Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Sunday, 11 May 2014

NAMAZ K MAKROHAAT KA BAYAN

NAMAZ K MAKROHAAT KA BAYAN


Bismillahirrahmanirraheem

Namaz mai jo cheeze mana ki gayi hai unse ruk jao

1. Nabi akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne kamar par haath rakh kar namaz padhne se mana farmaya. (Bukhari kitabul amala fis salaat hadees no. 1220, Muslim kitabul masajid hadees no. 545)

2. Nabi rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: jab kisi ko namaz mai jamayi aye to use hattal makdoor rookey kyunki us waqt shetan muh mai dakhil hota hai. (Muslim kitabul zuhad hadees no. 2995)

Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: (jamayi k waqt) haha na kaho kyunki us se shetan khush hota hai. (Bukhari kitabul bad ul khalk hadees no. 3289)

3. Saa'ib bin yazeed ne muaviyah Razi Allahu Anhu k sath maksoora mai juma padha jab imam ne salaam phera to saa'ib ne khade ho kar namaz shuru kardi, Muaviyah Razi Allahu Anhu kehne lage: a'inda aesa na karna kyunki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya hai: "ek namaz ko dusri namaz k sath na milao in (farz aur sunnat) k darmiyaan kalaam karo ya jagah tabdeel karo". (Muslim kitabul juma hadees no. 883)

Mugeera Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: k "imam jis jagah namaz padh chuka hai waha namaz na padhey balke waha se sarak jaye (yani jagah tabeel kar le)". (Nasai kitabus salaat hadees no. 414)

4. Zaid bin arkam Razi Allahu Anhu se riwayat hai k hum namaz mai baatey kiya karte they phir: (HAAFIZU ALAS SALAWAAT surah bakara ayat no. 238) nazil hui to hame chup chaap rehne ka huqm hua aur baat karna mana ho gaya. (Bukhari kitabul amala fis salaat hadees no. 1200, Muslim kitabul masajid hadees no. 539)

Hame namaz mai ye tamaam kaam nhi karne jo in Ahadees se maloom hua, Allah hame amal karne ki tofeeq ata farmaye (Aameen Ya Rabbal Alameen)

No comments:

Post a Comment