Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday, 5 September 2014

BIDA'AT KI TAREEF AUR MAZAMMAT

BIDA'AT KI TAREEF AUR MAZAMMAT

Bismillahirahmanirraheem

BIDA'AT KA LUGWI MANA (MEANING) KOI CHEEZ AEJAAD KARNA YA BANANA HAI
SHARI ISTALAA MEIN BIDA'AT KA MATLAB DEEN MEIN HUSOOL E SAWAAB K LIYE KISI AESI CHEEZ KA IZAFA KARNA HAI JISKI BUNYAAD ASAL SUNNAT MEIN MOJOOD NA HO
TAMAAM BIDA'AT SARAASAR GUMRAAHI HAI
BIDA'AT E HASANA AUR BIDA'AT E SAIYYA KI TAQSEEM KHILAAF E SUNNAT HAI

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Hamd o sana k baad (yaad rakkho) behtareen baat Allah ki kitab hai aur behtareen hidayat Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki hidayat hai aur badtareen kaam deen mein nayi baat aejaad karna hai aur har bida'at (nayi aejaad shudah cheez) gumraahi hai". (Sahih Muslim Kitabuj Juma)

Hazrat Arbaaz bin Saariya Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Deen mein nayi cheezo se bacho, is liye k har nayi baat gumraahi hai". (Sahih Sunan Abu Dawood juzz e Awwal Hadees no. 40)

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu farmate hai "Tamaam bida'atey gumraahi hai, khawah bazaahir loogo ko acchi hi lagey". (Sunan Daarmi Kitabul Asma fi Zimmul Ibtida Safa no. 17)

BIDA'ATI KI HIMAYAT KARNE WALE PAR ALLAH KI LAANAT

Hazrat Ali Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah ta'ala ne laanat ki hai us shaks par jo gair Allah k naam par janwar zibah kare, jo zameen ki hadey tabdeel kare, jo apne walid par laanat kare aur jo bida'ati ko panah de". (Sahih Mulim Kitabul Azha)

BIDA'ATI K AMAL ALLAH TA'ALA K HAN MARDOOD HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jisne koi aesa kaam kiya jo deen mein nahi hai, wo kaam Allah ta'ala k han mardood hai". (Al loo loo wal Marjaan juzz e Saani Hadees no. 1120)

BIDA'ATI KI TOOBA QABIL E QUBOOL NAHI, JAB TAK BIDA'AT NA CHOODEY

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah ta'ala bida'ati ki tooba qubool nahi karta, jab tak wo bida'at chood na de". (Tabraani, Sahih Targeeb wa Tarheeb Hadees no. 52)

BIDA'AT SE HAR KEEMAT PAR BACHNE KA HUKM

Hazrat Arbaaz Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Loogo! bida'at se bacho". (Kitabus Sunnah juzz e Awwal Hadees no. 34)

QAYAMAT K ROOZ BIDA'ATI HOOZ E KAUSAR K PAANI SE MEHROOM RAHENGEY
QAYAMAT K ROOZ RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM BIDA'ATIYO SE SHADEED IZHAAR E BAIZAARI FARMAYENGE

Hazrat Sahal bin Saad Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Mein hooz e kausar par tumhara paish rava hunga jo waha ayega paani piyega aur jisne ek baar pee liya use kabhi piyaas nahi lagegi, baaz aese loog bhi ayenge jinhe mein pehchanuga (aur samjhunga k ye mere ummati hai) aur wo bhi mujhe pehchanegey k mein unka Rasool hu phir unhe mujh par aane se rook diya jayega, mein kahuga ye to mere ummati hai, lekin mujhe bataya jayega, "Ae Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Aap nahi jaante Aapke baad in loogo ne kesi kesi bida'atey rajij ki", phir mein kahunga "Doori ho, Doori ho, aese loogo k liye jinhone mere baad deen badal dala". (Al loo loo wal Marjaan juzz e Saani Hadees no. 1476)

BIDA'AT JAARI KARNE WALE PAR ALLAH TA'ALA KI, FARISHTO KI AUR SAARE INSAANO KI LAANAT HAI

Hazrat Aasim Razi Allahu Anhu kehte hai mene Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se pucha "Kya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne madeena ko haraam qaraar diya hai?" unhone kaha "Han! falah jagah se le kar falah jagah tak koi darakht na kaate jaye, neez Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks yaha koi bida'at rayij kare uspar Allah ta'ala ki, farishto ki aur saare loogo ki laanat hai". (Al loo loo wal Marjaan juzz e Awwal Hadees no. 865)

BIDA'AT RAYIJ KARNE WALE PAR APNE GUNAH K ALAWA UN TAMAAM LOOGO K GUNAHO KA BOOJH BHI HOGA, JO US BIDA'AT PAR AMAL KAREGA

Hazrat Kaseer bin Abdullah bin Umar bin Aouf Muzni Razi Allahu Anhu farmate hai k mujhse mere baap ne, mere baap se mere dada ne riwayat kiya hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne meri sunnato mein se koi ek sunnat zinda ki aur loogo ne uspar amal kiya to sunnat zinda karne wale ko bhi utna hi sawab milega jitna us sunnat par amal karne wale tamaam logo ko milega jabke loogo k apne sawab mein se kami nahi ki jayegi aur jisne koi bida'at jaari ki aur phir uspar loogo ne amal kiya to bida'at jaari karne wale par tamaam loogo ka gunah hoga jo us bida'at mein amal karege jabke bida'at par amal karne wale loogo k apne gunaho ki saza se koi cheez kam nahi hogi (yaani wo bhi poori poori saza payenge)". (Sahih Sunan Ibne Maja juzz e Awwal Hadees no. 173)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jis shaks ne looog ko hidayat ki dawat di use hidayat par amal karne wale tamaam loogo k barabar sawab milega aur hidayat par amal karne walo ka apna ajr bhi kam nahi hoga, is tarah jis shaks ne loogo ko gumraahi ki taraf bulaya us shaks par un tamaam loogo ka gunah hoga jo us gumraahi par amal karenge jabkey gunah karne walo k apne gunaho mein bhi koi kami nahi ki jayegi". (Sahih Mulim Kitabul Ilm)

HAZRAT ABDULLAH BIN UMAR RAZI ALLAHU ANHU BIDA'ATI K SALAAM KA JAWAB NAHI DIYA KARTE THEY

Hazrat Naafey Rahimahullah se riwayat hai k ek aadmi Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu k paas aya aur kaha "Falah aadmi ne Aap ko salaam kaha hai" Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu ne farmaya "Mene suna hai k usne bida'at aejaad ki hai, agar ye sahih hai to use meri taraf se salaam mat pahuchana". (Mishkatul Masabeeh juzz e Awwal Hadees no. 116)

BIDA'AT IKHTIYAAR KARNE WALE LOOG SUNNATO SE MEHROOM KAR DIYE JATE HAI

Hazrat Hassaan bin Ateeyah Rahimahullah farmate hai "Jo loog deen mein koi bida'at ikhtiyaar karte hai Allah ta'ala unme se usi qadr sunnat utha leta hai aur phir wo sunnat qayamat tak un loogo mein nahi lootata". (Mishkatul Masabeeh juzz e Awwal Hadees no. 118)

DOOSRE GUNAHO KI BANISBAT BIDA'AT SHAITAAN KO ZAYADA MEHBOOB HAI

Hazrat Sufyaan Soori Rahimahullah farmate hai "Shaitaan ko gunah k muqabiley mein bida'at zayada pasand hai kyunki gunah se tooba ki jaati hai jabkey bida'at se tooba nahi ki jaati". (Sharah Sunnah Juzz e Awwal Safa no. 216)

Wazahat: Bida'at chookey sawab hasil karne ki niyat se ki jaati hai is liye bida'ati us se tooba karne k baare mein kabhi nahi soochta ta aakhir uska bunyaadi aqeedah sahih na ho jaye.

