Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Tuesday 26 August 2014

SUNNAT KI AHMIYAT

SUNNAT KI AHMIYAT

Bismillahirrahamanirraheem

ZAYADA SAWAB HASIL KARNE K IRADEY SE SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO NA KAAFI SAMAJH KAR GAIR MASNOON TAREEQO PAR MEHNAT AUR MASHAKKAT KARNA AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI NARAAZGI KA BAA'AS HAI
WAHI AMAL QABIL E QUBOOL HAI JO SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K MUTABIQ HO

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu farmate hai teen sahabi azwaaj e mutahharaat Razi Allahu Anhum k gharo mein hazir hue aur Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ibadat k baare mein sawal kiya jab unhe bataya gaya to unhone Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ibadat ko kam samajha aur aapas mein kaha Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k muqabaley mein hamara kya muqaam hai unki to agli pichli saari khtaye maaf kardi gayi hai (lihaza hame Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se zayada ibadat karni chahiye) unmey se ek ne kaha mein hamesha saari raat namaz padhunga (aaraam nahi karunga) doosre na kaha mein hamesha roozey rakkhunga aur kabhi tark nahi karunga, teesre na kaha mein aurato se alag rahunga aur kabhi nikah nahi karunga jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam tashreef laye to un se pucha "Kya tumne aesa aur aesa kaha hai?" (unke iqraar par) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Khabardaar! Allah ki qasam mein tum sab se zayada Allah ta'ala se darne wala aur tum sab se zayada parhaizgaar hu, lekin mein rooza rakhta hu, tark bhi karta hu, raat ko qayam bhi karta hu aur aaraam bhi karta hu, aurato se nikha bhi kiye hai (yaad rakkho) jisne meri sunnat se muh mooda uska mujhse koi talluq nahi". (Sahih Bukhari Kitabun Nikah)

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ko kisi baat ka hukm farmate to unhi kaamo ka hukm dete jinhe wo kar sake, Sahaba Razi Allahu Anhum arz karte "Hum Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki tarah (Allah ta'ala k mehboob) thoodey hai, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki to Allah ne agli pichli saari khataye maaf kardi hai (lihaza hamey zayada ibadat karne dijiye) ye sun kar Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam itna gussa hue k unke aasaar Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k chehra e mubarak par zahir hue phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya beshak mein tum sab se zayada parhaizgaar hu aur Allah ta'ala k ahkaam k baare mein sabse zayada jaan'ne wala hu". (Sahih Bukhari Kitabul Emaan)

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne koi kaam kiya aur loogo ko uski rukhsat de di, lekin kuch loogo ne wo rukhsat lene se parhaiz kiya, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko pata chala to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne khutba diya, Allah ta'ala ki qasam! mein loogo ki nisbat Allah ta'ala ki mansha aur marzi se zayada waqif hu aur loogo ki nisbat zayda Allah ta'ala se darne wala hu (yaani tum loog na to mujhse zayada Allah ta'ala k ahkamaat se waqif ho sakte ho na mujhse zayada muttaqi ban sakte ho). (Al loo loo wal Marjaan juz e saani Hadees no. 1518)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA HUKM NA MAAN'NE WALE KO AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE SAZA DENE KA FAISLA FARMAYA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "(Iftar k bagair) musalsal roozey na rakkho", Sahaba Razi Allahu Anhum ne arz kiya Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Aap to rakhte ho? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Mein tumhari tarah nahi hu, mujhe mera rabb raat ko khilata bhi hai pilata bhi hai" lekin uske bawajood loog baaz nahi aaye, Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai tab Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne musalsal do din ya musalsal do raat rooza rakkha phir (ittefaaq se) Eid ka chaand nazar aa gaya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Agar chand nazar na aata to mein abhi musalsal roozey rakhta" goya unko saza dene k liye Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye baat farmayi (Yani mera hukm na man'ne wale loog bhi mere saath rooza rakhte aur unhe saza milti). (Sahih Bukhari Kitabul Aetasaam bil Kitabis Sunnah)

SUNNAT KA ILM HO JAANE K BAAD USPAR AMAL NA KARNE WALO KO NABI E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE NAFARMAAN KAHA

