Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday 18 November 2016

NAUVA (9th) HAQQ - AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K AHLE BAIT AUR SAHABA RAZI ALLAHU ANHUM SE MUHABBAT KARNA

NAUVA (9th) HAQQ – AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K AHLE BAIT AUR SAHABA RAZI ALLAHU ANHUM SE MUHABBAT KARNA



Bismillahirrahmanirraheem

AHLE EMAAN KO AZWAAJ E MUTAHHARAAT KI TAZEEM AUR TAKREEM USI TARAH KARNI CHAHIYE JIS TARAH HUM APNI HAQEEQI MAAON KI KARTE HAI BALKE US SE BHI ZIYAADAH

"Ahle emaan k liye Nabi ki zaat unki apni zaat par muqaddam hai aur nabi ki beewiya unki maayen hai". (Surah Ahzaab Surah no. 33 Ayat no. 6)


AHLE EMAAN PAR AZWAAZ E MUTAHHARAAT KI IZZAT AUR NAMOOS KA DIFA KARNA WAJIB HAI

"Jo loog ye bohtaan ghadd laaye hai wo tumhare andar ka hi ek garooh hai, is waqiye ko apne haqq mein shar na samjho balke usme tumhare liye khair hi hai jisne us shar mein jitna hissa liya utna hi usne gunah samaita aur jisne us gunah mein sabse ziyaadah hissa dala uske liye azaab e azeem hai, jis waqt tum loogo ne usey suna usi waqt kyu na momin mardo aur monin aurato ne apne aap k baare mein naik gumaan kiya aur kyu na kaha ye to sareeh bohtaan hai". (Surah Noor Surah no. 24 Ayat no. 11-12)


AHLE EMAAN KO TAMAAM SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM KA EK JESA ADAB AUR AHTARAAM KARNA CHAHIYE

"Wo muhajir aur ansaar jinhone sabse pehle dawat e emaan par labbaik kehne mein sabqat ki aur jinhone acchey tareeqey se pairvi ki unse Allah raazi hua, aur wo Allah se raazi hue, Allah ne unke liye jannatey tayyar ki hai jinke nichey nehrey jaari hai wo un jannato mein hameesha rahengey ye bahut badi kaamyaabi hai". (Surah Tauba Surah No. 9 Ayat no. 100)


KISI MOMIN KO KISI SAHABI K BAARE MEIN APNE DIL MEIN BUGZ NAHI RAKHNA CHAHIYE BALKE UNKE LIYE MAGHFIRAT KI DUA KARNI CHAHIYE

"Aur jo loog Sahaba k baad aaye wo yun dua maangte hai: Ae hamare rabb! hamey aur hamare sab bhaiyo ko baksh de jo humse pehle emaan laaye, aur hamare dilo mein ahle emaan k liye koi bugz na rakh, ae hamare rabb! beshak tu bada shafqat farmane wala aur raham farmane wala hai". (Surah Hashar Surah no. 59 Ayat no. 10)


RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLLAM NE TAMAAM AHLE EMAAN KO AHLE BAIT SE MUHABBAT KARNE AUR UNKA KHAYAAL RAKHNE KI NASEEHAT FARMAYI

Hazrat Zaid bin Arkam Razi Allahu Anhu kehte hai makkah aur madeena k darmiyaan ek paani ki jagah hai jise "Khum" kehte hai (hajjatul wida se waapsi par) ek rooz Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam waha khutba dene k liye khade hue Allah Ta'ala ki hamd wa sana bayan farmayi waaz wa naseehat irshad farmayi phir farmaya "Amma Baad! Ae loogo mein ek aadmi hu (jise maut aani hai) qareeb hai k Allah ka farishta mere paas aaye aur mein usey labbaik kahun (yaad rakkho) mein tumhare darmiyaan do aham cheezey choodey ja raha hu un mein se pehli to Allah ki kitab hai jis mein hidayat hai aur roshni hai us se ahkaam lena aur usey mazbooti se thaamey rakhna" garz Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne loogo ko quran majeed par amal karne par ubhaara aur uski targheeb dilaayi phir farmaya "Doosri cheez mere ahle bait hai apne ahle bait k muamaley mein, mein tumhey Allah (ka khauf) yaad dilata hu" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne do baar ye baat irshad farmayi. (Sahih Muslim Kitabul Faza'il)

Wazahat: 1. Yaha ahle bait se muraad Abdul Muttalib ki aulaad se tamaam musalman mard aur auratey hai (Wallahu Aalam bis Sawab)
2. Ahle bait k huqooq se muraad unka adab aur ahtaraam karna, unke liye dua karna aur unke faza'il aur buzurgi ka zikr karna shamil hai (Wallahu Aalam bis Sawab)
3. Ahle bait mein saaleh aur ghair saaleh dono tarah k loog shamil hai, ghair saaleh loogo k baare mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka ye irshad e mubarak qaul faisal hai "Jis shaks ko uske amal ne pichey kar diya uska nasb usey aagey nahi badha sakega". (Muslim)


SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM KO TAMAAM LOOGO SE AFZAL AUR AALA SAMAJHNA EMAAN KA HISSA HAI

Hazrat Abdullah (ibne Mas'ood) Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se kisi ne daryaft kiya "Kaun se loog afzal hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Mere zamaane k loog, phir unke baad aaney wale (doosre darje par) phir unke baad aaney wale (teesre darje par)". (Sahih Muslim Kitabul Faza'il)


RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K BAAD AHLE EMAAN KO SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM K NAQSH E QADAM PAR CHALNE KA HUKM DIYA GAYA HAI

Hazrat Abdullah Ibne Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Meri ummat 73 firqo mein batt jayegi ek k alawah baaqi sab firqey jahannam mein jayengey "Sahaba e Kiram Razi Allahu Anhum ne daryaft kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! wo kaunsa firqa hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Jo mere aur mere as'haab k tareeqey par hoga". (Tirmizi Abwabul Emaan 2:2128)


ANSAAR SE MUHABBAT KARNA EMAAN KI ALAMAT HAI

Hazrat Bara (bin Aajib) Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k ansaar se wahi muhabbat karega jo momin hoga aur unse wahi dushmani karega jo munafiq hoga pas jisne ansaar se muhabbat ki us se Allah muhabbat karega aur jisne ansaar se dushmani ki us se Allah dushmani karega. (Sahih Bukhari Kitabul Manaqib ul Ansaar)


ANSAAR SE MUHABBAT, WAFADAARI AUR HAMDARDI KARNE WALO K LIYE BHI AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE DUA FARMAYI

Hazrat Umar bin Murrah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k unhone ek ansari Abu Hamzah Razi Allahu Anhu ko Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se arz karte suna "Har qaum k taabdaar (khair-khuwah aur hamdard) hote hai humne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki taabdaari ki, Aap dua farmaiye k jo loog hamari taabdaari kare Allah unhey bhi hamare saath (ajr o sawaab mein) shareek farmaye" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ya Allah! unke taabdaaro ko bhi unke (ajr o sawaab mein) shareek farma de". (Sahih Bukhari Kitabul Manaqib ul Ansaar)


RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE MUHAJIREEN AUR UNKI AULAAD SE HUSN E SALOOK KI WASEEYAT FARMAYI

Hazrat Abdur Rahman bin Auf Razi Allahu Anhu kehte hai jab Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki wafaat ka waqt qareeb aaya to Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! hamey koi waseeyat farmaiye" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Mein tumhey muhajireen mein se sabse pehle emaan lane walo aur unki aulaado aur unke baad aane walo (yaani tabaeen) ka adab aur ahtaraam karne ki waseeyat karta hu" jo shaks unka adab aur ahtaraam nahi karega Allah Ta'ala uska farz ya nafil kuch bhi qabool nahi karega. (Majmua uz Zawa'id 9:738)


HAZRAT ABU BAKR SIDDEEQUE RAZI ALLAHU ANHU APNE QURABAT DAARO KI NISBAT RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K QURABAT DAARO K HUQOOQ KA ZIYAADAH KHAYAL RAKHTE THEY

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai Hazrat Abu Bakr Siddeeque Razi Allahu Anhu ne farmaya "Us zaat ki qasam! jiske haath mein meri jaan hai apne qurabat daaro se sulah rahmi ki nisbat mujhe Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k qurabat daaro se sulah rahmi karna ziyaadah mehboob hai". (Sahih Bukhari Kitabul Manaqib)


SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM KO BURA BHALA KEHNA HARAAM HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mere saathiyo ko bura mat kaho, mere Sahaba ko bura mat kaho, us zaat ki qasam! jiske haath mein meri jaan hai agar tum mein se koi shaks uhad pahaad k barabar bhi soona kharch kare to Sahaba k mudh ya aadhey mudh k barabar bhi nahi pahunch sakta". (Sahih Muslim Kitabul Faza'il)


SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM KO BURA KEHNE WALE PAR ALLAH KI, FARISHTO KI AUR SAARE AHLE EMAAN KI LAANAT HAI AUR US KI KOI IBADAT QABOOL NAHI

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne mere Sahaba ko bura bhala kaha us par Allah ki, farishto aur saare (emaandaar) loogo ki laanat hai, Allah uski farz ya nafil ibadat qabool nahi farmayega". (Silsila Ahadees e Saheeya lil Albaani Hadees no. 2340)


HAR MUSALMAN KO AHLE BAIT AUR SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM KI HAYAAT E TAYYEBA AUR SEERAT KA MUTA'ALA KARNA CHAHIYE

Hazrat Shafeeq Balkhi Rahimahullah kehte hai Hazrat Abdullah ibne Mubarak Rahimahullah se kaha gaya, Aap namaz padh chukey hai to phir hamare saath kyu nahi baithtey? Hazrat Abdullah ibne Mubarak Rahimahullah ne jawab diya "Mein Sahaba aur tabaeen k saath baithta hu yaani unki kutub aur seerat ka muta'ala karta hu, tumhaare sath baith kar kya karunga tum baith kar doosro ki gheebat karte ho". (Siyar Aala min Nubala li bin Jauzi 8:398)

No comments:

Post a Comment