Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday, 14 May 2015

AARAAF WALE LOOG

AARAAF WALE LOOG

Bismillahirrahmanirraheem

JANNAT AUR JAHANNAM K DARMIYAAN EK BULAND JAGAH PAR BAAZ LOOG RIHAYISH PAZEER HONGEY, JINHEY ASHAAB E AARAAF (BULANDIYO WALE) KAHA JAYEGA
ASHAAB E AARAAF KI NAIKIYA AUR BURAIYA BARABAR HONGI JIS WAJAH SE WO NA TO JANNAT MEIN JA SAKENGEY NA HI JAHANNAM MEIN JAYENGEY, LEKIN ALLAH K FAZAL WA KARAM SE JANNAT MEIN JAANE K UMMEED-WAAR HONGEY

"Dono garooho (yaani jannati aur jahannami) k darmiyaan ek pardah (deewaar) hoga jiski bulandi par kuch loog hongey jo har ek ko unke nishaan se pehchanengey (yaani jannatiyo ko unke roshan chehro se aur jahannamiyo ko unke siyah chehro se) ye aaraaf wale jannatiyo ko paa kar kahengey "Asslamu Alaikum" aaraaf wale jannat mein dakhil to nahi hue hongey lekin jannat k ummeed-waar hongey". (Surah Aaraaf Surah no. 7 Ayat no. 46)


AARAAF WALE JAHANNAMIYO KO DEKH KAR DARJ E ZAIL DUA MAGENGEY

"Jab Aaraaf walo ki nigaahe aagh walo ki taraf phiraayi jayegi to wo kahengey "RABBANA TAJ'ALNAA MA'AL QAUMIZ ZAALIMEEN" "Ae hamare parwardigaar! hamey un zaalim loogo k saath shamil na farmana". (Surah Aaraaf Surah no. 7 Ayat no. 47)


AARAAF WALE KA APNE BAAZ AASNA JAHANNAMIYO SE IBRAT AAMOOZ KHITAAB

"Ashaab e aaraaf kuch loogo ko unki (baaz) alamato se pehchaan kar kahengey "Aaj tumhara jattha aur dunya mein takabbur aur garoor tumhare kisi kaam na aaya, kya ye (ahle jannat) wahi loog nahi jinke baare mein tum qasmey khaya karte they k inhey to Allah ta'ala apni rahmat se kuch nahi dega? (aaj unhi se kaha gaya hai) dakhil ho jao jannat mein tumhare liye khauf hai na gham". (Surah Aaraaf Surah no. 7 Ayat no. 48-49)

JANNAT MEIN BEETEY DINO KI YAADEY

JANNAT MEIN BEETEY DINO KI YAADEY

Bismillahirrahmanirraheem

PURAANE SAATH KI YAAD AUR US SE MULAQAAT KA IBRAT ANGAIZ MANZAR

"(Jannat mein) Ahle jannat ek doosre ki taraf mutawajjah ho kar haal ahwaal daryaft karengey unme se ek kahega, dunya mein mera ek saathi tha jo mujhse kaha karta tha kya tu bhi (is baat ko) maanta hai k jab hum mar jayengey aur mitti ho jayengey aur haddiyo ka pinjar ban kar reh jayengey to (dobarah zindah ho kar apne apne aamaal ka) badla payengey? phir wo (apne jannati saathiyo ko mukhatib karke) puchega "Ab aap loog dekhna chahte hai k wo sahib kaha hai?" (wahi se wo jannati) jhaankega to apne saathi ko jahannam ki gehraayi mein paayega aur (use mukhatib karke) kahega "Wallah! tu to mujhe bhi halaak kar dene wala tha agar mere rabb ka fazal shamil e haal na hota to aaj mein bhi un loogo mein shamil hota jo pakde gaye hai" (phir wo jannati apne dosto se mukhatib ho kar apni musarrat aur khushi ka izhaar in alfaaz mein karega) "Accha to ye sahih hai na k ab hamey (jannat mein) maut nahi aayegi? han jo pehle maut aa chuki bas aa chuki, na hi hum azaab diye jayengey? yaqeenan ye bahut badi kaamyaabi hai aesi kaamyaabi hasil karne k liye amal karne walo ko amal karna chahiye". (Surah Saffaat Surah no. 37 Ayat no. 50-61)


AHLE JANNAT APNI MAJALIS MEIN DUNYA KI ZINDAGI KI YAADEY TAAZA KARENGEY

"Jannati loog aapas mein ek doosre se (dunya k guzre hue) halaat puchengey aur aapas mein kahengey hum pehle (dunya ki zindagi mein) apne ghar walo mein darte hue zindagi basar karte they aakhir-kaar Allah ta'ala ne hum par fazal farmaya aur hamey jhulsa dene wali hawa k azaab se bacha liya hum us se pehle (dunya mein) usi se duwaye maangte they wo waqaye bada mohsin aur meharbaan hai". (Surah Toor Surah no. 52 Ayat no. 25-28)

