Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Wednesday, 21 May 2014

DAJJAL KA FITNA PART 5

DAJJAL KA FITNA PART 5



Bismillahirrahmanirraheem

DAJJAL K PAAS JANNAT AUR JAHANNAM DONO HONGI JO HAQEEQAT MAI JAHANNAM AUR JANNAT HOGI

Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Anhu kehte hai Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "kya mai tumhe dajjal k baare mai aesi baat na batau jo us se pehle kisi nabi ne apni ummat ko na batayi ho (wo ye hai k) dajjal kana hoga aur wo apne saath jannat aur jahannam jesi cheeze le kar ayega jise wo jannat kahega dar'asal wo jahannam hogi aur jise wo jahannam kahega wo jannat hogi". (Muslim Kitabul Fitan)

Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam se riwayat karte hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dajjal k baare mai irshaad farmaya: "uske saath paani aur aag hogi, dar haqeeqat uski aag thanda paani hogi aur uska paani aag hogi (khabar daar) apne aapko halaak na kar lena". (Muslim Kitabul Fitan)

DAJJAL K PAAS PAANI HOGA JO DAR HAQEEQAT AAG HOGI AUR AAG HOGI JO DAR HAQEEQAT SHEEREE PAANI HOGA

Huzaifa Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Dajjal jab niklega to uske paas paani aur aag honge jise loog paani samjhenge wo dar haqeeqat jalaane wali aag honi aur jise loog aag samjhenge dar haqeeqat wo thanda sheeree paani hoga lihaza tum mai se jo koi wo mauka paye to use chahiye k wo aag mai kood pade kyunki wo metha aur pakeeza paani hoga". (Muslim Kitabul Fitan)

DAJJAL K HUKM SE AASMAAN SE BAARISH BARSEGI, ZAMEEN SE KHAANS AUR ANAAJ WAGAIRA UGAIGA JANWAR PEHLE SE ZAYADA DOODH DENA SHURU KAR DENGE

Hazrat Nawaas Bin Sa'amaan kehte hai ek rooz Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dajjal ka zikr farmaya humne arz kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! zameen mai uska ghoomna tezi se hoga? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: us baarish ki tarha jise hawa piche se dhakeelti hai wo ek kaum k paas ayega aur unhe apne aap par emaan laane ki dawat dega wo emaan le ayenge aur uski baat maan lenge chunanche wo aasmaan ko hukm dega aur wo barish barsayega zameen ko hukm dega aur wo nayabaat agaahegi shaam k waqt (loogo k) janwar charagaho se wapas ayenge to unki koohani pehle se badhi hongi than kushada honge aur pasliya khoob bhari hongi (yaani pehle se janwar moote taaze nazar ayenge, ye us kaum k emaan laane ka waseela hoga) phir wo dusri kaum k paas jayega aur unhe apne aap par emaan laane ki dawat dega lekin wo uski dawat ka inkaar kar denge chunanche dajjal waha se chala jayega aur un par kahat sali musallat ho jayegi aur unke maalo mai se kuch bhi unke paas na rahega dajjal veeraan jagah ki taraf chala jayega aur zameen ko hukm dega apne khazaane ugal de to zameen apne khazaane uski taraf nikaal kar jama kar degi jis tarah shehad ki makkhiya badi makkhiyo k gard hujoom karti hai. (Muslim Kitabul Fitan)

Wazahat: Allah ta'ala loogo ki aazma'ish k liye dajjal ko baaz mauko ki kudrat de denge jis tarah Allah ta'ala ne loogo ki aazma'ish k liye shaitan ko waswasa daalne ka ikhtiyaar diya hai lihaza dajjal k un kaamo se kisi ko galat fehmi nhi honi chahiye k uske paas wakayi khudayi ikhtiyaraat honge agar aesa hota to wo apni kaani aankh hi durust kar leta ya dono aankho k darmaiyaan likha hua lafz kaafir hi mita leta.

ZAHOOR E DAJJAL K BAAD KISI KA EMAAN LANA QABIL E QUBOOL NHI HOGA

Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Teen baatey zahir hone k baad kisi aese shaks ko emaan lana faida nahi dega jo us se pehle emaan nhi laya ya halat e emaan mai koi naik kaam nhi kiya
1. Suraj ka magrib se tulu hona
2. Dajjal ka zahir hona
3. Dabbatul arz ka nikalna. (Muslim Kitabul Emaan)

To Be continued......

No comments:

Post a Comment