Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Saturday, 3 May 2014

ALLAH ARSH PAR HAI (HADEES E RASOOL SAW SE DALEEL) PART 2



ALLAH ARSH PAR HAI (HADEES E RASOOL SAW SE DALEEL) PART 2




Bismillahirrahmanirraheem

Zikr shuda ayaat e mubaraka k baad ab insha Allah Ahadees e sharifa zikr karta hu aeiye dekhte hai k Allah k Rasool SAW ne Allah ki is sifate uloo yani tamaam tar makhlooq se juda aur buland hone k bare mai kya farmaya hai:

1. Muaviya ibne hakeemus sulmi RA farmate hai mere paas ek baandi hai jo uhad (pahaad) k saamne aur ird gird meri bakriya charaya karti thi ek din mene dekha k uski (nigrani mai meri) jo bakriya thi un mai se ek ko bediya le gaya, mai aadam ki aulad mai se ek aadmi hu jis tarha baaki aadmi gamgeen hote hai mai bhi usi tarha gamgeen hota hu, lekin mene (is gam mai) use ek thappad maar diya, to mai Rasool Allah SAW k paas aya kyunki use thappad maarna mere liye (dil par) bada (boojh) ban gya tha, mene arz kiya "ae Allah k Rasool SAW kya mai use azaad kar du?to Rasool Allah SAW ne irshad farmaya: us baandi ko mere paas lao, to mai us baandi ko le kar phir dobara hazir hua to Rasool Allah SAW ne us se daryaft farmaya Allah kaha hai? us baandi ne jawaban arz kiya "Aasmano par", phir daryaft farmaya "mai kon hu?", us baandi ne jawaban arz kiya "aap Allah k Rasool hai" to Rasool Allah SAW ne mujhe huqm farmaya ise azaad kar do ye emaan wali hai. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 537)

2. Abu Huraira RA se riwayat hai k Rasool Allah SAW ne farmaya: jab raat ka akhiri teesra pehar hota hai to hamara rabb Allah tabark wa ta'ala har raat mai dunya k aasman ki taraf utarta hai aur farmata hai "kon hai jo (is waqt) mujh se dua kare k mai uski dua kabool karu, kon hai jo (is waqt) mujhse koi sawal kare k mai uska sawaal pura karu, kon hai jo (is waqt) mujhse magfirat talab kare k mai uski magfirat karu". (Sahih Bukhari kitabut tahajjud, Sahih Muslim kitabus salaatul musafireen hadees no. 758)

3. Abu Huraira RA kehte hai k Rasool Allah SAW ne farmaya: raat k farishte aur din k farishte tum loogo mai ek dusre k pichey aatey hai aur namaz e asr aur namaz e fajr k waqt ikatthey ho jate hai (yani farishto ka ek garoh fajr k waqt ata hai aur asr tak rehta hai, ye din k farishte hai aur dusra garoh asr k waqt ata hai aur fajr tak rehta hai ye raat k farishte hai) phir wo farishte jinhone tumhare darmiyan raat guzari hoti hai (yani asr k waqt aane wale farishte) uper (Allah ki taraf) chadhte hai to (waha) unka rabb unse puchta hai, jabke wo bando k baare mai farishto se jayada janta hai, tumne mere bando ko kis haal mai choda? to farishte kehte hai jab humne unhe choda to wo loog namaz padh rahe they aur jab hum unke paas gaye to wo namaz padh rahe they. (Sahih Muslim kitabul masajid Hadees no. 632, Sahih Bukhari hadees no. 555, Sahih ibne khuzaima hadees no. 321, Sahih ibne hibban hadees no. 1736, Muatta Imam malik hadees no. 416, Musnad Ahmad, Sunan nasai kitabus salaat hadees no. 489)