KISI MUTTAEEN SHAKS K BAARE MEIN JANNATI HOONE KA HUKM LAGAANA JAYEZ NAHI

KISI MUTTAEEN SHAKS K BAARE MEIN JANNATI HOONE KA HUKM LAGAANA JAYEZ NAHI

Bismillahirrahmanirraheem

KISI SHAKS K BAARE MEIN QATAE JANNATI KA HUKM LAGAANA JAYEZ NAHI
KISI SHAKS K QATAE JANNATI YA JAHANNAMI HOONE KA ILM SIRF ALLAH TA'ALA KO HAI

Hazrat Ummey Ala'e Ansaariya Razi Allahu Anha Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki bait karne wali khawateen mein se thi, kehti hai k qura daal kar muhajireen ko ansaar mein taqseem kiya gaya to hamare hisse mein Hazrat Usman bin Maz'oon Razi Allahu Anhu aaye humne unhey apne ghar mein thehraaya phir wo us bimaari mein mubtala hue jis mein faut hue, faut hoone k baad unhe gusal diya gaya kafan pehnaaya gaya Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam tashreef laye to mene kaha ae Abu Saa'ib  (Hazrat Usman bin Maz'oon Razi Allahu Anhu ki kunniyat) tujh par Allah ki rehman hai mein tere haqq mein gawaahi deti hu k Allah ne tujhe izzat bakhshi, Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "(Ummey Ala'e) tujhe kese maloom hua Allah ne use izzat di hai?" mene arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mere maap baap aap par qurbaan phir Allah ta'ala kisko izzat dega" Aapne irshad farmaya "Beshak usman ko maut aa gayi aur Allah ki qasam mein bhi uske liye (Allah se) khair aur bhalaayi ki ummeed rakhta hu leikn Allah ki qasam mein nahi jaanta k (qayamat k rooz) mera kya haal hoga halankey mein Allah ka Rasool hu" Hazrat Ala'e Razi Allahu Anha kehti hai Allah ki qasam uske baad mene kabhi kisi ko (gunaah se) paak nahi kaha".  (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz)

Wazahat: 1. Jin Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum k naam le kar Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne jannat ki basharat di hai unhey jannati kehna jayez hai.
2. Apne baare mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne jo baat irshad farmayi wo Allah ta'ala ki azmat kibriyaai aur jalaal k paish e nazar farmayi jiska izhaar doosri hadees mein yuh farmaya k "Koi shaks apne aamaal se jannat mein nahi jayega" arz kiya gaya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! kya aap bhi?" farmaya "Han" mein bhi, illa ye k mera rabb apni rahmat se mujhe dhaanp le. (Sahih Muslim)
3. Yaad rahe Hazrat Usman bin Maz'oon Razi Allahu Anhu ko do dafa hijrat e habsha ki sa'aadat hasil hui aur teesri dafa madeena munawwarah ki hijrat ka sharf paaya, aapki wafaat k baad Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne teen martaba paishani par boosa diya aur farmaya "Tum dunya se is tarah rukhsat hue k tumhara daaman zarra barabar dunya se aalooda na hoone paya uske ba'wajood Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unke qatae jannati hoone ka hukm lagaane wali khatoon ko took diya".


SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM NE MAIDAAN E JANG MEIN QATAL HOONE WALE EK SHAKS KO JANNATI SAMJHA AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE FARMAYA "HARGIZ NAHI WO JAHANNAM MEIN HAI"

Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein arz kiya gaya k falah shaks shaheed ho gaya (aur jannat mein hai) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Hargiz nahi mene use maal e ganeemat ki ek chaadar choori karne k gunah mein jahannam mein dekha hai". (Sunan Tirmizi Abwabus Sabr)


KISI ZINDAH YA FAUT SHUDAH AADMI KO KHAWAH WO BA-ZAAHIR KITNA BADA MUTTAQI, AALIM, WALI, PEER, FAQEER AUR DARVAISH HI KYU NA HO, QATAE JANNATI SAMAJHANA JAYEZ NAHI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ek aadmi muddat tak jannatiyo k se kaam karta rehta hai phir uska khatima jahannamiyo wale kaam par hota hai aur ek muddat tak jahannamiyo wale kaam karta rehta hai phir uska khatima jannatiyo wale kaam par hota hai". (Sahih Muslim Kitabul Qadr)

Hazrat Sahal bin Saad Saadi Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ek aadmi loogo ki nazar mein jannatiyo wale kaam karta hai aur wo jahannami hota hai aur ek aadmi loogo ki nazar mein jahannamiyo wale kaam karta hai jabke wo jannati hota hai". (Sahih Muslim Kitabul Qadr)

Wazahat: Wese to auliya Allah ki qabro aur mazaaro par nazrey niyaaze dena chadaavey chadhana shirk e akbar hai hi lekin mazkoorah ahadees ki rooshni mein ek la haasil, bekaar be-faida amal hai is liye k kisi bhi faut shudah aadmi k baare mein Allah k siwa kisi ko ilm nahi k qabr mein wo aaraam ki neend soo raha hai ya Allah k azaab mein giraftaar hai.

