatiha aur ek aur Surah padhi aur buland aawaaz se qiraat ki hatta k humne suna, jab farigh hue to farmaya "Ye sunnat aur haqq hai". (Nasaayi Kitabul Jana'iz Hadees no. 1987, 4:74-75, Ibne Tarkumani ne sahih kaha)


NAMAZ E JANAZAH KA SIRRAN PADHNA SUNNAT HAI

Hazrat Abu Umama bin Sahal Razi Allahu Anhu se riwayat hai k namaz e janazah mein sunnat tareeqa ye hai k imam pehli takbeer k baad Surah Fatiha sirran (aahista awaaz se) padhey phir teen takbeeraat kehe aur aakhiri takbeer k sath salaam phaira jaya. (Nasayi 4:75, 1989, Hafiz ibne Hajar ne ise sahih kaha)

Buland aawaaz se bhi janazah padhaya ja sakta hai, chunanchey Hazrat Aouf bin Malik Razi Allahu Anhu farmate hai k, Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne namaz e janazah mein ek dua padhi jo mene yaad karli aur mene tamanna ki kaash k ye mera janazah hota. (Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 963)


JANAZAH KI TAKBEERAAT

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k beshak Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne najjashi k janazah mein 4 takbeeraat kahi. (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1333, Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 951)

Hazrat Zaid bin Arkam Razi Allahu Anhu namaz e janazah par 4 takbeeraat kehte, ek janazah par unhone 5 takbeeraat kahi aur farmaya k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam is tarah bhi karte they. (Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 957)

Sunday, 21 February 2016

MAYYAT PAR ROONA

MAYYAT PAR ROONA



Bismillahirrahmanirraheem

Agar mayyat ko dekh kar roona aaye aur aansu jaari ho to mana nahi, is liye k ye be-ikhtiyaar rona hai jo jayez hai, Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam Saad bin Ubada ki behoshi par rooye Sahaba bhi aapko dekh kar rooye pas aapne farmaya suno "Allah t'ala aankh k roone aur dil k pareshan hone ki wajah se azaab nahi karta balke zuban (k chalane aur wa waila karne) se azaab karta hai. (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1304, Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 924)
Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya (Allah k han) wo sabr motabar hai jo sadmey k shuru mein ho. (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1302, Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 926)
Yaani ba baila aur bain karne k baad sabr karna, sabr nahi hai, asal sabr ye hai k museebat k waqt tasleem wa raza ka muzahirah kiya jaye aur izhaar e gham k fitri tareeqey k alawah aur kuch na kiya jaye.
Hazrat Abdullh bin Mas'ood Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Wo hum mein se nahi hai jo rukhsar peetey, girebaan phaade aur jahiliyat ki pukar pukaare"(yaani nooha aur wa baila kare). (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1294, Sahih Muslim Kitabul Emaan Hadees no. 103)
Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mein bezaar hu us se jo (mayyat ki museebat mein) sar k baal nochey aur chilla kar rooye aur apne kapde phaade". (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1296, Sahih Muslim Kitabul Emaan Hadees no. 104)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Allah ta'ala farmata hai "Mere (us) momin bande k liye bahisht hai jiske piyaare ko mein ahle dunya se qabz karta hu aur wo (uski maut par) sabr karta hai". (Sahih Bukhari Kitabur Riqaaq Hadees no. 6424)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jahiliyat k chaar kaam aese hai jinhey meri ummat k loog bhi karengey:
1. (Apne) hasb par fakhar karna
2. (Doosre k) nasb par taan karna
3. Sitaaro k zariye paani talab karna
4. Nooha karna, (aur ye bhi farmaya) "Agar nooha karne wali aurat marne se pehle tauba na kare to qayamat k din us par gandhak ka kurta aur kharish ki oudhni hogi". (Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 934)
Ahle Jahiliyat ka aqeedah tha k sitaaro ki naqal wa harkat aur tulu wa ghuroob ka barish aur daigar zameeni waqiyaat wa hawadas k saath gehra talluq hai aaj kal ilm e nujoom bhi inhi shirkiya khurafaat se ibarat hai, Allah ta'ala mehfooz rakkhey. (Aameen)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k baite Ibraheem jab halat e naza mein they to aapne usey uthaya aur farmaya "Aankh aansu baha rahi hai aur dil ghamgeen hai magar uske ba-wajood hum kuch nahi kahenge siwa e us (baat) k jis se hamara rabb raazi ho, aur Allah ki qasam ae Ibraheem! hum teri judaayi k sabab ghamgeen hai". (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1303, Sahih Muslim Kitabul Fazail Hadees no. 2315)
Maloom hua k Allah ta'ala mehboob ki muhabbat mein aa kar apne faisle nahi badalta balke jo chahta hai so karta hai, wo kisi ki taaqat se mar'oob hota hai na kisi ki muhabbat se maghloob, gafoor ur raheem hai tu har ek k liye aur agar be-niyaaz hai to sabke liye.
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka nawasa faut hua to aapki aankho se aansu jaari ho gaye, Hazrat Saad bin Ubada Razi Allahu Anhu ne arz ki ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! ye kya hai? aapne farmaya "Ye wo rahmat hai jo Allah ne apne bando k dilo mein paida ki hai aur Allah apne bando mein se rahmat karne walo par hi rahmat karta hai". (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1284, Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 923)
Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis aurat k teen bacchey mar jaaye aur wo Allah ki raza-mandi ki khatir sabr kare to wo jahannam ki aag se aadh banenge ek aurat ne pucha agar do bacchey mar jaye to? aapne farmaya "do bacchey bhi" Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k us se muraad wo bacchey hai jo abhi baligh na hue ho". (Sahih Bukhari Kitabul Ilm Hadees no. 101, Sahih Muslim Kitabur Birr wa silah Hadees no. 2633, 2634)
Ek riwayat mein hai k wo apne maa baap se milenge phir unka kapda ya haath pakdenge aur unko na choodenge yaha tak k Allah unko aur unke baapo ko jannat mein dakhil kar dega. (Sahih Muslim Kitabur Birr wa Silah Hadees no. 2635)
Ek aur riwayat mein hai k Allah ta'ala un baccho par (apni) rahmat aur fazal k sabab us shaks ko (yaani unke walid ko) jannat mein dakhil karega. (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1248) ba-shart k walid ka aqeedah durust ho.
ACHANAK MAUT
Hazrat Ubaid bin Khalid Salmi Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Achanak maut (kafir k liye) Allah ta'ala ki ghazab ki pakad hai". (Abu Dawood Kitabul Jana'iz Hadees no. 311, Musnad Ahmad 4:219)
MAUT K WAQT PAISHANI PAR PASEENA
Hazrat Bureedah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Maut k waqt momin ki paishani par paseena aa jata hai". (Tirmizi Kitabul Jana'iz Hadees no. 982, Imam Tirmizi ne ise hasan kaha)
JIS GHAR MEIN WAFAAT HO UNKE HAN KHANA PAKA KAR BHEJNA
Hazrat Abdullah bin Jafar Razi Allahu Anhu farmate hai k jab Hazrat Jafar Razi Allahu Anhu ki wafaat ki khabar aayi to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Aale jafar k liye khana tayyar karo un loogo par aesi museebat aayi hai jis mein wo khana nahi paka sakengey". (Abu Dawood Kitabul Jana'iz Hadees no. 3132, Ibne Maja Hadees no. 1610)
Kitni buri aur na-munasib baat hai k baaz ahle mayyat doosro k liye khane ka intazaam karte hai.
TAZIYAT K MASNOON ALFAAZ
"INNA LILLAHI MA AKKHARA WA LAHU MA AATAA WA KULLU SHAI'IN INDAHU BI AJALIN MUSAMMAN FAL TASBIR WAL TAHTASIB"
"Yaqeenan Allah ka (maal) hai jo usne le liya aur usi ka hai jo usne de rakkha hai uske han har cheez (k fana hone) ka waqt muqarrar hai (lihaza) sabr karke uska ajr o sawab hasil karo". (Sahih Bukhari Hadees no. 1284, Sahih Muslim Hadees no. 923)

