ALLAH ARSH PAR HAI (AQWAAL E AA'IMMA (CHAARO IMAMO) SE DALEEL) PART 4
Bismillahirrahmanirraheem
Tabayi aur taba tabayi rahimahullah k aqwaal mai sab se pehle ummat k chaar bade sahib e mazhab imamo rahimahulla k aqwaal paish kar raha hu, khayal rahe k ye aqwaal in charo bade imamo rh k zamene ki tarteeb k mutabik hai, kisi ka zikr pehle ya kisi ka baad mai hone se uski darja bandi maksood nahi.
1. IMAM NOMAAN BIN SAABIT ABU HANIFA RAHIMAHULLAH TAREEKH E WAFAAT 150 HIJRI
abu ismaeel ansari apni kitab "AL FAROOQ" mai abu mutiul hakam bin abdullah balkhi hanfi jinhone fiqh e hanfi ki motabar tareen kitab "FIQHUL AKBAR" likhi, jise galt aam toor par imam abu hanifa rh se mansoob kiya jata hai, in abu mutee k bare mai likha k unhone imam abu hanifa rh se pucha: "jo ye kahe k mai nhi janta k mera rabb zameen par hai ya aasman par to aesa kehne wale k baare mai kya huqm hai?", to imam abu hanifa rh ne farmaya: to usne kufr kiya kyunki Allah kehta hai rehman arsh par qayam hua aur uska arsh saato aasmano k uper hai, mene phir pucha "agar wo ye kahe k mai nhi janta k Allah ka arsh aasman par ya zameen par hai (to phir uska kya huqm hai)?", to imam abu hanifa rh ne farmaya: aesa kehne wala kafir hai kyunki usne is baat se inkaar kiya k Allah ka arsh aasmano k uper hai aur jo is baat se inkaar kare wo kafir hai. (mukhtasar alawul alliyil gaffar rakam 118, safa no. 136 mualiff imam shamsuddin zahabi rh nashir maktaba islamiya bairoot labnaan dusri isha'at, sharah aqeedatut tahaviya safa no. 288 nashir maktaba islamiya, bairoot labnaan 9vi isha'at)
Imam abu hanifa rh ka zikr aya hai to pehle unse mansoob fiqh k imamo ki baat nakal karta chalu,
1.1. IMAM ABU JAFAR AHMAD BIN MUHAMMAD TAHAVI HANFI RAHIMAHULLAH TAREEKH E WAFAAT 321 HIJRI
Apni mashoor kitab "AQIDATUT TAHAVIYA" mai kehte hai: Allah arsh aur uske alawa bhi har ek cheez gani hai aur har cheez uske ahaatey mai hai aur wo har cheez se uper hai aur uski makhlook uska ahaata karne se kaasir hai.
1.2. IMAM SADARUDDIN MUHAMMAD BIN ALAUDEEN RAHIMAHULLAH TAREEKH E WAFAAT 792 HIJRI
jo ibne abil'az hanfi k naam se mashoor hai is “AQIDATUT TAHAVIYA” ki sharah mai imam tahavi rh ki is mandarja bala baat ki sharah mai likhte hai k: ye baat puri tarha se saabit hai k Allah ki zaat makhlook se mili hui nhi (balke alag aur juda hai) aur na Allah ne makhlokaat ko apne andar banaya hai (yani Allah ka har cheez par muheet hone ka ye matlab nhi k makhlokaat uske andar hai balke wo muheez hai apne ilm k zariye, iske dala’il abhi ayenge insha Allah)
phir uske baad Allah ta'ala k apni makhlook se juda, buland aur uper hone k dalail mai warid hone wali nasoos k baare mai bayan karte hai k ye nasoos takreeban 20 iksaam mai hai, aur phir inhi iksaam ko bayan karte hue 16 kisam (16 no.) k bayan mai likha: fir'oon ne kaha ae haaman mere liye imarat banao takey mai raasto tak pahunch saku, aasman k raasto tak (aur unke zariye uper jakar) musa AS k mabood ko jhaank kar dekh lu aur beshaq mai ise (yani musa as ko) jhoota samjhta hu. (Surah momin surah no. 40 Ayat no. 36 aur 37) hawala (sharah aqidatut tahaviya safa no. 287 nashir maktaba islamiya, bairoot, labnaan 9vi isha'at)
2. IMAM MALIK IBNE ANAS RAHIMAHULLAH TAREEKH E WAFAAT 179 HIJRI
mahdi bin jafar bin abudllah kehte hai k imam malik ibne anas rh k paas ek aadmi aya aur usne kaha: Ae abu abdullah Rahman arsh par qayam hua kese qayam hua?