IBTADA'AN JANNAT SE MEHROOM REHNE WALE LOOG

IBTADA'AN JANNAT SE MEHROOM REHNE WALE LOOG

Bismillahirrahmanirraheem

JHOOTI QASAM KHA KAR DOOSRE KA HAQQ MAARNE WALA JANNAT MEIN NAHI JAYEGA

Hazrat Abu Umama Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis shaks ne (jhooti) qasam kha kar kisi musalman ka haqq maar liya Allah ne uske liye jahannam wajib kardi aur jannat haraam kardi" ek aadmi ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! khawah wo mamooli si cheez ho?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Khawah paid ki ek tehni hi kyu na ho". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)


HARAAM TAREEQEY SE MAAL KAMAANE AUR KHAANE WALA JANNAT MEIN NAHI JAYEGA

Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo jism haraam giza se palta hai wo jannat mein nahi jayega". (Sunan Behaqui, Mishkatul Masabeeh Hadees no. 2: 2787)


WALEDAYN KA NA-FARMAAN, DAYYOOS AUR MARD KI MUSHABIHAT KARNE WALI AURAT JANNAT MEIN NAHI JAYEGI

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Teen aadmi jannat mein dakhil nahi honge waledayn ka na-farmaan, dayyoos aur mard ki mushabihat karne wali aurat jannat mein nahi jayengey". (Mustadrak E Haakim, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 3058)


QATA RAHMI KARNE WALA JANNAT MEIN NAHI JAYEGA

Hazrat Muhammad bin Jubair bin Mut'im Razi Allahu Anhu apne baap se riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Qata Rahmi karne wala jannat mein nahi dakhil hoga". (Sunan Tirmizi Abwabul Birr Wa Silah)


APNI RIAAYA KO DHOOKA DENE WALA HAKIM JANNAT MEIN NAHI JAYEGA

Hazrat Maqil bin Yasaar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai "Musalman raeeyat par hakumat karne wala hakim agar is haal mein mara k wo apni raeeyat se dhooka kar raha tha to Allah ta'ala us par jannat haraam kar dega". (Sahih Bukhari Kitabul Ahkaam)


EHSAAN JATLAANE WALA, WALEDAYN KA NA-FARMAAN AUR HAMESHA SHARAAB PEENE WALA JANNAT MEIN DAKHIL NAHI HOGA

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ehsaan jatlaane wala, waledayn ka na-farmaan aur hamesha sharaab peene wala (yaani boodha sharaabi) jannat mein nahi jayega". (Sunan Nasayi Hadees no. 3: 5241)


HAMSAAYE KO AZEEYAT PAHUNCHANE WALA JANNAT MEIN NAHI JAYEGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis shaks ka hamsaaya uske sharr se mehfooz na ho wo jannat mein dakhil na hoga". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)


BAD-ZUBAAN AUR BAD-MIJAAZ AADMI JANNAT MEIN NAHI JAYEGA

Hazrat Haarsa bin Wahhab Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Bad-zubaan aur bad-mijaaz aadmi jannat mein nahi jayega". (Sunan Abu Dawood Kitabul Adab)


TAKABBUR KARNE WALA JANNAT MEIN NAHI JAYEGA

Hazrat Abdullah (bin Mas'ood) Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis shaks k dil mein ratti barabar takabbur ho wo jannat mein nahi dakhil hoga". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)


CHUGAL KHOOR JANNAT MEIN NAHI JAYEGA

Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Chugal khoor jannat mein dakhil nahi hoga". (Sunan Abu Dawood Kitabul Adab)


APNE AAPKO JAANTE BOOJHTE GAIR BAAP SE MANSOOB KARNE WALA JANNAT MEIN NAHI JAYEGA

Hazrat Saad bin Abi Waqaas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k "Jo shaks jaante bhoojte apne baap k alawah kisi doosre ko apna baap bataaye uspar jannat haraam hai". (Sahih Bukhari Kitabul Fara'iz)


BILA WAJAH TALAAQ MAANGNE WALI AURAT JANNAT MEIN NAHI JAYEGI

Hazrat Sobaan Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis aurat ne apne shohar se bila wajah talaaq maangi us par jannat ki khushboo haraam hai". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 948)


KAALE RANG KA KHIZAAB LAGAANE WALA JANNAT MEIN NAHI JAYEGA

Hazrat Abdullah ibne Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Aaakhiri zamaane mein kuch loog kabootar k seene jesa siyaah rang ka khizaab lagayenge aese loog jannat ki khushboo tak na payengey". (Sunan Abu Dawood Kitabul Libaas)

Wednesday, 13 May 2015

JANNAT MEIN DAKHIL HOONE WALE LOOG PART 3 OF 3

JANNAT MEIN DAKHIL HOONE WALE LOOG PART 3 OF 3

Bismillahirrahmanirraheem

SHARIYAT KI HALAAL KARDAH CHEEZO KO HALAAL AUR HARAAM KARDAH CHEEZO KO HARAAM JAAN'NE WALA YAANI UN PAR AMAL KARE WALA JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek aadmi ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se sawaal kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam agar mein farz namazey ada karu, ramazaan k roozey rakkhu (shariyat ki) halaal kardah cheezo ko halaal jaanu aur haraam kardah cheezo ko haraam jaanu lekin us se ziyaadah kuch na karu, to kya mein jannat mein chala jaunga?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "han". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)


