Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Monday 11 May 2015

JANNAT MEIN DAKHIL HOONE WALE LOOG PART 1 OF 3

JANNAT MEIN DAKHIL HOONE WALE LOOG PART 1 OF 3

Bismillahirrahmanirraheem

NARAM DIL, AAJIZ, MUNKASIRUL MIJAAZ HAR WAQT ALLAH SE DARNE WALE BE ZARAR AUR HALEEMUL TABEY LOOG JANNAT MEIN JAYENGEY

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannat mein aese loog dakhil hongye jinke dil chidyo jese hongey". (Sahih Muslim Kitabul Jannah Wa Sifatun Naemaha)


JANNAT MEIN GAREEB, FAKEER, MOHTAAJ, MISKEEN AUR KAMZOOR LOOGO KI KASRAT HOGI

Hazrat Haarsa bin Wahhab Razi Allahu Anhu ne Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Kya tumhey bataau jannat mein jaane wale loog kaun hai?" Sahaba Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Kyu nahi" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "har naatawa, loogo k nazdeek kamzoor (lekin Allah k nazdeek itna bargazeedah) agar (kisi muamale mein) Allah ki qasam kha le to Allah use saccha karde" phir farmaya "Kya mein tumhey jahannam mein jaane wale loogo k baare mein na bataau?" Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Kyu Nahi" Aap  ne irshad farmaya "har jhagdaalu, bad akhlaaq aur takabbur karne wala". (Sahih Muslim Kitabul Jannah wa Sifatun Naemaha)


NARAM DIL, SHAREEFUL NAFS, MUNKASIRUL MIJAAZ AUR HAR DIL AZEEZ SHAKS JANNATI HAI

Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Har wo shaks jo naram dil hai shareefun nafs hai, munkasirul mijaaz hai aur loogo se qareeb (yaani har dil azeez) hai us par jahannam ki aagh haraam hai". (Musnad Ahmad, Saheeh Jamey Sageer Hadees no. 313)


RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI ITA'AT KARNE WALE JANNAT MEIN JAYENGEY

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Meri tamaam ummat jannat mein dakhil hogi magar jisne mera inkaar kiya (wo jannat mein dakhil nahi hoga)" Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam kisne inkaar kiya?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Jisne meri ita'at ki wo jannat mein dakhil ho gaya aur jisne nafarmaani ki usne inkaar kiya". (Sahih Bukhari Kitabul Aetasaam bil Kitabis Sunnah)


ALLAH KI RAZA K LIYE JO SHAKS ROZAANA 12 RAKAAT NAMAZ (NAMAZ E FAJR SE QABL 2 RAKAAT, NAMAZ E ZUHAR SE QABAL 4 RAKAAT AUR BAAD MEIN 2 RAKAAT, NAMAZ E MAGHRIB K BAAD 2 RAKAAT AUR NAMAZ E ISHA K BAAD 2 RAKAAT SUNNAT) ADA KAREGA WO JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Ummey Habeeba Razi Allahu Anha Rasool Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki zooja e Mohtarma se riwayat hai k unhone Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k "Jo shaks rozaana Allah ki raza k liye farzo k alawa 12 rakaat nawafil ada karta hai Allah ta'ala uske liye jannat mein ek ghar banata hai". (Sahih Muslim Kitabus Salatul Musafireen)


SILA REHMI KARNE WALE JANNAT MEIN JAYENGEY

Hazrat Abu Ayyub Razi Allahu Anhu kehte hai ek aadmi Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur arz kiya mujhe koi aesa amal bataiye jo mujhe jannat k kareeb aur jahannam se door karde Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Allah ki bandagi kar aur uske saath kisi ko shareek na kar, namaz qayam kar, zakaat ada kar, raham walo se talluq qayam rakh" jab wo aadmi wapas palta to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "jin baato ka use hukm diya gaya hai agar un par amal kiya to jannat mein dakhil hoga". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)


KHUSH AKHLAAQ, TAHAJJUD GUZAAR, KASRAT SE NAFLI ROOZEY RAKHNE WALE AUR DOOSRO KO KHANA KHILAAN WALE LOOG JANNAT MEIN JAYENGEY

Hazrat Ali Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannat mein aese mehal hai jinke andar (khade ho) to bahar ki har cheez nazar aati hai aur bahar (khade ho) to andar ki har cheez nazar aati hai" ek aaraabi ne khade ho kar arz kiya "Ae Allah k Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam! ye kis aadmi k liye hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Uske liye hai jo acchi baat kare, khana khilaaye, ba-kasrat roozey rakkhey aur jab loog mazey ki neend soo rahe ho wo uth kar namaz padhey". (Sunan Tirmizi Abwabul Jannah)