HAZRAT ABDULLAH BIN MASOOD RAZI ALLAHU ANHU NE BIDA'ATIYO KO MASJID SE NIKAAL DIYA

Hazrat Abdullah bin Masood Razi Allahu Anhu ko pata chala k kuch loog masjid mein mil kar unchi aawaaz se zikr aur darood shareef padh rehey hai Aap unke paas aye aur farmaya "Humne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k zamaney mein kisi ko is tarah zikr karte ya darood shareef padhte nahi dekha, lihaza mein tumhey bida'ati samajhta hu, yahi alfaaz dohraate rahe hattakey unhe masjid se nikaal bahar kiya". (Sharah Sunnah Juzz e Awwal Safa no. 216)

MUHADDISEEN E KIRAAM K NAZDEEK BIDA'ATI KI RIWAYAT KARDA HADEES QABIL E QUBOOL NAHI

Hazrat Muhmmad bin Seereen Rahimahullah kehte hai k shuru shuru mein loog hadees ki sanad k baare mein sawal nahi kiya karte they, lekin jab fitna (bida'at aur mangadat riwayat) ka failna shuru hua, to loogo ne hadees ki sanad puchna shuru kardi (aur ye usool bhi bana liya) k dekha jaye k agar hadees bayan karne wale Ahle Sunnat hai to unki hadees qubool ki jayegi aur Ahle Bida'at hai, to unki hadees qubool nahi ki jayegi. (Muqadma Sahih Mulim baab bayanul asnaad minad deen)

Hazrat Imam Malim Rahimahullah se pucha gaya "Ae Abu Abdullah! mein ahraam kaha se baandhu?" Imam Malik Rahimahullah ne farmaya "zee hulaifa se, jaha se Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne baandha" us aadmi ne kaha "mein masjid e nabvi mein rooza e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam k qareeb se baandhna chahta hu" Imam Malik Rahimahullah ne farmaya "aesa mat karna, mujhey tumhare fitna mein mubtala hone ka darr hai" us aadmi ne kaha "is mein fitne ki kaun si baat hai k mene chand meel pehle (ahraam baandne) ka irada kiya hai" Imam Malik Rahimahullah ne farmaya "is se bada fitna kya ho sakta hai k tum ye samjho (k ahraam baandne k sawab mein) Nabi par sabqat le gaye ho jis'se k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam qasir rahey, mene Allah ta'ala se suna hai "Jo loog Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k hukm ki mukhalifat karte hai, unhe darna chahiye k wo kisi fitne ya dardnaak azaab mein mubtala na ho jaye". (Aetasam Imam Shatbi, Al qaulul asma fi zimmul ibtida Safa no. 21-22)

DEEN K MAAMLEY MEIN APNI MARZI AUR KHAWAHISHAAT E NAFS PAR CHALNE SE PANAH MAANGNI CHAHIYE

Hazrat Abu Barzah Aslami Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mein apne baad tumhare baare mein pait aur sharmgaah k muamalaat aur gumraah kun khawahishaat se khayif hu (kahi tum un baato ki wajah se gumrah na ho jao)". (Kitabus Sunnah juzz e Awwal Hadees no. 13)

BIDA'ATI KA KOI NAIK AMAL QABIL E QUBOOL NAHI

Hazrat Fuzail bin Ayaaz Rahimahullah farmate hai "Jab tum bida'ati ko aate dekho to (wo raasta chood kar) doosra raasta ikhtiyaar karo, bida'ati ka koi amal Allah ta'ala k han maqbool nahi hota, jisne bida'ati ki madad ki usne gooya deen mitane mein madad ki". (Khasais Ahle Sunnah Safa no. 22)

Thursday, 4 September 2014

SUNNAT - A'IMMA E KIRAAM RAHIMAHULLAH KI NAZAR MEIN

SUNNAT - A'IMMA E KIRAAM RAHIMAHULLAH KI NAZAR MEIN

Bismillahirrahmanirraheem

SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI MOJOODGI MEIN TAMAAM A'IMMA KIRAAM NE APNE AQWAAL AUR RAAYE TARK KARKE SUNNAT PAR AMAL KARNE KA HUKM DIYA HAI

Hazrat Imam Abu Haneefa Rahimahullah se pucha gaya "Agar aap ka koi qaul quran majeed k khilaaf ho to kya kiya jaye?" Imam Abu Haneefa Rahimahullah ne jawab diya k "Quran majeed k muqabiley mein mera qaul chood do", phir pucha gaya "Agar aapka qaul Sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam k khilaaf ho to kya kiya jaye?" imam Abu Haneefa Rahimahullah ne jawab diya k "Sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam k muqabiley mein mera qaul chood do", phir pucha gaya "aap ka qaul Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhu k qaul k bar'aks ho to phir kya kiya jaye?" farmaya "Sahaba Razi Allahu Anhu k qaul k muqabiley mein bhi mera qaul chood do". (Aqdil jeed, Haqeeqatul Fatah safa no. 69)

Hazrat Imam Malik bin Anas Rahimahullah farmate hai "Bila shubah mein bashar hu, mera qaul sahih bhi ho sakta hai, galat bhi ho sakta hai, lihaza mere qaul par gaur karo jo kitab o sunnat k mutabiq ho uspar amal karo aur jo uske khilaaf ho use chood do". (Ibne Abdul barr Kitab jaamey Bayanul Ilm, Hadees Hujjatul banfasah safa no. 79)

Imam Shaafi Rahimahullah farmate hai "Jab tum meri kitab mein koi baat Sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam k khilaaf pao to meri baat chood do aur sunnat k mutabiq amal karo", ek doosri riwayat mein hai k "Sirf sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki pairvi karo aur kisi bhi dooosre shaks ki baat par tawajjo na do". (Zakarahu Ibne Asakir wannori wa ibne qayyim, Haqeeqatul Fatah Safa no. 75)

Imam Ahmad ibne Hambal Rahimahullah farmate hai "Na meri taqleed karo, na Imam Malik Rahimahullah ki, na Imam Shaafi Rahimahullah ki, na Imam Auozayi Rahimahullah aur Imam Soori Rahimahullah ki balkey deen k ahkaam wahi se loo jaha se inhone liye (Yaani kitab o sunnat se)". (Hamam Adla al absaar, Hadees Hujjatul banfasah Safa no. 80)

Imam Abu Haneefa Rahimahullah farmate hai "Loogo! deen mein apni aqal se baat karne se bacho aur Sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki pairvi ko apne liye laazim karlo, jo koi sunnat se hata, wo gumraah ho gaya". (Meezaan Sheraani, Haqeeqatul Fatah Safa no. 82)

IMAM ABU HANEEFA RAHIMAHULLAH K NAZDEEK HADEES PAR AMAL KARNA HIDAYAT HAI AUR HADEES K BAR'AKS AMAL KARNA GUMRAAHI AUR FASAAD HAI

Imam Abu Haneefa Rahimahullah farmate hai "Loog us waqt hidayat par qayam rahengey jab tak unme ilm e Hadees hasil karne wale mojood rahenge, jab hadees k bagair (deen ka) ilm hasil kiya jayega to loogo mein bigaad aur fasaad paida ho jayega". (Meezaan Sheraani, Haqeeqatul Fatah Safa no. 70)

SUNNAT KI MOJOODGI MEIN RAAYE DARYAFT KARNE WALE KO IMAM MALIK RAHIMAHULLAH NE FITNE MEIN PADNE YA AZAAB MEIN MUBTALA HONE KI TAMBIYAH

Ek aadmi Imam Malik Rahimahullah k paas aaya aur koi masla daryaft kiya, Imam Malik Rahimahullah ne bataya k is baare mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshaad e mubarak ye hai, us aadmi ne arz kiya "Is baare mein aapki kya raaye hai?" Imam Malik Rahimahullah ne jawab mein ye Aayat tilawat farmayi (FAL YAH ZARIL LAZEENA YUKHAALIFOONA AN AMRIHI AN TUSEEBAHUM FITNATUN AOU TUSEEBAHUM AZABUN ALEEM) "Jo loog Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k hukm ki mukhalifat karte hai unhe darna chahiye k wo kisi fitne ya dardnaak azaab mein mubtala na ho jaye". (Sharah Sunnah Juzz e Awwal Safa no. 216)

SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K BAARE MEIN IMAM SHAAFI RAHIMAHULLAH K BAAZ AQWAAL

"Is baat par tamaam musalmano ka ittefaaq hai k jis shaks ko Sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam maloom ho jaye uske liye kisi aadmi k qaul ki khatir sunnat ko tark karna jayez nahi". (Zakarahu ibne Qayyim wal Falaani, Hadees Hujjatul banfasah Safa no. 80)

"Mujhe jab Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki sahih hadees k khilaaf baat karte hue dekho to samajh lo mera dimaag chal gaya". (Zakarahu ibne abi Hatim wa ibne Asakir, Wajoobul amal bis sunnat e Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Sheikh Abdul Azeez bin Baaz Safa no. 27)