DO NA-BAALIGH BACCHO K FAUT HONE PAR SABR KARNE WALE WALEDAYN JANNAT MEIN JAYENGEY

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ansaar ki aurato se farmaya "Tum mein jiske teen bacche faut ho jaye aur wo Allah ki raza k liye sabr kare to jannat mein jayegi ek aurat ne arz kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! agar do bacche mare to uske liye kya hukm hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Agar do mare tab bhi yahi sawab hai". (Sahih Muslim Kitabul Birr Wa Silah)


HAR NAMAZ K BAAD AAYATAL KURSI PADHNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Abu Umama Razi Allahu Anahu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne har namaz k baad aayatal kursi padhi use maut k siwa koi cheez jannat mein jaane se nahi rook sakti". (Tabraani, Ibne Hibban, Sunan Nasaayi, Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 972)


"LA HAULA WA KUWWATA ILLAH BILLAH" KA KASRAT SE WAZEEFA KARNE WALA JANANT MEIN JAYEGA

Hazrat Abu Zarr Razi Allahu Anhu kehte hai k mujhe Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Kya mein tujhe jannat k khazaano mein se ek khazaane k baare mein aagaah na karu? mene arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam zaroor aagaah farmaiye" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "LA HAULA WALA KUWWATA ILLAH BILLAH"(Tarjuma: Naiki karne aur buraayi se bachne ki taaqat Allah ki tofeeq k bagair nahi)". (Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 3083)


"SUBHANALLAHI WA BI HAMDIHI" KA WAZEEFA KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne "SUBHANALLAHI WA BI HAMDIHI"(Tarjuma: Azmat wala Allah apni hamd k saath paak hai) kaha uske liye jannat mein khajoor ka ek darakht lagaaya jata hai". (Sahih Jamey Tirmizi Hadees no. 2757)


JO SHAKS APNE MAAL KI WAJAH SE BE-GUNAH QATAL KIYA GAYA WO JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Abdullah bin Umar wa bin Aas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks zulm k saath apne maal ki wajah se qatal kiya gaya uske liye jannat hai". (Sunan Nasaayi Kitabul Tahreemud Damm)


JIS AURAT NE HAMAL SAAQIT HONE PAR SABR KIYA WO JANNAT MEIN JAYEGI

Hazrat Muawiyah bin Jabal Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Us zaat ki qasam jiske haath mein meri jaan hai saaqit hamal baccha apni maa ko ungli se pakad kar jannat mein le jayega ba-shart k usne sawaab ki niyat se sabr kiya ho". (Sunan Ibne Maja Kitabul Jana'iz)


HAQQ K MUTABIQ FAISLA KARNE WALA QAAZI JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Bureedah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Do qaazi jahannam mein jayengey aur ek qaazi jannat mein jayega, wo qaazi jisne haqq pehchana aur uske mutabiq faisla kiya wo jannat mein jayega aur wo qaazi jisne haqq pehchana aur jaante boojhte zulm kiya (yaani faisla haqq k khilaf kiya) aur wo qaazi jisne ilm (tehqeeq) k bagair faisla kiya dono jahannam mein jayenge". (Mustadrak E Haakim, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 1474)


KISI MUSALMAN BHAI KI ADM MOJOODGI MEIN USKI IZZAT KA DIFA KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Asma bintey Yazeed Razi Allahu Anha kehti hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne kisi bhai ki adm mojoodgi mein uski izzat se buraayi ko door kiya Allah par uska haqq hai k wo use aagh se aazaad kare". (Musnad Ahmad, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 6116)


KISI SE SAWAAL NA KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Sobaan Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks mujhe is baat ki zamanat de k wo kisi se sawaal nahi karega mein use jannat ki zamanat deta hu". (Sunan Abu Dawood Kitabuz Zakaat)


GUSSA PEENE WALA JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Abu Dardah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Gussa na kar tere liye jannat hai". (Tabraani, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 7351)


SUBAH AUR FAJAR KI NAMAZ BA-QAIDAGI SE ADA KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Abu Bakr bin Moosa Ash'ari Razi Allahu Anhu apne baap se riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne thande waqt ki do namazey padhi wo jannat mein dakhil hua". (Sahih Muslim Kitabus Salaat)


ZUHAR SE QABL CHAAR RAKAAT SUNNAT PAR MUDAWAMAT IKHTIYAAR KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Ummey Habeeba Razi Allahu Anha kehti hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne zuhar se pehle chaar rakaat ada ki Allah ta'ala us bande k liye jahannam ki aagh haraam kar dengey". (Sunan Tirmizi Kitabus Salaat)


MUSALSAL CHALEES ROOZ TAK TAKBEER E AULA K SAATH PANCHO NAMAZEY PADHNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne chalees din tak (paancho namazey) takbeer e aula k saath ba-jamaat ada ki uske liye do cheezo se aazaadi likhi jaati hai aagh se aur nifaaq se". (Sunan Tirmizi Abwabus Salaat)


DARJ E ZAIL SAAT AADMI JANNAT MEIN JAYENGEY
1. AADIL HAKIM, 2. JAWANI KI UMAR MEIN IBADAT KI RAGBAT RAKHNE WALA, 3. ZIYAADAH WAQT MASJID MEIN GUZAARNE WALA, 4. ALLAH K LIYE DOOSRE SE MUHABBAT KARNE WALA, 5. TANHAAYI MEIN ALLAH K DARR SE ROONE WALA, 6. ALLAH K DARR SE HASEEN WA JAMEEL AURAT KI DAWAT E GUNAH SE RUKNE WALA, 7. ALLAH KI RAAH MEIN KHUFYA KHARCH KARNE WALA

