Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Sunday, 18 May 2014

SITAARO KI TAASEER KA AQEEDAH GALAT HAI

SITAARO KI TAASEER KA AQEEDAH GALAT HAI



Bismillahirrahmanirraheem

Sahih muslim mai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshaad e giraami hai "k sitaaro ki taseer ka aqeedah batil hai" isi baare mai mazeed ek riwayat hai.

Ek dafa Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hudaibiya mai baarish barasne par farmaya: k Allah ta'ala ne farmaya: k aaj kuch bande momin hue kuch kaafir, jinhone ye kaha k aaj barish sitaro ki wajah se hui wo kafir hue aur jinhone ye kaha k ye Allah ki rehmat wa fazal se hui wo momin hai. (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim)

Hamare yaha sitaro se wabasta colom chaptey hai k aap ka hafta kesa rahega ya aap ka din kesa guzrega ye thik nhi hai, sitaare aasman ki zeenat hai, samundari safar mai inse safar maloom kar sakte hai aur sarkash shetan k uper chadne par in par de mara jata hai, is k alawa unka koi maksad nhi kisi insaan ka koi sitaara gardish nahi karta

Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: jisne najoomi k paas ja kar uski tasdeeq ki to uski 40 din tak namaaz kabool nhi hogi. (Sahih Muslim)

Ek aur riwayat mai hai k "jo shaks kahin aur najoomi ki baat ki tasdeeq karega to goya usne us cheez ka inkaar kiya jo Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam par utara gaya (yani deen e islam)". (Abud Dawood, Tirmizi, Nasaai, Ibne Maja, Mustadrak E Haakim)

No comments:

Post a Comment