Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Monday 12 October 2015

NAMAZ BA-JAMAAT KI AHMIYAT

NAMAZ BA-JAMAAT KI AHMIYAT

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu ne farmaya k jo shaks Allah ta'ala se qayamat k din musalman ho kar mulaqaat karna chahta hai to usey namazo ki hifazat karni chahiye aur beshak Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hamey hidayat k tareeqey sikhaaye, un hidayat k tareeqo mein ye baat bhi shamil hai k us masjid mein namaz ada ki jaye jisme azaan di jaati hai, aur agar tum namaz apne apne gharon mein padhogey jese (jamaat se) pichey rehne wala shaks apne ghar mein padh leta hai to tum apne Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki sunnat chood dongey aur agar Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki sunnat chood dongey to gumraah ho jaogey aur jab koi shaks accha wuzu karke masjid jaaye to Allah ta'ala har qadam k badle ek naiki likhta hai, ek darja buland karta hai aur ek buraayi mita deta hai, jamaat se, siwaaye khuley munafiq k koi pichey nahi rehta, bimaar bhi do aadmiyo k sahaare namaz k liye aata hai. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 654)

Hazrat Abdullah ibne Umar Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Akele shaks ki namaz se, jamaat k saath namaz padhna 27 darjey ziyaadah (sawaab) rakhta hai". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 645, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 650)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Us zaat ki qasam jiske haath mein meri jaan hai albatta mene iraadah kiya k mein lakdiyon k jama karne ka hukm du phir azaan kehlawaon aur kisi shaks ko imamat k liye kahu phir un loogo k ghar jala du jo namaz (jamaat) mein hazir nahi hote". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 644, Sahih Muslim Hadees no. 651)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu farmate hai k ek na-beena shaks (Hazrat Abdullah bin Ummey Maktoom Razi Allahu Anhu) aaye unhoney apne andhey hoone ka uzr paish kar k apne ghar par namaz padhne ki ijazat chaahi kyunki koi masjid mein lekar aane wala nahi tha, to Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unko ijazat de di jab wo wapas chale to aapne bula kar pucha: azaan sunte ho? Hazrat Abdullah Razi Allahu Anhu ne kaha "ji han" aapne farmaya "To phir namaz mein hazir ho". (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 653)

Bhaiyo soocho! na-beena ko ghar mein namaz padhne ki ijazat na mil saki aur aankho wale jo azaan sun kar masjid mein namaz padhne k liye nahi jaate qayamat k din unka kya haal hoga?

Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks azaan sun kar masjid mein jamaat k liye bagair kisi uzr k na pahunchey (aur ghar mein namaz padh le) to uski namaz qubool nahi ki jaati". (Ibne Maja Kitabul Masajid Hadees no. 793)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis basti ya jangal mein teen aadmi ho aur wo jamaat se namaz na padhey to un par shaitan musallat ho jata hai pas jamaat ko lazim pakdo". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 547, ise Imam Hakim 1:1246, ibne Khuzaima, Ibne Hibban, Zahbi aur Imam Nawawi ne sahih kaha)

No comments:

Post a Comment