RIYAKAARI SHIRK HAI IS SE BACHNE KI DUA
Bismillahirrahmanirraheem
Abu saeed khudri Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: kya mai tumhe wo baat na batau jis ka mujhe tum par maseeh dajjal se bhi zayada khauf hai, Sahaba RA ne arz kiya kyu nhi Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam to aapne farmaya: wo shirk khafi hai k koi shaks namaz k liye khada ho aur apni namaaz ko mehaz is liye bana sawaar kar padhey (yani dikhawe k liye lambi lambi namaz padhey) k koi use dekh raha hai. (Musnad Ahmad, Sunan Ibne Maja)
Mazeed ek riwayat mai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: tumhare baare mai mujhe sab se zayada dar shirk e asgar ka hai, pucha gaya k shirk e asgar kya hai? to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Riya Kari. (Musnad Ahmad)
Ek taweel hadees ka khulasa kuch yuh hai k qayamat wale din sab se pehle 3 ashkhaas ka faisla kiya jayega, ek sakhi, dusra mujahid, teera aalim qaari, Allah un se puchega tumne ya amal kyu kiya tha to wo bade khushnuma andaaze se maksad raza e ilahi bayan karenge, Allah farmayega tum jhoot bolte ho, aur unhe jahannam mai daal diya jayega, is hadees k raawi Abu Huraira Razi Allahu Anhu is hadees ko sunate waqt khauf se behoosh ho jaya karte they.
ALLAHUMMA TAHHIRU QALBI MINAN NIFAAQI WA AMALI MINAR RIYA.
Ae Allah mere dil ko nifaaq se paak karde aur mere amal ko riya kaari se khalis karde.
BADFAALI SHIRK HAI IS SE BACHNE KI DUA
Bismillahirrahmanirraheem
Rasoolo ne kaha: tumhari nahusat tumhare sath hai, tumhe nasihat ki gayi is liye, balke tum hadd se tajawuz kar gaye ho. (Surah Yaseen surah no. 36 ayat no. 19)
Fazal bin abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: badshgooni wo hai jo tujhe kisi kaam k kane par aamaadah kare ya rook de. (Musnad Ahmad)
Abu Huraira Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: koi bimaari muta'adi nahi, na badfaali aur badshgooni ki koi haqeeqat hai aur na maah e safar manhoos hai. (Sahih Bukhari)
Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: jo shaks apne kisi kaam se badfaali ki bina par ruka to usne shirk kiya, Sahaba Razi Allahu Alaihim Ajmaeen ne arz kiya k uska kaffara kya hai? aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya uska Kaffara ye dua hai:
"ALLAHUMMA LA KHAIRA ILLA KHAIRUKA WALA TAIRA ILLA TAIRUKA WALAA ILAHA GAIRUK". (Musnad Ahmad)
"Ya Allah teri bhalayi k alwa koi bhalayi nhi aur tere shagoon k alwa koi shagoon nhi aur tere siwa koi mabood nhi".
Hamare muashare mai bhi ye baat zubaan dar aam hai k kawwa bola tha lihaza mehmaan ayenge.
Dukaan par pehla grahak accha nhi aya to din hi accha nahi guzrega.
Kali billi raasta kaat gayi hai lihaza safar par na jao.
wagaira wagaira to in sab se bachna chahiye. Allah hamari hifazat farmaye. (Aameen Ya Rabbal Alameen)
MUKHTAAR E KUL KAUN?