Hazrat Abu Saeed Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis rooz koi saaya nahi hoga us rooz Allah ta'ala saat aadmiyo ko apne (arsh) k saaye taley jagah dega:
1. Aadil hakim,
2. Allah ki ibadat mein mashgool nojawan
3. Wo shaks jiska dil masjid se nikalne k baad wapas aane tak masjid mein latka rahe
4. Allah k liye ek doosre se muhabbat karne wale jinka milna aur alag hona khalis Allah k liye hi ho
5. Wo shaks jisne tanhaayi mein Allah ko yaad kiya aur uski aankho se aansu beh nikle
6. Wo shaks jiske unchey khandaan ki khoobsurat aurat ne dawat e gunah di aur usne kaha "Mein Allah azz wa jall se darta hu"
7. Wo shaks jisne is tarah chipa kar sadqa kiya k baaye haath tak ko pata na chale k daaye ne sadqa kiya hai". (Sunan Tirmizi Kitabuz Zuhad)


DOOSRO KO MAAF KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Muaaz bin Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks intaqaam lene par poori tarah qadir tha lekin (intaqaam na liya aur) gussa pee gaya (qayamat k din) Allah ta'ala use saari makhlooq k saamne bulayenge aur use hoor e aaeyn muntakhab karne ka ikhtiyaar diya jayega k jis se chaahe nikah karle". (Musnad Ahmad, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 6394)


TAKABBUR, KHAYANAT, QARZ SE PAAK SHAKS JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Sobaan Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks takabbur, khayanat aur qarz se paak mara wo jannat mein dakhil hoga". (Sunan Tirmizi Baab Galool)


AZAAN KA JAWAB DENE WALA JANNAT MEIN DAKHIL HOGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath they Hazrat Bilaal Razi Allahu Anhu khade hue aur azaan di jab Hazrat Bilaal Razi Allahu Anhu khamoosh hue to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Jisne mu'azzin jese kalmaat yaqeen k saath dohraaye wo jannat mein dakhil hoga". (Sunan Nasaayi Kitabul Azaan)

The End.

Tuesday, 12 May 2015

JANNAT MEIN DAKHIL HOONE WALE LOOG PART 2 OF 3

JANNAT MEIN DAKHIL HOONE WALE LOOG PART 2 OF 3

Bismillahirrahmanirraheem

MUTTAQI AUR ACCHEY AKHLAAQ WALE LOOG JANNAT MEIN JAYENGEY

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se daryaft kiya gaya kaun sa amal sabse ziyaadah loogo k jannat mein jaane ka sabab banega? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Taqwa aur accha akhlaaq" phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se arz kiya gaya "Kaun sa amal sabse ziyaadah loogo k aagh mein jaane ka ba'as banega?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "mana aur sharm-gaah". (Sunan Tirmizi Kitabul Birr wa Silah)

YATEEM KI KIFALAT KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Yateem ki kifalat karne wala khawah yateem ka hi rishtedaar ho ya koi aur ho, aur mein jannat mein un do ungliyo ki tarah (saath saath) hongey imam Malik Rahimahullah ne angisht aur shahadat aur darmiyaani ungli se isharah kar ke bataya". (Sahih Muslim Kitabuz Zuhad)

HAJJ E MABROOR ADA KARNE WALA HAAJI JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Umrah un tamaam gunaaho ka kaffarah hai jo mojoodah aur guzishta umraah k darmiyaan sarzad hue ho aur hajj e mabroor ka badla to jannat hi hai". (Muttafiqun Alaih, Kitabul Umrah)

MASJID BANAANE WALA JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Usman bin Affan Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai "Jisne Allah k liye masjid banaayi Allah ta'ala uske liye usi tarah ka ghar jannat mein banayega". (Sahih Muslim Kitabul Zuhad)

SHARM-GAAH AUR ZUBAAN KI HIFAZAT KARNE WALE JANNAT MEIN JAYENGEY

Hazrat Sahal bin Saad Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks mujhe zamanat de us cheez ki jo do cheezo k darmiyaan hai (yaani zubaan) aur us cheez ki jo do taango k darmiyaan hai (yaani sharmgaah ki) mein use jannat ki zamanat deta hu". (Sahih Bukhari Kitabur Riqaaq)

HAMSAAYA (PADOOSI) SE HUSN E SALOOK KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai ek aadmi ne Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein arz kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! falah aurat din ko roozey rakhti hai aur raat ko qayaam karti hai lekin hamsiyo ko azeeyat pahunchati hai Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Ye aurat jahannam mein hai" phir Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne (ek doosri aurat k baare mein) arz kiya "falah aurat sirf farz namaz ada karti hai aur mamooli khaane peene ki cheez sadqa karti hai lekin hamsiyo ko azeeyat nahi pahunchati" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Ye aurat jannati hai". (Musnad Ahmad tamalul minhu bayanul khisal al mojbata bil jannah Hadees no. 136)