MAYYAT KA SOOG

MAYYAT KA SOOG

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Zainab binte Jahash Razi Allahu Anha k bhai ka inteqaal ho gaya, teen din baad unhone khushbu mangwaayi aur usko mala, phir kaha mujhe khushbu ki zaroorat nahi thi magar mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se suna k jo aurat Allah t'ala aur qayamat par emaan rakhti ho uske liye halaal nahi k teen din se ziyaadah kisi mayyat par soog kare, siwaye shohar k jiska soog chaar maah das din hai. (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1282, Sahih Muslim Hadees no. 1487)

Hazrat Ummey Ateeya Razi Allahu Anha ka ladka faut ho gaya, teesre din unhone zardi mangwa kar badan par mali aur kaha "Hamare liye shohar k alawah kisi aur (ki wafaat) par teen din se ziyaadah soog karna mamnoo hai". (Sahih Bukhari Hadees no. 1279)

MAYYAT KA KAFAN

MAYYAT KA KAFAN 



Bismillahirrahmanirraheem

MARD KO 3 KAPDO MEIN KAFAN DENA MASNOON HAI

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko teen (safaid) kapdo mein kafan diya gaya us mein kurta tha na amama. (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1264, Sahih Muslim Hadees no. 941)

Aurat k kafan mein 5 kapde istemaal hote hai Hasan Basri Rahimahullah farmate hai k aurat k kafan ka paanchva kapda wo hai jo qamees k nichey rehta hai, us se aurat ka satar aur raaney baandhi jaati hai. (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz)