Imam Shaafi Rahimahullah farmate hai "Jab sahih hadees mil jaye to wahi mera mazhab hai" neez farmaya "Jab mera qaul hadees k khilaaf pao to Hadees par amal karo aur mera qaul diwaar par de maaro". (Aqdil Jeed, Haqeeqatul Fatah Safa no. 74)

IMAM AHMAD BIN HAMBAL RAHIMAHULLAH KISI AADMI K QAUL KI KHATIR SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO TARK KARNA HALAKAT KA BAA'AS SAMAJHTE THEY

Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah farmate hai "Jisne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki hadees ko radd kar diya wo halakat k kinaare par khada hai" (Zakarahu Ibnul Jauzi, Juzz e Awwal Safa no. 216)

Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah farmate hai "Imam Auozayi Rahimahullah, Imam Malik Rahimahullah, Imam Abu Haneefa Rahiamhullah mein se har ek ki baat raaye hai aur mere nazdeek sabka darja ek jesa hai, hujjat sirf Sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam hai" (Ibne Abdul barr fi Jaamey, Hadees hujjatul banfasah Safa no. 82)

Wednesday, 3 September 2014

SUNNAT - SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM KI NAZAR MEIN

SUNNAT - SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM KI NAZAR MEIN

Bismillahirrahamanirraheem

SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K TAMAAM AQWAAL WA AF'AAL KI MIN WA AN USI TARAH PAIRVI KARNE KI KOSHISH FARMATE JIS TARAH NABI E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE SUNTE YA AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO KARTE DEKHTE THEY, CHAND MISAALEY DARJ E ZAIL HAI
ITTEBA E SUNNAT K LIYE SUNNAT KI MASLEHAT AUR HIKMAT SAMAJH MEIN AANA ZARURI NAHI

1. Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai k ek dafa Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum ko namaz padha rahe they k doraan e namaz Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne joote utaar kar baayi jaanib rakh diye, jab Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne dekha to unhone bhi apne jootey utaar diye, Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne namaz khatam ki, to unhone daryaft farmaya "Tum loogo ne apne jootey kyu utaare?" Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Humne chunkey Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko jootey utaarte hue dekha, lihaza humne bhi apne jootey utaar diye" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mujhe Jibraeel Alaihis Salaam ne aa kar bataya k Mere jooto mein galazat hai" ya kaha takleef deh cheez hai (lihaza mene jootey utaar diye) phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ko naseehat farmayi "Jab masjid mein namaz padhne aao to pehle apne jooto ko acchi tarah dekh liya karo, agar unme galazat ho to use saaf karlo, phir unme namaz padho". (Sahih Sunan Abu Dawood juzz e Awwal Hadees no. 605)

2. Hazrat Abu Rafaey Razi Allahu Anhum farmate hai k marwaan ne Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ko madeena ka (qayim muqaam) governar banaya aur (khud kisi kaam se) makka chale gaye, usi doraan Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ne namaz e juma padhayi, pehli rakaat mein Surah Juma aur doosri rakaat mein Surah Munafiqoon tilawat ki, Hazrat Abu Rafaey Razi Allahu Anhu kehte hai namaz k baad mein Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se mila aur arz kiya aapne wahi suratey tilawat farmayi jo Hazrat Ali Razi Allahu Anhu (apne ahad e khilafat mein) koofa mein padhaya karte they, Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ne farmaya "Mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye dono suratey namaz e juma mein padhte suna hai (isi liye mene padhi hai)". (Sahih Muslim Kitbuj Juma)

3. Hazrat Nafaey Rahimahullah kehte hai k Hazrat Abdullah ibne Umar Razi Allahu Anhu ne baasuri ki aawaaz suni to apni dono ungliya kaano mein thoosli aur raaste ki doosri simt kaafi door nikal gaye aur mujhse pucha "Ae Nafaey! kya kuch sun rahe ho?" mene arz kiya kya "nahi!" tab unhone apni ungliyo kaano se nikaali aur farmaya "Mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath tha, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne baasuri ki aawaaz suni aur aese hi kiya (jese mene ab kiya hai) Hazrat Nafaey ne ye bhi bataya k us waqt mein chooti umar ka ladka tha". (Sahih Sunan Abu Dawood juzz e Saani Hadees no. 4116)

4. Hazrat Halaal bin Yasaaf Razi Allahu Anhu kehte hai hum Saalim bin Ubaidullah k paas they k ek aadmi ne cheenk maari aur kaha "ASSALAMU ALAIKUM" Hazrat Saalim Razi Allahu Anhu ne uske jawab mein kaha "WA ALAIKA WA ALA UMMUKA" (yaani tujh par aur teri maa par bhi salaam) phir kaha jo mene kaha hai shayad us par tujhe nagawaari mehsoos hui hai, aadmi ne jawab diya k meri khawahish thi k tum meri maa ka acche alfaaz mein tazkira karte na bure alfaaz se, to Hazrat Saalim Razi Allahu Anhu ne kaha "Suno mene ye jawab is liye diya hai k hum Nabi E Akram ki khidmat mein hazir they k ek aadmi ne cheenk maari aur "ASSALAMU ALAIKUM" kaha, to uske jawab mein Nabi E Arkam  ne bhi yahi jawab diya "WA ALAIKA WA ALA UMMIKA" (lihaza mene bhi wesa hi kaha hai) aur phir Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne use bataya jab cheenk maro to "ALHAMDULILLAH" kaho raavi kehta hai k Aap  ne baaz degar hamd k kalmaat ka bhi zikr kiya tha aur phir Aap  ne farmaya "cheenkne wale k paas jo shaks mojood ho use "YAR HAMUKALLAH" kehna chahiye aur cheenkne wale ko phir "YAGFIRULLAHU LANA WALAKUM" kehna chahiye. (Mishkaatul Masabeeh juzz e Saani Hadees no. 4741)

5. Hazrat Nafaey Rahimahullah se riwayat hai k ek aadmi ne Hazrat Abdullah ibne Umar Razi Allahu Anhu k paas cheenk mari aur kaha "ALHAMDU LILLAHI WAS SALAAMU ALA RASOOLILLAH" Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu ne farmaya "ALHAMDU LILLAHI WAS SALAAMU ALA RASOOLILLAH" to mein bhi kehta hu (yaani mujhey bhi Rasool Allah  par salaam bhejne mein koi aetraaz nahi) lekin Rasool Allah  ne hamey yuh sikhlaya hai (cheenk k baad) hum "ALHAMU LILLAHI ALA KULLI HAAL" (yaani har haal mein Allah ta'ala ka shukr hai) kahe (lihaza jo sunnat tareeqa hai wahi ikhtiyaar karo). (Sahih Sunan Tirmizi juzz e Saani Hadees no. 2200)

6. Hazrat Zaid bin Aslam Razi Allahu Anhu apne baap se riwayat kare hai k Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu ne Hajra e aswad ko mukhatib karke kaha "Wallah! mein jaanta hu tu ek patthar hai na nuksaan pahuncha sakta hai na nafa de sakta hai agar mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko istalaam (hajra e aswad ko haath laga kar boosa dena) na karte dekha hota to tujhe kabhi boosa choomta nahi" phir farmaya ab hamey ramal karne ki kya zarurat hai, ramal to dushmano ko dikhane k liye tha ab to Allah ta'ala ne unhe halaak kar diya, phir khud hi farmaya lekin ramal to wo cheez hai jo Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki sunnat hai aur sunnat chootna hamey pasand nahi. (Al loo loo wal Marjaan juzz e Awwal Hadees no. 799)

7. Hazrat Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas jab khana laya jata to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam us se tanawul farmane k baad mere paas bhej dete, ek rooz Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne bartan joo ka tooh khaye bagair meri taraf bhej diya kyunki unme lahsun tha, mene Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha "Kya lahsun haraam hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Nahi! lekin mein uski booh ki wajah se use pasand nahi karta". (Sahih Muslim Kitabul Ashraba)

8. Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Islam ki bunyaad paanch cheezo par hai, Allah ta'la ki touheed, namaz qayam karna, zakaat ada karna, ramazaan k roozey aur hajj ada karna" ek aadmi ne (baat dohrakar) pucha "Hajj aur ramazaan k roozey?" Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu ne farmaya "(Nahi) ramazaan k roozey aur hajj, mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se is tarteeb se hadees suni thi". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

9. Hazrat Zaid bin Aslam Razi Allahu Anhu farmate hai mene Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu ko khuley batno k saath namaz padhte hue dekha, to mene unse pucha "Aap aesa kyu karte ho?" to Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu ne jawab diya "Mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko aese hi namaz padhte hue dekha hai". (Sahih Ibne Khuzaima, Sahih Targeeb wa Tarheeb juzz e Awwal)