Bismillahirrahmanirraheem
ALLAH TA'ALA KE BARG'ZEEDAH BANDO KI TALIMAAT KI ROSHNI MAI:
HAZRAT E IBRAHEEM ALAIHIS SALAAM KI ALLAH K AAGEY BEBASI
Han ibraheem AS ne apne baap se ye zarur kaha tha k mai aapke liye magfirat maangu'ga aur Allah k saamne aap k baare kuch ikhtiyaar nahi rakhta. (Surah Mumtahnah surah no. 60 ayat no. 4)
HAZRAT E YAQOOB ALAIHIS SALAAM NAFA WA NUKSAAN KE MALIK NAHI
Yaqoob AS k bete jab misr jaane lage to unhone socha k 10 jawaan bete hai jab shehar mai ikatthey dakhil honge to nazar bad ka shikaar ho sakte hai, lihaaza unhone apne beto se kaha k ek hi darwaze se dakhil na hona, balke alag alag dakhil hona aur saath ye bhi keh diya k ye faqat ek tadbeer hi hai warna:
Aur mai Allah k alawa tumhe kuch bhi kifayat nhi kar sakta, hukm to sirf Allah ka hai, mera bhi isi par bharosa hai, aur har bharosa karne wale ko usi par bharosa karna chahiye. (Surah Yousuf surah no. 12 ayat no. 67)
Yaqoob AS ka jab chand sa beta bhaiyo k hasad ka shikaar ho gaya, beto k jhoot ne kamar jhuka k rakh di, khud kahat ka shikaar ho gaye aur anaaj k husool k doraan dusra beta bhi juda ho gaya to sabr e jameel k us pahaad k puraane zakham phir taza ho gaye, gam wa aalam se aankhey safaid ho chuki thi, jab yusuf haye yusuf kehte ek taraf ko hue to beto ne kaha: Abba jaan is taweel muddat baat ko bhool jaiye, isi tarah karte rahe to bimaar ho jayenge ya jaan hi se haath dho bethoge to farmaane lage:
Mai to apni pareshaniyo ka aur ranj wa gam ki faryaad Allah se karta hu. (Surah Yousuf surah no. 12 ayat no. 86)
phir kaha: beto jao aur yousuf aur uske bhai ko talaash karo aur Allah ki rehmat se mayoos na hona, Allah ki rehmat se to kafir loog hi mayoos hote hai.
HAZRAT E NOOH ALAIHIS SALAAM NA GANJ BAKSH THEY NA GHAIB PAR KUDRAT RAKHNE WALE THEY
(Nooh AS ne kaha) mai na tum se ye kehta hu k mere paas Allah k khazane hai aur na ye k mai ghaib jaanta hu aur na ye kehta hu k mai farishta hu. (Surah Hood surah no. 11 ayat no. 31)
HAZRAT E MUSA ALAIHIS SALAAM KA DAATA KAUN?
Musa AS mudeen k paani k mukaam par pahunche to dekha k loog apni bakriyo ko paani pila rahe hai, lekin 2 aurate haya ki wajah se door khadi hai, to Musa AS ne unki bakriyo ko paani pilaya:
To Musa AS ne unki bakriyo ko paani pila diya, phir saaye ki taraf chal diye aur kehne lage k parwardigaar mai mohtaaj hu us nemat ka jo tu mujhe inayat kare. (Surah Qasas surah no. 28 ayat no. 24)
Musa AS ne apni kaum se ye bhi kaha: Musa AS ne kaha k ae meri kaum! agar tum Allah par emaan rakhte ho to usi par tawakkul karo agar tum farmabardaar ho. (Surah Younus surah no. 10 ayat no. 84)
Kisi nabi k ikhtiyaar mai na tha k Allah k hukm k bagair koi nishaani (mojza) laate. (Surah Mominoon surah no. 40 ayat no. 78)
AELAAN E HAZRAT E HOOD ALAIHIS SALAAM
Rabb k pegambar Hood AS ne apni kaum se kaha k loogo apne gunaho se tauba karo aur maafi mango takey Allah ta'ala barsane wale baadal tum par bhej de aur tumhari taakat aur quwwat badhaye is liye tum muh pher kar mujrim na bano, us par qaum ne kaha: hum teri baat ko manne wale nahi balke hum to yahi kahenge k tu hamare kisi mabood k bade jhapte mai a gaya, pegambar ne kaha: mai Allah ko gawah banata hu aur tum bhi gawah raho k mai un tamaam shirko se bezaar hu, han agar kuch kar sakte ho to kar guzro aur mujhe koi mohlat bhi na do phir farmaya:
Mera bharosa ek Allah par hai, jo mera aur tum sab ka paalne wala hai, jitne bhi jaandaar hai un sabki peshani wahi thamey hue hai, yaqeenan mera rabb bilkul sahih raah par hai. (Surah Hood surah no. 11 ayat no. 56)
Phir aagey farmaya: Beshak mera parwardigaar har cheez par nigehbaan hai. (Surah Hood surah no. 11 ayat no. 57)
HAZRAT E SHUAIB ALAIHIS SALAAM KA PEHLA AUR AKHRI SAHARA
Meri tofeeq Allah hi ki madad se hai, mera usi par bharosa hai aur usi ki taraf laut kar jana hai. (Surah Hood surah no. 11 ayat no. 88)
Aagey chal kar aapne farmaya k tum apne rabb se maafi mango aur usi ki taraf jhuk jao, yaqeen mano k mera rabb badi meharbaani wala aur muhabbat karne wala hai.
