Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Monday 1 September 2014

SUNNAT PAR AMAL KARNA WAJIB HAI

SUNNAT PAR AMAL KARNA WAJIB HAI

Bismillahirrahmanirraheem

ALLAH TA'ALA K AHKAMAAT KI TARAH RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K AHKAMAAT BHI WAJIBUL ITTEBA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hame khutba diya jisme irshad farmaya: "Allah ta'ala ne tum par hajj farz kiya hai, lihaza hajj karo" Ek aadmi ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! kya har saal hajj ada kare?" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam khamoosh rahe, us aadmi ne teen martaba sawal kiya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Agar mein "han" keh deta to tum par har saal hajj ada karna wajib ho jata aur phir us par amal karna tumhare liye mumkin na hota, lihaza jitni baat mein tumse kahu usi par iktafa kiya karo, agle loog ise liye halaak hue k wo apne nabiyo se zayada sawal aur ikhtalaaf karte they" (phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya) "Jab mein tumhey kisi baat ka hukm du to (kuraid ki bajaye) apni istata'at k mutabiq us par amal karo aur jis cheez se mana karu use chood do". (Sahih Muslim Kitabul Hajj)

Hazrat Abu Saeed bin Mualla Razi Allahu Anhu farmate hai mein masjid mein namaz padh raha tha, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhe aawaaz di, mene jawab na diya phir (namaz khatam kar k) jab Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua, to arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mein namaz padh raha tha (is liye Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k bulane par hazir na ho saka) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Kya Allah ta'ala ne (quran majeed mein) ye hukm nahi diya "Loogo! Allah aur uska Rasool jab tumhe bulaye to uske hukm ki tameel karo". (Sahih Bukhari)

Hazrat Abdullah bin Masood Razi Allahu Anhu ne farmaya: "Allah ta'ala ne jism goondne wali aur gudwaane wali, chehre k baal ukhadne aur ukhadwaane walo par, khoobsurti k liye daant (ragad kar) khule karwane waliyo par (neez) Allah ta'ala ki banawat ko tabdeel karne waliyo par laanat farmayi hai" Bani Asad ki ek aurat ummey yaqoob ne ye baat suni jo k quran padha karti thi, to Hazrat Abdullah bin Masood Razi Allahu Anhu k paas ayi aur kaha, mene suna hai "Tumne jism gudwaane aur goodne waliyo par, chehre k baal ukhaadne aur ukhadwaane waliyo par daanto ko kushaada karwane waliyo aur Allah ta'ala ki banawat ko badalne waliyo par lanat ki hai?" Hazrat Abdullah bin Masood Razi Allahu Anhu ne kaha: "Mein us par laanat kyu na karu jis par Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne laanat farmayi hai aur ye (yaani is baat ka zikr) to Allah ta'ala ki kitab mein mojood hai" us aurat ne kaha "Mene (apne paas mehfooz) do takhtiyo k darmiyaan sara quran padh daala hai, lekin mujhe to usme kahi is baat ka zikr nahi mila" Hazrat Abdullah Razi Allahu Anhu ne farmaya: "Agar to quran gaur se padhti (jis tarah gaur se padhne ka haqq hai) to tujhe ye baat mil jaati" Allah ta'ala farmata hai "Rasool jis baat ka hukm de us par amal karo aur jis se mana kare us se baaz aa jao" phir wo aurat booli "Un baato mein se baaz baatey to tumhari beewi mein bhi hai" Hazrat Abdullah Razi Allahu Anhu ne kaha "Jao ja kar dekh lo" wo aurat gayi to unki beewi mein aesi koi baat na payi tab wo wapas ayi aur kehne lagi "Unme se to koi baat mene tumhari beewi mein nahi dekhi" Hazrat Abdullah Razi Allahu Anhu ne farmaya "Agar wo aesa karti to hum kabhi us se sohbat na karte". (Al loo loo wal Marjaan juzz e Saani Hadees no. 1377)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI ITA'AT ALLAH KI ITA'AT HAI AUR RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI NAFARMANI ALLAH KI NAFARMANI HAI, LIHAZA DONO KI ITA'AT EK HI DARJEY MEIN WAJIB HAI

Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu farmate hai farishto ki ek jama'at Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hui, us waqt Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam soo rahe they, farishto ne aapas mein kaha "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ek misaal hai, wo bayan karo" kuch farishto ne kaha "Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam to soo rahe hai (yaani unke saamne misaal bayan karne se kya faida?)" lekin kuch doosre farishto ne kaha "Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki misaal us aadmi ki si hai jisne ek ghar taameer kiya, khana pakaya aur phir loogo ko bulane k liye ek aadmi bheja, jisne bulane wale ki baat maan li wo ghar mein dakhil hua aur khana kha liya, jisne bulane wale ki baat na maani wo ghar mein dakhil hua na khana khaya"  phir kuch farishto ne kaha "is misaal ki wazahat karo takey Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam acchi tarah samajh le" baaz farishto ne phir ye baat dohraayi "Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam to soo rahe hai" lekin doosre ne jawab diya "Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki aankh to soo rahi hai lekin dil jaag raha hai" chunachey farishto ne misaal ki yu wazahat ki "ghar se muraad jannat hai (jise Allah ta'ala ne taameer kiya hai) aur loogo ko bulane wale Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam hai, pas jisne Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki baat maan li usne gooya Allah ta'ala ki baat maani aur jisne Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki baat na maan'ne se inkaar kiya, usne gooya Allah ta'ala ki baat maan'ne se inkaar kiya aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam loogo k darmiyaan fark karne wale hai (yaani kaun farmabardaar hai aur kaun na-farmaan)". (Sahih Bukhari Kitabul Aetasaam bil Kitabis Sunnah)

Hazrat Miqdaam bin Maadi Karb Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Loogo, yaad rakkho! quran hi ki tarah ek aur cheez (Yaani Hadees) mujhe Allah ki taraf se di gayi hai, khabardaar! ek waqt ayega k ek pait bhara (yaani takabbur shaks) apni musnad par takiya lagaye baitha hoga aur kahega loogo! tumhare liye ye quran hi kaafi hai is mein jo cheez halaal hai bas wahi halaal hai aur jo cheez haraam hai bas wahi haraam hai, halankey jo kuch Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne haraam kiya hai wo aese hi haraam hai jese Allah ne haraam kiya hai, suno! gharelu gadha bhi tumhare liye halaal nahi (halankey quran mein uski hurmat ka zikr nahi) na hi wo darindey jinki kuchliya (yaani now kiye (teekhey) daant jinse wo shikaar karte hai) hai, na hi kisi zimmey ki giri padi cheez kisi k liye halaal hai, han albatta agar uske maalik ko uski zarurat hi na ho to phir jayez hai". (Sahih Sunan Abu Dawood juzz e Saani Hadees no. 3848)

SHARIYAT MEIN SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM AUR KITABULLAH K AHKAMAAT EK HI DARJA RAKHTE HAI

Hazrat Abu Hurairah aur Zaid bin Khalid Juhni Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek dehaati Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mein aap ko Allah ki qasam deta hu k mera faisla kitabullah k mutabik kijiye" muqadmey ka doosra fareeq zayada samajhdaar tha usne arz kiya "Han ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! hamare darmiyaan kitabullah k mutabiq hi faisla farmaye, lekin mujhey baat karne ki ijazat di jaye" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya accha baat karo, usne arz kiya "Mera baita uske ghar nokar tha usne uski beewi se zina kiya loogo ne mujhse kaha tere baite k liye rajm ki saza hai mene uske badle soo bakriya sadqa ki aur ek loondi aazaad ki, phir mene ulama se pucha to unhone kaha tere baite k liye 100 koodo ki saza aur ek saal ki jila watni hai aur fareeq saani ki beewi k liye sangsaari ki saza hai" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "us zaat ki qasam! jiske haath mein meri jaan hai, mein tumhare darmiyaan kitabullah k mutabiq hi faisla karunga" fareeq awwal ko hukm diya k "apni bakriyo aur loondi wapas le lo tumhare baite k liye 100 koode hai aur saal ki jila watni ki saza hai" phir ek Sahabi (Unais Razi Allahu Anhu) ko hukm diya k tum kal us aurat se ja kar pucho agar wo zina ka ikraar kare to use sangsaar kardo" Hazrat Unais Razi Allahu Anhu agle rooz gaye aurat ne zina ka iqraar kar liya to Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k hukm se wo sangsaar kardi gayi. (Al loo loo wal Marjaan juzz e Saani Hadees no. 1103)

