Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Sunday 9 November 2014

NIKAH K MUTAFARRIQ MASA'IL

NIKAH K MUTAFARRIQ MASA'IL

Bismillahirrahmanirraheem

AMAL QAUM E LOUT KARNE YA KARWANE WALE DONO KO QATAL KARNE YA SANGSAAR KARNE KA HUKM HAI

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis shaks ko amal qaum e lout mein mubtala pao use aur amal qaum e lout karne aur karwaane wale dono ko qatal kardo". (Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 2075)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se amal qaum e lout mein mubtala shaks k baare mein riwayat karte hai k faa'al aur maf'ool dono ko sangsaar kardo (yaani) sabko sangsaar kardo. (Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 2076)

Wazahat: Qaum e lout mein mard aurat se faida na utha kar mard mard se faida uthaya karte they.


MIYA BEEWI KA BAA'HAMI TALLUQ (NIKAH) MAUT SE KHATAM NAHI HOTA
NAIK MARD AUR NAIK AURAT JANNAT MEIN BHI EK DOOSRE K MIYA BEEWI HONGE

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne (Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se) farmaya "Kya tum is baat par raazi nahi k tum dunya aur aakhirat (dono jagah) meri beewi raho?" Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne arz kiya "Kyu nahi!" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Tum dunya aur aakhirat mein meri beewi ho". (Mustadrak E Haakim, Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 1142)


ZAANI AUR ZAANIYA K HAN PAIDA HONE WALI AULAAD MAA BAAP K GUNAH SE BARI-UZ-ZIMMA HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Zina k nateejey mein paida hone wali aulaad par apne maa baap k gunaho ka koi wabaal nahi". (Mustadrak E Haakim, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 5282)


BEEWI KO WALIDAYN KI MULAQAAT YA KHIDMAT SE ROOKNA MANA HAI

Hazrat Asma Razi Allahu Anha se riwayat hai k meri mushrika maa quraish aur Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam k darmiyaan sulah (yaani sulah hudaibiyah) k zamaney mein (madeena) aayi uska baap (yaani mera naana) bhi saath tha mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha "Meri maa ayi hai aur use islam se sakht nafrat hai (uske saath kya salook karu?) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Apni maa se sila rehmi karo". (Sahih Bukhari Kitabul Abad)


JAANTEY BOOJHTEY APNI WALDIYAT HAQEEQI BAAP KI BAJAAYE KISI DOOSRE KI TARAF MANSOOB KARNE WALE PAR JANNAT HARAAM HAI

Hazrat Saab bin Abi Waqaas Razi Allahu Anhu kehte hai mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai "Jisne jaantey boojhtey apni nisbat apne baap k alawah kisi doosre ki taraf ki us par jannat haraam hai". (Mukhtasar Sahih Bukhari Hadees no. 2157)


HASB NASB PAR FAKHAR KARNA YA TAA'AN KARNA DONO MANA HAI

Hazrat Salman Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Teen baatey jahiliyat ki hai:
1. Hasb par farkhar karna
2. (Apne ya kisi doosre k) nasb par taa'an karna
3. (Mayyat par) nooha karna." (Tabraani, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 3050)


APNI BEEWI, BAITI, BEHAN YA BAHU WAGAIRAH KO KISI GAIR MAHRAM K SAATH QABIL E AETRAAZ HALAT MEIN DEKH KAR QATAL KARNA MANA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Hazrat Saad bin Ubadah Razi Allahu Anhu ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! agar mein apni beewi ko kisi gair mard k saath (na-jayez halat mein) dekhu to kya us waqt tak use kuch na kahu jab tak chaar gawah na lau, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Han" Hazrat Saad Razi Allahu Anhu kehne lage "hargiz nahi, us zaat ki qasam jisne aapko haqq k saath bheja hai mein to gawah laane se pehle hi use fauran qatal kar dunga" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Loogo! suno tumhara sardaar kya keh raha hai wo (yaani Saad Razi Allahu Anhu) waqey gairat-mand hai lekin mein us'se zayada gairat-mand hu aur Allah mujhse zayada gairat-mand hai (yaani qatal karna jayez nahi balkey us'se mazeed fitna fasaad badhega lihaza qatal na karo)". (Sahih Muslim Kitabul La'aan)


BEEWI K KIRDAAR PAR BILA WAJAH SHAK KARNA MANA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek daihaati Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! meri beewi ne kaaley rang ka baccha jana hai jis'se mene inkaar kar diya, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne us daihaati se daryaft kiya "kya tumhare paas ounth hai?" daihati ne arz kiya "han! Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne daryaft kiya "uska rang kya hai?" daihati ne arz kiya "surkh" Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne daryaft kiya "kya unme koi khaaksatri bhi hai?" daihati ne arz kiya "han!" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "wo kaha se aa gaya?" daihati ne arz kiya "shayad ounth ki uper wali nasal mein se koi ounth kaaley rang wala ho (yaani tumhara inkaar durust nahi)". (Sahih Muslim Kitabul Laa'an)


ZINA K NATEEJEY MEIN PAIDA HONE WALA BACCHA BAAP KI WIRASAT NAHI PAATA NA BAAP BACCHEY KI WIRASAT PATA HAI

Hazrat Umar bin Shuyeb apne baap se aur wo apne dada Razi Allahu Anhu se riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "jisne loondi ya aazaad se zina kiya aur us'se baccha hua to ye (baap) us bacchey ka waris na hoga na hi baccha baap ka waris banega". (Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 2217)


KUWAREY ZAANI AUR ZAANIYA KI SAZA 100 KOODEY AUR EK SAAL KI JILA WATNI HAI JAB K SHADI SHUDA ZAANI AUR ZAANIYA KI SAZA 100 KOODEY AUR PATTHARO SE SANGSAAR KARNA HAI

Hazrat Ubada bin Saamit Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Loogo! mujhse masa'il seekh lo, loogo! mujhse masa'il seekh lo Allah ta'ala ne aurato k liye raah nikaal di hai kuwara mard kuwari aurat se zina kare to uske liye 100 koodey aur ek saal tak jila watni ki saza hai aur agar shadi shuda mard shadi shuda aurat se zina kare to unke liye 100 koodey aur sangsaar karne ki saza hai". (Sahih Muslim Kitabul Laa'an)

Wazahat: 1. Surah Nisa mein Allah ta'ala ne zaaniya ki saza ye muqarrar farmayi thi k use maut tak ghar mein qaid kar diya jaye aur saath irshad farmaya tha k us hukm par us waqt tak amal karo jab tak Allah ta'ala unke liye koi doosri raah nahi nikaalta (Surah Nisa Surah no. 4 Ayat no. 15) Hadees shareef mein Allah ta'ala k isi irshad e mubarak ki taraf isharah hai k ab Allah ta'ala ne aurato k baare mein ye raah nikaali hai yaani ye hukm nazil farmaya hai.
2. Shadi shuda zaani aur zaaniya ki saza ka inhasaar adalat par hai wo chahey to dono sazaye de sakti hai koodey bhi aur sangsaar karna bhi chahey to sirf ek hi saza ko kaafi samjhey yaani sangsaar karna. (Wallahu Aalam bis Sawaab)

No comments:

Post a Comment