DUNYA WA AKIRAT MAI HAZRAT E YOUSUF ALAIHIS SALAAM KA KAARSAAZ
Ae mere parwardigaar tune mujhe mulk ata kar diya aur mujhe khuwabo ki tabeer ka ilm bakhsaha, Ae aasmano aur zameen k paida karne wale tu hi dunya wa akhirat mai mera kaarsaaz hai. (Surah Yousuf surah no. 12 ayat no. 101)
HAZRAT E ESA ALAIHIS SALAAM AUR MARYAM ALAIHIS SALAAM KI ALLAH WAHID WA KAHHAAR K AAGEY LACHAARI
Yaqeenan wo loog kafir hai jo kehte hai k maseeh ibne maryam AS hi Allah hai, Ae pegambar AS unse puchiye k agar Allah maseeh ibne maryam AS ko halaak kar dena chahe to kisi ki muhaal hai k wo Allah ko uske iraade se rook le aur jo kuch aasmano aur zameen mai hai aur jo unke darmiyaan hai sab Allah hi ka hai, wo jo kuch chahta hai paida karta hai. (Surah Ma'idah surah no. 5 ayat no. 17)
HAZRAT E AYYOOB ALAIHIS SALAAM KA MUSHKIL KUSHA KAUN?
Aur ayyoob AS ko yaad karo jab usne apne parwardigaar ko pukaara k mujhe takleef ne ghair rakha hai to tu sab se badhkar reham karne wala hai, tu hum ne uski dua kabool karli aur unki takleef ko door kar diya aur unko ahlo ayaal ata farmaye balke uske barabar aur bhi apni khaas meharbaani se diye takey ibadat guzaaro k liye nasihat ho. (Surah Anbiya surah no. 21 ayat no. 83)
HAZRAT E ZAKRIYA ALAIHIS SALAAM KO HAZRAT E YAHYA ALAIHIS SALAAM AUR HAZRAT E IBRAHEEM ALAIHIS SALAAM KO HAZRAT E ISMAEEL ALAIHIS SALAAM KISNE ATA KIYE?
Aur zakriya AS ko yaad karo jab unhone apne rabb ko pukara k parwardigaar tu mujhe akela na chood aur tu sab se behtar waris hai, tu humne unki pukaar qabool ki aur unko yahya AS bakhshey aur unki biwi ko aulaad k kabil banaya. (Surah Anbiya surah no. 21 ayat no. 89 aur 90)
Ibraheem AS ne kaha: Ae parwardigaar mujhe aulaad ata farma jo s'aadat mando mai se ho tu humne unko ek naram dil ladke ki khushkhabri di. (Surah Saffat surah no. 37 ayat no. 100 aur 101)
HAZRAT E NOOH ALAIHIS SALAAM KA BAIDA KISNE PAAR LAGAYA
Aur nooh AS ka kissa bhi yaad karo jab unhone hum ko pukara to humne unki dua ko kabool kiya unko aur unke saathiyo ko ek badi gehraahath se nijaat di. (Surah Anbiya surah no. 21 ayat no. 76)
HAZRAT E YOUNUS ALAIHIS SALAAM KO GAM SE NIJAAT KO BAKHTA HAI?