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ramazaan mein fatah makkah wale saal makkah k liye (madeena se) nikley to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne rooza rakkha jab kura gameem (jagah ka naam) pahunchey to loogo ne bhi rooza rakkha chunanchey Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne paani ka piyala manga kar uncha kiya, yaha tak k loogo ne us (piyaley) ko dekh liya phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne paani pee liya baad mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko bataya gaya k kuch loogo ne abhi rooza rakkha hua hai, is par Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad famaya "Ye loog nafarman hai, ye loog nafarman hai". (Sahih Muslim Kitabus Siyaam)

JO AMAL SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K MUTABIQ NA HO WO ALLAH TA'ALA K YAHA MARDOOD (NA QABIL E QUBOOL) HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jisne deen mein koi aesa kaam kiya jiski bunyaad shariyat mein nahi, wo kaam mardood hai". (Al loo loo wal Marjaan Juz e saani Hadees no. 1120)

KITAB O SUNNAT KI PAIRVI SE HATNE KA NATEEJA GUMRAHI HAI
RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI NAFARMAANI HALAKAT AUR TABAHI KA BAA'AS HAI

Hazrat Abu Musa Ash'ari Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Meri aur us hidayat ki misaal, jise mein de kar bheja gaya hu aesi hai jese k ek aadmi apne quam k paas aye aur kahe loogo! mene apni aankho se ek lashkar dekha hai jis'se tumhe wazey taur par khabardaar kar raha hu lihaza us se bachne ki fikr karo qaum k kuch loogo ne uski baat maanli aur raato raat chipke se nikal gayi jabke doosre loogo ne jhutla diya aur apne gharo mein (gaflat se) padey rahe, subah k waqt lashkar ne unhe aa liya aur halaak karke unki nasal ka khatma kar diya ye misal meri aur mujh par nazil kiye gaye haqq ki pairvi karne wale aur na karne wale loogo ki hai". (Sahih Bukhari Kitabur Riqaaq)

Hazrat Arbaaz bin Saariyah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k unhone Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai "Loogo mein tumhe aese roshan deen par choodey ja raha hu jiski raat bhi din ki tarah roshan hai us se wahi shaks guraiz karega jise halaak hona hai". (Sahih Kitabus Sunnah juz e awwal Hadees no. 49)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K MUQABILEY MEIN KISI NABI YA WALI, MUHADDIS YA FUQAHA, IMAAM YA AALIM KI ITTEBA KA TASAWWUR SARASAR GUMRAAHI HAI

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Hazrat Umar Razi Allahu Anhu Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hue aur arz kiya "Hum yahoodiyo se kuch baatey sunte hai jo hamey acchi lagti hai kya unme se baaz (zayada acchi lagne wali) likh liya kare?" Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Kya tum (apne deen k baare mein) shak mein mubtala ho (k ye naqis hai) jis tarah yahood wa nasara (apne apne deen k baare mein) shak mein padey they, halakey mein ek wazey aur roshan shariyat le kar aya hu, agar aaj Musa Alaihis Salaam bhi zinda hote, to meri pairvi k bagair unke liye bhi koi chara na hota". (Musnad Ahmad, Behaqui, Mishkaatul Masabeeh Kitabul Emaan)

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu Toraat le kar Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hue aur arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! ye Toraat hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam khamoosh rahe, Hazrat Umar Razi Allahu Anhu Toraat padhne lage, to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka chehra mubarak (gusse se) badalne laga, Hazrat Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu ne (ye soorat e haal dekhi) to kaha: "Ae Umar! gum karne waliya tujhe gum paaye, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k chehre ki taraf nahi dekhte" Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k chehra e mubarak ki taraf dekha to kaha "Mein Allah aur uske Rasool k gusse se Allah ta'ala ki panah maangta hu, hum Allah k rabb hone par, islam k deen hone par, aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam k Nabi hone par raazi hai" uske baad Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad famaya: "Us zaat ki qasam! jiske haath mein Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki jaan hai agar aaj Musa Alaihis Salaam tashreef le aye aur tum loog meri bajaye unki itteba shuru karo, to seedhi raah se gumraah ho jaoge aur agar Musa Alaihis Salaam zinda hote aur meri nabuwat ka zamana paate to wo bhi meri hi itteba karte". (Muqadma Daarmi Baab 39 Hadees no. 435)

RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI ITA'AT MEIN KOTAHI NE JANG E UHAD KI FATAH KO SHIKAST MEIN BADAL DIYA

Hazrat Bara Razi Allahu Anhu farmate hai k uhad k rooz mushriko se hamara muqabala hua, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne teer-andaazo ki ek jama'at (pahaad ki chooti par) bitha di aur Abdullah bin Jubair Razi Allahu Anhu ko unka ameer muqarrar karte hue farmaya: "Tum hame (maidaan e jang mein) khawah gaalib hote dekho ya magloob hote, apni jagah se hargiz na hatna aur na hi hamari madad ko aana" chunanachey kafiro se muqabala hua, to kafir bhaag nikle hatta k mene dekha k mushriko ki aurate pindliyo se kapda uthaye hue pahaad par bhaagi ja rahi hai, unki pazaibey dikhayi de rahi thi, Hazrat Abdullah bin Jubair Razi Allahu Anhu ne unko samjhaya k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam taakeed kar gaye hai k is jagah se na hatna lihaza yaha se mat palto, neez andaza na maaney (apni marzi se wo jagah chood di chunanchey) musalmano ko shikast ho gayi aur 70 Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum shaheed ho gaye. (Sahih Bukhari Kitabul Magaazi)

SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO TARK KARNA SARASAR GUMRAAHI SAMAJHTE THEY

Hazrat Arwah bin Zubair Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu ne farmaya: "Mein koi aesi cheez nahi chood sakta jis par Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam amal kiya karte they, kyunki mujhey darr hai k agar mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k qaul wa fail mein koi cheez bhi chood dunga to gumraah ho jaunga". (Al loo loo wal Marjaan Kitabul Jihad Hadees no. 1150)

AESI BAAT YA AMAL, JO RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE SABIT NA HO, HADEES YA SUNNAT KEH KAR LOOGO K SAAMNE PAISH KARNE KI SAZA JAHANNAM HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jisne jaan boojh kar jhoot meri janib mansoob kiya wo apna thikana jahannam bana le". (Al loo loo wal Marjaan Juz e Awwal Hadees no. 30)

Hazrat Ali Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jisne meri janib jhoot baat mansoob ki wo aag mein dakhil hoga". (Al loo loo wal Marjaan juz e awwal Hadees no. 1)

Hazrat Salma Razi Allahu Anhu se riwayat hai k mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye farmate hue suna hai k "Jo shaks meri taraf aesi baat mansoob kare, jo mene nahi kahi, wo apni jagah jahannam mein bana le". (Sahih Bukhari Kitabul Ilm)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Akhiri zamane mein dajjal aur kazzab loog aesi aesi hadeese tumhare paas layenge, jo tumne aur tumhare aslaaf ne kabhi na suni hongi lihaza unse bach kar raho kahi tumhe gumraah na karde ya fitne mein mubtala na karde". (Sahih Muslim Kitabus Sunnah Hadees no. 4604)

SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM CHOOD KAR KOI NAYA TAREEQA TALASH KARNE WALA SHAKS ALLAH TA'ALA K HAN SABSE ZAYADA MAGZOOB HAI

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Teen aadmi Allah ta'ala k han magzoob hai
1. Haram shareef ki hurmat paimaal karne wala
2. Islam mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka tareeqa chood kar jahliyat ka tareeqa talaash karne wala
3. Kisi musalman ka na haqq khoon talab karne wala takey uska khoon bahaye". (Sahih Bukhari Kitabud Dayaat)

RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA HUKM NA MAAN'NE PAR DUNYA MEIN IBRAT-NAAT SAZA

Hazrat Salma bin Akwa Razi Allahu Anhu se riwayat hai k unke baap ne unhe bataya k ek aadmi ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas baaye haath se khana khaya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Apne daaye hath se khao" us aadmi ne jawab diya "Mein aesa nahi kar sakta" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "(accha Allah kare) tujhse aesa na ho sake, us shaks ne takabbur ki wajah se ye baat kahi thi (halankey koi shari uzr nahi tha) raavi kehte hai k wo shaks (umar bhar) apna daaya hath muh tak na utha saka". (Sahih Muslim Kitabul Ashrabah)

No comments:

Post a Comment