Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Tuesday 30 September 2014

SHIRK QURAN MAJEED KI ROSHNI MEIN

SHIRK QURAN MAJEED KI ROSHNI MEIN

Bismillahirrahmanirraheem

SHIRK SABSE BADI JAHALAT HAI
SHIRK TAMAAM NAIK AAMAAL KO ZAAYA KAR DETA HAI KHAWAH NABI HI KYU NA HO

"(Ae Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam) in se kaho phir kya ae jahilo! tum Allah ta'ala k siwa kisi aur ki bandagi karne k liye mujhse kehte ho? (halankey) tumhari taraf aur tumse pehle guzare hue tamaam ambiya ki taraf ye wahi bheji ja chuki hai k agar tumne shirk kiya to tumhara amal zaaya ho jayega aur tum khasarey mein rahoge". (Surah Zumar Surah no. 39 Ayat no. 45-46)


SHIRK INSAN KO AASMAN KI BULANDIYO SE ZAMEEN KI PASTI MEIN GIRA DETA HAI, JAHA WO MUSALSAL MUKHTALIF GUMRAHIYO MEIN DHASTA CHALA JATA HAI HATTA K HALAAK AUR BARBAAD HO JATA HAI

"Aur jisne Allah ta'ala k saath shirk kiya wo gooya aasaman se gir pada ab ya to use parindey (yaani shayateen) achak le jayenge ya hawa (khawahishaat e nafs) usko aesi jagah le ja kar phenk degi jaha uske cheethdey (botiya botiya) oudh jayenge". (Surah Hajj Surah no. 22 Ayat no. 31)


MUSHRIK KO TAUHEED KA ZIKR BADA NA-GAWAAR MEHSOOS HOTA HAI

"Jab ek Allah ta'ala ka zikr kiya jata hai to aakhirat par emaan na rakhne walo k dil kudhne lagte hai aur jab uske siwa doosro ka zikr hota hai to yakayak khushi se khil uthtey hai". (Surah Zumar Surah no. 39 Ayat no. 45)


SHIRK K MUAMALEY MEIN WALIDAYEN YA KISI AALIM YA KISI MURSHID KI ITA'AT KARNA HARAAM HAI

"Humne insan ko hidayat ki hai k wo walidayen k saaath naik sulook kare lekin agar walidayen zoor daaley k tu mere saath kisi (aese mabood) ko shareek thehray jise (shareek ki hesiyat se) tu nahi jaanta to unki ita'at na kar, meri hi taraf tum sab ko palat kar aana hai phir mein tumko bataunga k tum kya karte rahe ho". (Surah Ankaboot Surah no. 29 Ayat no. 8)


MUSHRIK MARD YA AURAT KA TAUHEED PARAST AURAT YA MARD SE NIKAH HARAAM HAI

"Mushrik aurato se nikah hargiz na karo jab tak wo emaan na le aye ek momin loondi mushrik aazaad aurat se behtar hai agarche wo (yaani mushrik aurat) tumhey pasand hi ho aur apni aurato k nikah mushrik mardo se bhi hargiz na karo jab tak wo emaan na le aaye, ek gulam momin, aazaad mushrik se behtar hai khawah wo mushrik tumhey kitna hi pasand ho". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 221)


HALAT E SHIRK MEIN FAUT HONE WALE MUSHRIKO K LIYE DUA E MAGFIRAT KARNA MANA HAI

"Nabi ko aur un loogo ko jo emaan laye hai zaiba nahi hai k mushriko k liye magfirat ki dua kare chahey wo unke rishtedaar hi kyu na ho jab k un par ye baat khul chuki hai k wo jahannam k mustahiq hai". (Surah Tauba Surah no. 9 Ayat no. 113)