Ae pegambar apne rabb k liye sabr kiye raho aur machli ka lukma ban'ne wale younus As ki tarah na hona k unhone pukara to gusse mai phire hue they, agar tumhare parwardigaar ki meharbaani unki yawari na karti to wo chatyal medaan mai daal diye jate aur unka haal battar ho jata. (Surah Qalam surah no. 68 ayat no. 48 aur 49)
Mandarja bala Anbiya Alaihis Salaam ki pukaar ye batla rahi hai k zishaan hastiyo ne apni har mushkil mai Allah se faryaad ki, to kya jab hum par koi mushkil ghadi ayegi to hamara data, dastgeer, ghaib nawaaz, banda parwar, hajat rawa koi aur banega, nhi hargiz nhi, balke hamara bhi data wa dastgeer wahi hai jo sadiyo se razzaq, khaliq, wahhab, muqeet, haseeb, gafoor aur wadood chala a raha hai, wahi Allah jo Hazrat e Aadam Alaihis Salaam se le kar Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam tak tamaam bargazeedah bando aur unke sathiyo ki madad karta raha hai, parwardigaar jiske sahare imamum muballigeen Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne makka wa tayif ke gali kucho mai Allah ka pegaam sunaya tha k: QULU LA ILAHA ILLALLAHU TUFLIHU TAMLIKUL ARABA WA AJAM. LA ILAHA ILLALLAH keh do kaamyaab ho jaoge aur arab wa ajam k malik ban jaoge.
Phir dunya walo ne dekha jo kafila muhammad e arbi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki qayadat mai chala tha wo khebar wa ahzaab ka raahi ban kar 10 hazaar k lashkar jaraar ki surat mai waadi e makka mai ja pahuncha to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k mubarak alfaaz ye they.
Allah k alawa koi ibadat k layak nahi, wo akela hai, uska koi shareek nahi, usi k liye baadshahat hai aur usi k liye hamd hai aur wo har cheez par qadir hai, Allah k alawa wo koi ibadat k layak nahi hai wo akela hai usne apna ahad pura kiya aur apne bande ki madad ki aur us akele ne lashkaro ko shikast di. (Sahih Muslim Hadees no. 888)
Phir yahi qafila pure jaziratul arab ka malik ban gaya phir ajam bhi sarnigah ho gaye aur yu Allah k nabi k jo safa ki chooti par akele baat ki thi puri ho gayi.
wahi gaus aur wahi faryaad sun'ne wala jiske sahare imam e mujahideen apne mutthi bhar sathiyo k saath badr k medan mai Allah k baagi aur nafarmaano se takra jate hai, aur sajdeh mai sar rakh kar apne malik se munajaat karte hai, to malik apne gaus hone ka elaan yu farmaata hai.
Jab tum us se faryaad kar rahe they to usne tumhari faryaad ko kabool kiya aur tumhari madad ko kataar dar kataar farishte bheje.
Wahi data wa dastgeer jis se abu bakr, Umar wa usman wa ali RA sawaal kiya karte they, wahi rabbul alameen jo imam abu hanifa, imam shafi, imam malik, imam ahmad ibne hambal Rh ka mushkil kusha hai, Allah hi khaliq tha sheikh abdul qadir jilaani rh ka Allah hi razik tha usman bin ali al hajveri rh ka Allah hi madad gaar tha unka jinko 12 imamo se jaante hai Allah hi ne dastgeeri ki thi, khuwaja moinuddin chisti rh ki, sultan bahu rh ki, imam bari rh ki, miya meer rh aur shah abdul lateef rh ki, Allah k in bando ne raste se na wakif makhlooq ko sidha raasta dikha kar apni zimmedari ada ki thi, jo zaat sadiyo se jinn wa ins, charinda wa parinda, hashraat wa hewanaat aur shajar wa hajar ko paal rahi hai, kya wo zaat e aqdas aaj aajiz aa gayi hai k loog khud saakhta mushkil kushao ko banda parwari k liye pukaarna shuru kar de.
