Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday 16 May 2014

MUKHTAAR E KUL KAUN?

MUKHTAAR E KUL KAUN?



Bismillahirrahmanirraheem

ALLAH TA'ALA KE BARG'ZEEDAH BANDO KI TALIMAAT KI ROSHNI MAI:

HAZRAT E IBRAHEEM ALAIHIS SALAAM KI ALLAH K AAGEY BEBASI
Han ibraheem AS ne apne baap se ye zarur kaha tha k mai aapke liye magfirat maangu'ga aur Allah k saamne aap k baare kuch ikhtiyaar nahi rakhta. (Surah Mumtahnah surah no. 60 ayat no. 4)

HAZRAT E YAQOOB ALAIHIS SALAAM NAFA WA NUKSAAN KE MALIK NAHI
Yaqoob AS k bete jab misr jaane lage to unhone socha k 10 jawaan bete hai jab shehar mai ikatthey dakhil honge to nazar bad ka shikaar ho sakte hai, lihaaza unhone apne beto se kaha k ek hi darwaze se dakhil na hona, balke alag alag dakhil hona aur saath ye bhi keh diya k ye faqat ek tadbeer hi hai warna:
Aur mai Allah k alawa tumhe kuch bhi kifayat nhi kar sakta, hukm to sirf Allah ka hai, mera bhi isi par bharosa hai, aur har bharosa karne wale ko usi par bharosa karna chahiye. (Surah Yousuf surah no. 12 ayat no. 67)
Yaqoob AS ka jab chand sa beta bhaiyo k hasad ka shikaar ho gaya, beto k jhoot ne kamar jhuka k rakh di, khud kahat ka shikaar ho gaye aur anaaj k husool k doraan dusra beta bhi juda ho gaya to sabr e jameel k us pahaad k puraane zakham phir taza ho gaye, gam wa aalam se aankhey safaid ho chuki thi, jab yusuf haye yusuf kehte ek taraf ko hue to beto ne kaha: Abba jaan is taweel muddat baat ko bhool jaiye, isi tarah karte rahe to bimaar ho jayenge ya jaan hi se haath dho bethoge to farmaane lage:
Mai to apni pareshaniyo ka aur ranj wa gam ki faryaad Allah se karta hu. (Surah Yousuf surah no. 12 ayat no. 86)
phir kaha: beto jao aur yousuf aur uske bhai ko talaash karo aur Allah ki rehmat se mayoos na hona, Allah ki rehmat se to kafir loog hi mayoos hote hai.

HAZRAT E NOOH ALAIHIS SALAAM NA GANJ BAKSH THEY NA GHAIB PAR KUDRAT RAKHNE WALE THEY
(Nooh AS ne kaha) mai na tum se ye kehta hu k mere paas Allah k khazane hai aur na ye k mai ghaib jaanta hu aur na ye kehta hu k mai farishta hu. (Surah Hood surah no. 11 ayat no. 31)

HAZRAT E MUSA ALAIHIS SALAAM KA DAATA KAUN?
Musa AS mudeen k paani k mukaam par pahunche to dekha k loog apni bakriyo ko paani pila rahe hai, lekin 2 aurate haya ki wajah se door khadi hai, to Musa AS ne unki bakriyo ko paani pilaya:
To Musa AS ne unki bakriyo ko paani pila diya, phir saaye ki taraf chal diye aur kehne lage k parwardigaar mai mohtaaj hu us nemat ka jo tu mujhe inayat kare. (Surah Qasas surah no. 28 ayat no. 24)
Musa AS ne apni kaum se ye bhi kaha: Musa AS ne kaha k ae meri kaum! agar tum Allah par emaan rakhte ho to usi par tawakkul karo agar tum farmabardaar ho. (Surah Younus surah no. 10 ayat no. 84)
Kisi nabi k ikhtiyaar mai na tha k Allah k hukm k bagair koi nishaani (mojza) laate. (Surah Mominoon surah no. 40 ayat no. 78)