GUMRAHI SE BACHNE K LIYE KITABULLAH AUR SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM DONO KI TARAF PAIRVI KA HUKM

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Mein tumhare darmiyan do chizey choode ja raha hu k agar unpar amal karoge to kabhi gumrah nahi honge ek Allah ki kitab aur doosri meri Sunnat". (Mustadrak E Hakim, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 2937)

JO AMAL SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K MUTABIQ NA HO, WO ALLAH TA'ALA K HAN QABIL E QUBOOL NAHI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jisne deen mein koi aesa kaam kiya jiski bunyaad shariyat mein nahi, wo kaam mardood hai". (Al loo loo wal Marjaan Juz e saani Hadees no. 1120)

DEENI MASA'IL MEIN NABI E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI BA'ZARIYA E WAHI REHNUMAYI KI JAATI, JIS KI ITA'AT ALLAH TA'ALA K HUKM KI TARAH HI WAJIB HAI, CHAND MISAALEY MULAHIZA FARMAIYE

1. Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu kehte hai mein bimaar tha to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur Hazrat Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu iyadat k liye tashreef laye mein behosh tha, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne wuzu kiya aur wuzu ka paani mujh par dala, jis se mein hoosh mein aa gaya, mene arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! ek baar Hazrat Sufyaan Razi Allahu Anhu ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha tha k mein apne maal ka kya faisla karu?" phir Hazrat Sufyaan Razi Allahu Anhu ne bataya k "Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne us waqt koi jawab na diya jab tka meraas ki aayat na utri". (Sahih Bukhari Kitabul Aetasaam bil Kitabis Sunnah)

2. Hazrat Sahal bin Saad Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek aadmi Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas hazir hua aur arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! agar koi shaks apni beewi ko gair mard k saath dekhey to kya kare? agar qatal kare to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam use (qasaas) mein qatal karwadege, phir aakhir kya kare?" (Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne koi jawab na diya hatta k) Allah ta'ala ne un dono k baare mein quran majeed mein la'aan ka hukm nazil farmaya, tab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne us shaks se farmaya "Tera aur teri beewi ka faisla ho gaya, chunanchey dono ne la'aan kiya (raavi kehte hai) mein us waqt Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas mojood tha, tab ye sunnat jaari hui k la'aan karne wale miya beewi mein judayi karadi jaye". (Sahih Bukhari Kitabut Tafseer)

3. Hazrat Abdullah bin Masood Razi Allahu Anhu kehte hai ek dafa mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath ek baag mein tha, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam khajoor ki ek chadi par taik lagaye hue they k yahoodi guzrey wo aapas mein ek doosre se kehne lage un (yaani Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam) se rooh k baare mein sawal karo, (unme se) ek ne kaha "Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam k baare mein tumhey kis cheez ne shak mein daal diya hai (k wo paigambar hi na ho)" kuch yahoodiyo ne kaha "Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam koi aesi baat na keh de, jo tumhe na'gawaar guzrey, phir unhone (faisla karke) kaha "accha chalo sawal karo" chunanchey yahoodiyo ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha "Rooh kya cheez hai?" Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam khamoosh rahe unhe koi jawab na diya, mein samajh gaya k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam par wahi nazil ho rahi hai chunanchey apni jagah par khada raha, jab wahi nazil ho chuki to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye aayat tilawat farmayi (WA YAS ALOONAKA INIR ROOHU QULIR ROOHU MIN AMRI RABBI) "Ae Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam! loog Aap se rooh k baare mein sawal karte hai, keh dijiye rooh mere rabb ka hukm hai aur tum ko (us baarey mein) kam hi ilm diya gaya hai. (Surah Bani Israeel Ayat no. 85)". (Sahih Bukhari Kitabut Tafseer)