Allah ta'ala gumraho ko hidayat de. (Aaamen Ya Rabbal Alameen)
RASOOL ALLAH SAWS KO NOOR KEHNE WALE JO QURAN KI AYAT PAISH KARTE HAI US KA JAYEZA
Bismillahirrahmanirraheem
Beshak tumhare paas noor (rooshni) aur wazey kitab a chuki hai. (Surah Maida surah no. 5 ayat no. 15)
Ye noon aur kitab koi 2 alag cheez nhi balke quran hi k naam hai kyunki aagey wali aayat mai Allah kehte hai k YAHDI BIHILLAHU k Allah us se hidayat karta hai agar ye 2 alag cheezey hoti to Allah BIHI ki jagah tasniya ka sega BIHIMA istemaal karte, k Allah un dono k saath hidayat karta hai
Aur aksar muqaam par quran hi ko noor kaha hai aur dusri aasmani kitabo ko bhi noor kaha gaya hai:
1. Lekin is quran ko humne noor banaya hai is k zariye hum raah dikhaate hai. (Surah Shura surah no. 42 ayat no. 52)
2. Aur humne tumhari taraf noor e mubeen utaara. (Quran k talluq). (Surah Nisa surah no. 4 ayat no. 175)
3. Hum hi ne Toraat utari jis mai hidayat aur noor tha. (Toraat k talluq). (Surah Maida surah no. 5 ayat no. 46)
4. Aur humne Isa AS ko Injeel ata ki jis mai hidayat aur noor tha. (Injeel k talluq). (Surah An'aam surah no. 6 ayat no. 92)
Iske khilaaf tamaam ambiya AS ko har muqaam par bashar, abd aur jall hi kaha gaya hai, Nabi SAW ko manghadat riwayaat ki bina par noorullah kehna shirk fizz zaat hai kyunki is tarha nabi SAW ka juzz karar paate hai
5. Aur unhone hamare bando ko hamara juzz bana dala beshak insaan bada hi nashukra hai. (Surah Zukhruf surah no. 43 ayat no. 15)
6. Hazrat Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "tum mujhe Allah ka banda aur uska rasool hi kehna". (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim)
RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NOOR THEY YA BASHAR?
Bismillahirrahmanirraheem
Aaj ummat e muhammadiya mai ek tabka Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko bashar (insaan) na maante hue noor manta hai aur baatil dala'il paish karta hai aur unke aqeedeh k mutabik jo aap SAW ko noor na maane wo gustaakh e rasool hota hai, ab zara ye dekh lete hai k quran e kareem apne Rasool k baare mai kya keh raha hai:
1. Pegambaro ne unse kaha k hum tumhare hi jese bashar hai, lekin Allah apne bando mai se jise chahte hai (nabuwat ka) ahsaan kar deta hai aur hamare iktiyaar ki baat nhi k hum Allah k hukm k bagair tumhe koi mojzah dikhade, aur momino ko Allah hi par bharosa rakhna chahiye. (Surah Ibraheem surah no. 14 ayat no. 11)
2. Aur hamne aap se pehle mard hi pegambar bana kar bheje they jin ki taraf wahi bhejte they agar tum (loog) nahi jaante to ilm walo se puch lo aur humne unke jism aese nhi banaye they k khana na kha sake aur na wo hamesha rehne wale they. (Surah Ambiya surah no. 21 ayat no. 7 aur 8)
sab pegambar RIJAAL yani mard they us se ek baat to ye pata chali k koi aurat pegambar nhi guzri aur dusri baat ye k dajjal (wahid rijaal) sirf bashri makhlooq k liye hai ye lafz na noori makhlooq k liye hai aur na hi naari k liye balke ye insaano mai mazkar k liye istemaal hota hai, sab bashar khana bhi khate they kyunki khana khana to bashri takaza hai.