AADIL HAKIM, DOOSRO PAR RAHAM KARNE WALA, NARAM DIL, PAKEEZAH AUR DOOSRO SE SAWAAL NA KARNE WALA BHI JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Ayaaz bin Hamaar Mujashi'e Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek rooz apne khutbey mein irshad farmaya "Jannat mein jaane wale teen qism k loog hai":
1. Hakim, insaaf karne wala, sach boolne wala aur naik kaamo ki tofeeq diya gaya
2. Wo shaks jo har qurabat-daar aur har musalmaan k liye meharbaan aur naram dil hai
3. Wo shaks jo paakdaman hai aur ayaal daari k ba-wajood kisi se sawal nahi karta. (Sahih Muslim Kitabul Jannah Wa Sifatun Naemaha)


ALLAH AUR USKE RASOOL SALALLAHU ALAIHI WA SALLAM PAR EMAAN LAANE MEIN KHUSHI MEHSOOS KARNE WALE AUR ISLAAM KO BARZA WA RAGBAT APNA DEEN SAMAJHANE WALE LOOG JANNAT MEIN JAYENGEY

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis shaks ne yu kaha "Mein Allah k rabb hone par, islaam k deen hone par aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam k Rasool hone par raazi hu" uske liye jannat wajib ho gayi". (Sunan Abu Dawood Abwabul Witr, baab fi astagfaar)


DO YA DO SE ZAAYED BAITIYO KI DEENI TALEEM WA TARBIYAT KARNE AUR JAWAAN HONE K BAAD NAIK AADMI SE NIKAH KARWANE WALA SHAKS JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne do ladkiyo ko unke jawaan hone tak paala poosa qayamat k din mein aur wo is tarah aayengey aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apni ungliyo ko aapas mein milaya". (Sahih Muslim Kitabul Birr wa Silah)


WUZU K BAAD DO RAKAAT NAFIL (TAHYATUL WUZU) BA-QAIDAGI SE ADA KARNE WALA SHAKS JANNAT MEIN JAYEGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne (ek rooz) namaz e fajr k baad Hazrat Bilaal Razi Allahu Anhu se pucha "Ae Bilaal! Islam laane k baad wo tumhara kaun sa amal hai jis par tumhey bakhshish ki ziyaada ummeed hai kyunki aaj raat mene jannat mein apne aagey aagey tumhare chalne ki aawaaz suni hai" Hazrat Bilaal Razi Allahu Anhu arz kiya "mein , is se ziyaada ummeed afza amal to koi nahi paata k din ya raat mein jab bhi wuzu karta hu to jitni Allah ta'ala ko manzoor ho namaz padh leta hu". (Mukhtasar Sahih Bukhari Hadees no. 1682)


NAMAZ ROOZEY KI PABAND, PAAKBAAZ AUR SHOHAR KI ITA'AT GUZAAR KHAWATEEN JANNAT MEIN JAYEGI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo aurat paanch namazey ada kare ramazaan k roozey rakkhey apni sharm-gaah ki hifazat kare aur apne shohar ki ita'at kare (qayamat k rooz) use kaha jayega jannat k (aatho) darwaazo mein se jis se chaho dakhil ho jao". (Sahih Ibne Hibban, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 683)


ANBIYA, SHOHDA, AHLE EMAAN K FAUT HONE WALE CHOOTE BACCHEY AUR ZINDA DARGOOR KI GAYI LADKIYA JANNAT MEIN JAYENGI

Hazrat Hasna'e binte Muawiyah Razi Allahu Anha kehti hai hum se mere chacha ne ye hadees bayan ki k mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se daryaft kiya jannat mein kaun kaun jayega? Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Nabi jannat mein jayega, Shaheed jannat mein jayega, no-molood jannat mein jayega aur zinda dargoor ki gayi ladki jannat mein jayegi". (Sunan Abu Dawood Kitabul Jihaad)


ALLAH KI RAAH MEIN JIHAAD KARNE WALA JANNAT MEIN JAYENGEY

Hazrat Muaaz bin Jabal Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis musalman aadmi ne Allah ki raah mein itni dair tak qitaal kiya jitni dair oonthni (camel) ka doodh doohne mein lagti hai, us par jannat wajib ho gayi". (Sunan Tirmizi Abwab Fazalul Jihaad)

To Be Continued......

No comments:

Post a Comment