10. Hazrat Mujahid Rahimahullah kehte hai hum Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu k saath ek safar mein ja rahe they ek jagah se guzrey, to Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu raaste se door hatt gaye, unse pucha gaya "Aapne aesa kyu kiya?" Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu ne jawab diya "Mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko aese hi karte dekha hai, isliye mene aesa kiya hai". (Sahih Targeeb wa Tarheeb juzz e Awwal Hadees no. 44)

11. Hazrat Anas bin Seereen Rahimahullah farmate hai mein Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu k saath arfaat mein tha jab wo kahi jaate to mein bhi unke saath jata, yaha tak k hum imam k paas pahunchey aur uske saath namaz e zuhar wa asar (jama kar k) ada ki, phir Abdullh bin Umar Razi Allahu Anhu ne waqoof farmaya, to mein aur mere saathiyo ne bhi unke saath waqoof kiya, yaha tak k imam (arfaat se) wapas loote to hum bhi unke saath wapas loote yaha tak k usi tang raaste par pahunchey jo maaz mein (jagah ka naam) se pehle hai waha pahunch kar Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu ne apni sawaari bithwa di aur humne abhi apni sawaariya bitha di, hamara khayal tha k ab Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu namaz padhenge lekin jo mulazim unki sawari par mutaeen tha, usne bataya k Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu namaz nahi padhna chahte balke Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam yaha pahunch kar haajat e zarooriya se farig hue they, chunanchey Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu bhi usi jagah haajat e zaruriya se faarig hona pasand karte they. (Sahih Targeeb wa Tarheeb juzz e Awwal Hadees no. 46)

12. Hazrat Anas bin Seereen Rahimahullah farmate hai k Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu shaam se tashreef laye to aeen tamar k muqaam par humne unka istaqbaal kiya, mene unhe gadhey par namaz padhte dekha aur gaadhey ka rukh qibley ki bajaye qibley k daaye taraf tha, mene Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se pucha "Aapne qibley ki taraf rukh kiye bagair namaz kyu padhi hai?" unhone farmaya "Agar mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko isi tarah namaz padhte na dekhta to kabhi namaz na padhta". (Sahih Bukhari wa Muslim Kitabut Tafseerus Salaat)

13. Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne sooney (gold) ki ek angoothi banwayi, to Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne bhi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko dekha dekhi angoothiya banwali, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mene sooney ki angoothi banwayi thi" (tumne bhi banwaali) chunanchey Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne angoothi utaar phenki aur farmaya "Ab mein kabhi istemaal nahi karunga" (Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki itteba mein) Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne bhi apni apni angoothiya utaar kar phenk di. (Sahih Bukhari Kitabul Aetasaam bil Kitabis Sunnah)

14. Sahabi E Rasool Hazrat Ibne Hanzala Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Agar khareem asdi k baal lambey na hoote aur tahband neechey latka na hota to bahut accha aadmi lagta" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ye baat khareem asdi tak pahunchi, to khud hi churi le kar kaano tak apne baat kaat diye aur tahband nisf pindliyo tak uncha kar liya. (Sahih Sunan Abu Dawood Juzz e Saani Hadees no. 4461)

15. Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek aadmi k haath mein sooney ki angoothi dekhi to use utaar kar phenk diya aur farmaya "Tum mein se koi sooney ki angoothi pehan kar gooya aag k angaarey ka qasad karta hai" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k tashreef le jaane k baad us aadmi se kaha gaya angoothi utha lo aur us se koi (doosra) faida hasil karlo (yaani apni beewi ya behan ko de do ya farokht karo) Sahabi ne kaha "Allah ki qasam! jis angoothi ko Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne phenk diya hai use kabhi na uthaunga". (Sahih Mulim Kitabul Libaas waz Zeenah)
16. Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek martaba juma k din Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam (khutba dene k liye) mimbar par tashreef laaye to farmaya "loogo! baith jao" Hazrat Abdullah bin Masood Razi Allahu Anhu ne suna to masjid k darwaazey par hi baith gaye, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dekha to farmaya "Abdullah! masjid k andar aa kar baitho". (Sahih Sunan Abu Dawood juzz E Awwal Hadees no. 203)

Monday, 1 September 2014

SUNNAT PAR AMAL KARNA WAJIB HAI

SUNNAT PAR AMAL KARNA WAJIB HAI

Bismillahirrahmanirraheem

ALLAH TA'ALA K AHKAMAAT KI TARAH RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K AHKAMAAT BHI WAJIBUL ITTEBA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hame khutba diya jisme irshad farmaya: "Allah ta'ala ne tum par hajj farz kiya hai, lihaza hajj karo" Ek aadmi ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! kya har saal hajj ada kare?" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam khamoosh rahe, us aadmi ne teen martaba sawal kiya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Agar mein "han" keh deta to tum par har saal hajj ada karna wajib ho jata aur phir us par amal karna tumhare liye mumkin na hota, lihaza jitni baat mein tumse kahu usi par iktafa kiya karo, agle loog ise liye halaak hue k wo apne nabiyo se zayada sawal aur ikhtalaaf karte they" (phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya) "Jab mein tumhey kisi baat ka hukm du to (kuraid ki bajaye) apni istata'at k mutabiq us par amal karo aur jis cheez se mana karu use chood do". (Sahih Muslim Kitabul Hajj)

Hazrat Abu Saeed bin Mualla Razi Allahu Anhu farmate hai mein masjid mein namaz padh raha tha, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhe aawaaz di, mene jawab na diya phir (namaz khatam kar k) jab Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua, to arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mein namaz padh raha tha (is liye Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k bulane par hazir na ho saka) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Kya Allah ta'ala ne (quran majeed mein) ye hukm nahi diya "Loogo! Allah aur uska Rasool jab tumhe bulaye to uske hukm ki tameel karo". (Sahih Bukhari)

Hazrat Abdullah bin Masood Razi Allahu Anhu ne farmaya: "Allah ta'ala ne jism goondne wali aur gudwaane wali, chehre k baal ukhadne aur ukhadwaane walo par, khoobsurti k liye daant (ragad kar) khule karwane waliyo par (neez) Allah ta'ala ki banawat ko tabdeel karne waliyo par laanat farmayi hai" Bani Asad ki ek aurat ummey yaqoob ne ye baat suni jo k quran padha karti thi, to Hazrat Abdullah bin Masood Razi Allahu Anhu k paas ayi aur kaha, mene suna hai "Tumne jism gudwaane aur goodne waliyo par, chehre k baal ukhaadne aur ukhadwaane waliyo par daanto ko kushaada karwane waliyo aur Allah ta'ala ki banawat ko badalne waliyo par lanat ki hai?" Hazrat Abdullah bin Masood Razi Allahu Anhu ne kaha: "Mein us par laanat kyu na karu jis par Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne laanat farmayi hai aur ye (yaani is baat ka zikr) to Allah ta'ala ki kitab mein mojood hai" us aurat ne kaha "Mene (apne paas mehfooz) do takhtiyo k darmiyaan sara quran padh daala hai, lekin mujhe to usme kahi is baat ka zikr nahi mila" Hazrat Abdullah Razi Allahu Anhu ne farmaya: "Agar to quran gaur se padhti (jis tarah gaur se padhne ka haqq hai) to tujhe ye baat mil jaati" Allah ta'ala farmata hai "Rasool jis baat ka hukm de us par amal karo aur jis se mana kare us se baaz aa jao" phir wo aurat booli "Un baato mein se baaz baatey to tumhari beewi mein bhi hai" Hazrat Abdullah Razi Allahu Anhu ne kaha "Jao ja kar dekh lo" wo aurat gayi to unki beewi mein aesi koi baat na payi tab wo wapas ayi aur kehne lagi "Unme se to koi baat mene tumhari beewi mein nahi dekhi" Hazrat Abdullah Razi Allahu Anhu ne farmaya "Agar wo aesa karti to hum kabhi us se sohbat na karte". (Al loo loo wal Marjaan juzz e Saani Hadees no. 1377)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI ITA'AT ALLAH KI ITA'AT HAI AUR RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI NAFARMANI ALLAH KI NAFARMANI HAI, LIHAZA DONO KI ITA'AT EK HI DARJEY MEIN WAJIB HAI

Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu farmate hai farishto ki ek jama'at Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hui, us waqt Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam soo rahe they, farishto ne aapas mein kaha "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ek misaal hai, wo bayan karo" kuch farishto ne kaha "Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam to soo rahe hai (yaani unke saamne misaal bayan karne se kya faida?)" lekin kuch doosre farishto ne kaha "Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki misaal us aadmi ki si hai jisne ek ghar taameer kiya, khana pakaya aur phir loogo ko bulane k liye ek aadmi bheja, jisne bulane wale ki baat maan li wo ghar mein dakhil hua aur khana kha liya, jisne bulane wale ki baat na maani wo ghar mein dakhil hua na khana khaya"  phir kuch farishto ne kaha "is misaal ki wazahat karo takey Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam acchi tarah samajh le" baaz farishto ne phir ye baat dohraayi "Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam to soo rahe hai" lekin doosre ne jawab diya "Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki aankh to soo rahi hai lekin dil jaag raha hai" chunachey farishto ne misaal ki yu wazahat ki "ghar se muraad jannat hai (jise Allah ta'ala ne taameer kiya hai) aur loogo ko bulane wale Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam hai, pas jisne Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki baat maan li usne gooya Allah ta'ala ki baat maani aur jisne Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki baat na maan'ne se inkaar kiya, usne gooya Allah ta'ala ki baat maan'ne se inkaar kiya aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam loogo k darmiyaan fark karne wale hai (yaani kaun farmabardaar hai aur kaun na-farmaan)". (Sahih Bukhari Kitabul Aetasaam bil Kitabis Sunnah)

Hazrat Miqdaam bin Maadi Karb Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Loogo, yaad rakkho! quran hi ki tarah ek aur cheez (Yaani Hadees) mujhe Allah ki taraf se di gayi hai, khabardaar! ek waqt ayega k ek pait bhara (yaani takabbur shaks) apni musnad par takiya lagaye baitha hoga aur kahega loogo! tumhare liye ye quran hi kaafi hai is mein jo cheez halaal hai bas wahi halaal hai aur jo cheez haraam hai bas wahi haraam hai, halankey jo kuch Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne haraam kiya hai wo aese hi haraam hai jese Allah ne haraam kiya hai, suno! gharelu gadha bhi tumhare liye halaal nahi (halankey quran mein uski hurmat ka zikr nahi) na hi wo darindey jinki kuchliya (yaani now kiye (teekhey) daant jinse wo shikaar karte hai) hai, na hi kisi zimmey ki giri padi cheez kisi k liye halaal hai, han albatta agar uske maalik ko uski zarurat hi na ho to phir jayez hai". (Sahih Sunan Abu Dawood juzz e Saani Hadees no. 3848)

SHARIYAT MEIN SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM AUR KITABULLAH K AHKAMAAT EK HI DARJA RAKHTE HAI

Hazrat Abu Hurairah aur Zaid bin Khalid Juhni Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek dehaati Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mein aap ko Allah ki qasam deta hu k mera faisla kitabullah k mutabik kijiye" muqadmey ka doosra fareeq zayada samajhdaar tha usne arz kiya "Han ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! hamare darmiyaan kitabullah k mutabiq hi faisla farmaye, lekin mujhey baat karne ki ijazat di jaye" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya accha baat karo, usne arz kiya "Mera baita uske ghar nokar tha usne uski beewi se zina kiya loogo ne mujhse kaha tere baite k liye rajm ki saza hai mene uske badle soo bakriya sadqa ki aur ek loondi aazaad ki, phir mene ulama se pucha to unhone kaha tere baite k liye 100 koodo ki saza aur ek saal ki jila watni hai aur fareeq saani ki beewi k liye sangsaari ki saza hai" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "us zaat ki qasam! jiske haath mein meri jaan hai, mein tumhare darmiyaan kitabullah k mutabiq hi faisla karunga" fareeq awwal ko hukm diya k "apni bakriyo aur loondi wapas le lo tumhare baite k liye 100 koode hai aur saal ki jila watni ki saza hai" phir ek Sahabi (Unais Razi Allahu Anhu) ko hukm diya k tum kal us aurat se ja kar pucho agar wo zina ka ikraar kare to use sangsaar kardo" Hazrat Unais Razi Allahu Anhu agle rooz gaye aurat ne zina ka iqraar kar liya to Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k hukm se wo sangsaar kardi gayi. (Al loo loo wal Marjaan juzz e Saani Hadees no. 1103)

GUMRAHI SE BACHNE K LIYE KITABULLAH AUR SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM DONO KI TARAF PAIRVI KA HUKM

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Mein tumhare darmiyan do chizey choode ja raha hu k agar unpar amal karoge to kabhi gumrah nahi honge ek Allah ki kitab aur doosri meri Sunnat". (Mustadrak E Hakim, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 2937)

JO AMAL SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K MUTABIQ NA HO, WO ALLAH TA'ALA K HAN QABIL E QUBOOL NAHI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jisne deen mein koi aesa kaam kiya jiski bunyaad shariyat mein nahi, wo kaam mardood hai". (Al loo loo wal Marjaan Juz e saani Hadees no. 1120)

DEENI MASA'IL MEIN NABI E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI BA'ZARIYA E WAHI REHNUMAYI KI JAATI, JIS KI ITA'AT ALLAH TA'ALA K HUKM KI TARAH HI WAJIB HAI, CHAND MISAALEY MULAHIZA FARMAIYE

1. Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu kehte hai mein bimaar tha to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur Hazrat Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu iyadat k liye tashreef laye mein behosh tha, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne wuzu kiya aur wuzu ka paani mujh par dala, jis se mein hoosh mein aa gaya, mene arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! ek baar Hazrat Sufyaan Razi Allahu Anhu ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha tha k mein apne maal ka kya faisla karu?" phir Hazrat Sufyaan Razi Allahu Anhu ne bataya k "Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne us waqt koi jawab na diya jab tka meraas ki aayat na utri". (Sahih Bukhari Kitabul Aetasaam bil Kitabis Sunnah)

2. Hazrat Sahal bin Saad Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek aadmi Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas hazir hua aur arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! agar koi shaks apni beewi ko gair mard k saath dekhey to kya kare? agar qatal kare to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam use (qasaas) mein qatal karwadege, phir aakhir kya kare?" (Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne koi jawab na diya hatta k) Allah ta'ala ne un dono k baare mein quran majeed mein la'aan ka hukm nazil farmaya, tab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne us shaks se farmaya "Tera aur teri beewi ka faisla ho gaya, chunanchey dono ne la'aan kiya (raavi kehte hai) mein us waqt Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas mojood tha, tab ye sunnat jaari hui k la'aan karne wale miya beewi mein judayi karadi jaye". (Sahih Bukhari Kitabut Tafseer)

3. Hazrat Abdullah bin Masood Razi Allahu Anhu kehte hai ek dafa mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath ek baag mein tha, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam khajoor ki ek chadi par taik lagaye hue they k yahoodi guzrey wo aapas mein ek doosre se kehne lage un (yaani Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam) se rooh k baare mein sawal karo, (unme se) ek ne kaha "Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam k baare mein tumhey kis cheez ne shak mein daal diya hai (k wo paigambar hi na ho)" kuch yahoodiyo ne kaha "Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam koi aesi baat na keh de, jo tumhe na'gawaar guzrey, phir unhone (faisla karke) kaha "accha chalo sawal karo" chunanchey yahoodiyo ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha "Rooh kya cheez hai?" Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam khamoosh rahe unhe koi jawab na diya, mein samajh gaya k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam par wahi nazil ho rahi hai chunanchey apni jagah par khada raha, jab wahi nazil ho chuki to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye aayat tilawat farmayi (WA YAS ALOONAKA INIR ROOHU QULIR ROOHU MIN AMRI RABBI) "Ae Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam! loog Aap se rooh k baare mein sawal karte hai, keh dijiye rooh mere rabb ka hukm hai aur tum ko (us baarey mein) kam hi ilm diya gaya hai. (Surah Bani Israeel Ayat no. 85)". (Sahih Bukhari Kitabut Tafseer)

QURAN MAJEED K ALAWA BHI ALLAH TA'ALA, NABI E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO DEEN K AHKAMAAT SIKHATE THEY JIN PAR EMAAN LANA AUR AMAL KARNA USI TARAH WAJIB HAI JIS TARAH QURAN MAJEED K AHKAMAAT PAR EMAAN LANA AUR AMAL KARNA WAJIB HAI, CHAND MISALEY DARJ E ZAIL HAI
1. Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah ta'ala ne musafir ko nisf namaz ki rukhsat aur rooza mu'akkhar karne ki rukhsat di hai jabke hamila aur doodh pilane wali aurat ko (sirf) rooza mu'akkhar karne ki rukhsat di hai". (Sahih Sunan Nasayi juzz e Saani Hadees no. 2145)

Wazahat: Quran Majeed mein Allah ta'ala ne sirf musafir aur bimaar ka zikr kiya hai jabkey yaha hamila aur doodh pilane wali aurat ko di gayi rukhsat ko bhi Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Allah ta'ala ki taraf mansoob kiya hai.