3. (Ae nabi saw) keh dijiye k mai tumhari tarha ka ek bashar hu (albatta fazilat ka mukaam ye hai k) meri taraf wahi aati hai k tumhara mabood ek hi hai to wo shaks apne parwardigaar se milne ki ummeed rakhta ho use chahiye k naik amal kare aur apne parwardigaar ki ibadat mai kisi ko shareek na banaye. (Surah Kahaf surah no. 18 ayat no. 110)
4. Keh dijiye k mera rabb paak hai aur mai to sirf paigaam pahunchane wala bashar hu. (Surah Bani Israeel surah no. 17 ayat no. 93)
5. Keh dijiye k mai bhi tumhari tarha ka bashar hu, albatta meri taraf wahi aati hai k tumhara mabood ek hi hai, to sidhey uski taraf mutawajje ho jao aur usi se magfirat mango aur mushriko k liye kharabi hai. (Surah Hameen Sajdah surah no. 41 ayat no. 6)
6. Aur ye loog yu kehte hai k inke paas koi faishta kyu nhi utara gaya aur agar hum koi farisha bhej dete to sara qissa hi khatam ho jata, phir inko zara mohlat na di jati, neez agar hum farishta bhejte to use mard ki surat mai bhejte aur jo shuba ab karte hai wahi phir karte. (Surah an'aam surah no. 6 ayat no. 8 aur 9)
7. Kaho k agar zameen mai farishte chalte phirte hote to hum aasman se kisi farishte ko rasool bana kar bhej dete. (Surah Bani Israeel surah no. 17 ayat no. 95)
8. Beshak Allah ne momino par ehsaan farmaya k unme ek rasool bheja jo unhi mai se hai wo unpar ayat e tilawat karta hai aur unka tazkira (nafs) karta hai aur unko kitab wa hikmat (hadees) ki taleem deta hai us se pehle to ye khuli gumraahi mai they. (Surah Ali'imran surah no. 3 ayat no. 164)
9. Kaho k mai tumse ye nhi kehta k mere paas Allah k khazaane hai aur na ye k mai ghaib jaanta hu aur na tum se ye kehta hu k mai koi farishta (noori makhlooq) hu, balke mai to wahi ka paband hu jo meri taraf aati hai. (Surah An'aam surah no. 6 ayat no. 50)
10. Aur ye kehte hai k ye pegambar kesa hai jo khana bhi khata hai aur baazaaro mai bhi chalta phirta hai aur uske saath koi farishta kyu na nazil hua jo hidayat karne ko uske saath rehta. (Surah Furqaan surah no. 25 ayat no. 7)
11. Aur humne aap se pehle jitne bhi pegambar bheje wo sab khana khate they aur baazaaro mai chalte phirte they aur humne tumhe ek dusre k liye zariya e aazma'ish banaya hai to kya tum sabar karoge aur tumhara rabb to dekh raha hai. (Surah Furqaan surah no. 25 ayat no. 20)
12. Wahi faishto ko pegaam dekar apne hukm se apne bando mai se jis k paas chahta hai bhej deta hai k loogo ko batado k mere siwa koi mabood nhi lihaza mujh hi se daro. (Surah Nahal surah no. 16 ayat no. 2)
13. Aur tum aur kuch nhi hum hi jese aadmi ho aur hamara khayal hai k tum jhoote ho. (Surah Shuara surah no. 26 ayat no. 186)
14. Aur jab loogo k paas hidayat a gayi to unko emaan lane se uske siwa koi cheez mana na hui k kehne lage k kya Allah ne aadmi ko pegambar bana kar bheja. (Surah Bani Israeel surah no. 17 ayat no. 94)
15. Tu unki kaum k sardaar jo kafir they kehne lage k ye to tum hi jesa aadmi hai tum par badayi hasil karni chahta hai aur agar Allah chahta to farishta utaar deta, hum ne apne agle baap dada mai to ye baat kabhi suni nhi thi, Is aadmi ko to dewanagi hai to is k bare mai kuch muddat intezaar karo. (Surah Mominoon surah no. 23 ayat no. 24 aur 25)
16. Aur agar tumne apne hi jese aadmi ka kaha maan liye to tum ghaate mai pad gaye. (Surah Mominoon surah no. 23 ayat no. 34)
Quran majeed mai aur bahut se muqaam par Aap SAW ko abd kaha gaya hai aur abd k mana banda bashar hai iski daleel surah bani israeel ayat no. 1 aur surah kahaf ayat no. 1 mai hai, neez aap SAW par gam aur raahat dono aate they jo ek bashri khasusiyaat hai daleel surah tauba ayat no. 129, aap SAW ka saaya bhi tha kyunki surah ra'ad ayat no. 15 mai Allah ne farmaya: zameen wa aasman mai jo kuch bhi hai wo aur unke saaye subah wa shaam Allah ki tasbeeh karte hai aur Aap k saaya ki wazahat ahadees e shareefa mai bhi ayi hai.
