Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Sunday 21 February 2016

MAYYAT PAR ROONA

MAYYAT PAR ROONA



Bismillahirrahmanirraheem

Agar mayyat ko dekh kar roona aaye aur aansu jaari ho to mana nahi, is liye k ye be-ikhtiyaar rona hai jo jayez hai, Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam Saad bin Ubada ki behoshi par rooye Sahaba bhi aapko dekh kar rooye pas aapne farmaya suno "Allah t'ala aankh k roone aur dil k pareshan hone ki wajah se azaab nahi karta balke zuban (k chalane aur wa waila karne) se azaab karta hai. (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1304, Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 924)
Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya (Allah k han) wo sabr motabar hai jo sadmey k shuru mein ho. (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1302, Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 926)
Yaani ba baila aur bain karne k baad sabr karna, sabr nahi hai, asal sabr ye hai k museebat k waqt tasleem wa raza ka muzahirah kiya jaye aur izhaar e gham k fitri tareeqey k alawah aur kuch na kiya jaye.
Hazrat Abdullh bin Mas'ood Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Wo hum mein se nahi hai jo rukhsar peetey, girebaan phaade aur jahiliyat ki pukar pukaare"(yaani nooha aur wa baila kare). (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1294, Sahih Muslim Kitabul Emaan Hadees no. 103)
Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mein bezaar hu us se jo (mayyat ki museebat mein) sar k baal nochey aur chilla kar rooye aur apne kapde phaade". (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1296, Sahih Muslim Kitabul Emaan Hadees no. 104)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Allah ta'ala farmata hai "Mere (us) momin bande k liye bahisht hai jiske piyaare ko mein ahle dunya se qabz karta hu aur wo (uski maut par) sabr karta hai". (Sahih Bukhari Kitabur Riqaaq Hadees no. 6424)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jahiliyat k chaar kaam aese hai jinhey meri ummat k loog bhi karengey:
1. (Apne) hasb par fakhar karna
2. (Doosre k) nasb par taan karna
3. Sitaaro k zariye paani talab karna
4. Nooha karna, (aur ye bhi farmaya) "Agar nooha karne wali aurat marne se pehle tauba na kare to qayamat k din us par gandhak ka kurta aur kharish ki oudhni hogi". (Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 934)
Ahle Jahiliyat ka aqeedah tha k sitaaro ki naqal wa harkat aur tulu wa ghuroob ka barish aur daigar zameeni waqiyaat wa hawadas k saath gehra talluq hai aaj kal ilm e nujoom bhi inhi shirkiya khurafaat se ibarat hai, Allah ta'ala mehfooz rakkhey. (Aameen)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k baite Ibraheem jab halat e naza mein they to aapne usey uthaya aur farmaya "Aankh aansu baha rahi hai aur dil ghamgeen hai magar uske ba-wajood hum kuch nahi kahenge siwa e us (baat) k jis se hamara rabb raazi ho, aur Allah ki qasam ae Ibraheem! hum teri judaayi k sabab ghamgeen hai". (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1303, Sahih Muslim Kitabul Fazail Hadees no. 2315)
Maloom hua k Allah ta'ala mehboob ki muhabbat mein aa kar apne faisle nahi badalta balke jo chahta hai so karta hai, wo kisi ki taaqat se mar'oob hota hai na kisi ki muhabbat se maghloob, gafoor ur raheem hai tu har ek k liye aur agar be-niyaaz hai to sabke liye.
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka nawasa faut hua to aapki aankho se aansu jaari ho gaye, Hazrat Saad bin Ubada Razi Allahu Anhu ne arz ki ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! ye kya hai? aapne farmaya "Ye wo rahmat hai jo Allah ne apne bando k dilo mein paida ki hai aur Allah apne bando mein se rahmat karne walo par hi rahmat karta hai". (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1284, Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 923)
Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis aurat k teen bacchey mar jaaye aur wo Allah ki raza-mandi ki khatir sabr kare to wo jahannam ki aag se aadh banenge ek aurat ne pucha agar do bacchey mar jaye to? aapne farmaya "do bacchey bhi" Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k us se muraad wo bacchey hai jo abhi baligh na hue ho". (Sahih Bukhari Kitabul Ilm Hadees no. 101, Sahih Muslim Kitabur Birr wa silah Hadees no. 2633, 2634)
Ek riwayat mein hai k wo apne maa baap se milenge phir unka kapda ya haath pakdenge aur unko na choodenge yaha tak k Allah unko aur unke baapo ko jannat mein dakhil kar dega. (Sahih Muslim Kitabur Birr wa Silah Hadees no. 2635)
Ek aur riwayat mein hai k Allah ta'ala un baccho par (apni) rahmat aur fazal k sabab us shaks ko (yaani unke walid ko) jannat mein dakhil karega. (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1248) ba-shart k walid ka aqeedah durust ho.
ACHANAK MAUT
Hazrat Ubaid bin Khalid Salmi Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Achanak maut (kafir k liye) Allah ta'ala ki ghazab ki pakad hai". (Abu Dawood Kitabul Jana'iz Hadees no. 311, Musnad Ahmad 4:219)
MAUT K WAQT PAISHANI PAR PASEENA
Hazrat Bureedah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Maut k waqt momin ki paishani par paseena aa jata hai". (Tirmizi Kitabul Jana'iz Hadees no. 982, Imam Tirmizi ne ise hasan kaha)
JIS GHAR MEIN WAFAAT HO UNKE HAN KHANA PAKA KAR BHEJNA
Hazrat Abdullah bin Jafar Razi Allahu Anhu farmate hai k jab Hazrat Jafar Razi Allahu Anhu ki wafaat ki khabar aayi to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Aale jafar k liye khana tayyar karo un loogo par aesi museebat aayi hai jis mein wo khana nahi paka sakengey". (Abu Dawood Kitabul Jana'iz Hadees no. 3132, Ibne Maja Hadees no. 1610)
Kitni buri aur na-munasib baat hai k baaz ahle mayyat doosro k liye khane ka intazaam karte hai.
TAZIYAT K MASNOON ALFAAZ
"INNA LILLAHI MA AKKHARA WA LAHU MA AATAA WA KULLU SHAI'IN INDAHU BI AJALIN MUSAMMAN FAL TASBIR WAL TAHTASIB"
"Yaqeenan Allah ka (maal) hai jo usne le liya aur usi ka hai jo usne de rakkha hai uske han har cheez (k fana hone) ka waqt muqarrar hai (lihaza) sabr karke uska ajr o sawab hasil karo". (Sahih Bukhari Hadees no. 1284, Sahih Muslim Hadees no. 923)

No comments:

Post a Comment