2. Hazrat Abu Saeed Razi Allahu Anhu kehte hai ek aurat Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hui aur arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Aap ki saari talimaat (Ahadees) mardo ne le li hai, (Haftey mein) ek din hamari taleem k liye bhi muqarrar farma dijye jisme hame wo baatey sikhlaiye jo Allah ta'ala ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko sikhlayi hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Accha fala fala din fala fala jagah jama hua karo" chunanchey auratey jama hui aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unke paas tashreef le gaye aur jo baatey Allah ta'ala ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko sikhlayi thi wo unko sikhlayi, phir farmaya "Tum mein se jo aurat apne teen bacchey aagey bhej chuki hai (yaani faut ho chukey hai) to qayamat k rooz wo bacchey (sabr karne par) uske liye jahannam se rukawat banege" ek aurat ne sawal kiya "agar do bacchey hue ho?" aurat ne do ka lafz dohraya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne jawab diya "Han do bhi, do bhi, do bhi (teen martaba kaha)". (Sahih Bukhari Kitabul Aetasaam bil Kitabis Sunnah)

3. Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se aur Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam apne rabb se riwayat karte hai k Allah ta'ala irshad farmata hai "Har amal ka badla hai aur rooza mere liye hai mein hi uska badla dunga, rooza-daar k muh ki buh Allah ta'ala k nazdeek mushk ki khushbu se zayada acchi hai". (Sahih Bukhari Kitabut Tauheed)

4. Hazrat Anas Razi Allahu Anhu Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam apne rabb se riwayat karte hai k Allah ta'ala farmata hai "Jab koi banda balisht meri taraf aata hai to mein haath bhar uski taraf aata hu, jab banda haath bhar meri taraf aata hai to mein do haath uski taraf badhata hu jab banda chal kar meri taraf ata hai to mein doud (bhaag) kar uski taraf ata hu". (Sahih Bukhari Kitabut Tauheed)

5. Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya, Allah ta'ala irshad farmata hai "Kibriyayi meri oudhni hai aur azmat meri chadar hai jisne in dono mein se kisi ek ko mujhse cheena, mein use jahannam mein phenk dunga". (Sahih Sunan Abu Dawood juzz e Saani Hadees no. 2446)

6. Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya, Allah ta'ala irshad farmata hai "Ae ibne aadam! to (meri raah mein) kharch kar, tujh par kharch kiya jayega". (Sahih Bukhari Kitabut Tafseer)

Wazahat: Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka Allah ta'ala se barah e Raast riwayat karna is baat ki daleel hai k Quran majeed k alawa baaz doosre shari ahkamaat bhi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko Allah ta'ala ki taraf se sikhlaye jate they.

Saturday, 30 August 2014

QURAN SAMAJHNE K LIYE SUNNAT KI ZARURAT

QURAN SAMAJHNE K LIYE SUNNAT KI ZARURAT

Bismillahirrahamanirraheem

SUNNAT (HADEES) K BAGAIR QURAN MAJEED SE TAMAAM SHARI MASA'IL MALOOM KARNA MUMKIN NAHI
SUNNAT MEIN BAYAN KIYE GAYE AHKAMAAT, QURAN MAJEED K AHKAMAAT KI TARAH WAJIBUL ITTEBA HAI

Hazrat Miqdaam bin Maadi Karb Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Loogo, yaad rakkho! quran hi ki tarah ek aur cheez (Yaani Hadees) mujhe Allah ki taraf se di gayi hai, khabardaar! ek waqt ayega k ek pait bhara (yaani takabbur shaks) apni musnad par takiya lagaye baitha hoga aur kahega loogo! tumhare liye ye quran hi kaafi hai is mein jo cheez halaal hai bas wahi halaal hai aur jo cheez haraam hai bas wahi haraam hai, halankey jo kuch Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne haraam kiya hai wo aese hi haraam hai jese Allah ne haraam kiya hai, suno! gharelu gadha bhi tumhare liye halaal nahi (halankey quran mein uski hurmat ka zikr nahi) na hi wo darindey jinki kuchliya (yaani now kiye (teekhey) daant jinse wo shikaar karte hai) hai, na hi kisi zimmey ki giri padi cheez kisi k liye halaal hai, han albatta agar uske maalik ko uski zarurat hi na ho to phir jayez hai". (Sahih Sunan Abu Dawood juzz e Saani Hadees no. 3848)

Hazrat Abu Raafee Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "(loogo!) mein tum mein se kisi ko is haal mein na pau k wo apni musnad par takiya lagaye baitha ho uske paas mere un ahkamaat mein se jinka mene hukm diya, ya jinse mene mana kiya hai, koi hukm aye aur wo yuh kahe mein to (Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k is hukm ko) nahi jaanta, humne jo kitabullah mein paya usi par amal kar liya (yaani hamare liye wahi kaafi hai)". (Sahih Sunan Abu Dawood Juzz e Saani Hadees no. 3849)

QURAN E MAJEED KO SUNNAT K ZARIYE HI SAMJHA JA SAKTA HAI, CHAND MISAALEY DARJ E ZAIL HAI

1. Hazrat Huzaifah Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Diyanat-daari aasamano se loogo k dilo mein utri hai (yaani insan ki fitrat mein shamil hai) aur quran bhi (aasman se) nazil hua hai jise loogo ne padha aur sunnat k zariye samjha". (Sahih Bukhari Kitabul Aetasaam bil Kitabis Sunnah)

2. Hazrat Yaala bin Ummayah Razi Allahu Anhu kehte hai mene Hazrat Umar Razi Allahu Anhu se pucha "Allah ta'ala farmata hai agar tumhey kafiro k sataane ka khauf ho to namaz qasar kar lene mein koi harj nahi aur ab jabke zamana e aman hai (to kya phir bhi qasar ki rukhsat hai) to Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne kaha mujhe bhi tumhari tarah tajjub hua tha, to mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se masla daryaft kiya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k (doran e safar khauf ho ya na ho) Allah ta'ala ne tumhey sadqa diya hai, lihaza uska sadqa qubool karo". (Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 433)

3. Hazrat Adi bin Hatim Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se roozey k baarey mein sawal kiya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "(Sehri us waqt tak khao piyo) jab tak safaid dhari siyah dhari se alag nazar na aye" chunanchey mene 2 dooriya (dhagey) li, unme se ek safaid, doosri siyah thi aur (raat bhar) dono ki taraf dekhta raha (mene ye soorat e haal Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko batayi to) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhse koi aesi baat kahi, jo Abu Sufyaan ko yaad nahi rahi phir farmaya "Is se muraad raat aur din hai". (Sahih Sunan Tirmizi juzz e Saani Hadees no. 2372)

4. Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu kehte hai ye aayat nazil hui "Wo loog jinhone apne emaan mein zulm shamil nahi kiya (Surah Anaam Ayat no. 83)" to tamaam musalman pareshan ho gaye aur arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! hum mein se kaun aesa hai jisne koi zulm (yaani gunah) na kiya ho? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Ayat mein zulm se muraad, gunah nahi balkey shirk hai, kya tumne Hazrat Luqman Alaihis Salaam ko apne baitey ko nasihat suni ae mere baitey! Allah k saath shirk na karna, kyunki shirk bahut bada zulm hai". (Sahih Sunan Tirmizi juzz e Saani Hadees no. 2452)

SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NAZAR ANDAAZ KARENE SE BAAZ SHARI AHKAAM NA MUKAMMAL AUR GAIR WAZEY REHTE HAI, MUKAMMAL DEEN SAMAJHNE AUR US PAR AMAL KARNE K LIYE QURAN MAJEED K SAATH SAATH SUNNAT KI PAIRVI AUR ITTEBA BHI ZARURI HAI, CHAND MISAALEY DARJ E ZAIL HAI


1. Quran majeed ne sirf musafir aur bimaar ko ramazaan mein roozey chood kar qaza ada karne ki rukhsat di hai jabkey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne musafir aur bimaar k alawa haiza aur doodh pilaane wali aurato ko bhi rooza chood kar baad mein ada karne ki rukhsat di hai.