AELAAN E HAZRAT E HOOD ALAIHIS SALAAM
Rabb k pegambar Hood AS ne apni kaum se kaha k loogo apne gunaho se tauba karo aur maafi mango takey Allah ta'ala barsane wale baadal tum par bhej de aur tumhari taakat aur quwwat badhaye is liye tum muh pher kar mujrim na bano, us par qaum ne kaha: hum teri baat ko manne wale nahi balke hum to yahi kahenge k tu hamare kisi mabood k bade jhapte mai a gaya, pegambar ne kaha: mai Allah ko gawah banata hu aur tum bhi gawah raho k mai un tamaam shirko se bezaar hu, han agar kuch kar sakte ho to kar guzro aur mujhe koi mohlat bhi na do phir farmaya:
Mera bharosa ek Allah par hai, jo mera aur tum sab ka paalne wala hai, jitne bhi jaandaar hai un sabki peshani wahi thamey hue hai, yaqeenan mera rabb bilkul sahih raah par hai. (Surah Hood surah no. 11 ayat no. 56)
Phir aagey farmaya: Beshak mera parwardigaar har cheez par nigehbaan hai. (Surah Hood surah no. 11 ayat no. 57)

HAZRAT E SHUAIB ALAIHIS SALAAM KA PEHLA AUR AKHRI SAHARA
Meri tofeeq Allah hi ki madad se hai, mera usi par bharosa hai aur usi ki taraf laut kar jana hai. (Surah Hood surah no. 11 ayat no. 88)
Aagey chal kar aapne farmaya k tum apne rabb se maafi mango aur usi ki taraf jhuk jao, yaqeen mano k mera rabb badi meharbaani wala aur muhabbat karne wala hai.

DUNYA WA AKIRAT MAI HAZRAT E YOUSUF ALAIHIS SALAAM KA KAARSAAZ
Ae mere parwardigaar tune mujhe mulk ata kar diya aur mujhe khuwabo ki tabeer ka ilm bakhsaha, Ae aasmano aur zameen k paida karne wale tu hi dunya wa akhirat mai mera kaarsaaz hai. (Surah Yousuf surah no. 12 ayat no. 101)

HAZRAT E ESA ALAIHIS SALAAM AUR MARYAM ALAIHIS SALAAM KI ALLAH WAHID WA KAHHAAR K AAGEY LACHAARI
Yaqeenan wo loog kafir hai jo kehte hai k maseeh ibne maryam AS hi Allah hai, Ae pegambar AS unse puchiye k agar Allah maseeh ibne maryam AS ko halaak kar dena chahe to kisi ki muhaal hai k wo Allah ko uske iraade se rook le aur jo kuch aasmano aur zameen mai hai aur jo unke darmiyaan hai sab Allah hi ka hai, wo jo kuch chahta hai paida karta hai. (Surah Ma'idah surah no. 5 ayat no. 17)

HAZRAT E AYYOOB ALAIHIS SALAAM KA MUSHKIL KUSHA KAUN?
Aur ayyoob AS ko yaad karo jab usne apne parwardigaar ko pukaara k mujhe takleef ne ghair rakha hai to tu sab se badhkar reham karne wala hai, tu hum ne uski dua kabool karli aur unki takleef ko door kar diya aur unko ahlo ayaal ata farmaye balke uske barabar aur bhi apni khaas meharbaani se diye takey ibadat guzaaro k liye nasihat ho. (Surah Anbiya surah no. 21 ayat no. 83)

HAZRAT E ZAKRIYA ALAIHIS SALAAM KO HAZRAT E YAHYA ALAIHIS SALAAM AUR HAZRAT E IBRAHEEM ALAIHIS SALAAM KO HAZRAT E ISMAEEL ALAIHIS SALAAM KISNE ATA KIYE?
Aur zakriya AS ko yaad karo jab unhone apne rabb ko pukara k parwardigaar tu mujhe akela na chood aur tu sab se behtar waris hai, tu humne unki pukaar qabool ki aur unko yahya AS bakhshey aur unki biwi ko aulaad k kabil banaya. (Surah Anbiya surah no. 21 ayat no. 89 aur 90)

Ibraheem AS ne kaha: Ae parwardigaar mujhe aulaad ata farma jo s'aadat mando mai se ho tu humne unko ek naram dil ladke ki khushkhabri di. (Surah Saffat surah no. 37 ayat no. 100 aur 101)

HAZRAT E NOOH ALAIHIS SALAAM KA BAIDA KISNE PAAR LAGAYA
Aur nooh AS ka kissa bhi yaad karo jab unhone hum ko pukara to humne unki dua ko kabool kiya unko aur unke saathiyo ko ek badi gehraahath se nijaat di. (Surah Anbiya surah no. 21 ayat no. 76)

