Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Wednesday, 28 May 2014

GUSTAKH E RASOOL KI SAZA PART 3

GUSTAKH E RASOOL KI SAZA PART 3



Bismillahirrahmanirraheem

ABU RAFA'E YAHOODI JISKA NAAM ABDULLAH BIN ABUL HAQEEQ THA, RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI TOHEEN KARTA THA, AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K HUKM PAR USE BHI QATAL KIYA GAYA

Hazrat Bara Bin Aazib Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ansaar ko abu raafa'e yahoodi k paas bheja aur unpar Abdullah bin Ateeq Razi Allahu Anhu ko ameer muqarrar kiya, ye abu rafa'e Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko sakht azziyat (takleef) diya karta tha aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k mukhlifeen ki a'aanat karta tha, zameen jijaaz mai uska kila tha wo usme riha'ish pazeer tha, jab ye loog uske paas pahunche to sooraj guroob ho chuka tha aur shaam k waqt loog apne mavaishi wapas la chuke they. Hazrat Abdullah Bin Ateeq Razi Allahu Anhu ne apne saathiyo se kaha: tum apni jagah par baitho mai jata hu aur darbaan se mil kar naram naram baate karke kiley k andar jaane ki koi tadbeer karta hu, wo kiley ki taraf rawana ho gaye aur darwaaze k kareeb pahunch kar khud ko kapdo mai is tarah chupaya goya qaza e haajat k liye baithey ho, us waqt ahle qila andar ja chuke they, darbaan ne apna aadmi samajh kar awaaz di "Ae Allah k bande agar tu andar ana chahta hai to aa ja mai darwaza band kar raha hu", Abdullah bin Ateeq Razi Allahu Anhu kehte hai k ye sunkar mai kiley k andar daakhil hua, aur chup gaya, jab sab loog andar aa chuke to darbaan ne darwaaza band kar k chabiya khoonti par latka di, Hazrat Abdullah bin Ateeq Razi Allahu Anhu ka bayan hai k mene uth kar chabiya li aur qiley ka darwaza khool diya, abu raafa'e k paas raat ko daastaan goyi hua karti thi, wo apne bala khane mai rehta tha jab daastaan go uske paas se chale gaye to mai uski taraf chal pada, mai jab koi darwaaza khool kar andar dakhil hua to andar se use chatkhani laga deta katey agar loogo ko meri khabar ho jaye to mujh tak abu raafa'e ko qatal karne se pehle pahunch na sake, jab mai uske paas pahuncha to maloom hua k wo ek tareek kamre mai apne baccho k darmiyaan so raha hai, chunkey mujhe maloom na tha k wo kis jagah par hai, is liye mene abu raafa'e keh kar awaaz di, usne jawaab diya "Kaun hai?" mai awaaz ki taraf mutawajjah hua aur us par talwaar se zoordaar waar kiya us waqt mera dil dhadak dhadak kar raha tha, us zarb se kuch kaam na nikla aur wo chillane laga mai kamre se bahar a gaya, thodi dair thehar kar phir dakhil hua, phir mene kaha "ae abu raafa'e ye kesi awaaz thi?" usne kaha "teri maa par musibat padi abhi abhi kisi ne is makaan mai mujh par talwaar ka waar kiya tha, Hazrat Abudullah Razi Allahu Anhu ka bayan hai k mene phir ek aur bharpoor waar kiya magar wo bhi khali gaya agarche usko zakham lag chuka tha, lekin wo us se mara nhi tha is liye mene talwaar ki nook uske pait kar rakhi (aur khoob zoor lagaya) talwaar uski peeth tak pahunch gayi jab mujhe yaqeen ho gaya k mene ise maar dala hai to mai ek ek darwaaza kholta hua seedhi tak pahuncha chandni raat thi ye khayaal kar k mai zameen par pahunch gaya pao niche rakkha to dhadaam se niche a gira apne dil mai kaha k yaha se us waqt tak nahi jaounga jab tak mujhe yaqeen na ho jaye k mene use qatal kar diya hai lihaaza jab subah k waqt murg ne azaan di to maut ki khabar sunaane wala diwaar par khada ho kar kehne laga "loogo mai tumhe hijaaz ki soodagar abu raafa'e k marne ki khabar deta hu" ye sunte hi mai apne saathiyo ki taraf chala aur unse kaha yaha se jaldi bhago Allah ne abu raafa'e ko (haamare haatho) qatal karwa diya hai phir waha se Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas pahuncha aur tamaam qissa keh sunaya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "apna toota hua pao phelao" mene apna pao phelaya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apna dart e mubarak us par phera jis se wo aesa ho gaya k goya mujhe kabhi shikayat hi na thi". (Bukhari Kitabul Magaazi)

AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI HUJU KARNE WALE MAL'OON ABDULLAH BIN KHATAL KO FATAH MAKKAH K ROOZ NABI E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KE HUKM PAR QATAL KIYA GAYA

Hazrat Anas bin Maalik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k fatah makkah k rooz jab nabi e kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam makkah mai dakhil hue to aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ke sar par khood thi, aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne khood utaara ek aadmi aya aur kehne laga "Abdullah bin khatal kaaba shareef k pardey se latka hua hai, aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: use qatal kar do". (Bukhari Kitabul Magaazi)

Wazahat: Abdullah bin khatal teehra mujrim tha, 
1. Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki huju karta aur loondiyo ko huju padhne ka hukm deta aur loogo ko sunwaata
2. pehle musalmaan hua phir murtad ho gaya
3. na haq ek musalmaan ko qatal kiya.

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K GUSTAAKH ABU LAHAB SE ALLAH TA'ALA NE DUNYA MAI HI INTAQAAM LIYA

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu k azaad karda gulaam hazrat Akrama Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k azaad karda gulaam Abu Raafa'e Razi Allahu Anhu ne kaha: abu lahab (maut k darr se) gazwa e badr mai shamil na hua aur apni jagah aas bin hishaam ko bhej diya jab quraishi sardaaro ki halakat ki khabar makkah pahunchi to Allah ta'ala ne abu lahab par zillat aur ruswaayi musallat kar di aur humne apne andar taaqat aur quwwat mehsoos ki, Wallah! shikast ki khabar sun'ne k baad abu lahab sirf saar raatey zinda raha, Allah ta'ala ne use ta'oon ki aesi maar maari k wo usi se halaak ho gaya, ek riwayat mai ye bhi hai uske baito ne uski laash bagair kafan chood di hattake sad kar boo choodne lagi, Allah ki qasam uske baito ne use gusal bhi na diya, door se us par paani phenka, koi uske qareeb nhi bhatakta tha phir wo use makkah k kabristaan mai le gaye ek diwaar k saath lagaya aur uper se patthar phenk kar dhaanp diya. (Al Bidaya Wan Nihaya safa no., 328 matbua daarul maarfa bairoot)

GUSTAAKH E RASOOL ABU JAHAL BIN HISHAAM SE BHI ALLAH TA'ALA NE DUNYA MAI INTEQAAM LIYA

Hazrat Abdur Rahmaan bin Auf Razi Allah Anhu farmaate hai gazwa e badr k din mai maidaan e jang ki saff mai khada tha achanak mene apne daaye baaye nazar daali to ansaar k do kam umar ladko ko dekha mene khawahish ki kaash mai in kamsan ladko k bajaye mazboot jism k maalik aadmiyo k darmiyaan hota un dono me se ek ne mujh se ishaara mai pucha "chacha jaan! kya aap abu jahal ko pehchaante ho" mene kaha "Han lekin lekin mere bhateeje tujhe us se kaya garz?" usne jawab diya "mujhe pata chala hai k wo Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko gaaliya deta hai us zaat ki qasam jiske haath mai meri jaan hai agar mene use dekh liya to us se us waqt tak alag na hounga jab tak hum dono mai se jis ki maut pehle ayi ho wo marna jaye" mujhe uski is baat par tajjub hua usi dauraan ek dusre jawaan ne mujh se ishaare se wahi sawaal pucha jo pehle ne pucha tha chand lamho baad meri nazar abu jahal par padi jo loogo k darmiyaan ghista phir raha tha mene (dono se mukhatib ho kar) kaha "dekho wo hai abu jahal jiske baare mai tum mujh se puch rahe ho" dono ladke apni talwaaro k saath us par jhapat padey aur use waar kar k qatal kar daala phir dono Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mai haazir hue aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko abu jahal k qatal ki khabar di un dono k naam mu'aaz bin afra'a aur mu'aaz bin umar wa bin jamooh they. (Bukhari Kitabul Jihaad)

To Be Continued......

No comments:

Post a Comment