QURAN MAJEED KA HUKM:

"Tum mein se jo shaks bimaar ho ya safar mein ho (aur roza na rakkhey) to (ramazaan k baad) doosre dino mein ginti poori kare". (Surah Baqarah Ayat no. 184)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA HUKM:

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah ta'ala ne musafiro ko rooza mu'akkhar karne aur nisf namaz ki rukhsat di hai jabke hamila aur doodh pilane wali aurat ko sirf rooza mu'akkhar karne ki rukhsat di hai". (Sahih Sunan Nasayi Juzz e Saani Hadees no. 2145)

Hazrat Abu Zanaad Rahimahullah farmate hai masnoon aur shari ahkaam basa auqaat raaye k bar-aks hote hai lekin musalmano par un ahkaam ki pairvi karna lazim hai unhi ahkaam mein se ek ye bhi hai k haiza roozo ki qaza ada kare, lekin namaz ki qaza ada na kare. (Sahih Bukhari Kitabus Saum)


2. Quran majeed ne zaani mard aur zaani aurat ko 100-100 koodey maarne ka hukm diya hai jabke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne gair shadi-shuda mard aur aurat ko 100-100 koodey maane ka hukm diya hai aur shadi-shuda mard aur aurat ko sangsaar karne ki saza di hai.

QURAN MAJEED KA HUKM:

"Zaniya aurat aur zaani mard dono mein se har ek ko 100-100 koodey maro aur Allah ta'ala k deen (ko nafiz karne) k maamley mein tumko taras na aye, agar tum Allah aur yaum e akhirat par emaan rakhte ho". (Surah Noor Ayat no. 2)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA HUKM:

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai k Maaiz bin Malik Razi Allahu Anhu, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hue aur do martaba zina ka aetraaf kiya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unhe wapas loota diya, Hazrat Maaiz Razi Allahu Anhu phir hazir hue aur do martaba zina ka aetraaf kiya, tab Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Tumne char martaba apne khilaf gawahi de di (tab loogo ko hukm diya) jao use sangsaar kardo". (Sahih Sunan Abu Dawood juzz e Saani Hadees no. 3823)


3. Quran majeed ne tamaam murdaar haraam qarar de diye hai jabkey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mari hui machli halal qaraar di hai.

QURAN MAJEED KA HUKM:

"Haraam kiya gaya hai tum par murdaar, khoon, khinzeer ka goosht aur har wo janwar jispar (zibah karte waqt) Allah k alawa kisi aur ka naam liya jaye". (Surah Maaida Ayat no. 3)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA HUKM:

Hazrat jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se samundar k baarey mein sawal kiya gaya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Samundar ka paani paak hai aur uska murdaar (yaani machli) halal hai". (Sahih Ibne Khuzaimah Juzz e Awwal Hadees no. 112)


4. Quran e majeed ne mardo aur aurato k liye har tarah ki zeenat ko jayez aur halaal qaraar diya hai jabke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mardo k liye soona aur raisham haraam qaraar diya hai.

QURAN MAJEED KA HUKM:

"Ae Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam)! un se kaho jisne rizk ki pakeezah cheezo ko aur Allah ki us zeenat ko haraam qaraar diya jise Allah ne apne bando k liye nikaala hai". (Surah Aaraaf Ayat no. 32)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA HUKM:

Hazrat Abu Moosa Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Meri ummat ki aurato k liye soona aur resham halal kiya gaya hai aur mardo k liye haram kiya gaya hai". (Sahih Sunan Nasayi juzz e Saani Hadees no. 4754)


5. Quran majeed ne wuzu ka tareeqa muh aur haath kohniyo tak dhoona phir sar ka masah aur pao ka dhoona bataya hai jabke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne teen martaba haath dhoona, teen martaba kulli karna, teen martaba naam saaf karna aur phir muh dhoona, teen martaba dono haath kohniyo tak dhoona, uske baad sar aur kaano ka masah karna aur phir teen martaba dono pao takhno tak dhoona bataya hai.

QURAN MAJEED KA HUKM:

"Ae loogo, jo emaan laye ho! jab namaz k liye utho to muh aur apne haath kohniyo tak dhulo, saro  par masah karlo aur pao ko takhno tak dho liya karo". (Surah Maaidah Ayat no. 6)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA HUKM:

Hazrat Humraan Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Hazrat Usman Razi Allahu Anhu ne wuzu k liye paani mangwaya aur bartan se dono haato par paani daala aur dono haato ko teen baar dhooya phir apna haath bartan mein dala, kulli ki, naak saaf ki aur unme paani dala, phir apna chehra teen martaba dhooya aur kohniyo tak baazu teen martaba dhooye phir sar ka masah kiya phir teen martaba dono pao dhooye phir farmaya "Mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko isi tarah wuzu karte dekha hai". (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim Kitabul Wuzu)

Wednesday, 27 August 2014

SUNNAT KI MOJOODGI MEIN RAAYE KI HESIYAT

SUNNAT KI MOJOODGI MEIN RAAYE KI HESIYAT

Bismaillahirrahmanirraheem

SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PAR AMAL KARNE KI BAJAYE APNI MARZI SE ZAYADA AMAL KARKE ZAYADA SAWAB HASIL KARNE KI KHAWAHISH PAR AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE IZHAAR E NARAAZGI FARMAYA

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu farmate hai teen sahabi azwaaj e mutahharaat Razi Allahu Anhum k gharo mein hazir hue aur Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ibadat k baare mein sawal kiya jab unhe bataya gaya to unhone Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ibadat ko kam samajha aur aapas mein kaha Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k muqabaley mein hamara kya muqaam hai unki to agli pichli saari khtaye maaf kardi gayi hai (lihaza hame Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se zayada ibadat karni chahiye) unmey se ek ne kaha mein hamesha saari raat namaz padhunga (aaraam nahi karunga) doosre na kaha mein hamesha roozey rakkhunga aur kabhi tark nahi karunga, teesre na kaha mein aurato se alag rahunga aur kabhi nikah nahi karunga jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam tashreef laye to un se pucha "Kya tumne aesa aur aesa kaha hai?" (unke iqraar par) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Khabardaar! Allah ki qasam mein tum sab se zayada Allah ta'ala se darne wala aur tum sab se zayada parhaizgaar hu, lekin mein rooza rakhta hu, tark bhi karta hu, raat ko qayam bhi karta hu aur aaraam bhi karta hu, aurato se nikha bhi kiye hai (yaad rakkho) jisne meri sunnat se muh mooda uska mujhse koi talluq nahi". (Sahih Bukhari Kitabun Nikah)

SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PAR AMAL KARNE KI BAJAYE APNI RAAYI PAR AMAL KARNE WALO KO RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE "NAFARMAAN" KAHA HAI

Hazrat Arwah bin Zubair Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu ne farmaya: "Mein koi aesi cheez nahi chood sakta jis par Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam amal kiya karte they, kyunki mujhey darr hai k agar mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k qaul wa fail mein koi cheez bhi chood dunga to gumraah ho jaunga". (Al loo loo wal Marjaan Kitabul Jihad Hadees no. 1150)

SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM FAISLA KARTE WAQT APNI RAAYE PAR AMAL KARNE SE PEHLE HAMESHA SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI TARAF RUJU FARMATE
SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA ILM HOTE HI SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM APNI RAAYE WAPAS LE LETE THEY
ITTEBA E SUNNAT HI MUSALMANO K BA'HAMI IKHTALAFAAT KHATAM KARNE KA WAHID RAASTA HAI

Hazrat Qubaisah bin Zuyeb Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek mayyat ki naani Hazrat Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu k paas meraas maangne aayi, Hazrat Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu ne farmaya "Quraani ahkaam k mutabiq meraas mein tumhara koi hissa nahi aur na hi mene is baare mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se koi hadees suni hai, lihaza wapas chali jao, mein is baare mein loogo se daryaft karunga" chunanchey Hazrat Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu ne loogo se pucha to Hazrat Mugeera bin Shuba Razi Allahu Anhu ne kaha "Meri mojoodgi mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne naani ko chatha (6th) hissa dilaya hai" Hazrat Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu ne pucha "Koi aur bhi iska gawah hai?" Hazrat Muhammad bin Maslamah Ansari ne bhi is hadees ki ta'eed ki, chunanchey Hazrat Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu ne naani ko chatha (6th) hissa dila diya. (Sahih Sunan Abu Dawood juz e Awwal Hadees no. 2888)