ALLAH TA'ALA K 99 NAAM YAAD KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah ta'ala k 1 kam 100 yaani 99 naam hai jisne yaad kiye wo jannat mein dakhil huwa". (Muttafiqun Alaih, Al loo loo wal Marjaan Hadees no. 1714)

HAFIZ E QURAAN JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Hafiz E Quraan jab jannat mein dakhil hoga to use kaha jayega quraan ki tilawat karta ja aur darje par chadhta ja chunanchey wo har aayat k badle mein ek darja buland hota jayega hatta k aakhiri aayat tak pahunchega jo use yaad hogi aur wahi uska (mustaqil) darja hoga". (Sunan Ibne Maja Kitabul Adab)

KASRAT SE SALAAM KARNE WALE LOOG JANNAT MEIN DAKHIL HONGEY

Hazrat Abdullah bin Salaam Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Loogo! salaam phelao (yaani kasrat se kiya karo) (loogo ko) khana khilaao, aur jab (doosre) loog soo rahe ho to namaz padho (un aamaal k nateeje mein) salamati k saath jannat mein dakhil hongey". (Sunan Tirmizi Abwabul Sifatul Qiyaamah)

MAREEZ KI IYAADAT KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Sobaan Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mareez ki iyadat karne wala jab tak wapas na aa jaye tab tak jannat k baagh mein rehta hai". (Sahih Muslim Kitabul Birr wa Silah)

ALLAH KI RAZA K LIYE DEEN KA ILM SEEKHNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks ilm e deen hasil karne k liye raasta tey kare Allah ta'ala uske liye jannat ka raasta (tey karna) aasaan farma dete hai". (Sahih Muslim Kitabul Zikr wa Dua)

ACCHI TARAH WUZU KARNE K BAAD KALMA E SHAHADAT PADHNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tum mein se jo shaks acchi tarah poora wuzu kare phir kahe "ASH'HADU ALLA ILAHA ILLALLAHU WA ANNA MUHAMMADAN ABDUHU WA RASOOLUHU (yaani mein gawahi deta hu k Allah k siwa koi mabood nahi aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam Allah k bandey aur uske rasool hai)" uske liye jannat k aatho (8) darwaazey khool diye jaate hai jis se chaahey dakhil ho". (Sahih Muslim Kitabut Taharah)

SUBAH WA SHAAM SAYYADUL ASTAGFAAR PADHNE WALA SHAKS JANNAT MEIN DAKHIL HOGA

Hazrat Shaddad bin Aous Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Sabse afzal astagfaar ye hai k tum kaho "Ae Allah! to mera rabb hai tere siwa koi ila nahi tooney hi mujhe paida kiya hai mein tera banda hu, tujh se kiye hue waadey par apni istata'at k mutabiq qayam hu, apne kiye hue burey kaamo k wabaal se teri panah chahta hu, mujh par tere jo ehsanaat hai unka aetaraaf karta hu aur apne gunaaho ka iqraar karta hu, mujhe bakhs de kyunki tere siwa koi bakhashne wala nahi" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks ye kalmaat yaqeen k saath din k waqt padhey aur shaam se qabl faut ho jaye to wo jannati hai aur jisne raat k waqt yaqeen k saath ye kalmaa kahe aur subah hoone se pehle faut ho gaya wo bhi jannati hai". (Mukhtasar Sahih Bukhari Hadees no. 2070)

JIS SHAKS KI BEENAAYI KHATAM HO JAYE AUR WO US PAR SABR KARE TO JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k "Allah ta'ala farmata hai k jab mein apne bande ko uski do mehboob cheezo (aankho) se aazmaata hu aur wo us par sabr karta hai to uske badle mein use jannat deta hu". (Sahih Bukhari Kitabul Marz)

MAA BAAP KI KHIDMAT KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se riwayat karte hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Us shaks ki naak khaak aalood ho ruswa aur zaleel ho halaak ho jisne apne waledayn mein se kisi ek ko budhaape mein paya phir (unko raazi karke) jannat mein dakhil na hua". (Sahih Muslim Kitabul Birr wa Silah)

MUSALMANO SE KISI PARESHANI YA TAKLEEF KO DOOR KARNE WALA SHAKS JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ek darakht musalmano ko takleef deta tha ek shaks aaya usne wo darakhat kaat diya aur jannat mein chala gaya". (Sahih Muslim Kitabul Birr Wa Silah)

BEEMARI PAR SABR KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Ata bin Abi Ribah Rahimahullah kehte hai Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu ne mujhse kaha kya mein tujhe jannati aurat na dikhao? mene arz kiya kyu nhi? Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu ne (ek aurat ki taraf irsharah karke) kaha ye kaali aurat Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hui aur arz kiya mein mirgi ki mareez hu aur (mirgi k doraan) mera satar khul jata hai Aap Allah ta'ala se mere liye dua farmaiye (Allah mujhe sehat ata farmaye) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Agar tu chahey to sabr kar tere liye jannat hai aur agar tu chahey to Allah se tere liye dua karta hu wo tujhe sehat ata farma dega (is soorat mein jannat ka wada nahi karta) us aurat ne arz kiya mein sabr karungi lekin saath ye bhi arz kiya (mirgi k dooran) mera satar khul jata hai Allah ta'ala se dua farmaiye k mera satar na khuley Rasool E Arkam Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne uske liye dua farmayi". (Sahih Bukhari Kitabus Sabr)

