Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Sunday, 25 May 2014

FITNA E DAJJAL SE PANAH TALAB KARNE KI DUAYE PART 12 FINAL

FITNA E DAJJAL SE PANAH TALAB KARNE KI DUAYE PART 12 FINAL



Bismillahirrahmanirraheem

FITNA E DAJJAL SE MEHFOOZ REHNE K LIYE DARJ ZAIL DUA MAANGNI CHAHIYE

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz mai (Darood shareef k baad) ye dua maanga karte they "ALLAHUMMA INNI AOUZUBIKA MIN AZAABIL QABRI WA AOUZUBIKA MIN FITNATIL MASEEHID DAJJALI WA AOUZUBIKA MIN FITNATIL MAHYA WA MAMAATI ALLAHUMMA INNI AOUZUBIKA MINAL AASIMI WAL MAGRAMI" Tarjuma: Ae Allah mai teri panah maangta hu azaab e qabr se maseeh dajjal k fitne se, zindagi aur maut ke fitne se, gunah aur qarz se (Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 832, Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 589)

Allah k Rasool Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Namaz mai ek aur dua padhte they: "ALLAHUMMA INNI AOUZUBIKA MIN AZAABI JAHANNAMA WA MIN AZAABIL QABRI WA MIN FITNATIL MAHYA WA MAMAATI WA MIN SHARRI FITNATIL MAHEEHID DAJAAL" Tarjuma: Ae Allah! mai jahannam aur qabr k azaab se, maut wa hayaat k fitne aur maseeh dajjal k shar se teri panah maangta hu. (Muslim Hadees no. 588)

SURAH KAHAF KI PEHLI DAS AAYAAT YAAD KARNE WALA SHAKS BHI FITNA E DAJJAL SE MEHFOOZ RAHEGA

Hazrat Abu Darda Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: jis ne surah kahaf ki pehli das aayaat yaad kar li wo fitna e dajjal se bacha liya gaya. (Abu Dawood Kitabul Malahim Baab Khurooj E Dajjal Jild 2 Hadees no. 3626)

Allah Ta'ala hum sab ki Fitna E Dajjal se hifazat farmaye (Aameen Ya Rabbal Alameen)

No comments:

Post a Comment