MUSHRIK PAR JANNAT HARAAM HAI AUR WO HAMESHA HAMESHA K LIYE JAHANNAM MEIN RAHEGA

"Hazrat Isa Alaihis Salaam ne (apni qaum Bani Israeel) se kaha, ae bani israeel Allah ta'ala ki bandagi karo jo mera bhi rabb hai aur tumhara bhi, jisne Allah ta'ala k saath kisi ko shareek thehraya us par Allah ta'ala ne jannat haraam kardi aur uska thikaana jahannam hai, aur aese zalimo ka koi madadgaar nahi". (Surah Maida Surah no. 5 Ayat no. 72)

"Ahle kitab aur mushriko mein se jin loogo ne kufr kiya wo yaqeenan jahannam ki aag mein jayenge aur hamesha usme rahenge aese loog bad'tareen makhlooq hai". (Surah Bayyina Surah no. 98 Ayat no. 6)


HAQEEQAT E SHIRK SAMJHAANE K LIYE QURAN MAJEED KI CHAND HAKEEMANA MISALEY

1. "Jin loogo ne Allah ta'ala ko chood kar doosrey sarparast bana liye hai unki misaal makdi jesi hai jo apna ek ghar banati hai aur sab gharo se zayada kamzoor ghar makdi ka hi hota hai kaash ye loog is haqeeqat ko jaantey". (Surah Ankaboot Surah no. 29 Ayat no. 41)

2. "Ae loogo! ek misaal di jaati hai use zara gaur se suno, Allah ta'ala ko chood kar jin maboodo ko tum pukaarte ho wo sab mil kar ek makkhi bhi paida nahi kar saktey balkey makkhi agar unse koi cheez cheen le jaye to wo use chuda (wapas nahi le sakte) bhi nahi sakte, madad chahne (maangne) wala bhi kamzoor aur jinse madad chaahi (maangi) jaati hai wo bhi kamzoor, in loogo ne Allah ta'ala ki qadar hi nahi pehchaani jesa k uske pehchaan'ne ka haqq tha haqeeqat ye hai k quwwat aur izzat wala to Allah hi hai". (Surah Hajj Surah no. 22 Ayat no. 73-74)

3. "Allah ta'ala ko chood kar jinhe ye (mushrik) loog pukaate hai wo (maboodaan e baatil) unki duwaon ka koi jawab nahi de sakte unhe pukaarna to aesa hi hai jese koi shaks paani ki taraf haath phaila kar us'se darkhawast kare k tu mere muh tak pahunch ja, halanakey paani us tak pahunchne wala nahi bas isi tarah kaafiro ki duwaye bekaar jaane wali hai". (Surah Raad Surah no. 13 Ayat no. 14)

4. "Allah ta'ala ek misaal deta hai, ek gulam to wo hai jiske malik hone mein bahut se kujh khalk aaqa shareek hai jo use apni apni taraf khechte hai aur doosra shaks mukammal taur par sirf ek hi aaqa ka gulam hai, kya un dono ka haal yaksa (ek jesa) ho sakta hai? Alhamdullah (aesa nahi) magar aksar loog nahi jaante". (Surah Zumar Surah no. 39 Ayat no. 29)

5. "Allah ta'ala tumhey tumhari zaat se hi ek misaal deta hai kya tumhare in gulaamo mein se jo tumhari milkiyat mein hai kuch gulam aese bhi hai jo hamare diye hue maal wa dolat mein tumhare saath barabar k shareek ho aur kya tum unse is tarah darte ho jis tarah aapas mein apne hamsaro se darte ho? is tarah hum aayat khool kar paish karte hai un loogo k liye jo aqal se kaam lete hai". (Surah Room Surah no. 30 Ayat no. 28)

6. "Allah ta'ala ek misaal deta hai ek to hai gulam jo doosre ka mamlook hai aur khud koi ikhtiyaar nahi rakhta, (jese muskriko k thehraye hue shuraka) doosra shaks wo hai jise humne apni taraf se accha rizk ata kiya hai aur wo usme se khuley aur acchey (apni marzi se) kharch karta hai (yaani poori tarah ba'ikhtiyaar hai jese Allah ta'ala) batao kya dono barabar hai? Alhamdulillah (hargiz nahi) magar aksar loog nahi jaante". (Surah Nahal Surah no. 16 Ayat no. 75)


