Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Wednesday, 28 May 2014

GUSTAKH E RASOOL KI SAZA PART 4

GUSTAKH E RASOOL KI SAZA PART 4



Bismillahirrahmanirraheem

GUSTAKH E RASOOL KHUSRO PARVAIZ SE BHI ALLAH TA'ALA NE DUNYA MAI INTAQAAM LIYA

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek sahaabi ko ek khat banaam kisra de kar bheja aur hukm diya k ise ameer e behreen tak pahunchaado aur ameer e behreen ne wo khat kisra pahuncha diya jab kisra ne wo khat padha to phaad diya, raavi kehta hai k ibne musayyab Razi Allah Anhu ne kaha Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ahle faaras k liye dad dua "Farmaayi Allah inhe parah parah kar de". (Bukhari Kitabul Ilm)

Wazahat: Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki us bad dua k baad jaldi hi Allah ta'ala ne kisra ki huqoomat ko parah parah kar diya.

RASOOL ALLAH SALLLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA ISTAHZA KARNE WALE EK MURTAD KO ALLAH TA'ALA NE DUNYA MAI HI IBRAT NAAK SAZA DI

Hazrat Anas Razi Allah Anhu riwayat karte hai k ek isayi aadmi musalman hua usne surah baqara aur surah aal e imraan padhli aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k liye (wahi ki) kitabat karne laga lekin baad mai murtad ho gaya kehne laga Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ko tu kisi baat ka pata hi nhi hai jo kuch mai likh kar deta hu bas wahi keh deta hai, Allah ne jab use maut di to isaiyo ne use (qabar mai) dafar kar diya subah hui to (loogo ne dekha k) zameen ne use bahar nikaal phenka hai isaiyo ne kaha ye Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) aur unke saathiyo ka kaam hai chunke wo unke deen se bhaag kar aya hai lihaaza unhone uski qabar khood kar laash bahar nikaal phenki hai, isaiyo ne uske liye dobara (nayi jagah) qabar khoodi aur use (pehli ki banisbat) bahut gehra banaya (aur laash ko dobar dafan kar diya) jab subah hui to (loogo ne dekha k) zameen ne use phir bahar nikaal phenka hai, isaiyo ne phir ilzaam lagaya ye Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) aur unke saathiyo ka kaam hai chunke wo unke deen se bhaag kar aya hai lihaaza unhone uski qabar khood kar laash bahar nikaal phenki hai, isaiyo ne (teesri martaba) uske liye qabar khoodi aur itni gehri banayi jitni gehri wo bana sakte they, subah hui to (loogo ne dekha k) zameen ne use phir nikaal bahar phenka hai tab unhey yaqeen ho gaya k ye musalmaano ka kaam nhi hai (balke Allah k azaab hai) chunanchey isaiyo ne us ki laash aese hi chood di. (Bukhari Kitabul Manaqib)

DUSHMAN E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM AAMIR BIN TUFAIL SE BHI ALLAH TA'ALA NE DUNYA MAI HI INTEQAAM LIYA

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai k mushriko k sardaar aamir bin tufail ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko teen baato mai se koi ek baat qubool karne ki paishkash ki, pehli baat ye k aap dehatiyo par huqoomat kare aur hum shehar walo par, doosri baat ye k mai aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka khaleefa banu agar ye dono baate aapko qubool na ho to teesri baat ye hai k qabeela e gatfaan k do hazaar aadmi le kar mai tumhare khilaaf jang karunga, aamir bin tufail ek aurat k ghar ta'oon mai mubtala hua to kehne laga ye to bas oonth ki gadood ki tarah ek (mamooli si) gadood hai aur (kuch nhi) kehne laga "mera ghoda lao (mai ilaaj k liye jao) jese hi ghoode par baitha to uski peeth par hi mar gaya". (Bukhari Kitabul Magaazi)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO QATAL NARNE KI DHAMI DENE WALE MAL'OON UBAY BIN KHALF KA GAZWA E UHAD MAI IBRAT NAAK ANJAAM

Iben is'haaq kehte hai (gazwa e uhad mai) jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ghaati mai tashreef laye to ubay bin khalf ye kehta hua aya "aaj muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) nhi ya mai nhi" mujhahideen ne arz ki "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam kya hum mai se ispar koi hamla kare?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Nahi ise aane do" jab wo Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k qareeb aya to aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne haaris bin samaah Razi Allahu Anhu se ek naizah liya aur ubay bin khalf k saamne a gaye uski gardan mai taak kar naizah mara jis se wo baar baar apne ghoode se ludakta raha, umayya bin khalf ek baar makkah mai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se (istahzaya aur hatak ameezana andaaz mai) kehne laga "Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) mere paas "Auoz" naami ghooda hai jise mai rozana teen saa (saade saat kilogram) galla khilaata hu mai tumhe is ghoode par baith kar qatal karunga" "Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: nahi balke mai tujhe qatal karunga, In shaa Allah!" chunanche naizah lagne k baad jab ubay bin khalf quraish k paas wapasa gaya to kehne laga "Wallah! Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ne mujhe qatal kar diya hai halanke us naizey se uske gale par mamooli si kharaash ayi thi aur khoon tak nhi nikla tha, loogo ne kaha: Wallah! tumhe kuch bhi nahi hua tum to dil haar baithey ho" ubay bin khalf kehne laga "Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ne mujhe makkah mai kaha tha mai tumhe qatal karunga, Allah ki qasam! agar wo mujh par thook bhi deta to mai mar jata" phir Allah ka dushman apne qafiley k sath makkah wapas jaate hue muqaam e sarf par hi mar gaya. (Ibne Hishaam 3/55 matbua darul kutub azi bairoot)

Wazahat: Hazrat Urwah Razi Allah Anhu farmaate hai k mal'oon ubay bin khalf naizah lagne k baad bail (saand) ki tarah takraata tha aur kehta "us zaat ki qasam jis k haath mai meri jaan hai jitni takleef mujhe hai agar zawal mijaaz k saare loogo mai taqseem kar di jaye to wo bhi mar jaye" (Ar Raheequl Makhtoom)

To Be Continued......

No comments:

Post a Comment