Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Wednesday 27 August 2014

SUNNAT KI MOJOODGI MEIN RAAYE KI HESIYAT

SUNNAT KI MOJOODGI MEIN RAAYE KI HESIYAT

Bismaillahirrahmanirraheem

SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PAR AMAL KARNE KI BAJAYE APNI MARZI SE ZAYADA AMAL KARKE ZAYADA SAWAB HASIL KARNE KI KHAWAHISH PAR AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE IZHAAR E NARAAZGI FARMAYA

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu farmate hai teen sahabi azwaaj e mutahharaat Razi Allahu Anhum k gharo mein hazir hue aur Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ibadat k baare mein sawal kiya jab unhe bataya gaya to unhone Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ibadat ko kam samajha aur aapas mein kaha Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k muqabaley mein hamara kya muqaam hai unki to agli pichli saari khtaye maaf kardi gayi hai (lihaza hame Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se zayada ibadat karni chahiye) unmey se ek ne kaha mein hamesha saari raat namaz padhunga (aaraam nahi karunga) doosre na kaha mein hamesha roozey rakkhunga aur kabhi tark nahi karunga, teesre na kaha mein aurato se alag rahunga aur kabhi nikah nahi karunga jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam tashreef laye to un se pucha "Kya tumne aesa aur aesa kaha hai?" (unke iqraar par) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Khabardaar! Allah ki qasam mein tum sab se zayada Allah ta'ala se darne wala aur tum sab se zayada parhaizgaar hu, lekin mein rooza rakhta hu, tark bhi karta hu, raat ko qayam bhi karta hu aur aaraam bhi karta hu, aurato se nikha bhi kiye hai (yaad rakkho) jisne meri sunnat se muh mooda uska mujhse koi talluq nahi". (Sahih Bukhari Kitabun Nikah)

SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PAR AMAL KARNE KI BAJAYE APNI RAAYI PAR AMAL KARNE WALO KO RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE "NAFARMAAN" KAHA HAI

Hazrat Arwah bin Zubair Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu ne farmaya: "Mein koi aesi cheez nahi chood sakta jis par Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam amal kiya karte they, kyunki mujhey darr hai k agar mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k qaul wa fail mein koi cheez bhi chood dunga to gumraah ho jaunga". (Al loo loo wal Marjaan Kitabul Jihad Hadees no. 1150)

SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM FAISLA KARTE WAQT APNI RAAYE PAR AMAL KARNE SE PEHLE HAMESHA SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI TARAF RUJU FARMATE
SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA ILM HOTE HI SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM APNI RAAYE WAPAS LE LETE THEY
ITTEBA E SUNNAT HI MUSALMANO K BA'HAMI IKHTALAFAAT KHATAM KARNE KA WAHID RAASTA HAI

Hazrat Qubaisah bin Zuyeb Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek mayyat ki naani Hazrat Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu k paas meraas maangne aayi, Hazrat Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu ne farmaya "Quraani ahkaam k mutabiq meraas mein tumhara koi hissa nahi aur na hi mene is baare mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se koi hadees suni hai, lihaza wapas chali jao, mein is baare mein loogo se daryaft karunga" chunanchey Hazrat Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu ne loogo se pucha to Hazrat Mugeera bin Shuba Razi Allahu Anhu ne kaha "Meri mojoodgi mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne naani ko chatha (6th) hissa dilaya hai" Hazrat Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu ne pucha "Koi aur bhi iska gawah hai?" Hazrat Muhammad bin Maslamah Ansari ne bhi is hadees ki ta'eed ki, chunanchey Hazrat Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu ne naani ko chatha (6th) hissa dila diya. (Sahih Sunan Abu Dawood juz e Awwal Hadees no. 2888)

Hazrat Saeed Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu farmaya karte they "Dayat sirf walid k rishtedaro k liye hai lihaza beewi ko apne shohar ki dayat se koi hissa nahi milta" Zahaak bin Sufyaan Razi Allahu Anhu ne (Hazrat Umar Razi Allahu Anhu) se kaha Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhe ye paigaam likhwa kar bhijwaya k mein Aseem Siyaabi ki beewi ko uske shohar ki dayat se hissa dilau, chunanchey Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne apni raaye se ruju kar liya. (Sahih Sunan Abu Dawood juz e Awwal Hadees no. 2921)

Hazrat Miswar bin Makhramah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne pait k bacchey ki dayat k baare mein loogo se mashwara kiya, to Hazrat Mugeerah bin Shuba Razi Allahu Anhu ne kaha Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne is par ek gulam ya loondi aazaad karne ka hukm diya hai, Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne farmaya "Apni baat par gawah lao" chunanchey Hazrat Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu ne is baat ki tasdeeq ki (Is k baad Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne Sunnat E Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam k mutabiq faisla farmaya). (Sahih Muslim Kitabul Qasamah)

Hazrat Bajalah Razi Allahu Anhu kehte hai "Mein ahnf k chacha juzz bin Muaviyah ka munshi tha, hamey Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ka ek khat unki wafaat se ek saal qabl mila, jisme likha tha k jis munshi ne apni mahram aurat se nikah kiya ho unhe alag karo, Hazrat Umar Razi Allahu Anhu majoosiyo se jizya nahi lete they, lekin jab Hazrat Abdur Rahman bin Aouf Razi Allahu Anhu ne gawahi di k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam majoosiyo se jizya liya karte they (to Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne bhi jizya lena shuru kar diya)". (Sahih Bukhari Kitabul Jizya)

Hazrat Zainab binte Kaab bin Ujrah Razi Allahu Anha se riwayat hai k Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu ki behan Fureah binte Malik bin Sunaan Razi Allahu Anha ne unhe bataya k wo Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas aayi aur pucha "Kya wo bani khudrah mein apne ghar ja sakti hai?" kyunki mere khawind k chand gulaam bhaag gaye they wo unhe dhundhne nikle jab tarfe qadoom (ek muqaam hai madeena se saat meel par) pahunche to waha gulamo ko paya aur gulamo ne mere khawind ko maar dala chunanchey mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se daryaft kiya kya mein apne ghar wapas chali jao kyunki mera khawind mere liye koi makaan ya kharch wagairah chood kar nahi mara?" Hazrat Fureah Razi Allahu Anha kehti hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "chali jao" Hazrat Fureah Razi Allahu Anha kehti hai mein waha se nikli abhi masjid ya hujre mein thi to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhe bulaya ya kisi ko bulane ka hukm diya aur mujhe bulaya gaya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "tumne kya kaha tha?" mene saari baat dobara bayan ki jo mene apne shohar k mutalliq kahi thi Hazrat Fureah Razi Allahu Anha kehti hai tab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Apne ghar mein thehri raho hatta k iddat poori ho jaye" chunanchey mene us ghar mein 4 maah 10 din poorey kiye, Hazrat Fureah Razi Allahu Anha kehti hai jab Usman bin Affan Razi Allahu Anhu ne mere paas paigaam bheja aur masla daryaft kiya to mene unhey yahi bataya aur unhone uske mutabiq faisla kiya. (Sahih Sunan Abu Dawood Juzz e Saani Hadees no. 2016)

No comments:

Post a Comment