NABI, SHAHEED, SIDDEQUE, PAIDA HOTE HI FAUT HONE WALA BACCHA AUR ALLAH KI RAZA K LIYE APNE BHAAYI SE MULAQAAT KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA
APNE SHOHAR SE MUHABBAT KARENE WALI, ZIYADAH BACCHO KO JANAM DENE KI TAKLEEF UTHAANE WALI AUR APNE SHOHAR K ZULM PAR SABR KARNE WALI KHATOORN JANNAT MEIN JAYEGI

Hazrat Kaab bin Ujrah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Kya mein tumhey jannat mein jaane wale mardo k baare mein na batlau? (suno!) Nabi jannati hai, shaheed jannati hai, siddeque jannati hai, paida hote hi faut hone wala baccha jannati hai, door daraaz se apne bhai ko mehaz Allah ki raza k liye milne wala jannati hai, kya mein tumhey jannat mein jaane wali aurato k baare mein na batlau? apne shohar se muhabbat karne wali, ziyaadah baccho ko janam dene (ki takleef uthaane) wali, aur wo naik aurat k jiska shohar us par zulam kare to kahe "Mera haath tere haath mein hai us waqt tak nahi sooungi jab tak to raazi na ho jaye". (Tabraani, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 2601)

To Be Continued......

Monday, 11 May 2015

JANNAT MEIN DAKHIL HOONE WALE LOOG PART 1 OF 3

JANNAT MEIN DAKHIL HOONE WALE LOOG PART 1 OF 3

Bismillahirrahmanirraheem

NARAM DIL, AAJIZ, MUNKASIRUL MIJAAZ HAR WAQT ALLAH SE DARNE WALE BE ZARAR AUR HALEEMUL TABEY LOOG JANNAT MEIN JAYENGEY

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannat mein aese loog dakhil hongye jinke dil chidyo jese hongey". (Sahih Muslim Kitabul Jannah Wa Sifatun Naemaha)


JANNAT MEIN GAREEB, FAKEER, MOHTAAJ, MISKEEN AUR KAMZOOR LOOGO KI KASRAT HOGI

Hazrat Haarsa bin Wahhab Razi Allahu Anhu ne Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Kya tumhey bataau jannat mein jaane wale loog kaun hai?" Sahaba Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Kyu nahi" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "har naatawa, loogo k nazdeek kamzoor (lekin Allah k nazdeek itna bargazeedah) agar (kisi muamale mein) Allah ki qasam kha le to Allah use saccha karde" phir farmaya "Kya mein tumhey jahannam mein jaane wale loogo k baare mein na bataau?" Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Kyu Nahi" Aap  ne irshad farmaya "har jhagdaalu, bad akhlaaq aur takabbur karne wala". (Sahih Muslim Kitabul Jannah wa Sifatun Naemaha)


NARAM DIL, SHAREEFUL NAFS, MUNKASIRUL MIJAAZ AUR HAR DIL AZEEZ SHAKS JANNATI HAI

Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Har wo shaks jo naram dil hai shareefun nafs hai, munkasirul mijaaz hai aur loogo se qareeb (yaani har dil azeez) hai us par jahannam ki aagh haraam hai". (Musnad Ahmad, Saheeh Jamey Sageer Hadees no. 313)


RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI ITA'AT KARNE WALE JANNAT MEIN JAYENGEY

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Meri tamaam ummat jannat mein dakhil hogi magar jisne mera inkaar kiya (wo jannat mein dakhil nahi hoga)" Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam kisne inkaar kiya?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Jisne meri ita'at ki wo jannat mein dakhil ho gaya aur jisne nafarmaani ki usne inkaar kiya". (Sahih Bukhari Kitabul Aetasaam bil Kitabis Sunnah)


ALLAH KI RAZA K LIYE JO SHAKS ROZAANA 12 RAKAAT NAMAZ (NAMAZ E FAJR SE QABL 2 RAKAAT, NAMAZ E ZUHAR SE QABAL 4 RAKAAT AUR BAAD MEIN 2 RAKAAT, NAMAZ E MAGHRIB K BAAD 2 RAKAAT AUR NAMAZ E ISHA K BAAD 2 RAKAAT SUNNAT) ADA KAREGA WO JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Ummey Habeeba Razi Allahu Anha Rasool Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki zooja e Mohtarma se riwayat hai k unhone Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k "Jo shaks rozaana Allah ki raza k liye farzo k alawa 12 rakaat nawafil ada karta hai Allah ta'ala uske liye jannat mein ek ghar banata hai". (Sahih Muslim Kitabus Salatul Musafireen)


SILA REHMI KARNE WALE JANNAT MEIN JAYENGEY

Hazrat Abu Ayyub Razi Allahu Anhu kehte hai ek aadmi Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur arz kiya mujhe koi aesa amal bataiye jo mujhe jannat k kareeb aur jahannam se door karde Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Allah ki bandagi kar aur uske saath kisi ko shareek na kar, namaz qayam kar, zakaat ada kar, raham walo se talluq qayam rakh" jab wo aadmi wapas palta to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "jin baato ka use hukm diya gaya hai agar un par amal kiya to jannat mein dakhil hoga". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)