HAZRAT E YOUNUS ALAIHIS SALAAM KO GAM SE NIJAAT KO BAKHTA HAI?
Ae pegambar apne rabb k liye sabr kiye raho aur machli ka lukma ban'ne wale younus As ki tarah na hona k unhone pukara to gusse mai phire hue they, agar tumhare parwardigaar ki meharbaani unki yawari na karti to wo chatyal medaan mai daal diye jate aur unka haal battar ho jata. (Surah Qalam surah no. 68 ayat no. 48 aur 49)

Mandarja bala Anbiya Alaihis Salaam ki pukaar ye batla rahi hai k zishaan hastiyo ne apni har mushkil mai Allah se faryaad ki, to kya jab hum par koi mushkil ghadi ayegi to hamara data, dastgeer, ghaib nawaaz, banda parwar, hajat rawa koi aur banega, nhi hargiz nhi, balke hamara bhi data wa dastgeer wahi hai jo sadiyo se razzaq, khaliq, wahhab, muqeet, haseeb, gafoor aur wadood chala a raha hai, wahi Allah jo Hazrat e Aadam Alaihis Salaam se le kar Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam tak tamaam bargazeedah bando aur unke sathiyo ki madad karta raha hai, parwardigaar jiske sahare imamum muballigeen Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne makka wa tayif ke gali kucho mai Allah ka pegaam sunaya tha k: QULU LA ILAHA ILLALLAHU TUFLIHU TAMLIKUL ARABA WA AJAM. LA ILAHA ILLALLAH keh do kaamyaab ho jaoge aur arab wa ajam k malik ban jaoge.

Phir dunya walo ne dekha jo kafila muhammad e arbi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki qayadat mai chala tha wo khebar wa ahzaab ka raahi ban kar 10 hazaar k lashkar jaraar ki surat mai waadi e makka mai ja pahuncha to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k mubarak alfaaz ye they.
Allah k alawa koi ibadat k layak nahi, wo akela hai, uska koi shareek nahi, usi k liye baadshahat hai aur usi k liye hamd hai aur wo har cheez par qadir hai, Allah k alawa wo koi ibadat k layak nahi hai wo akela hai usne apna ahad pura kiya aur apne bande ki madad ki aur us akele ne lashkaro ko shikast di. (Sahih Muslim Hadees no. 888)

Phir yahi qafila pure jaziratul arab ka malik ban gaya phir ajam bhi sarnigah ho gaye aur yu Allah k nabi k jo safa ki chooti par akele baat ki thi puri ho gayi.
wahi gaus aur wahi faryaad sun'ne wala jiske sahare imam e mujahideen apne mutthi bhar sathiyo k saath badr k medan mai Allah k baagi aur nafarmaano se takra jate hai, aur sajdeh mai sar rakh kar apne malik se munajaat karte hai, to malik apne gaus hone ka elaan yu farmaata hai.
Jab tum us se faryaad kar rahe they to usne tumhari faryaad ko kabool kiya aur tumhari madad ko kataar dar kataar farishte bheje.

Wahi data wa dastgeer jis se abu bakr, Umar wa usman wa ali RA sawaal kiya karte they, wahi rabbul alameen jo imam abu hanifa, imam shafi, imam malik, imam ahmad ibne hambal Rh ka mushkil kusha hai, Allah hi khaliq tha sheikh abdul qadir jilaani rh ka Allah hi razik tha usman bin ali al hajveri rh ka Allah hi madad gaar tha unka jinko 12 imamo se jaante hai Allah hi ne dastgeeri ki thi, khuwaja moinuddin chisti rh ki, sultan bahu rh ki, imam bari rh ki, miya meer rh aur shah abdul lateef rh ki, Allah k in bando ne raste se na wakif makhlooq ko sidha raasta dikha kar apni zimmedari ada ki thi, jo zaat sadiyo se jinn wa ins, charinda wa parinda, hashraat wa hewanaat aur shajar wa hajar ko paal rahi hai, kya wo zaat e aqdas aaj aajiz aa gayi hai k loog khud saakhta mushkil kushao ko banda parwari k liye pukaarna shuru kar de.
Allah ta'ala gumraho ko hidayat de. (Aaamen Ya Rabbal Alameen)

No comments:

Post a Comment