QURAN MAJEED K ALAWA BHI ALLAH TA'ALA, NABI E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO DEEN K AHKAMAAT SIKHATE THEY JIN PAR EMAAN LANA AUR AMAL KARNA USI TARAH WAJIB HAI JIS TARAH QURAN MAJEED K AHKAMAAT PAR EMAAN LANA AUR AMAL KARNA WAJIB HAI, CHAND MISALEY DARJ E ZAIL HAI
1. Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah ta'ala ne musafir ko nisf namaz ki rukhsat aur rooza mu'akkhar karne ki rukhsat di hai jabke hamila aur doodh pilane wali aurat ko (sirf) rooza mu'akkhar karne ki rukhsat di hai". (Sahih Sunan Nasayi juzz e Saani Hadees no. 2145)

Wazahat: Quran Majeed mein Allah ta'ala ne sirf musafir aur bimaar ka zikr kiya hai jabkey yaha hamila aur doodh pilane wali aurat ko di gayi rukhsat ko bhi Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Allah ta'ala ki taraf mansoob kiya hai.

2. Hazrat Abu Saeed Razi Allahu Anhu kehte hai ek aurat Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hui aur arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Aap ki saari talimaat (Ahadees) mardo ne le li hai, (Haftey mein) ek din hamari taleem k liye bhi muqarrar farma dijye jisme hame wo baatey sikhlaiye jo Allah ta'ala ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko sikhlayi hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Accha fala fala din fala fala jagah jama hua karo" chunanchey auratey jama hui aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unke paas tashreef le gaye aur jo baatey Allah ta'ala ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko sikhlayi thi wo unko sikhlayi, phir farmaya "Tum mein se jo aurat apne teen bacchey aagey bhej chuki hai (yaani faut ho chukey hai) to qayamat k rooz wo bacchey (sabr karne par) uske liye jahannam se rukawat banege" ek aurat ne sawal kiya "agar do bacchey hue ho?" aurat ne do ka lafz dohraya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne jawab diya "Han do bhi, do bhi, do bhi (teen martaba kaha)". (Sahih Bukhari Kitabul Aetasaam bil Kitabis Sunnah)

3. Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se aur Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam apne rabb se riwayat karte hai k Allah ta'ala irshad farmata hai "Har amal ka badla hai aur rooza mere liye hai mein hi uska badla dunga, rooza-daar k muh ki buh Allah ta'ala k nazdeek mushk ki khushbu se zayada acchi hai". (Sahih Bukhari Kitabut Tauheed)

4. Hazrat Anas Razi Allahu Anhu Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam apne rabb se riwayat karte hai k Allah ta'ala farmata hai "Jab koi banda balisht meri taraf aata hai to mein haath bhar uski taraf aata hu, jab banda haath bhar meri taraf aata hai to mein do haath uski taraf badhata hu jab banda chal kar meri taraf ata hai to mein doud (bhaag) kar uski taraf ata hu". (Sahih Bukhari Kitabut Tauheed)

5. Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya, Allah ta'ala irshad farmata hai "Kibriyayi meri oudhni hai aur azmat meri chadar hai jisne in dono mein se kisi ek ko mujhse cheena, mein use jahannam mein phenk dunga". (Sahih Sunan Abu Dawood juzz e Saani Hadees no. 2446)

6. Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya, Allah ta'ala irshad farmata hai "Ae ibne aadam! to (meri raah mein) kharch kar, tujh par kharch kiya jayega". (Sahih Bukhari Kitabut Tafseer)

Wazahat: Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka Allah ta'ala se barah e Raast riwayat karna is baat ki daleel hai k Quran majeed k alawa baaz doosre shari ahkamaat bhi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko Allah ta'ala ki taraf se sikhlaye jate they.

No comments:

Post a Comment