Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Wednesday 30 April 2014

AZAAN - IBTIDA, DOHRI AUR IKHARI IQAMAT, AZAAN KE KALMAAT JAFT AUR DOHRI AZAAN

 AZAAN - IBTIDA, DOHRI AUR IKHARI IQAMAT, AZAAN KE KALMAAT JAFT AUR DOHRI AZAAN








Bismillahirrahmanirraheem


Azaan Ki Ibtida:
Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab Madina tashreef laye to sawal paida hua k namaz k aukaat ka elaan kese kiya jaye? kuch loogo ne ye tajweez di k namaz k waqt buland makaam par aag roshan ki jaye ya nakoos bajaya jaye!
Hazrat Ibne Anas Razi Allahu Anhu ne farmaya: "Baaz Sahaba ne kaha aag jalana ya nakoos bajana yahood wa nasara ki mushabihat hai, phir Bilal Razi Allahu Anhu ko huqm diya gaya k Azaan k kalmaat 2,2 baar aur takbeer (Iqamat) k kalmaat 1,1 baar kahe siwaye "QADQA MATIS SALAH" ke". (Bukhari Kitabul Azaan Hadees No. 603, Muslim Kitabus Salaat Hadees No. 378)

Azaan k Jaft kalmaat aur Takbeer k taaq kalmaat:
Hazrat Abdullah Bin Zaid Razi Allahu Anhu bayan karte hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne nakoos tayyar karne ka huqm diya takey loogo ko Namaz k liye jama kiya ja sake mai soya hua tha k mene Khawab mai ek Aadmi ko dekha jo nakoos uthay hue tha mene kaha Ae Allah k bande! kaya tu nakoos bajayega usne pucha k tum uska kya karoge, mene kaha hum Namaz k liye loogo ko jama karege, usne kaha mai tujhe aesi baat na sikhao jo us se behtar ho, mene kaha kyu nahi? usne kaha yu kaho: "ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR, ASH'HADU ALLAH ILAHA ILLALLAH ASH'HADU ALLAH ILAHA ILLALLAH, ASH'HADU ANNA MUHAMMADAR RASULULLAH ASH'HADU ANNA MUHAMMADAR RASULULLAH, HAIYYA ALAS SALAH HAIYYA ALAS SALAH, HAIYYA ALAL FALAH HAIYYA ALAL FALAH, ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR, LA ILAHA ILLALLAH". Tarjuma: "Allah sab se bada hai Allah sab se bada hai Allah sab se bada hai Allah sab se bada hai, Mai gawahi deta hu k Allah k siwa koi (saccha) mabood nahi Mai gawahi deta hu k Allah k siwa koi (saccha) mabood nahi, Mai gawahi deta hu k Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Allah k Rasool hai Mai gawahi deta hu k Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Allah k Rasool hai, Namaz ki taraf aao Namaz ki taraf aao, Nijaat ki taraf aao Nijaat ki taraf aao, Allah sab se bada hai Allah sab se bada hai, Allah k siwa koi mabood nahi" Phie jab takbeer kaho to yu kaho: "ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR, ASH'HADU ALLAH ILAHA ILLALLAH, ASH'HADU ANNA MUHAMMADAR RASULULLAH, HAIYYA ALAS SALAH, HAIYYA ALAL FALAH, QADQA MATIS SALAH QADQA MATIS SALAH, ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR, LA ILAHA ILLALLAH".
Mai subah ko Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas aya aur apna khawab sunaya, Aap ne farmaya: "Tum Bilal Razi Allahu Anhu k sath khade ho aur usko batlao jo tumne dekha wo buland awaaz wala hai" jab Bilal RA ne Azaan di to Hazrat Umar Razi Allahu Anhu jaldi se Masjid aye aur arz ki Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! us zaat ki kasam jis ne aap ko haq k sath bheja hai maine bhi khawab mai uski manind dekaha hai, Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Allah ki tareef ki. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees No. 499, Ibne Maja Kitabul Azaan Hadees No. 706, Ise Imam Ibne Habaan Hadees No. 287, Imam Tirmizi aur Imam Noowi ne sahi kaha)

Hazrat Abdullah Bin Umar Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k zamane mai Azaan k kalmaat 2,2 martaba aur taqbeer k kalmaat 1,1 baat they siwaye iske k Muazzin "QADQA MATIS SALAH" do baar kehta tha. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees No. 510, 511, Nasai 668, Darmi 280/1, Hakim 198/1, 198, Imam Zehbi aur Imam Noowi ne ise sahi kaha)