17. Humne Nabi Aadam ko izzat wa buzurgi ata ki. (Surah Bani Israeel surah no. 17 ayat no. 70)
Bashar Ashraful makhluqaat hai, bashar jesi feham wa farasat kisi aur makhlooq mai nhi hai bashar ko tamaam farishte khaas kar jibaeel AS sajdah kar chuke hai, Bashar ko Allah ta'ala ne apne haath se bana kar paida kiya jabke baaki makhlooq ko KUN keh kar wajood baksha, Bashar se khud ko afzal kehne wala qayamat tak mardood hai bashar hi ko aasmano ki sair karayi gayi bashar k mutalliq Allah ka qaul ye hai k: Humne insaan ko bahut acchi surat mai paida kiya hai. (Surah At'teen surah no. 95 ayat no. 4)
in tamaam ayato se ye maloom hua k Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam noor nahi bashar they.
MERE LIYE ALLAH HI KAAFI HAI
Bismillahirrahmanirraheem
1. Kehdijiye mere liye Allah hi kaafi hai. (Surah Tauba surah no. 9 ayat no. 129)
2. Kya Allah apne bande k liye kaafi nhi hai. (Surah Zumar surah no. 39 ayat no. 36)
3. Tumhara parwardigaar hi kaarsaaz kaafi hai. (Surah Bani Israeel surah no. 17 ayat no. 65)
4. Tum kuch bhi nhi chah sakte magar wahi jo Allah rabbul aalameen chahey. (Surah Takvir surah no. 81 ayat no. 29)
5. Aur Allah hi kaarsaaz kafi hai aur madad k liye bhi Allah hi kafi hai. (Surah Nisa surah no. 4 ayat no. 45)
6. Aap tawakkul (bharosa) kijiye galib wa meharbaan par. (Surah Shu'ara surah no. 26 ayat no. 217)
7. Kehdijiye k mujhe Allah hi kaafi hai ahle tawakkul ko isi par tawakkul karna chahiye. (Surah Zumar surah no. 39 ayat no. 38)
8. Aur Allah hi momino ka kaarsaaz hai. (Surah Ali'imran surah no. 3 ayat no. 68)
9. Aur Allah hi par bharosa rakho, wahi kaarsaaz kafi hai. (Surah Ahzaab surah no. 33 ayat no. 3)
10. Allah k siwa koi ibadat k layak nahi hai, to momino ko sirf usi par bharosa rakhna chahiye. (Surah Tagabun surah no. 64 ayat no. 13)
11. Wahi mashrik wa magrib ka malik hai, uske siwa koi ibdat k layak nhi, to usi ko kaarsaaz banao. (Surah Muzzammil surah no. 73 ayat no. 9)
12. Pas aap Allah par bharosa kijiye, beshak aap wayez sacchayi par ho. (Surah Namal surah no. 27 ayat no. 79)
13. Aur har momin ko Allah hi par bharosa karna chahiye. (Surah Ibraheem surah no. 14 ayat no. 11)
14. Aur tumhe jo kuch diya gaya hai wo dunya ki zindagi ka faida hai aur jo Allah k paas hai wo behtar aur qayam hai aur wo unke liye hai jo sirf apne rabb par bharosa rakhte hai. (Surah Shora surah no. 42 ayat no. 36)
15. Aur jo koi Allah par bharosa karega to Allah usko kaafi hoga. (Surah Talaaq surah no. 65 ayat no. 3)
16. Aur har tawakkul karne wale ko Allah par hi tawakkul karna chahiye. (Surah Ibraheem surah no. 14 ayat no. 12)
17. Ae nabi (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Allah aapko kaafi hai aur unko bhi jo aapke pairwa hue hai. (Surah Anfaal surah no. 8 ayat no. 64)
18. Tawakkul kijiye us zaat par jis ko mout nhi uski tareef k sath paakizagi karte rahiye wo apne bando k gunaho se aagah hai. (Surah Furqaan surah no. 25 ayat no. 58)
19. Balke tumhare mola to Allah hai aur wo behtareen madad karne wala hai. (Surah Ali'imran surah no. 3 ayat no. 159)
20. Aur agar tum muh feir lo to jaan lo k tumhara mola to Allah hai behtareen dost aur behtareen madadgaar. (Surah Anfaal surah no. 8 ayat no. 40)
