Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Sunday 11 October 2015

AAKHITI QAADAH (TASHAHUD) AUR DAROOD SHAREEF

AAKHIRI QAADAH (TASHAHUD) AUR DAROOD SHAREEF

Bismillahirrahmanirraheem

Is aakhiri qaadey mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam yuh baithte they jesa k Hazrat Abu Saadi Razi Allahu Anhu bayan karte hai k jab wo sajdah aata jiske baad salaam hai (yaani jab aakhiri rakaat ka doosra sajdah karke faarigh hote aur tashahud wagairah k liye baithte) to apna baaya pao (daayi pindali k nichey se bahar) nikaalte aur daayen pao ko khada karke nasb karte aur apni baayi janib k kulhey par baithte, phir (tashahud, darood aur dua padh kar) salaam phairte. (Sahih Bukhari Hadees no. 828, Abu Dawood Hadees no. 730)

Baayi janib kulhey par baithna "TAWARRUK" kehlata hai, ye sunnat hai, har musalman ko aakhiri qaadey mein tawarruk zaroor karna chahiye, kitne afsoos ki baat hai k hamari auratey to aakhiri tashahud mein tawarruk karey aur mard is sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam se mehroom rahey.

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne us shaks ko mana kiya jo tashahud ki halat mein baayen haath par taik lagaaye hue tha aapne farmaya "Aese na baitho, is tarah wo baithte they jin par Allah ta'ala ka azaab nazil hua tha". (Musnad Ahmad, An Abdullah bin Umar 2:116, 5972 wa isnaada hasan)

Jab aap is qaadey mein baithey to pehle at'tahhiyaat padhey jis tarah doosri rakaat padh kar aapne qaadey mein padhi thi, aur rafa e sabbaaba bhi kare, at'tahhiyaat khatam karke mandarja zail darood shareef padhey:

Hazrat Kaab bin Ujrah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k humne kaha ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam hum aap par kese darood bhejey aapne farmaya kaho:

"ALLAHUMMA SALLI ALA MUHAMMADIN WA ALA AALI MUHAMMADIN KAMA SAL'LAITA ALA IBRAHEEMA WA ALA AALI IBRAHEEMA INNAKA HAMEEDUM MAJEED, ALLAHUMMA BAARIK ALA MUHAMMADIN WA ALA AALI MUHAMMADIN KAMA BAARAKTA ALA IBRAHEEMA WA ALA AALI IBRAHEEMA INNAKA HAMEEDUM MAJEED"

"Ya Allah rahmat bhej Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur aal e Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam par jese rahmat bheji tooney Ibraheem Alaihis Salaam aur aal e Ibraheem Alaihis Salaam par beshak tu tareef kiya gaya, buzurgi wala hai, Ya Allah barkat bhej Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur aal e Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam par jese barkat bheji tooney Ibraheem Alaihis Salaam aur aal e Ibraheem Alaihis Salaam par beshak tu tareef kiya gaya, buzurgi wala hai". (Sahih Bukhari Kitabul Ahadeesul Anbiya Hadees no. 3370, Sahih Muslim Hadees no. 406)

Hazrat Abu Mas'ood Ansari Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha gaya k hum aap par kese darood padhey to aapne farmaya kaho:

"ALLAHUMMA SALLI ALA MUHAMMADIN WA ALA AALI MUHAMMADIN KAMA SAL'LAITA ALA IBRAHEEMA WA BAARIK ALA MUHAMMADIN WA ALA AALI MUHAMMADIN KAMA BAARAKTA ALA IBRAHEEMA FIL AALAMEENA INNAKA HAMEEDUM MAJEED". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 406)

Hazrat Abu Humaid Saadi Razi Allahu Anhu se riwayat hai k unhone arz ki ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam hum aap par kese darood bhejey aapne farmaya kaho:

"ALLAHUMMA SALLI ALA MUHAMMADIN WA ALA AZWAAJIHI WA ZURRIYATIHI KAMA SAL'LAITA ALA AALI IBRAHEEMA WA BAARIK ALA MUHAMMADIN WA ALA AZWAAJIHI WA ZURRIYATIHI KAMA BAARAKTA ALA IBRAHEEMA INNAKA HAMEEDUM MAJEED"

"Ae Allah! Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam unki beewiyo aur unki aulaad par rahmat farma jesa k tuney aale Ibraheem par rahmat farmayi aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam, unki beewiyo aur unki aulaad par barkat farma jesa k tuney aale Ibraheem par barkat farmayi, beshak tu tareef wala aur buzurgi wala hai". (Sahih Bukhari Hadees no. 3369, Sahih Muslim Hadees no. 407)

Kisi bhi sahih riwayat mein darood shareef mein "SAYYIDANA" ya "MAULANA" ka lafz mojood nahi hai, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Sahaba Razi Allahu Anhum ko jo darood sikhaaya tha, jab usme ye alfaaz nahi hai to hamey bhi izaafa nahi karna chahiye, Hafiz ibne Hajar Rahimahullah farmate hai k jo alfaaz Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se manqool hai unki pairvi raajeh hai, Imam Nawawi Rahimahullh farmate hai k darood ka (masnoon) tareeqa ye hai k (ALLAHUMMA SALLI ALA MUHAMMADIN WA ALA AALI MUHAMMAD.....) k alfaaz k saath darood bheja jaye jo "SAYYIDANA" k lafz se khaali hai.

Hazrat Abu Talha Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k ek rooz Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum mein tashreef laye, aapke chehrey par khushi k aasaar numaaya they, aapne farmaya k mere paas Jibraeel Alaihis Salaam aaya aur usne kaha aapka parwardigaar farmata hai k "Ae Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam! kya tujhey ye baat khush nahi karti k teri ummat mein se jo shaks tujh par ek baar darood bhejta hai to mein us par das baar rahmat bhejta hu aur teri ummat mein se jo shaks tujh par ek baar salaam bhejta hai to mein us par das baar salaam bhejta hu". (Nasaayi 3:50, 1295, Imam Hakim aur Imam Zahbi ne ise sahih kaha)

No comments:

Post a Comment