KHUSH AKHLAAQ, TAHAJJUD GUZAAR, KASRAT SE NAFLI ROOZEY RAKHNE WALE AUR DOOSRO KO KHANA KHILAAN WALE LOOG JANNAT MEIN JAYENGEY

Hazrat Ali Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannat mein aese mehal hai jinke andar (khade ho) to bahar ki har cheez nazar aati hai aur bahar (khade ho) to andar ki har cheez nazar aati hai" ek aaraabi ne khade ho kar arz kiya "Ae Allah k Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam! ye kis aadmi k liye hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Uske liye hai jo acchi baat kare, khana khilaaye, ba-kasrat roozey rakkhey aur jab loog mazey ki neend soo rahe ho wo uth kar namaz padhey". (Sunan Tirmizi Abwabul Jannah)


AADIL HAKIM, DOOSRO PAR RAHAM KARNE WALA, NARAM DIL, PAKEEZAH AUR DOOSRO SE SAWAAL NA KARNE WALA BHI JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Ayaaz bin Hamaar Mujashi'e Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek rooz apne khutbey mein irshad farmaya "Jannat mein jaane wale teen qism k loog hai":
1. Hakim, insaaf karne wala, sach boolne wala aur naik kaamo ki tofeeq diya gaya
2. Wo shaks jo har qurabat-daar aur har musalmaan k liye meharbaan aur naram dil hai
3. Wo shaks jo paakdaman hai aur ayaal daari k ba-wajood kisi se sawal nahi karta. (Sahih Muslim Kitabul Jannah Wa Sifatun Naemaha)


ALLAH AUR USKE RASOOL SALALLAHU ALAIHI WA SALLAM PAR EMAAN LAANE MEIN KHUSHI MEHSOOS KARNE WALE AUR ISLAAM KO BARZA WA RAGBAT APNA DEEN SAMAJHANE WALE LOOG JANNAT MEIN JAYENGEY

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis shaks ne yu kaha "Mein Allah k rabb hone par, islaam k deen hone par aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam k Rasool hone par raazi hu" uske liye jannat wajib ho gayi". (Sunan Abu Dawood Abwabul Witr, baab fi astagfaar)


DO YA DO SE ZAAYED BAITIYO KI DEENI TALEEM WA TARBIYAT KARNE AUR JAWAAN HONE K BAAD NAIK AADMI SE NIKAH KARWANE WALA SHAKS JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne do ladkiyo ko unke jawaan hone tak paala poosa qayamat k din mein aur wo is tarah aayengey aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apni ungliyo ko aapas mein milaya". (Sahih Muslim Kitabul Birr wa Silah)


WUZU K BAAD DO RAKAAT NAFIL (TAHYATUL WUZU) BA-QAIDAGI SE ADA KARNE WALA SHAKS JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne (ek rooz) namaz e fajr k baad Hazrat Bilaal Razi Allahu Anhu se pucha "Ae Bilaal! Islam laane k baad wo tumhara kaun sa amal hai jis par tumhey bakhshish ki ziyaada ummeed hai kyunki aaj raat mene jannat mein apne aagey aagey tumhare chalne ki aawaaz suni hai" Hazrat Bilaal Razi Allahu Anhu arz kiya "mein , is se ziyaada ummeed afza amal to koi nahi paata k din ya raat mein jab bhi wuzu karta hu to jitni Allah ta'ala ko manzoor ho namaz padh leta hu". (Mukhtasar Sahih Bukhari Hadees no. 1682)


NAMAZ ROOZEY KI PABAND, PAAKBAAZ AUR SHOHAR KI ITA'AT GUZAAR KHAWATEEN JANNAT MEIN JAYEGI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo aurat paanch namazey ada kare ramazaan k roozey rakkhey apni sharm-gaah ki hifazat kare aur apne shohar ki ita'at kare (qayamat k rooz) use kaha jayega jannat k (aatho) darwaazo mein se jis se chaho dakhil ho jao". (Sahih Ibne Hibban, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 683)


ANBIYA, SHOHDA, AHLE EMAAN K FAUT HONE WALE CHOOTE BACCHEY AUR ZINDA DARGOOR KI GAYI LADKIYA JANNAT MEIN JAYENGI

Hazrat Hasna'e binte Muawiyah Razi Allahu Anha kehti hai hum se mere chacha ne ye hadees bayan ki k mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se daryaft kiya jannat mein kaun kaun jayega? Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Nabi jannat mein jayega, Shaheed jannat mein jayega, no-molood jannat mein jayega aur zinda dargoor ki gayi ladki jannat mein jayegi". (Sunan Abu Dawood Kitabul Jihaad)


ALLAH KI RAAH MEIN JIHAAD KARNE WALA JANNAT MEIN JAYENGEY

Hazrat Muaaz bin Jabal Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis musalman aadmi ne Allah ki raah mein itni dair tak qitaal kiya jitni dair oonthni (camel) ka doodh doohne mein lagti hai, us par jannat wajib ho gayi". (Sunan Tirmizi Abwab Fazalul Jihaad)

To Be Continued......