Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Monday 31 August 2015

NAMAZ - 11 SAHABA RAZI ALLAHU ANHUM KI SHAHADAT

NAMAZ - 11 SAHABA RAZI ALLAHU ANHUM KI SHAHADAT

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Abu Humaid Saadi Razi Allahu Anhu se riwayat hai k unhone Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k das Sahaba Razi Allahu Anhum (ki jamat) mein kaha k mein tum (sab) se ziyaadah Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki namaz k tareeqey ko jaanta hu, Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum ne kaha phir (hamare ru-baru Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki namaz) bayan karo, Hazrat Abu Humaid Saadi Razi Allahu Anhu ne kaha: Jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz k liye khade hote (to) apne dono haath kandho k barabar uthaate phir takbeer (tehrima) kehte phir quran padhte phir (ruku k liye) takbeer kehte aur apne dono haath kandho k barabar uthaate phir ruku karte aur apni hatheliya apne ghutno par rakhte phir (ruku k doraan) kamar seedhi karte, pas na apna sar jhukaate aur na buland karte (yaani peeth aur sar hamwaar rakhte) aur phir apna sar ruku se uthaate pas kehte (SAMI ALLAHULIMAN HAMIDAH) phir apne dono haath uthaate yaha tak k unko apne kandho k barabar karte aur (qauma mein itminaan se) seedhey khade ho jaate phir (ALLAHU AKBAR) kehte phir zameen ki taraf sajdey k liye jhukte pas apne dono haath (baazu) apne dono pehluo, (raano aur zameen) se door rakhte aur apne dono pao ki ungliya khoolte (is tarah k ungliyo k sirey qiblah rukh hote) phir apna sar sajdey se uthaate aur apna baaya pao moodte (yaani bicha lete) phir us par baithtey aur seedhey hote yaha tak k har haddi apni jagah par aa jati (yaani badey itminaan se jalsa mein baithtey) phir (doosra) sajdah karte phir (ALLAHU AKBAR) kehte aur uthtey aur apna baaya pao moodte, phir us par baithtey aur dil jamie se aetadaal karte yaha tak k har haddi apne thikaane par aa jati (yaani itminaan se jalsa e istarahat mein baithtey) phir (doosri rakaat k liye) khade hote phir usi tarah doosri rakaat mein karte, phir jab do rakaat padh kar khade hote to (ALLAHU AKBAR) kehte aur apne dono haath kandho k barabar uthaate, jese namaz k shuru mein takbeer e oula k waqt kiya tha, phir usi tarah apni baaqi namaz mein karte yaha tak k jab wo sajdah hota jiske baad salaam hai (yaani aakhiri rakaat ka doosra sajdah jiske baad baith kar tashahud, darood aur dua padh kar salaam phairte hai) apna baaya pao (daayi pindli k nichey se bahar) nikaalte aur baayi janib kulhey (sireen) par baithtey phir salaam phair tey, (ye sun kar) un Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum ne kaha (ae Abu Humaid Saadi Razi Allahu Anhu) tumne sach kaha Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam isi tarah namaz padha karte they. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 730, Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 304, ise Ibne Hibban, Tirmizi aur Nawawi ne sahih kaha)

Is Hadees se bahut baatey maloom hoti hai jis mein se ek ye hai k Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum k nazdeek Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki wafaat tak rafulyadain mansookh nahi hua.

No comments:

Post a Comment