Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday 25 February 2016

QABRO KO PUKHTA BANANE KI MUMANIYAT

QABRO KO PUKHTA BANANE KI MUMANIYAT 



Bismillahirrahmanirraheem

Qabro ko uncha karna, pukhta banana, un par gumbad aur qubbey banana haraam hai.

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pukhta qabrey aur un par imarat (gumbad wagairah) banaane se mana kiya aapne qabr par baithne aur unki taraf muh karke namaz padhne se (bhi) mana farmaya hai. (Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 972)

Chahey koi shaks mujawar ban kar baithey ya chillah kashi k liye, sab na-jayez hai.

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne qabro par likhne se bhi mana farmaya hai. (Abu Dawood Kitabul Jana'iz Hadees no. 3226, Hakim 1:370 aur Hafiz Zahbi ne ise sahih kaha)

Hazrat Ali Razi Allahu Anhu bayan karte hai k mujhe Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hukm diya k mein har tasweer mita du aur har unchi qabr barabar kardu. (Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 949)

Hazrat Ummey Habeeba aur Ummey Salma Razi Allahu Anha ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se ek girjey (church) ka zikr kiya k us mein tasweerey lagi thi, Aapne farmaya k "Jab un loogo ka koi naik shaks mar jata to wo uski qabr par masjid banate aur waha tasweerey banaate, qayamat k din ye loog Allah k nazdeek badtareen makhlooq honge". (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 427, Sahih Muslim Hadees no. 528)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne aakhri beemari (marazul maut) mein farmaya "Allah ta'ala yahood o nasara par laanat kare jinhone apne paighambaro ki qabro ko masjidey bana liya" Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne farmaya "Agar is baat ka darr na hota k loog aapki qabr ko masjid bana lenge to aapki qabr khuli jagah mein hoti". (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1390, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 529)

1 comment:

  1. your post is best but I believe this is best book to understand to Qabar.
    Qabar Ki Zindagi

    ReplyDelete