4. Abu Huraira RA se hi riwayat hai k Rasool Allah SAW ne irshaad farmaya: beshaq Allah k kuch aese farishte hai jo (zameen mai) chalte phirte hi rehte hai, aur (Allah k) zikr ki majliso ki talaash mai rehte hai, jab wo koi aesi majlis paate hai jis mai (Allah ka) zikr ho raha ho to wo zikr karne walo k sath baith jate hai aur ek dusre ko apne paro se dhanp lete hai, yaha tak k unke aur dunya wale aasman k saari jagah mai wo farishte phir jate hai, aur phir jab alag hote hai to aasman ki taraf chadhte aur buland hote hai, Rasool Allah SAW ne mazeed farmaya: to (waha) Allah farishto se puchta hai k tum sab kaha se aye ho? jabke Allah farishto k bare mai khud unse jayada janta hai, to farishte jawaban arz karte hai, hum aapke un bando k paas se aye hai jo zameen mai aap ki pakizagi, aapki ki badhai, aur aapki wahdaniyat aur aap ki tareef bayan karte hai, aur aap se sawaal karte hai. (Sahih Muslim kitab zikr wa dua hadees no. 7015)

5. Abu saeed khudri RA yaman se layi jane wali zakat ki takseem ka ek waqiya bayan karte hue kehte hai k Rasool Allah SAW ne farmaya: kya tum loog mujhe amanatdaar nhi jaante jabke mai uski taraf se amanatdaar hu jo aasman par hai, aur mujhe subah wa shaam se khabar aati hai. (Sahih Bukhari Kitabul Magazi Hadees no. 4351, Sahih muslim kitabuz zakaat hadees no. 2500)

6. Abu Huraia RA kehte hai k Rasool Allah SAW ne irshaad farmaya: jisne paak (halaal) kamayi se khajoor k barabar bhi sadqa kiya aur (yaad rakho k) Allah ki taraf pakeeza (cheez) k elawa aur kuch nahi chadhta to Allah us sadqa ko apne sidhey hath mai qabool farmata hai aur us sadqa ko sadqa karne wale k liye badhata hai yaha tak wo pahaad k barabar ho jata hai. (Sahih Bukhari Kitabut tauheed hadees no. 7430)

7. Abu Huraira RA se hi riwayat hai k Rasool Allah SAW ne irshaad farmaya: uski kasam jis k haath mai meri jaan hai jab koi khawind apni beewi ko apne bistar par bulaye aur wo beewi inkaar kare to wo jo aasman par hai us aurat se us waqt tak naraaz rehta hai jab tak us aurat ka khawind us se raazi nhi hota. (Sahih Muslim kitabul nikah hadees no. 1436)

8. Abdullah bin umar wa bin Aaas RaziAllahu anhuma kehte hai k Rasool Allah SAW ne farmaya: reham karne walo par rehmaan reham karta hai, tum us par reham karo jo zameen par hai, tum par wo reham karega jo aasman par hai. (Sunan tirmizi hadees no. 1924, Sunan abu dawood kitabul adab hadees no. 4931, musannaf ibne abi shaiba kitabul adab hadees no. 925)

9.  Abu Huraia RA kehte hai k Rasool Allah SAW ne irshaad farmaya: jab Allah takhleeq mukammal kar chuka to usne kitab mai likha k mere rehmat mere gussey par galib hogi wo kitab Allah k paas hai arsh k uper. (Sahih Bukhari Kitabul bad ul khalk hadees no. 3194, Sahih Muslim kitabut tauba hadees no. 2751)
Allah k Rasool Allah SAW saaf bata rahe hai k Allah arsh k uper hai, har jagah nhi, aaiye dekhte hai k arsh kaha hai, kahi aesa to nhi k arsh yahi kahi ho aur Allah bhi???