Dohri Azaan Aur Dohri Iqamat:
Azaan mai shahadat k charo kalmaat pehle dhimi awaaz se kehna aur phir dobara bulanad awaaz se kehna Tarjih kehlata hai, Abu Mahzura Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne bazaat khud mujhe Azaan sikhai, Aap ne unhi Azaan k 19 aur iqamat k 17 kalmaat sikhaye, pas Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya (Azaan is tarha) Kaho: "ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR, ASH'HADU ALLAH ILAHA ILLALLAH ASH'HADU ALLAH ILAHA ILLALLAH, ASH'HADU ANNA MUHAMMADAR RASULULLAH ASH'HADU ANNA MUHAMMADAR RASULULLAH,
Phir dobara kaho "ASH'HADU ALLAH ILAHA ILLALLAH ASH'HADU ALLAH ILAHA ILLALLAH, ASH'HADU ANNA MUHAMMADAR RASULULLAH ASH'HADU ANNA MUHAMMADAR RASULULLAH, HAIYYA ALAS SALAH HAIYYA ALAS SALAH, HAIYYA ALAL FALAH HAIYYA ALAL FALAH, ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR, LA ILAHA ILLALLAH".
Aur Iqamat yu kaho: "ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR, ASH'HADU ALLAH ILAHA ILLALLAH ASH'HADU ALLAH ILAHA ILLALLAH, ASH'HADU ANNA MUHAMMADAR RASULULLAH ASH'HADU ANNA MUHAMMADAR RASULULLAH, HAIYYA ALAS SALAH HAIYYA ALAS SALAH, HAIYYA ALAL FALAH HAIYYA ALAL FALAH, QADQA MATIS SALAH QADQA MATIS SALAH, ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR, LA ILAHA ILLALLAH". (Muslim Kitabus Salat Hadees No. 379, Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees No. 502)

Muslim ki Raiwayat mai shuru mai ALLAHU AKBAR do dafa hai jabke Abu Dawood ki riwayat mai ALLAHU AKBAR chaar dafa hai yani dohri azaan aur dohri iqamat sikhai magar afsoos k baaz loog mehaz apne Fiqhi maslak ki perwi mai intihai be insafi se kaam lete hue ek hi Hadees mai bayan shuda dohri iqamat par hamesha amal karte hai magar dohri azaan hamesha chood dete hai (kabhi nahi kehte) halanke Azaan wa iqamat ko dohra, ya ikhara kehna dono tarha sunnat se sabit hai. is se maloom hua k jab tak musalman kisi makhsoos Fiqah k Taqleedi bandhano se rihai nahi pata wo itaat e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka haq ada nahi kar sakta lihaza behtar ye hai k kisi masle mai mukhtalif Aimma k Dalail ka muwazana karke koi raye kayam ki jaye, mana k ek Talib e Ilm k liye aesa karna mushkil hai magar Ulma e Kiraam Muqallid ban kar tasweer ka sirf ek rukh loogo ko kyu dikhate hai? Zara Sochiye!

Fajar Ki Azaan Mai Izafa:
Abu Mahzura Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unko azaan ki taleem di aru farmaya: "Fajar ki Azaan mai "HAIYYA ALAL FALAH" k baad do baar ye kalmaat zayada kahe: "ASSALATU KHAIRUM MINAN NAOU" Namaz Nind se behtar hai". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees No. 501, Nasai Hadees No. 633, Ise Imam Ibne Khuzaima, Imam Habaan aur Imam Noowi ne sahi kaha)

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu farmate hai k subah ki Azaan mai "HAIYYA ALAL FALAH" k baad "ASSALATU KHAIRUM MINAN NOUM" do dafa kehna sunnat hai. (Behiqi 423/1 Ise Imam Ibne Hajar ne hasan kaha)

Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu ne Barish k din apne Muazzin se kaha k "HAIYYA ALAS SALAH" ki bajaye "AS SALATU FIRRIJAAL" ya "SALLU FI BUYUTIKUM" "Apne gharo mai namaz ada karo" kaho aur farmaya: Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne aese hi kiya, Juma agar che farz hai magar mujhe pasand nahi k tum kichad aur mitti mai (Masjid) chalo. (Bukhari Kitabul Azaan Hadees No. 668, Muslim Kitabus Salaat Hadees No. 699)

Is se maloom hua k Azaan k kalmaat mai "ASSALATU KHAIRUM MINAN NAUM" kehna ya "ASSALATU FIRRIJAAL" kehna Azaan mai izafa nahi hai balke ehad nabuwat ki Sunnat hai lihaza ise Azaan k andar manpasand izafo ki daleel banana durust nahi hai.

No comments:

Post a Comment