Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday 3 October 2014

SHIRK SUNNAT KI ROSHNI MEIN

SHIRK SUNNAT KI ROSHNI MEIN

Bismillahirrahmanirraheem

KABEERA GUNAH MEIN SABSE BADA GUNAH SHIRK HAI

Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu se riwayat hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha "Allah ta'ala k nazdeek konsa gunah sab se bada hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya ye k "tu Allah ta'ala k saath shirk kare halankey usne tujhe paida kiya hai" Hazrat Abdullah Razi Allahu Anhu kehte hai mene arz kiya "han waqayi ye to bahut bada gunah hai" phir mene arz kiya "Shirk k baad konsa bada gunah hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Phir ye k tu apni aulaad ko is darr se qatal kare k wo tere saath khana khaye gi" phir mene arz kiya "ukse baad?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "ye k tu hamsaaye (padoosi) ki beewi se zina kare". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)


SHIRK SABSE BADA ZULM HAI

Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu kehte hai jab (Surah Anaam ki) aayat "AL LAZEENA AAMANU WA LAM YALBISU EEMAANAHUM BI ZULM" (yaani wo loog jo emaan laye aur apne emaan k saath zulm ko alag nahi kiya) nazil hui to Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum par bahut girah guzri unhone kaha "Hum mein se kaun aesa hai jisne emaan laane k baad koi zulm (gunah) na kiya ho?" (Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko maloom hua to) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Is aayat mein zulm se muraad aam ganah nahi (balkey shirk hai) kya tumne (quran majeed mein) luqman ka qaul nahi suna jo unhone apne baite (son) se kaha tha k "Shirk sabse bada zulm hai". (Sahih Bukhari Kitabut Tafseer)


SHIRK ALLAH TA'ALA KO SABSE ZAYADA TAKLEEF DENE WALA GUNAH HAI

Hazrat Moosa Ash'ari Razi Allahu Anhu kehte hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Takleef deh baat sun kar Allah ta'ala se zayada sabr karne wala koi nahi, mushrik kehte hai Allah ta'ala ki aulaad hai phir bhi Allah ta'ala unhe aafiyat mein rakhta hai aur roozi deta hai". (Sahih Bukhari Kitabut Tauheed)


SHIRK KANRE WALA ALLAH TA'ALA KO GAALI DETA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah ta'ala farmata hai k ibne Aadam ne mujhe jhutlaaya hai aur ye uske liye munasib na tha, ibne Aadam ne mujhe gaali di aur ye uske liye munasib na tha, raha uska mujhe jhutlaana to wo uska ye kehna hai k Allah ta'ala mujhe hargiz dobara nahi paida karega jesa k usne pehli dafa paida kiya, halankey pehle paida karna dobara paida karne se zayada aasaan nahi hai aur uska mujhey gaali dena ye hai k usne kaha k Allah ta'ala ki aulaad hai halankey mein akela beniyaaz hu na meri koi aulaad hai aur na mein kisi ki aulaad hu aur na koi mera hamsar hai". (Sahih Bukhari Kitabut Tafseer Surah Qul hu wallahu ahad)


QAYAMAT K ROOZ ALLAH TA'ALA MUSHRIK KO USKE NAIK AAMAAL KA BADLA DENE SE INKAAR KAR DEGA

Hazrat Mahmood bin Labeed Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Tumhare baare mein mujhe jin cheezo ka khauf hai unme se zayada daraaney wali cheez shirk e asgar hai" Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! shirk e asgar kya hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Riya" qayamat k rooz jab loogo ko unke aamaal ka badla diya ja raha hoga to Allah ta'ala (riya mein mubtala) loogo se kahega "Jao un loogo k paas jinko dikhane k liye tum naik aamaal kiya karte they aur phir dekho unse tum kya jaza paate ho?". (Musnad Ahmad, Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 951)


SHIRK INSAN KO HALAAK KANRE WALA GUNAH HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Halak kanre wale saat (7) gunaho se bacho" Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! wo (saat gunah) kaun se hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya:

1. Allah ta'ala k saath shirk karna
2. Jaadu
3. Na haqq kisi jaan ko qatal karna jise Allah ta'ala ne haraam thehraya hai
4. Yateem ka maal khana
5. Sood khana
6. Maidaan e jang se bhaagna aur
7. Bholi bhali momina aurato par tohmat lagana. (Sahih Muslim Kitabul Emaan)


RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE MUSHRIKO K LIYE BAD'DUA FARMAYI

Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne baitullah shareef ki taraf muh kiya aur quraish k cheh (6) aadmiyo k liye badd'dua farmayi, jinme Abu Jahal, Umaiyya bin Khalf, Atibba bin Rabeeya, Shaiba bin Rabeeya, aur Uqba bin Abu Mu'eet shamil they, (Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu kehte hai) mein Allah ki qasam kha kar kehta hu k mene un loogo ko badr k maidaan mein is haal mein dekha k dhoonp se unke jism kaale pade hue they kyunki wo bahut garam din tha. (Sahih Muslim Kitabul Jihaad)


SHIRK KARNE WALA JAHANNAMI HAI

Hazrat Abdullh bin Mas'ood Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks is haal mein mare k Allah ta'ala k siwa kisi doosre ko shareek banata tha wo aag mein dakhil hoga". (Sahih Bukhari Kitabul Emaan)


KISI NABI YA WALI K SAATH QAREEBI TALLUQ BHI MUSHRIK KO JAHANNAM K AZAAB SE NAHI BACHA SAKEGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "k Hazrat Ibraheem Alaihis Salaam qayamat k din apne baap aazar ko is haal mein dekhenge k uske muh par siyaahi aur gard o gubaar jama hoga chunanchey hazrat Ibraheem Alaihis Salaam kahenge "Mene dunya mein tumhey kaha nahi tha k meri nafarmaani na karo"? Aazar kahega "accha aaj mein tumhari nafarmani nahi karunga" "Hazrat Ibraheem Alaihis Salaam (apne rabb se darkhawast karenge) "Ae mere rabb! tooney mujhse wada kiya tha k mujhe qayamat k rooz ruswa nahi karega lekin is se zayada ruswayi aur kya hogi k mera baap teri rahmat se mehroom hai" Allah ta'ala irshad farmayega "Mene jannat kafiro par haraam kardi hai phir Allah ta'ala farmayega" Ae Ibraheem Alihis Salaam! tumhare dono pao k nichey kya hai? "Hazrat Ibraheem Alaihis Salaam dekhenge k galazat mein lat-pat ek bicchu hai jise (farishte) pao se pakad kar jahannam mein daal denge". (Sahih Bukhari Kitabul Bad ul Khalk)


QAYAMAT K ROOZ MUSHRIK ROOH E ZAMEEN KI SAARI DOLAT DE KAR JAHANNAM SE NIKALNA CHAHEGA LEKIN AESA MUMKIN NA HOGA

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "(qayamat k rooz) Allah ta'ala us dozakhi se farmayega jise sabse halka azaab diya ja raha hoga k agar tere paas is waqt rooh e zameen ki saari dolat mojood ho to kya tu apne aapko azaad karaane k liye dega?" wo kahega "Han zaroor de dunga" Allah ta'ala irshad farmayega "Dunya mein mene tujhse iski nisbat bahut hi aasaan baat ka mutaalba kiya tha wo ye k mere saath kisi ko shareek na thehraana, lekin tooney meri ye baat na maani aur mere sath shirk kiya". (Sahih Bukhari Kitabur Riqaaq)


MUSHRIK SE DEENE UMOOR KO MUTASSIR KARNE WALE TAALLUQAAT RAKHNE MANA HAI

Hazat Jareej Razi Allahu Anhu kehte hai k mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hue , Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam (loogo se) bait le rahe they mene arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! apna haath aagey badhaiye takey mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki bait karu aur (han) mujhe shara'it bata dijiye (kyunki) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam mujhse zayada jaante hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Mein tujhse in shara'it par bait lunga:
1. Tu Allah ta'ala ki bandagi karega
2. Namaz qayam karega
3. Zakaat ada karega
4. Musalmano ki khair khawahi karega aur
5. Mushriko se alag rahega". (Sahih Sunun Nasayi Hadees no. 3893)


AESI JAGAH JAHA SHIRK KIYA JATA THA, YA KIYA JA RAHA HO, WAHA JAYEZ IBADAT KARNA BHI MANA HAI

Hazrat Saabit bin Zahaak Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek shaks ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k zamaney mein boona naami jagah par ounth zibah karne ki nazar maani wo Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua (aur arz kiya) mene boona par ounth zibah karne ki nazar maani hai (apni nazar poori karu ya na karu?) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne daryaft farmaya "Kya waha zamana e jahiliyat mein koi butt tha jiski pooja ki jaati rahi ho?" Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Nahi" tab Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pucha "Kya waha mushriko ka koi maila lagta tha?" Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Nahi" tab Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam irshad farmaya "Apni nazar poori karo aur yaad rakkho Allah ta'ala ki nafarmani wali nazar poori karna jayez nahi na hi wo nazar jo insaan k bas mein na ho". (Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 2834)

No comments:

Post a Comment