Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday, 2 May 2014

ALLAH ARSH PAR HAI (QURAN SE DALEEL) PART 1


ALLAH ARSH PAR HAI (QURAN SE DALEEL) PART 1



Bismillahirrahmanirraheem

1. Beshaq tumhara rabb wo hai jisne aasmano aur zameen ki takhleeq 6 din mein ki phir arsh par qayam hua wo din ko raat se is tarha chipa deta hai k raat din ko jaldi se aa leti hai aur suraj aur chaand aur dusre sitaro ko is tarha banaya k wo sab Allah k hukm k tabay hai, to kya uss k liye hi nahi hai khaliq hona aur hakim hona badi hi khubiyo wala tamaam jahano ka rabb.(Surah Aaraaf Surah no. 7 Ayat no. 54)

2. Beshaq tumhara rabb wo hai jisne aasmano aur zameen ki takhleeq 6 din mein ki phir arsh par qayam hua (waha se tamaam) kaam ki tadbeer karta hai koi uski ijazat k bagair (uske saamne) shifa'at karne wala nahi hai, aesa hai tum sab ka rabb lihaza uski ibadat karo kya tum phir bhi soochte nhi. (Surah Younus Surah No. 10 Ayat No. 3)

3. Allah wo hai jin ne aasmano ko bagair satoono k buland kiya (jesa k) tum is (aasmani dunya) ko dekh rahe ho phir Allah arsh par qayam hua aur suraj aur chand ko is tarha apne ma'tahat kiya k wo ek muqarrar shuda waqt tak k liye chal rahe hai Allah hi kaam ki tadbeer karta hai (aur) wazahat k sath nishaniya bata raha hai takey tum loog apne rabb se milne par yakeen kar lo. (Surah Ra'ad Surah No. 13 Ayat no. 2)

4. Rahman (wo hai jo) Arsh par qayam hai. (Surah Taha Surah no. 20 Ayat no. 5)

5. Rahman wo hai jisne aasmano aur zameen aur jo kuch bhi in k darmiyan hai (sab) ki takhleeq 6 din mai ki phir arsh par qayam hua pas aap us k baare mein kisi khabargeer se hi puchey. (Surah Furqaan Surah no. 25 Ayat no. 59)

6. Allah wo hai jisne aasmano aur zameen aur jo kuch bhi in k darmiyan hai (sab) ki takhleeq 6 din mein ki phir arsh par qayam hua (Allah k saamne) Allah k elawa tum sabka koi madadgaar nahi aur na hi koi sifarish karne wala kya tum loog yaad nhi rakhte.(Surah Sajdah Surah no. 32 Ayat no. 4)

7. Allah wo hai jisne aasmano aur zameen ki takhleeq 6 din mein ki phir arsh par qayam hua wo janta hai jo kuch zameen mein dakhil hota hai aur jo kuch zameen se nikalta hai, aur jo kuch aasmano se utarta hai aur aasman mein chadta hai aur tum loog jaha kahi bhi ho wo tum loogo k sath hai aur jo kuch tum loog karte ho Allah wo sab dekhta hai.(Surah Hadeed Surah no. 57 Ayat no. 4)

In mandarja bala aayat e mubaraka mein hamare is rawa mouzu ki daleel k sath sath ek aur baat ki bhi wazahat hai, jis k bare mein aksar loog galat fehmi ka shikaar hote hai, aur wo hai Allah ki "ma'iyat" yani uska sath hona jis k bare mai amuman ye khayal kiya jata hai k Allah subhanahu wa ta'ala apni zaat e mubarak k zariye kisi k sath hota hai, jo ki durust nhi hai kyunki Allah ne khud hi apni "ma'iyat" ki kefiyat bayan farmate hue irshad farmaya: 
"WALLAHU BIMA TAMALOONA BASEER"
Aur jo kuch tum loog karte ho Allah wo sab dekhta hai yani Allah ka sath hona uske ilm wa kudrat, simaat wa basarat k zariye hai, na k uski zaat e mubarak k wajood paak k sath kisi k sath hona hai. 



8. Jo koi izzat chahta hai to (wo ye jaan le k) tamaam tar izzat Allah k liye hai (yani izzat dene wala wahi hai) paak batey us (Allah) ki taraf chadti hai aur nek amal apne karne wale ko buland karta hai aur jo loog buraiya karte hai unke liye shadeed azaab hai aur unki buri haali hi nestey nabood hogi. (Surah Fatir Surah no. 35 Ayat no. 10)



9. Sawal karne wale ne azaab k bare mein sawal kiya jo wakai hone wala hai kafiro k liye us azaab ko door karne wala koi bhi nahi Allah ki taraf se (Allah hi hai) jo (Aasmano ki) sidhiyo ka malik hai us (Allah) ki taraf farishte aur rooh (unhe seediyo k zariye) chadhte hai ek (aese) din mein jis ki mikdaar (tumhari ginti k mutabik) 50 hazaar saal k barabar hai. (Surah Ma'arij Surah no. 70 Ayat no. 1-4)



10. Wo (Allah) Aasman se le kar zameen (har) kaam ki tadbeer farmata hai phir wo (kaam) ek aese din mein jis ki mikdaar tumhari ginti k mutabik 1000 saal hai Allah ki taraf chadh jata hai. (Surah Sajdah Surah no. 32 Ayat no. 5)


11. Wo (yani farishte) apne oopar se apne rabb se darte hai aur jo huqm unhe diya jata hai usi k mutabik (har) kaam karte hai. (Surah Nahal Surah no. 16 Ayat no. 50)
 


Allah ta'ala k mandarja bala farameen se saaf wazey toor par samajh ata hai k Allah apni tamaam tar makhlook k upar us se juda aur buland hai kisi lafz ki koi tashreeh ya taaweel karne se pehle hamey Allah k ye darj e zael farameen bhi zehan mein rakhne chahiye jin mein Allah ne apne Rasool Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko mukhatib farma kar unke ummatiyo ko unki Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k mansab risalat ki zimmedariyo mein se sabse aham zimmedar batai hai aur hame ye samjhaya k Allah k farameen mubaraka ko Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki bayan kardah qauli aur amli tafseer, sharah aur talimaat k mutabik samjha hai na k apni akal wa sooch, mijaaz pasand na pasand aur apne khud saakta jahalat zuda falsafo k mutabik.


To Be Continued......

No comments:

Post a Comment