MAAH E RAJAB KI BIDA'AATE (RAJAB K KUNDEY) PART 6 FINAL
Bismillahirrahmanirraheem
RAJAB K KUNDEY
Bahut se loog is mahine mai imam jafar saadiq k naam k kundey bharte hai aur is ko sabit karne k liye ek jhooti kahani ka sahara lete hai jis ka ma hasal ye hai k madina munawwara mai ek gareeb lakkadhare ki biwi ne jo wazeer k ghar jhaadu deti thi ek din mehal k darwaze k paas imam jafar bin muhammad ko apne sathiyo se farmate hue suna k jo shaks aaj 22 rajab ko naha dho kar mere naam k kundey bhare, phir Allah se jo bhi dua mange kubool hogi warna qayamat k din wo meri girebaar pakad le, chunanche us lakkadhaaran ne aesa hi kiya aur us ka shohar bahut sa maal le kar wapas loota aur ek shandaar mehal tameer karke rehne laga aur wazeer ki biwi ne kundey ki haqeeqat tasleem karne se inkaaar kar diya to uske shohar ki wazarat chali gayi phir jab usne tauba ki aur kundey ki haqeeqat ko tasleem kar liya to uski wazra’rat bahaal ho gayi, uske baad badshah aur uski qaum k loog har saal dhoom dhaam se kunday manane lage.
Is farzi kahani ko agar sharayi hesiyat se dekha jaye to pata chalta hai k is mai ek shirkiya amal ki dawat di gayi hai kyunki usmai Gair Allah (Imam jafar saadiq) k naam ki nazar wa niyaaz di jati hai aur Gair Allah k naam ki nazar wa niyaaz karna shirk hai is liye k nazar manna ibadat hai aur ibadat sirf Allah ta'ala k liye makhsoos hai ise kisi dusre k liye anjaam dena Allah ta'ala k saath shirk hai lihaza kisi nabi, wali, buzurg, peer wagaira k liye nazar manna shirk hai aur wo nazar batil hai usko pura karna jayez nhi hai, Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: "jo shaks ye nazar maane k wo Allah ta'al ki ita'at karega use chahiye k apni nazar puri kar k Allah ki ita'at kare, aur jo shaks Allah ta'ala ki nafarmani ki nazar maane to use chahiye k Allah ki nafarmani na kare yani apni nazar puri na kare." (Sahih Bukhari)
Isi tarha is kahani k andar 22 rajab ko kundey karne ki baat kahi gayi hai jis ka imam jafar saadiq k yaum e pedaish ya wafaat se koi talluq nhi hai kyunki rajab k mahine mai na unki pedaish hue hai aur na wafaat, neez madina k andar jis wazarat aur badshahat ka zikr kiya gaya hai to tareekh mai uska koi zikr nahi milta, balke imam jafar sadiq k door e hayaat mai musalmano ka darul khalifa ya to damishk mai raha hai ya bagdaad mai, galiban ye shirkiya rasm degar rasoom ki tarah shiyo se sunniyo k yaha a gayi hai, jo haqeeqat mai jalilul qadr sahabi hazrat e Muaviyah Razi Allahu Anhu k yaum e wafaat (22 rajab) par khushi manate hai lekin is par parda daalne k liye lakkadhaare ka afsaana taraash liya hai.
Isi tarha rajab k kundey bharne wale us dauraan Allah ta'ala ki halaal kardah cheez goosht aur machli khane se parhaiz karte hai, jo Allah ta'ala k is farman k khilaaf warzi hai: (YAA AYYUHAL LAZEENA AAMANU LA TUHARRIMU TAYYIBAATI MA AHAL LALLAHU LAKUM) Ae emaan walo Allah ta'ala ne jo pakeeza cheezey tumhare waaste halal ki hai unko haraam mat karo. (Surah maida surah no. 5 ayat no. 87)
Allah ta'ala hamari is bida'at se hifazat farmaye aur jo hamare bhai is bida'at mai mubtala hai Allah ta'ala unhe hidayat de (Aameen Ya Rabbal Alameen)