is sawal par imam malik rh itne gussey mai aye k mene unhe kabhi itne gusse mai nhi dekha k gusse ki shiddat se imam sahab paseena paseena ho gye, aur imam rh bilkul khamosh ho gye, loog intezaar karne lage k ab imam sahab kya kahenge
kaafi dair k baad imam malik rh ne farmaya: Allah ka arsh par qayam hona (yani istawaa farmana) anjaani khabar nhi, aur (Allah k istawaa farmane ki) kefiyat aqal mai aane wali nhi (kyunki uski hamare paas us kefiyat k baare mai koi khabar nhi na Allah ki taraf se aur na hi us k Rasool SAW ki taraf se) aur is par emaan lana farz hai, aur is kefiyat k baare mai sawaal karna bida'at hai, aur mujhe ye andesha hai k tum gumrah ho. phir imam malik rh ne us aadmi ko masjid e nabwi se nikaal dene ka huqm diya aur usko nikaal diya gaya. (Asbaat e sifatul uloo, riwayat 104 mu'allif imam mofiquddin abdullah bin ahmad bin kadama muqaddasi)
Imam zahbi rh ne kaha k ye qaul imam malik rh se sabit hai is k alawa ye kaul imam malik rh k ek aur ustaad se bi sabit hai, in sha Allah tabayi k zikr mai unka zikr karunga.
Abdullah bin naafae rahimahullah ka kehna hai k imam malik rh ne farmaya: Allah aasmano par hai aur uska ilm har jagah hai aur uske ilm se koi cheez kharij nhi (Aetaqaad ahlus sunnah muallif imam habtullah lalkayi, tamheed muallif imam ibne abdul barr)
3. IMAM MUHAMMAD BIN IDREES SHAFAE RAHIMAHULLAH TAREEKH E WAFAAT 204 HIJRI
abi shaiba aur abi soor rahimahullah kehte hai k imam shafae rh ne farmaya: mene imam malik rh aur imam sufyaan suri rh aur deegar tabayi (in ka zikr in sha Allah agey ayega) ko jis tarha sunnat ki jis baat par paya mai bhi us par hi qayam hua aur wo baat ye hai k: is baat ki shahadat di jaye k Allah k alawa koi saccha aur haqeeqi mabood nhi aur muhammad SAW Allah k rasool hai, aur Allah aasmano se uper apne arsh se uper hai, jise chahta hai apni makhlooq k kareeb hota hai, aur mujhe chahta hai dunya k aasman ki taraf utarta hai aur aqeedeh k degar muamalaat ka zikr kiya. (ijtamaul jevoosh al islamiya, muallif imam ibne qayyim al jauzi rh nashir darul kutub ilmiya bairoot pehli isha'at)(mukhtasar alawul alliyil gaffar rakam 196, muallif, muhaqqiq, nashir aur isha'at tafseel pehle likhi ja chuki hai)
4. IMAM AHMAD BIN HAMBAL RAHIMAHULLAH TAREEK E WAFAAT 241 HIJRI
yousuf bin musa al bagdadi kehte hai k, unhe abdullah bin ahmad bin hambal rh ne bataya k unke walid imam ahmad bin hambal rh se pucha gaya: kya Allah azz wa jal saato aasman k uper apne arsh se uper, apni tamaam makhlooq se uper hai, aur uski kudrat wa ilm har jagah hai?
to imam ahmad bin hambal rh ne farmaya: ji han Allah arsh par hai aur us (k ilm) se kuch kharij nhi, imam allama ibne qayyim al jauzi rh ne ijtimaul jewush al islamiya mai likha k is riwayat ko imam imam abu bakr khalaal rh ne "ASSUNNAH" mai sahih sanad k sath nakal kiya
wazeh rahe k is aqeedeh k bare mai in aa'imma e kiraam ki taraf se sirf yahi aqwaal mayassar nhi, balke aur bhi sahih sabit shuda aqwaal milte hai, mene sirf ikhtisaar k paish e nazar ye chand aqwaal nakal kiye hai
charo bade sahib e mazhab imamao rahimahullah k farameen k baad ab in sha Allah degar tabayi aur taba tabayi rahimahullah k aqwaal paish karunga.
To Be Continued......
Note: Spelling mistake k liye maazrat chahta hu.

No comments:
Post a Comment