10. Abu Huraia RA kehte hai k Rasool Allah SAW ne irshaad farmaya: jo Allah aur uske Rasool par emaan laya aur namaz ada karta raha aur ramzan k rooze rakhta raha to Allah par (uska) ye haqq hai k Allah use jannat mai dakhil kare khawah usne Allah ki raah mai jihaad kiya ho ya apni basti mai hi zindagi guzari ho to Sahaba RA ne kaha: Ae allah k Rasool Allah SAW kya hum loogo ko ye khushkhabri suna de? to Rasool Allah SAW ne farmaya: Allah ne Allah ki raah mai jihaad karne walo k liye jannat mai ek soo darjaat bana rakhey hai, har 2 darjaat k darmiyaan itna fasila hai jitna zameen aur aasman k darmiyan hai, lihaza jab tum Allah se sawaal karo to firdoos mango kyunki wo jannat ka darmiyani aur sab se buland muqaam hai, mai samajhta hu k us k uper rehman ka arsh hai jis mai se jannat k darya phoot te hai. (Sahih Bukhari Kitabul Jihaad hadees no. 2790)

11. Jareer RA kehte hai k Rasool Allah SAW ne farmaya: jo un par reham nahi karta jo zameen par hai us par wo reham nhi karta jo aasman par hai. (Tabraani hadees no. 2494, tagzibut tahzeeb hadees no. 3411, sahih tagzibut tahzeeb hadees no. 2255)

12. Salman faarsi RA kehte hai k Rasool Allah SAW ne farmaya: tumhara rabb bahut haya karne wala aur buzurgi wala hai, jab uska koi banda uski taraf apne dono haath buland karta hai to Allah uski baat se haya karta hai k us bande k haatho ko khali na moodey. (Sunan abu dawood hadees no. 1485, Sunan tirmizi hadees no. 3556)
jab banda apne haath uthata hai to uske haath aasman ki taraf hote hai, agar Allah har jagah mojood hai to aagey pichey daaye baaye kisi bhi taraf haath phela kar dua karli jaani chahiye, aasman ki taraf uper ki taraf haath kyu uthaaye jaate hai???

13. Abdullah ibne umar RA kehte hai k Rasool Allah SAW ne farmaya: mazloom ki baddua se daro kyunki wo chingari ki tarha aasman ki taraf chadhti hai. (Mustadrak e hakim hadees no. 81 is hadees ko imam hakim ne kaha hai k ye muslim ki shart par sahih hai)

14. Nawaas bin sa'maan kalbi RA fitna e dajjal k aur yajooj majooj k nikalne aur qatal ki khabro par mushtamil ek lambi hadees bayan karte hue kehte hai k Rasool Allah SAW ne farmaya: phir yajooj majooj chal padege aur khamr naami pahaad k paas ja pahunchege, aur ye pahaad baitul muqaddas wala pahaad hai (jab waha pahunchenge) to kahenge jo loog zameen par they unhe to hum qatl kar chuke, chalo jo aasman par hai use qatl kare, ye kehte hue wo apne teer aasman ki taraf phekenge to Allah unke teero ko khoon ki tarha surkh kar k unki taraf palta dega. (Sahih Muslim kitabul fitan hadees no. 2937, Sunan Nasai kitabul fitan hadees no. 2240)

15. Jabir bin Abdullah RA Rasool Allah SAW ka khutba e hajj bayan karte hue kehte hai k Rasool Allah SAW ne farmaya: aur tum loogo ko mere baare mai pucha jayega to tum loog kya kahoge, sabne jawab diya hum gawahi denge k aap ne (Allah k pegamaat ki) tableeq farmadi, aur (risalat wa nabowat ka) haqq ada kar diya aur nasihat farma di, to Rasool Allah SAW ne apni shahadat wali ungli se loogo ki taraf ishara farmate hue use aasman ki tarf uthate aur irshad farmaya: Ae Allah gawah reh Rasool Allah SAW ne aesa teen martaba kiya. (Sahih Muslim kitabul hajj hadees no. 1218)

Rasool Allah SAW k in farameen mai saaf saaf wazey toor par ye taleem di gayi hai k Allah arsh se uper hai aur apni tamaam makhlooq k tamaam ahwaal janta hai, ummeed to nahi k koi sahib e emaan Allah aur Rasool Allah SAW k ye farameen k baad bhi Alalh ta'ala ko har jagah mojood samajhta rahe.

To Be Continued......

No comments:

Post a Comment