Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday 9 April 2015

JANNAT MEIN UMMAT E MUHAMMADIYA S.A.W.S KI KASRAT

JANNAT MEIN UMMAT E MUHAMMADIYA S.A.W.S KI KASRAT

Bismillahirrahmanirraheem

JANNAT MEIN DO TIHAAYI TADAAD UMMAT E MUHAMMADIYA SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI HOGI BAAQI EK TIHAAYI TADAAD TAMAAM ANBIYA KI UMMATO SE HOGI

Hazrat Bureedah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannatiyo ki 120 qataarey hongi jinme se 80 qataarey is ummat (muhammadiya) ki hongi aur 40 qataarey baaqi ummato se". (Sunan Tirmizi Abwabul Jannah)


AHLE JANNAT MEIN SE AADHI TADAAD UMMAT E MUHAMMADIYA SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE HOGI

Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hamey irshad farmaya "Kya tum is baat par khush nahi ho k ahle jannat mein se ek chothaayi tum mein se hongey" ye sun kar humne (khushi se) Allahu Akbar kaha phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Kya tum is baat se khush nahi ho k Ahle jannat mein se tihaayi tadaad tumhari ho?" humne phir (khushi se) Allahu Akbar kaha, phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Mujhe ummeed hai k ahle jannat mein se aadhey tum hongey aur uski wajah ye hai jo mein bayan kar raha hu k musalmano ki tadaad kafiro k muqabiley mein aesi hai jese siyaah bael k jism par ek safaid baal ya safaid bael k jism par ek siyaah baal". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

Wazahat: Pehli hadees mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ahle jannat mein se do tihaayi tadaad ummat e muhammadiya Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki batlaayi hai jabke doosri hadees mein aadhi tadaad, dono hadeeso se jannat mein ummat e muhammadiya Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki kasrat e tadaad sabit karna matloob hai. (Wallahu Aalam bis Sawaab)


UMMAT E MUHAMMADIYA SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K SATTAR HAZAAR IFRAAD BILA HISAAB WA AZAAB JANNAT MEIN DAKHIL HONGEY
HAR HAZAAR PAR MAZEED SATTAR HAZAAR (CHALEES LAKH IFRAAD) BHI UMMAT E MUHAMMADIYA SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE JANNAT MEIN DAKHIL HONGEY
INKE ALAWA ALLAH TA'ALA K TEEN BHAREY HUE LAP (JINKI TADAAD ALLAH TA'ALA HI JAANTE HAI) BHI UMMAT E MUHAMMADIYA SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE JANNAT MEIN JAYENGEY

Hazrat Abu Umama Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k "mere rabb ne mere saath wada kiya hai k meri ummat se sattar hazaar ifraad ko wo bila hisaab aur azaab jannat mein dakhil farmayega aur har hazaar k saath (mazeed) sattar hazaar aadmi jannat mein dakhil farmayega aur teen lap bhare hue mere rabb k aur bhi jannat mein dakhil hongey". (Sunan Tirmizi Abwabus Sifatul Qiyamaah)

Hazrat Imran bin Hussain Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Meri ummat mein se sattar hazaar aadmi bagair hisaab jannat mein jayengey" Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! wo kaun (khush naseeb) loog hongey?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "ye wo loog hongey jo na damm karate hai na shagon lete hai na daagh lagaate hai aur sirf apne rabb par tawakkal karte hai" Hazrat Ukasa Razi Allahu Anhu khade hue aur arz kiya "Ae Allah k Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam! dua farmaiye Allah mujhey unme se karde, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya tu unme se hai". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mere saamne mukhtalif ummato k loog laaye gaye baaz nabi aese they jinke saath das ifraad se bhi kam loog they baaz nabiyo k saath ek ya do hi aadmi they aur koi nabi aesa tha jiske saath koi bhi nahi tha itne mein mere saamne ek badi ummat aayi mein ye samjha k ye meri ummat hai mujhe kaha gaya ye moosa Alaihis Salaam aur unki ummat hai Aap aasmaan k kinaare ki taraf dekhey mene dekha to waha bhi ek badi jamaat thi phir mujhey kaha gaya ab aasmaan k doosre kinaare ki taraf dekhey mene dekha to ek bahut badi jamaat paayi mujhey bataya gaya ye aapki ummat hai jisme se sattar hazaar ifraad bagair hisaab aur azaab k jannat mein dakhil hongey". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

No comments:

Post a Comment