Hazrat Saeed Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu farmaya karte they "Dayat sirf walid k rishtedaro k liye hai lihaza beewi ko apne shohar ki dayat se koi hissa nahi milta" Zahaak bin Sufyaan Razi Allahu Anhu ne (Hazrat Umar Razi Allahu Anhu) se kaha Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhe ye paigaam likhwa kar bhijwaya k mein Aseem Siyaabi ki beewi ko uske shohar ki dayat se hissa dilau, chunanchey Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne apni raaye se ruju kar liya. (Sahih Sunan Abu Dawood juz e Awwal Hadees no. 2921)

Hazrat Miswar bin Makhramah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne pait k bacchey ki dayat k baare mein loogo se mashwara kiya, to Hazrat Mugeerah bin Shuba Razi Allahu Anhu ne kaha Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne is par ek gulam ya loondi aazaad karne ka hukm diya hai, Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne farmaya "Apni baat par gawah lao" chunanchey Hazrat Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu ne is baat ki tasdeeq ki (Is k baad Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne Sunnat E Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam k mutabiq faisla farmaya). (Sahih Muslim Kitabul Qasamah)

Hazrat Bajalah Razi Allahu Anhu kehte hai "Mein ahnf k chacha juzz bin Muaviyah ka munshi tha, hamey Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ka ek khat unki wafaat se ek saal qabl mila, jisme likha tha k jis munshi ne apni mahram aurat se nikah kiya ho unhe alag karo, Hazrat Umar Razi Allahu Anhu majoosiyo se jizya nahi lete they, lekin jab Hazrat Abdur Rahman bin Aouf Razi Allahu Anhu ne gawahi di k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam majoosiyo se jizya liya karte they (to Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne bhi jizya lena shuru kar diya)". (Sahih Bukhari Kitabul Jizya)

Hazrat Zainab binte Kaab bin Ujrah Razi Allahu Anha se riwayat hai k Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu ki behan Fureah binte Malik bin Sunaan Razi Allahu Anha ne unhe bataya k wo Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas aayi aur pucha "Kya wo bani khudrah mein apne ghar ja sakti hai?" kyunki mere khawind k chand gulaam bhaag gaye they wo unhe dhundhne nikle jab tarfe qadoom (ek muqaam hai madeena se saat meel par) pahunche to waha gulamo ko paya aur gulamo ne mere khawind ko maar dala chunanchey mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se daryaft kiya kya mein apne ghar wapas chali jao kyunki mera khawind mere liye koi makaan ya kharch wagairah chood kar nahi mara?" Hazrat Fureah Razi Allahu Anha kehti hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "chali jao" Hazrat Fureah Razi Allahu Anha kehti hai mein waha se nikli abhi masjid ya hujre mein thi to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhe bulaya ya kisi ko bulane ka hukm diya aur mujhe bulaya gaya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "tumne kya kaha tha?" mene saari baat dobara bayan ki jo mene apne shohar k mutalliq kahi thi Hazrat Fureah Razi Allahu Anha kehti hai tab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Apne ghar mein thehri raho hatta k iddat poori ho jaye" chunanchey mene us ghar mein 4 maah 10 din poorey kiye, Hazrat Fureah Razi Allahu Anha kehti hai jab Usman bin Affan Razi Allahu Anhu ne mere paas paigaam bheja aur masla daryaft kiya to mene unhey yahi bataya aur unhone uske mutabiq faisla kiya. (Sahih Sunan Abu Dawood Juzz e Saani Hadees no. 2016)

Tuesday, 26 August 2014

SUNNAT KA EHTARAAM

SUNNAT KA EHTARAAM

Bismillahirrahamanirraheem

SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI MAMOOLI SI MUKHALIFAT BHI GAWARA NAHI SAMAJHTE THEY

Hazrat Umarah bin Ruwaibah Razi Allahu Anhu ne hakim e waqt Marwaan k baite Bashar ko (doraan e khutba e juma) mimbar par dono haath uthate dekha to famaya: "Allah kharaab kare un dono haatho ko mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko us se zayada karte hue nahi dekha". (Sahih Muslim Kitabuj Juma)

Hazrat Kaab bin Ujrah Razi Allahu Anhu masjid mein dakhil hue aur ummey hakam ka baita Abdur Rahman baith kar khutba de raha tha, Hazrat Kaab Razi Allahu Anhu ne farmaya: "Is khabees ko dekho baith kar khutba de raha hai (jo khilaf e sunnat hai) Allah ta'ala Quran e Majeed mein farmata hai: "Ae Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Jab loogo ne khareed o farokht ya khail kood dekha, to us taraf bhagey aur tujhe khada hua chood gaye". (Sahih Muslim Kitabuj Juma)

SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K QAUL YA FAIL K KHILAAF KISI QISM KI BAAT SUN'NA YA USE MAMOOLI SAMAJHNA SAKHT NA PASAND FARMATE THEY

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Koi shaks Allah ki bandiyo ko masjid mein aane se na rookey" Hazrat Abdullah Razi Allahu Anhu k baite ne kaha "Hum to rokenge" Hazrat Abdullah Razi Allahu Anhu sakht naraaz hue aur farmaya: "Mein tere saamne Hadees e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam bayan kar raha hu aur tu keh raha hai k hum unhe zaroor rokenge". (Ibne Maja Kitabus Sunnah)

Hazrat Abdullh bin Mugfal Razi Allahu Anhu se riwayat hai k unka bhatija pehlu mein baitha kankariya phaink raha tha, Hazat Abdullah Razi Allahu Anhu ne use mana kiya aur bataya k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne is se mana farmaya hai neez Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshad e mubarak hai hai k aesa karne se na to shikar ho sakta hai na dushman ko nuksan pahunchaya ja sakta hai, albatta is se (kisi ka) daant toot sakta hai ya aankh phoot sakti hai, bhatije ne dobara kankariya phainkni shuru kardi, to Hazrat Abdullah Razi Allahu Anhu ne kaha: "Mene tujhe bataya hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne is se mana farmaya hai aur tu phir wahi kaam kar raha hai, lihaza mein tujhse ab kabhi baat nahi karunga". (Sahih Sunan Ibne Maja Juz e Awwal Hadees no. 17)

Hazrat Imran bin Hussain Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Haya to saari bhalayi hai" ya Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Haya mukammal bhalayi hai" Basheer bin Kaab Razi Allahu Anhu ne kaha humne baaz kitabo mein ya danayi ki baato mein padha hai k haya ki ek qism to Allah ta'ala k huzoor sakeenah aur waqaar hai jabke doosri qism bodapan aur kamzoori hai, ye sunkar (Sahabi E Rasool) Hazrat Imarn Razi Allahu Anhu ko sakht gussa aya, aankhey surkh ho gayi aur farmaya k mein tumhare saamne Hadees e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam bayan kar raha hu aur tu uske khilaf baat kar raha hai, raavi kehte hai Hazrat Imran Razi Allahu Anhu ne phir Hadees padh kar sunayi, idhar Basheer bin Kaab Razi Allahu Anhu ne bhi apni wahi baat dohrayi, to Hazrat Imran Razi Allahu Anhu gazabnaak ho gaye aur (Basheer bin Kaab Razi Allahu Anhu ko saza dene ka faisla kiya) hum sab ne kaha "Ae aba najeed (Hazrat Imran Razi Allahu Anhu ki kaneet) basheer hamara hi musalman saathi hai (ise maaf kar dijiye) isme koi (munafiqat ya kufr wali) baat nahi hai". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA ILM HO JANE K BAWAJOOD MASLA DARYAFT KARNE PAR HAZRAT UMAR RAZI ALLAHU ANHU KA IZHAAR E NARAZI

Hazrat Haris bin Abdullah bin Aaus Razi Allahu Anhu kehte hai mein Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu k paas hazir hua aur unse pucha: "Agar qurbani k din tawaaf e ziyarat karne k baad aurat haiza ho jaye to kya kare?" Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne farmaya: "(Taharat hasil karne k baad) aakhiri amal baitullah shareef ka tawaaf hona chahiye" Haris Razi Allahu Anhu ne kaha Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne bhi mujhe yahi fatwa diya tha is par Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne farmaya: "Tere haath toot jaye, toone mujhse aesi baat puchi, jo Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se puch chuka tha takey mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k khilaf faisla karu". (Sahih Sunan Abu Dawood juz Awwal Hadees no. 1765)