Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday 9 July 2015

AZAAN K BAAD KI DUWAYE

AZAAN K BAAD KI DUWAYE

Bismillahirrahmanirraheem


1. Hazrat Abdullah bin Umar bin Aas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum muazzin (ki aawaaz) suno to tum muazzin ko jawab do aur jab azaan khatam ho jaye to phir mujh par darood bhejo pas jo mujh par ek baar darood bhejta hai Allah us par das baar rahmat bhejta hai". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 384)

Pas sab musalman mardo aur aurato ko chahiye k jab muazzin azaan khatam kare to ek baar darood shareef padh le

"ALLAHUMMA SALLI ALA MUHAMMADIN WA ALA AALI MUHAMMADIN KAMA SAL'LAITA ALA IBRAHEEMA WA ALA AALI IBRAHEEMA INNAKA HAMEEDUM MAJEED, ALLAHUMMA BAARIK ALA MUHAMMADIN WA ALA AALI MUHAMMADIN KAMA BAARAKTA ALA IBRAHEEMA WA ALA AALI IBRAHEEMA INNAKA HAMEEDUM MAJEED" "Ya Allah rahmat bhej Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur aal e Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam par jese rahmat bheji tooney Ibraheem Alaihis Salaam aur aal e Ibraheem Alaihis Salaam par beshak to tareef kiya gaya, buzurgi wala hai, Ya Allah barkat bhej Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur aal e Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam par jese barkat bheji tooney Ibraheem Alaihis Salaam aur aal e Ibraheem Alaihis Salaam par beshak to tareef kiya gaya, buzurgi wala hai". (Sahih Bukhari Kitabul Ahadeesul Anbiya Hadees no. 3370, Sahih Muslim Hadees no. 406)

2. Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks (azaan ka jawab de aur phir) azaan khatam hoone par ye dua padhey uske liye qayamat k din meri shifa'at wajib ho jati hai:

"ALLAHUMMA RABBA HAZIHID DAAWATIT TAMMATI WAS SALATIL QA'IMATI AATI MUHAMMADAL WASEELATA WAL FAZEELATA WAB ASAHU MAQAMAN MAHMOODAL LAZI WA ATTAH" "Is poori pukaar (azaan) k aur (qayamat tak) qayam rehne wali namaz k rabb! Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko waseela aur buzurgi ata farma aur unhey Maqaam e Mahmood mein pahuncha jiska tooney unse waada kiya hai". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 614)


WASEELA KI TASHREEH

Waseela k mutalliq khud Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tehqeeq waseela bahisht mein ek darja hai jo sirf ek bandey k layak hai aur mein ummeed rakhta hu k wo bandah mein hi hu, pas jisne (azaan ki dua padh kar) Allah se mere liye waseela maanga uske liye (meri) shifa'at wajib ho gayi". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 384)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam k irshad se maloom hua k waseela bahisht mein ek buland wa bala darje ka naam hai.


DUA E AZAAN MEIN IZAAFA

Masnoon dua e azaan mein baaz loogo ne chand alfaaz badha rakkhey hai aur wo alfaaz murawajjah kutub e namaz mein bhi mojood hai, dua e masnoon k jumla (WAL FAZEELA) k baad (WAD DARAJATAR RAFEEAH) ki ziyadati karte hai aur aagey (WA ATTAHU) k khalis doodh mein (WAR ZUKNA SHAFA ATAHU YAUMAL QIYAAMAH) ka paani mila rakkha hai aur phir aakhir mein masnoon dua k andar (YA ARHAMAR RAHIMEEN) ki amaizish hai afsoos! Kya Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki dua mein ye khamiya reh gayi thi jo baad k loogo ne apne izaafey se poori ki hai? musalmano ko Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k farman paak mein kami ya baishi karne k tasawwur se kaanp uthna chahiye, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne raat ko ba-wuzu ho kar sooney se pehle padhne k liye ek dua batlaayi, Hazrat Bara bin Aazib Razi Allahu Anhu ne padh kar sunaayi to (BI NABEEYIKA) ki jagah (BI RASOOLIKA) yaani nabi ki jagah rasool kaha, to Nabi E Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k mere bataye hue lafz Nabi ko Rasool se mat badlo balke (BI NABEEYIKA) hi kaho. (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 247, Sahih Muslim Kibuz Zikr wa Dua Hadees no. 2710)

Is se maloom hua k masnoon duwaye aur wird tofeeqi (Allah ki taraf se) hai aur unki haisiyat ibadat ki hai lihaza unme kami baishi jayez nahi lihaza (kisi qareena ya daleel k bagair) mutakallim k saigey ko jama k saigey se badalna durust nahi hai uski bajaaye behtar ye hai k mutakallim ka saiga hi bola jaye albatta niyat mein ye rakkha jaye k mein yahi dua fala fala k haqq mein bhi kar raha hu, neez masnoon duwaon k hoote hue khud-saakhta arbi duwaon wazeefo aur daroodo ka iltazaam karna durust nahi hai aur agar unke kuch alfaaz shirk, kufr ya bida'at par mushtamil ho to is soorat mein unka padhna qatai tour par haraam ho jata hai lekin afsoos k jahil loog rozana pabandi k saath darood e taaj, darood e lakhi aur darood e hazaari wagairah ki "Tilawat" karte hai, Allah hum sabko hidayat de. Aaameen

3. Hazrat Saad bin Abi Waqaas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks muazzin (ki azaan) sun kar ye dua padhey to uske gunah baksh diye jayengey, Dua ye hai:

"ASH'HADU AN LAA ILAHA ILLALLAHU WAHDAHU LA SHAREEKA LAHU WA ANNA MUHAMMADAN ABDUHU WA RASOOLUHU RAZEETU BILLAHI RABBAU WA BI MUHAMMADIR RASOOLAU WA BIL ISLAAMI DEENAN" "Mein gawahi deta hu k Allah k siwa koi (saccha) mabood nahi wo ek hai uska koi shareek nahi aur tehqeeq Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam uske bandey aur rasool hai, mein Allah k rabb hoone aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam k rasool hoone aur islam k deen hoone par raazi hu". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 386)

No comments:

Post a Comment