Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Tuesday 25 August 2015

SUTRAH KA BAYAN

SUTRAH KA BAYAN

Bismillahirrahmanirraheem

Yaha sutrah se muraad wo cheez hai jise namazi apne aagey khada karke namaz padhta hai takey uske aagey se guzarne wala sutrah k aagey se guzar jaye aur gunah-gaar na ho, ye sutrah laathi, barchi, lakdi, diwaar, satoon aur darakht se hota hai aur imam ka sutrah sab muqtadiyo k liye kaafi hota hai.

Hazrat Talha bin Ubaidullah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab koi shaks apne saamne paalaan ki pichli lakdi k barabar (koi cheez) rakh le to namaz jaari rakkhey aur jo koi sutrey k pichey se guzrey uski parwah na kare". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 499)

Hazrat Ata Rahimahullah farmate hai k paalaan k pichley hissey ki lakdi ek haath ya us se kuch ziyaadah (lambi) hoti hai. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 686, ise Ibne Khuzaima Hadees no. 807 ne sahih kaha)

Maloom hua k kam az kam ek haath lambi lakdi ya koi aur cheez sutrah ban sakti hai.

Hazrat Abu Huzaifa Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Batha (ek muqaam ka naam hai) mein loogo ko namaz padhaayi, Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamne ek barchi nasb thi, aapne do rakaat zuhar ki namaz padhaayi aur do rakaat asar ki, us waqt barchi ki doosri taraf auratey aur gadhey chale ja rahey they. (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 495, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 503)

NAMAZI K AAGEY SE GUZARNE KA GUNAH:

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Agar namazi k saamne se guzarne wale ko guzarne ki saza maloom ho jaye to usey ek qadam aagey badhne ki bajaaye chalees tak wahi khade rehna pasand ho, Abu Nazar ne kaha k mujhe yaad nahi raha k Basar bin Saeed ne chalees din kahe ya chalees maheeney ya chalees saal". (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 510, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 507)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tum namaz ada karte waqt aagey sutrah khada karo aur agar koi shaks sutrah k andar (yaani namazi aur sutrah k darmiyaan) se guzarna chaahey to uski muzahamat karo aur usey aagey se na guzarne do, agar wo naa maane to us se ladaayi karo, beshak wo shaitan hai". (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 509, Sahih Muslim Hadees no. 505)

Ek riwayat mein hai k do baar to usey haath se roko agar wo na rukey to us se haatha-paayi se bhi guraiz na kiya jaye (kyunki) wo shaitan hai. (Sahih Ibne Khuzaima Hadees no. 808, ise ibne Khuzaima ne sahih kaha)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam sutrah aur apne darmiyaan mein se kisi cheez ko guzarne na dete they, ek dafa Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz ada farma rahe they k ek bakri dodati (bhaagti) hui aayi aur aapke aagey se guzarna chahti thi, aapne apna batan mubarak diwar k saamne laga diya to bakri ko sutrah k pichey se guzarna pada. (Sahih Ibne Khuzaima Hadees no. 827, Hakim aur Zahbi ne sahih kaha)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki jaa-namaz aur diwar k darmiyaan ek bakri k guzarne ka faasla hota tha. (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 496, Sahih Muslim Hadees no. 508)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Agar namazi k aagey ounth k palaan ki pichli lakdi jitna lamba sutrah na ho aur baaligh aurat, gadha ya siyaah kutta aagey se guzar jaaye to namaz toot jati hai, aur siyaah kutta shaitan hai". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 510)

Hazrat Ayesha Siddiqa Razi Allahu Anha se riwayat hai k mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k aagey sooti thi, mere paao aapke saamne hotey they, jab aap sajdah karte to mein apne paao samait leti aur jis waqt aap khade hote to pao phela deti, un dino gharo mein chiraag nahi hote they. (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 513, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 512)

Maloom hua k guzarna to mana hai lekin aagey koi laita ho to koi harj nahi.

No comments:

Post a Comment