QAYAMAT K ROOZ ALLAH TA'ALA KI BAARGAH MEIN FARISHTE AMBIYA WA RUSUL AUR AULIYA AUR SULHA UN MUSHRIKEEN K KHILAAF GAWAHI DENGE JO DUNYA MEIN UNHE ALLAH TA'ALA KA SHAREEK THEHRAATE RAHE HONGE
QAYAMAT K ROOZ MUSHRIKEEN K MABOOD UNKE KISI KAAM NAHI AYENGE

1. MALAIKA (FARISHTE)

"Aur jis din Allah ta'ala tamaam insano ko jama karega phir farishto se puchega "kya ye (mushrik) loog tumhari hi ibadat kiya karte they?" faishte jawab denge paak hai teri zaat , hamara talluq to aap se hai na k in loogo se, dar'asal ye hamari nahi jinno ki ibadat karte they, in (mushrikeen) mein se aksar unhi par emaan laaye hue they". (Surah Saba Surah no. 34 Ayat no. 40-41)

2. AMBIYA WA RUSUL

"Jis rooz Allah ta'ala sab Rasoolo ko jama kar k puchega k tumhey kya jawab diya gaya to wo arz karenge "hame kuch ilm nahi, ghaib ki baatey to aap hi k ilm mein hai". (Surah Maida Surah no. 5 Ayat no. 109)

"(Qayamat k din) jab Allah ta'ala farmayega "Ae Isa bin Mariyam! kya tooney looogo se kaha tha k khuda k siwa mujhe aur meri maa ko bhi khuda banao?" to wo jawab mein arz karega k "Subhan Allah" mera ye kaam na tha k wo baat kehta jiske kehne ka mujhe koi haq nahi tha, agar mene aesi baat kahi hoti to mujhe zaroor ilm hota tu jaanta hai, jo kcuh mere dil mein hai aur mein nahi jaanta jo tere dil mein hai beshak tu saari poshidah baato se waqif hai, mene unse is k siwa kuch nahi kaha jiska tooney hukm diya tha wo ye k Allah ta'ala ki bandagi karo jo mera rabb hai aur tumhara rabb bhi, mein us waqt tak unka nigraan tha jab tak k mein unke darmiyaan tha, jab tooney mujhe wapas bula liya to phir tu hi in par nigraan tha aur tu saari hi cheezo par nigraan hai". (Surah Maida Surah no. 5 Ayat no. 116-117)

3. AULIYA WA SULHA

"Aur jis rooz Allah ta'ala un (mushriko) ko bhi ikattha kar layega aur unke un maboodo ko bhi bulayega, jinhey aaj ye Allah ta'ala ko chood kar poojh rahe hai phir wo un (maboodo) se puchega "Kya tumne mere in bando ko gumrah kiya tha ya ye khud raah e raast se bhatak gaye they?" wo arz karenge "Paak hai teri zaat hamari to ye majaal na thi k tere siwa kisi doosre ko apna maula banate, magar tooney unko unke baap dada ko bartane ko nematey di hatta k ye (tere) irshadaat ko bhool gaye aur ye halaak hone wale loog they". (Surah Furqaan Surah no. 25 Ayat no. 17-18)

"Aur jis rooz hum un sab (yaani shareek thehraye gaey aur shareek thehraane wale loogo) ko ek saath ikattha karenge to un looog se jinhone shirk kiya hai kahenge k thehar jao tum sabhi aur tumhare thehraye hue shareek bhi, phir hum inke darmiyaan se ajnabiyat ka pardah hata denge (yaani wo mushrik aur unke thehraye hue shareek ek doosre ko pehchaan lenge) tab unke thehraye hue shareek kahenge "Tum hamari ibadat to nahi karte they (aur us baat par) hamare aur tumhare darmiyaan Allah ta'ala ki gawahi kaafi hai k (agar tum hamari ibadat karte bhi they to) hum tumhari is ibadat se bilkul be-khabar they". (Surah Younus Surah no. 10 Ayat no. 28-29)


