Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday 26 March 2015

BANI NOO INSAAN SE JANNATIYO AUR JAHANNAMIYO KI NISBAT

BANI NOO INSAAN SE JANNATIYO AUR JAHANNAMIYO KI NISBAT 



Bismillahirrahmanirraheem

1000 AADMIYO MEIN SE SIRF EK AADMI JANNAT MEIN JAYEGA, BAAQI 999 JAHANNAM MEIN JAYENGEY

Hazrat Abu Saeed Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi wa Sallam ne farmaya "Allah azz wa jall (qayamat k rooz Aadam Alaihis Salaam ko mukhatib karke farmayega) ae Aadam! Hazrat Aadam Alaihis Salaam arz karenge ae Allah mein hazir hu teri khidmat mein aur teri ita'at mein aur bhalayi tere hi haath mein hai tab Allah ta'ala farmayega (makhlooq mein se) aagh ki jama'at alag karo Hazrat Aadam Alaihis Salaam arz karenge aagh ki jama'at kitni hai? Allah ta'ala irshad farmayega 1000 mein se 999, Aap Sallallahu Alaihi wa Sallam ne irshad farmaya yahi wo waqt hoga jab baccha boodha ho jayega, hamal wali aurato k hamal gir jayengey aur tu loogo ko madhoosh dekhega halakey wo madhoosh nahi hongey, balkey Allah ka azaab hi itna sakht hoga (k loog hoosh o hawaas kho baithengey) Hazrat Abu Saeed Razi Allahu Anhu kehte hai ye sun kar Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum parehsaan ho gaye aur arz kiya "ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi wa Sallam phir hum mein se koonsa (khush naseeb) aadmi hoga jo janant mein jayega?" Aap Sallallahu Alaihi wa Sallam ne irshad farmaya "Mutmaeen raho yajooj majooj (ki tadaad itni ziyaadah hogi k unme se) 1000 aadmi aur tum mein se 1 aadmi ki ginti unhi se poori ho jayegi". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

No comments:

Post a Comment