Ibne Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Ahram ki halat mein ek shaks ki gardan uske ounth ne tood daali to aapne farmaya k "Usko paani aur bairi k patto se ghusal do aur do kapdo mein use kafan do". (Sahih Bukhari Hadees no. 1265, Sahih Muslim Hadees no. 1206)

Aur ye do kapde wo hai jin mein usne ahraam bandha hua tha. (Nasayi Kitabul Jana'iz Hadees no. 1904)

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne uhad k shohda k baare mein hukm diya k unko khoon aalood (kapdo samait) dafan kiya jaye aur na wo ghusal diye gaye aur na hi unki namaz e janazah padhi gayi. (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1343)

MARNE SE PEHLE APNA KAFAN TAYYAR KARNA JAYEZ HAI

Hazrat Sahal bin Saad Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek aurat Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas ek buni hui haashiye daar chadar tohfa mein laayi, aapko us waqt chadar ki zaroorat thi aapne le li aur uska tahband banaya, ek Sahabi (Abdur Rahman bin Aouf) kehne lage kya umdah chadar hai aap mujhko de dijiye, aapne chadar unhey de di, loogo ne kaha k tumne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se chadar maang kar accha nahi kiya aapko khud zaroorat thi, Abdur Rahman kehne lage: Allah ki qasam mene pehan'ne k liye nahi maangi balke mein usko apna kafan banaunga, phir wo chadar unka kafan bani. (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1277)

MAYYAT KA GHUSAL

MAYYAT KA GHUSAL 



Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Ummey Ateeya Razi Allahu Anha ne kaha, hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki beti zainab ko nehla rahe they to aapne farmaya "Usko 3, 5 ya 7 baar pani aur bairi k patto se ghusal do aur aakhiri baar (pani mein) kuch kafoor bhi mila lo, aur ghusal se faraghat par mujhe ittela kar dena ghusal daayi taraf aaza e wuzu se shuru karo" (Ummey Ateeya kehti hai) humne (ghusal k baad) uske baalo ki teen chotiyo goondhi aur unko pichey daal diya. (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1258, Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 939)

Is hadees se maloom hua k aurat ko auratey hi ghusal degi.

Miya beewi ek doosre ko ghusal de sakte hai: Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se kaha k "Agar tum mujhse pehle mar gayi to mein tumhey ghusal dunga, kafan pehnaunga aur tum par namaz e janazah padhunga aur tumhey dafan karunga". (Ibne Maja Kitabul Jana'iz Hadees no. 1465)

Yaad rahe k ghusal e mayyat ka bhi taqreeban ghusal janabat wala hai albatta ghusal k doraan mayyat ka bahut khayal rakhna chahiye, tafseel darj zail hai:

1. Wafaat k foran baad mayyat ka muh aur aankhey band ki jaye, baazu, taangey aur hath paon ki ungliya bhi seedhi kardi jaye neez qamees aur banyaan wagairah utaar kar chadar se mayyat ka badan dhaanp diya jaye, mayyat k baazu, galey, ya pindli mein koi taweez dhaaga ya kada wagairah ho to use utaar de.
2. Paani aur bairi k pattey ubaal liye jaaye phir neem garam pani istemaal kiya jaye lakdi ka takhta aesi jagah rakkha jaye jaha pani ka nikaas, aur gandagi ko thikaane lagaana aasaan ho, mayyat ko us takhte par lita liya jaye, naaf se ghutno tak ki jagah kapde se dhaanp di jaye aur doraan e ghusal, siwa e majboori k mayyat ki sharm-gaah par nazar pade aur na hi kapde k bagair usey hath lagaaye.
3. Agar jism zakhmi hua aur us par pattiya bandhi hui ho to ehtiyaat se pattiya khool kar ruyi aur neem garam pani se aahista aahista zakham dhoye jaye, har kaam ki ibteda daayi taraf se kare siwa e iske k sirf baayi janib tawajjoh ki mustahiq ho.
4. Naaf ki janib se mayyat ka pait 2 ya 3 dafa dabaya jaye (takey andar ki gandagi imkaani hadd tak kharij ho jaye) phir baaye hath par kapde ka dastana wagairah (jo kafan k saath banaya jata hai) pehan kar pehle mitti k teen dhailo aur phir paani se uska istanja kare, agar zair e naaf baalo ki safaayi baaqi ho to karli jaye.
5. Naak, daant, muh ka khayal aur kaano mein acchi tarah geeli rooyi phair kar unki alag se safaayi karli jaye takey baad mein wuzu k doran teen dafa se ziyadah na dhona pade.
6. Bismillah padh kar mayyat ko masnoon wuzu karaya jaye (sar ka masah aur pao rehne de)teen dafa acchi tarah sar dhooye.
7. Hasb e zaroorat sabun istemaal karte hue poore jism ko teen ya paanch ya saat martaba acchi tarah dhooye, akhiri dafa nehlaate waqt paani mein kuch kafoor mila le, sabse aakhir mein pao dhooye. (Muhammad Abdul Bazzar Afi Allahu Anhu)