QAMAYAT K ROOZ MUSHRIKO AUR SHURAKA KI HALAT E ZAAT PAR QURAN MAJEED KA EK TANZIYA TABSIRAH

"(Qayamat k rooz hukm hoga) ghair lao un sab zalimo ko, unke saathiyo ko aur un maboodo ko jinki wo Allah ta'ala ko chood kar ibadat kiya karte they, phir un sab ko jahannam ka raasta dikhao aur (han) zara unhe thehrao unse kuch puchna hai "Kya ho gaya tumhey tum ek doosre ki madad kyu nahi kar rahe?" arey aaj to ye sab bade farmabardaar bane hue hai? (yaani har baat par bila chu wa chira amal kar rahe hai). (Surah Saffat Surah no. 37 Ayat no. 22-26)


QAYAMAT K ROOZ MUSHRIK AZAAB DEKH KAR SHIRK SE INKAAR AUR TAUHEED KA IQRAAR KAREGA LEKIN US WAQT TAUHEED KA IQRAAR USE KOI FAIDA NAHI DEGA

"Jab inhone hamara azaab dekh liya to pukar uthenge k humne maan liya Allah wahdahu la shareek lahu ko, aur hum inkaar karte hai un sab maboodo ka jinhey hum uska shareek thehraate they, magar hamara azaab dekh lene k baad inka emaan unke liye kuch bhi nafa bakhs na ho sakta tha kyunki yahi Allah ta'ala ka qanoon  hai jo hamesha se uske bando mein chala aa raha hai, chunanchey us waqt kafir loog khasarey mein padh jayenge". (Surah Momin Surah no. 40 Ayat no. 84-85)


MUSHRIKO K LIYE QURAN MAJEED KI DAWAT E FIKR

1. "Ae Nabi! inse pucho, sehra aur samandar ki tareekiyo mein kaun tumhey khatraat se bachata hai? kaun hai jis'se tum museebat k waqt gidgida gidgida kar aur chupkey chupkey duwaye maangte ho? kis se kehte ho k agar is bala se usne hame bacha liya to hum zaroor shukr guzaar honge? kaho Allah ta'ala tumhey us'se aur har takleef se nijaat deta hai phir tum doosro ko uska shareek thehraate ho". (Surah Anaam Surah no. 6 Ayat no. 63-64)

2. "Mushriko se kaho batao, agar tum jaante ho k ye zameen aur jo kuch isme hai wo sab kiski milkiyat hai? ye zaroor kahenge Allah ta'ala ki, kaho phir tum hoosh mein kyu nahi aatey" inse pucho saato aasman aur arsh e azeem ka malik kaun hai? ye zaroor kahenge Allah, kaho tum darte kyu nhi? inse kaho batao agar tum jaante ho k har cheez par iqtadaad kiska hai aur kaun hai jo panah deta hai aur uske muqabiley mein koi panah nahi de sakta? ye zaroor kahenge Allah, kaho phir kaha se tum ko dhooka lagta hai?. (Surah Mominoon Surah no. 23 Ayat no. 84-89)

3. "Kya in loogo k banaye hue arzi mabood aese hai k (be-jaan mein jaan daal kar) utha khada karte ho? agar aasman wa zameen mein ek Allah ta'ala k siwa doosre mabood bhi hote to (zameen wa aasman) dono ka nizaam bigad jata, pas arsh ka malik Allah paak hai un baato se jo ye loog bana rahe hai". (Surah Ambiya Surah no. 21 Ayat no. 21-22)

4. "Kaun hai jisne zameen ko jaye qaraar banaya aur uske andar darya rawa kiye aur usme (pahado ki) maikhey gaadh di aur paani k do zakheero k darmiyaan pardey hayel kar diye? kya Allah k saath koi aur Allah bhi (in kaamo mein shareek) hai? "nahi" balkey inme aksar loog nadaan hai". (Surah Namal Surah no. 27 Ayat no. 61)

No comments:

Post a Comment