Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Saturday 4 July 2015

NAMAZI KA LIBAAS

NAMAZI KA LIBAAS

Bismillahirrahmanirraheem

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Koi shaks ek kapde mein is tarah namaz na padhey k uske kandey nangey ho". (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 359, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 516)

Maloom hua k jo loog ahraam ki halat mein hajj ya umrah k mouqey par kandhey khool kar farz namaz ada karte hai jabke wo kandho ko dhaankne par qadir bhi hai to unki namaz durust nahi hogi

Is se maloom hua k mard k liye namaz k doraan sar dhaanpna wajib nahi warna aap kandho k saath sarka zikr bhi farmate, sar dhaanpna ziyaada se ziyaadah mustahab hai loogo ko uski tarteeb to di ja sakti hai magar na dhaanpne par mulamat nahi karni chahiye.

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu se farmaya k "Agar namaz padhte hue ek hi kapda ho aur wo kushadah ho to iltihaaf karo yaani jism par lapait kar kandhey dhaanko aur agar tang ho to sirf tahband banao". (Sahih Bukhari Hadees no. 361, Sahih Muslim Hadees no. 301, 518)

Hazrat Jarhad Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ek dafa mere paas se guzrey aur meri raan nangi thi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Raan ko dhaanko beshak raan sharm-gaah hai". (Tirmizi Kitabul Adab Hadees no. 2795)

Hazrat Umar bin Abi Salma Razi Allahu Anhu bayan karte hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko Ummey Salma Razi Allahu Anha k ghar mein ek hi kapde mein lipte hue namaz padhte hue dekha (aapne) uski dono tarfey apne kandho par rakkhi hui thi. (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 354, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 517)

Hazrat Sahal Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath namaz padhte aur wo apne tehbando ko choote hone k sabab apni gardano par baandhey hue hote they aur aurato se keh diya gaya tha k jab tak mard seedhey ho kar baith na jaye us waqt tak tum apne sar sajde se na uthana. (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 362, Sahih Muslim Hadees no. 441)

Muhammad bin Munkad Rahimahullah bayan karte hai k mein Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu k paas aaya to wo ek kapde mein lipte hue namaz padh rahe they aur unki chadar (ek taraf) rakkhi hui thi, jab wo namaz se farigh hue to humne unse kaha? Ae Abu Abdullah! aapki chadar padhi rehti hai aur aap namaz padh lete hai? to unhone farmaya Han mene Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko isi tarah namaz padhte dekha tha to mene ye chaha k (aesa hi karu takey) tumhare jese jahil mujhe (is tarah namaz padhte hue) dekh le. (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 370, Sahih Muslim Kitabuz Zuhad Hadees no. 3008)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek shaks ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha k ek kapde mein namaz padhna kesa hai? aapne farmaya "Kya tum mein se har shaks k paas do kapde hai?" phir us shaks ne (musalmano ki gurbat k zamane k khatimey k baad) Hazrat Umar Razi Allahu Anhu se yahi masla pucha to aapne farmaya "Jab Allah ne tumhey wus'at di to tum bhi wus'at karo (yaani namaz mein ek se ziyaadha kapde pehno)". (Sahih Bukhari Hadees no. 365, Sahih Muslim Hadees no. 515)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saah auratey namaz e fajar ada karti to wo apni chadaro mein lipti hua karti thi. (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 372, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 645)

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Baligha aurat ki namaz audhani k bagair qubool nahi hoti". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 641, ise Ibne Khuzaima aur Ibne Hibban ne sahih kaha)

Maloom hua k aurat saraapa parda hai agar wo pindali, baazu ya sar khool kar namaz padhegi to uski namaz sahih nahi hogi.

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam kabhi namaz mein nangey pao khade hote aur kabhi aapne joota pehan rakkha hota tha. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 653, Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 1038, Tahawi ne ise mutawatir kaha)

Us waqt masjido k farsh kacchey hote they aur jootiyo k talwey bhi hamwaar hote they jo zameen par ragadne se paak ho jate they aaj masjido mein safey, darya aur qaleeney bich gayi hai, aur jootiyo k talwo mein basa auqaat gandagi phans jaati hai jo zameen par ragadne se nahi nikalti lihaza aaj agar koi shaks joote pehan kar namaz ada karna chahey to usey taharat ka mukammal ehtamam karna chaiye warna joote utaar kar namaz padni chahiye.

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Yahoodiyo ki mukhalifat karo wo joote aur moozey pehan kar namaz ada nahi karte". (Abu Dawood Hadees no. 652, ise Hakim aur Zahbi ne sahih kaha)

Hazat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Sahaha e Kiraam Razi Allahu Anhum ko jamaat karwa rahe they k Aapne apne jooto ko utara aur baayi janib rakh diya, jab Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum ne ye dekha to unhone bhi apne joote utaar diye, jab aap namaz se farigh hue to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Beshak mere paas Jibreel Alaihis Salaam aaye aur unhone mujhe bataya k tumhare jooto mein gandagi lagi hai, lihaza jab tum masjido mein aao to jootiyo ko acchi tarah (gaur se) dekh lo, agar un mein najasat nazar aaye to unko zameen par acchi tarah ragdo phir un mein namaz ada karo". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 650, Ise Hakim, Zahbi aur Nawawi ne sahih kaha)

Maloom hua k jisne na-danishta taur par jism ya kapdo ki najasat k saath namaz ada karli aur usey uska ilm namaz se farigh hoone k baad hua to uski namaz sahih hai.

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmate hai "Jab tum namaz ada karo to jooto ko daaye ya baaye na rakkho balke qadmo k darmiyaan rakkho, kyunki tumhara rabaya doosre namazi ka daayra hoga, han agar baaye janib koi namazi na ho to baaye janib rakh sakte ho". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 654, 655, Ise Hakim, Zahbi aur Nawawi ne sahih kaha)

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu ne Abdullah bin Haaris ko dekha k wo pichey se baalo ka jooda bandh kar namaz padh rahe they, Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu uthey aur unke joodey ko khool diya, jab Ibne Haris namaz se farigh hue to Ibne Abbas Razi Allahu Anhu ki taraf mutawajjah hue aur kehne lage, mere sar se tumey kya sarokaar tha? Ibne Abbas Razi Allahu Anhu ne kaha Mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye farmate hue suna hai "Beshak is tarah k aadmi ki misal us shaks ki si hai k jo mashkey bandhi hui halat mein namaz ada kare". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 492)

Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko saat haddiyo par sajdah karne ka hukm diya gaya aur baal aur kapde k samaitne se mana kiya gaya. (Sahih Muslim Kitabus Salat Hadees no. 490)

No comments:

Post a Comment