Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Wednesday 30 April 2014

KYA QURAN KI AYAT YA HADEES LIKH KAR FORWARD KAR SAKTE HAI?

KYA QURAN KI AYAT YA HADEES LIKH KAR FORWARD KAR SAKTE HAI?



Bismillahirrahmanirraheem

Aaj kal ek propaganda sms aur emails ke jariye failaya ja raha hai ke aise sms aur email jinme qurani ayaat mawjood ho use bhejna (forward) nahi chahiye kyunke use delete kar diya jaata hai aur aisa karna qayamat ki nishani hai...

Woh log iski daleel yun pesh karte hain

Imanwalo Se Ek APPEAL:
“QURAN” Ki AAYAT Ko SMS Na Kiya Karen.
Delete Ho Jati Hai.
Ye QAYAMAT Ki Nishani Hai Ke MUSALMAN Apne Hatho Se “QURAN” Mitayga.

Suno Dosto aaj se ye final karlo if your are Muslims!
Sailaab aye ya toofan Quraani Aayat ab mobile se kisi ko nahi bhejna, Kyunki wo delete ho jati hain. Or Qayamat ki Nishani hai k muslim apne hathoon se Quran mithaey ga!

Aur in jaise doosre message

Sabse pahli baat iske hawale (reference) kya hai? Kya quran mein mawjood hai? Kya hadis mein mawjood hai? Kahan hai?
Koi jawab nahi milegi.

Ek Sawal:
Un Aalimo, Maulanao aur Teacher ka kya jo madrassa mein padhate hain???
Kyunke yeh log jab padhate hain toh class ke dawraan board par quran ki ayaton aur hadison ko likhte hain aur jab class khatam hota hai toh fir apne haaton se ise mita dete hain.

Quran Surah Al-Hijr Chapter 15 Verse 9
"Be-shak yeh (kitab) nasihat hum hi ne utari hai aur hum hi iske nighebaan hai"

Allah ne toh khud hi elaan kar diya ke woh khud quran ki hifazat karenge. Toh kya yeh maan liya jaye ke jo log yeh baatein faila rahen hain ke unhe Allah ke kiye wade par bharosa nahi ya shak hai?

Hazrat Umar RA ke baad jab quran murrattab kiya jaraha tha Hazrat Usman RA ke dawr mein, Toh Hazrat Usman RA ne hukm diya tha ek sahih (original) copy quran ka har ek musalmaan sube (province) mein bheja jaye aur saath hi saath yeh bhi hukm diya ke jo bhi quran ki copy pahle se mawjood hai use jala diya jaye taake musalmaano mein kisi tarah ki uljhan (confusion) na rahe.

Sochiye quran ko jalaya gaya taake quran har tarah ki gadbadi se mahfooz rahe woh bhi Khalifa Hazrat Usman RA ke dawr mein.
ALLAHU AKBAR

Toh yeh saabit huwa ke qurani sms ya email ko delete karna qayamat ki nishani nahi hai..

Balke yeh ek bohat khushi ki baat hai ke aaj hum phone aur computer ke button ke ek click se quran aur hadis ko padh sakte hain. Sms aur email ke jariye hum sab kitni acchi aur ilmi baatein share kar sakte hain. Toh kyun na karen.

Yaad rakhen shaitan bohat hi na-khush hai ke kitni asaani se quran aur hadis phayl raha hai. Aur shaitan is koshish mein hai ke kis tarah se gadbadi aur na-ittefaki paida ho taake yeh deen ko phaylane ka ek accha kaam band ho sake.

Kya aap chahte hain ke aapka support shaitan ko haasil ho taake woh is afwa ko aur jyada phayla sake? ya fir aap yeh chahte hain ke aapke haath unke saath jude jo log quran aur hadis ko phayla rahen hain?
Choice aapki hai...

Qurani Sms Aur E-Mail Ko Delete Karne Mein Koi Harz Nahi....

Allah Subhan-O-Taala Behtar Jaanne Wala Hai

No comments:

Post a Comment